Hindi Bloggers Ke 7 Mistakes – New Blogger Ki Galtiya

Hindimehelp me ka sbse phla aur main aim yahi hai ki logo ki help krna. Aur sath sath unko internet se judi sabhi jankariyon se Update krte rhna.

Aaj Hindimehelp website ke through bahut se logo ne Blog bnana sikh liya hai. Aur unme se bahut se log success bhi ho chuke aur kuch log success ki taraf badh rhe hain.

Advertisements

Lekin mujhe ye btate huye bahut dukh ho rha hai ki abhi bahut se Hindi Bloggers badi badi galtiyan Kar rahe hain, Jiske wajah se unko success milne me deri ho rhi hai.

Is article me kuch mistakes ko btaunga jisko dur karke ek Hindi Blogger bhi bahut hi kam samay me successful ho sakta hai. Hindi Me Help ki Success Story aap yaha pad sakte hai

Ye Bhi Jarur Pade:

Hindi Bloggers Ke 7 Mistakes - New Blogger Ki Galtiya

Hindi Bloggers ki Galtiya jo unhe nahi karni chaiye

1.English Articles Ko Hindi Me Translation:

Dekhiye agar aapne Blogging sirf Paise ke liye start kiya hai toh Shayad Blogging aapke liye nahi hai. Aapne iss statement ko bahut se Blogs par padha hoga. Aur yah kafi had tk sahi bhi hai.

Blogging ka matlab apne experience aur knowledge ko share krna hota hai na ki kisi dusre ke article ko apne blog par Copy krna. Aur kuch log isi wajah se Blogging ko aasan samaj lete hai.

For example: New Hindi Blogger Internet se English wale article ko Hindi me Translate karke apne Blog par publish kar rahe hain. Aur wo khud uss article ko practical tarike se karke try nahi krte hain. Unko sirf mtlb hota hai ki kisi bhi tarike se unke Blog par article ki quantity badh jaye.

Abhi toh yah Translation sahi hain Lekin future me Google ka koi update aaya toh iss tarah ke Blog sbse phle Band ho jayenge.

Aap log nirash mt hoiye. Iska sbse achha upay hai ki aap jo kuch bhi internet se ya offline sikhiye usko apne experience ke base par hi share kijiye. Direct translation Google ko bhi aata hai. Aur Google ko bewkoof koi nahi bna skta .

Aap kisi bhi task ko kar ke dekhiye fir jo result aaye usko apne according likh ke publish kijiye.☺

Khane ka matlab hai jis topic par aap post likh rahe hai uske ware me aapko pura pata hona chaiye.

Ye Padhe: Dusare Website Se Copy karne ke Faide or Nuksan

2. Ek se Jyada Domain Kharidna:

Mai ekdum Guarantee ke sath kh skta hun ki 99% New Hindi Blogger 1 se adhik domain kharid lete hai aur kaam kisi par thik se nahi karte hain.

Wo bss ye sochte hain ki ek se itna paisa aayega toh 2-4 Blog bana lene se toh aur jyada aayega.

Dosto ! Agar aap bhi aisa soch rhe hain toh iss baat ko apne dimag se nikal dijiye toh hi acha rhega.

Aur abhi bhi time hai ki aap apne Interest ko pehchan kar ek hi domain par kaam kijiye.
Mai aapko bharosa dila sakta hun ki aap 4-5 blog se 10x jyada paisa kamayenge.????

3. Apne Audience Ko Nahi Pehchan Pana:

Kya kabhi aapne ye janne ki koshish kiye hai ki aapke Blog par kis tarah ke log visit krte hain. Unko aapke blog se kya kya chaiye or wo q aapke blog ko open karte hai?

In sb chizo ko janne ke liye aapko sbse phle apne Blog ko Google Analytics se jodna pdega. Aur daily aap Google analytics me apne traffic ka analysis kijiye.

Aap Google Analytics se inn chizo ka jarur analysis kijiye:-

Agar aap in chizo ka analysis karte hain toh aapko pta chalega ki aapke Blog par visitors kaise aate hain. Aur agar koi visitor new keyword search karke aata hai. Lekin usse related post aapke Blog par nahi hai toh aap uss post ko apne Blog par likh sakte hain.

Iss tarah se aapko new post likhne ke idea bhi mil jayenge.

Toh sbse important baat ki aap apne Audience ko pehchaniye aur fir unke liye articles likhiye. Fir dekhiye aapke Blogging me kaise changes aata hai.☺

4. Consistent Nahi Rhna:

Blogging hi nahi kisi bhi business me sbse important factor hai wo hai Consistency. Isko dusre shabdo me kahe toh kisi bhi kaam ke liye lagatar bne rhna. Aur Blogging me agar aapko aage badhna hai toh continuously Article post krte rhna chahiye.

Maine bahut baar bola hai aapko ek schedule bna lena chahiye ki 1 week me kitne post daalne hai.

Fir usi ke according aape visitors bhi aapke blog ko visit karenge. Aur agar aap regular post nhi krenge toh aapke visitors dubara aapka blog visit nahi krenge.

Waise ye hai toh bahut hi basic lekin bahut se Blogger iss chiz ko follow nahi kar pate hain.
Jo blogging ke success me rukawat bn jata hai.

Jaru Pade: Regularly Blog ko Update karne se Kya Kya fhyada hote Hai

5. Post ke Link Spamming karna :

Kabhi aapne socha hai ki koi Blog itna famous kaise hai. Ya koi person agar popular hai toh kyu popular hai?

Iska simple sa answer hai ki uss Blog aur Person me ek aisi unique baat hai jo kahi aur nahi.
Bss isi funde ko aap bhi apne Blog me implement kijiye. Fir dekhiye aapka blog bhi kitna popular ho jayega. Aapne kabhi kuch alag karne ka try nahi kiya toh wo kisi ko pasand nahi aayega. Chahe aap apne post ke link ko kahi bhi paste kyu na kar de.

Whatsapp group ho chahe fb group, maximum bloggers apne post ke link ko har jagah paste kar dete hain.

Jo ek tarah se spamming hi hoti hai. Isse logo ko paresani hoti hai.

Koshish yahi kare ki aap apne blog par hatke content daale ki aapke post ko spam karne ki jarurat na pde. Bss thoda sa promotion ki jarurat pdegi. Aur blog ko promote krne ka valid tarika maine iss blog par btaya hai.

Spamming aur Promotion me bahut Difference hota hai. Isliye aap link ko copy paste karne ke bajay aap unique content aur promotion pr dhyan dijiye.

Read: High Quality Backlink kaise banate hai

6. Dusre Blog par Comment Thik se Nahi Karna :

70% log comment isliye karte hain unko apna website par Backlink pane ka mauka milta hai.

Aur yah ek valid way bhi hota hai Backlink pane ka. Lekin maximum log sirf Backlink ke chakkar me Nice Post , Thanks for Sharing etc. Likhte hain.

Badiya Comment Kaise Kiya jaye uski Tips jarur pade, ek acha comment karne ke liye.

Comment me aap koi bhi link mat chodiye. Isse aapka comment bhi approve nahi hoga.
Kahne ka matlab hai ki agar aap ye galti karte hain toh mat kijiye. Aapka hi fayda hoga. ☺

7. Keywords Ka Over Use:

Kuch new Bloggers ko thoda bahut keywords, SEO ke baare me pta ho gya hai toh wo apne post me keywords ka itna overuse karne lge hain ki unka post Baad me penalized ho skta hai.

SEO ke baare me thodi bahut jankari bahut hi khatarnak sabit ho skta hai. Aapko SEO ke baare me thik se padhna chahiye.

Keywords over use ka example dekiye:-

Hi Friends ! Aaj mai Computer ke baare me btaunga. Computer ek electronic device hai. Computer me CPU main hota hai. Computer aaj ka sbse important device bn chuka hai. Computer ke bahut type hote hain.

Aap upar paragraph me dekh skte hain ki ek hi keyword bahut bar use hua hai. Aur kitna aajib lag rha hai.

Agar hum is paragraph me 1 ya 2 baar hi computer keyword use krenge aur baki ke jagah pr Pronouns use kare jaise “iske”, “yah”etc toh bhi yah SEO wala post mana jayega.

Ye Jarur Pade:

Dosto maine iss article me thode kadwe shabdo ka prayog kiya hai. Iske liye mafi chahta hun. Lekin fir bhi ye aapke fayde ke liye hi publish kar rha hun.

Agar aapko yah post kesa laga comment me jarur btaye. ☺

Ye Bhi Padhe:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

71 thoughts on “Hindi Bloggers Ke 7 Mistakes – New Blogger Ki Galtiya”

  1. Bhai jo blogging me naye naye aate hai wo galtiyan to karte hi hai maine bhi suru me ki thi par mera wo blog nahi chal paya ab achhe se kam kar raha hu uska result mujhe jarur milega hujhe malum hai

    Reply
  2. नमस्कार, आपका पोस्ट पढ़ा, सच कहूँ तो अच्छा लगा। मेरा जहाँ तक सोच है ब्लॉगिंग एक ऐसा फील्ड है जिसमें क्या करना है, सीखने से पहले ये सीखना जरूरी है कि क्या नहीं करना है। इस lockdown के दरम्यान जब कोई काम नहीं रहा तो इस सोच में लग गया कि घर बैठे क्या किया जाय? अपने पास लिखने के लिए कुछ था नहीं। फिर मैंने इस theory को अपनाया कि सीखो और लिखो। मैं सीखने के लिए हिन्दी और इंग्लिश दोनों भाषा में पढ़ता हूँ। पता नहीं मुझे ऐसा क्यों लगता है कि हिन्दी ब्लॉगर चीजों को जल्दी समेटने कि कोसिश करते हैं। अपनी लेखनी का एक नमूना डाल रहा हूँ, आशा है पढ़कर अपने बहुमूल्य सलाह देंगे। नये ब्लॉगर की 12 गलतियाँ

    Reply
  3. ज्यादातर ब्लॉगर या मैं खुद अपने ब्लॉग के लिंक को whats up ग्रुप्स और facebook ग्रुप में अंधाधुंध भेजा था क्योंकि मुझे शुरुआत में ओर्गानिक ट्रैफिक बिल्कुल नही मिल रहा था ,प्रमोशन में रोज 100 व्यूअर मिलने लगे थे पर पर मुझे एक वर्ष तक ओर्गानिक ट्रैफिक सीधे google सर्च से कोई भी नही आता था ,अब मैं हर पोस्ट को लिखने से पहले मैगजीन ,पेपर , बुक्स और नेट में सर्च करने के बाद अपनी भाषा शैली में लिखने का प्रयास कर्ट्स हूँ ,धीरे धीरे कुछ ओर्गानिक ट्रैफिक हर देश अमेरिका चीन,मलेशिया,जापान,वियतनाम ,कनाडा, इंग्लैंड,जर्मनी, इटली से और भारत से आने लगा ,चूंकि मेरा ब्लॉग एजुकेशनल है और अभी तक मैंने ब्लॉग में कोई सपोर्टिव टेप्लेट को नही लगाया कुछ ढंग से ऑर्गनाइज नही किया तो कुछ ही ओर्गानिक ट्रैफिक हौ पर धीरे धीरे पोस्ट बढ़ने पर कुछ ट्रैफिक बढ़ेगा ,पर मैं लगातार पोस्ट लिखता रहूंगा।

    Reply
  4. डिअर सर आपके द्वारा दी गई जानकारी बहुत अच्छी लगी क्योंकि अभी नया ब्लॉग मैं चालू किया हूं । मैं अपने ब्लॉग में इन गलतियों को नहीं करूंगा। इस जानकारी के लिए थैंक सर।

    Reply
  5. sir maine ek blog banaya hai jo ki 3 saal se chal raha hai lekin us par jyada traffic nahi aata aur site google par rank bhi nahi kar rahi

    Reply
  6. Hello Sir,
    Aap hamesha hi apne blog pe boht accha content laate ho. Sabse pahle uske liye dhanyawaad. Sir ek sawaal hai aapse, maine ek blog banaya hai jisme mai roj ek article likta hu. sir mera blog amazon quiz pe hai jo daily 8 – 12 ke beech me hoti hai. Toh kya kare ki hamara article roj rank ho jaye Amazon Quiz keyword pe aur mera blog abhi naya naya banaya hai.
    Plese bataiye.

    Reply
  7. Bahut hi badiya information di hai iss article me bhai apne. Mostly apke sbhi article achhe se samjh me aa jate hai. Thanks for sharing this article…

    Reply
  8. Hlo Rohit… Kese ho aap…?? Rohit mujhe aapse help chahiye… M hindi me kuch likhana chahti hu blog bna kr..apne man ki kuch kahaniya logo ke sath share krna chahti hu… Pr mujhe abhi tk iske baare me kuch ni pta ki ye sb kese krte h.. kuch bhi idea ni h…ki kese blog bnate h,kese usme likhte h… Kya aap mujhe sikha sakte ho… Mujhe paise ni kamane yaha bs Apne man ki kahaniya likhni h…plzzz help me… Mujhe ye bhi ni pta ki m aapka rply kese dekhungi abhi tk..

    Reply
  9. hi sir मै जानना चाहता हु की मेरे एक ब्लॉग में पोस्ट बहोत अधिक है फिर भी मेरा ब्लॉग को गूगल adsense अप्रोवल क्यों नही मिल रहा है |
    मेरा एक question और है Auralis Thane मेरे वेबसाइट का title है फिर भी मेरा वेबसाइट पता नही क्यों गूगल सर्च इंजन दिखाई नही दे रहा है|

    Reply
  10. Sir mere blog par maine seo bhi theek se kar rakha hai aur post bhi har week me 2 dalta hoon aur keyword research kar ke hi article likhta hoon lekin phir bhi mere blog par 10 ya 15 log hi aate hai ek din me jabki mera blog kafi purana hai. Sir mujhe kuch suggestions de

    Reply
  11. hello brother
    (My name is Radhika Gurjar)

    mene website banaya to hai par wo Google par show nahi ho raha hai to Plz muje guide kijiye aur saath me yeh bhi bataye ki hume paise kis tarah se milenge

    Reply
  12. भाई एक सवाल है ।
    जब भी हम new post पब्लिश करते है तो क्या हम उसे google plus में 5-6 communities में लिंक दे सकते है
    और facebook पर 2-3 ग्रुप पर link दे सकते है क्या जैसे कोई closed ग्रुप हो ।

    kya he backling banana sahi hai
    ya use spam mana jayenga

    Reply
    • aap kar sakte hai share.. par agar aap aesi jagha share karege jo allow nahi karte to wo aapki link ki repost kar sakte hai as spam fir jarur problem ho sakti hai..baki koi problem nahi hai.

      Reply
  13. Bahut helpful post he par google analysis me kisi post ko publish karne se pahle uski keyword density check kar sakte he? Aur aap ek baar mere blog ko dekh kar bataay kya kami he bahut slow open hota he. Aapki ye theme konsi he paid he ya free.

    Reply
  14. लेख का शीर्षक देखर लगा था कि वही पुरानी वाली टिप्स पढ़ने को मिलेगी। पर इस लगातार पोस्ट करने वाली टिप को छोड़ मेरे लिए सब नया था। धन्यवाद रोहित भाई ऐसी पोस्टो से मेरे जैसे ब्लॉगर अलर्ट रहते हैं।

    Reply
  15. Bro ager hum koi shayri ka blog bnate h to shayri kya copyright hoti he? Mtlb kisi or site pe koi shayri dekhker ager hm us sayri ko apne sabdo me likhe to kya vo copyright khlayega

    Reply
  16. sir,
    1>pingback kya he ?
    2>e q new post karneke baad comment karta he ?
    3>e off karne se kuch nuksan hota he kya?
    plz e sare qus ka reply kare

    Reply
  17. Thanks Rohit ji,yeh Achhi jankari hai ,jo new blogger k liye bahut important hai. maine bhi jo shikha hai wo jyadatar comment se hi sikha hai. aur new blogger k liye meri ray hai ki popular blog ki comment ko achhi tarah se padhe aur ho sakta hai us comment main apko bhi koi answer mil jaye.

    Reply
  18. bahut hi achhi jankari di apne rohit ji.
    lekin ye keywords ka over use kar rahe iska kya matlab h. kaise pata chale ki keywords overuse ho rahe h

    Reply
  19. sir mene newspaper 7 ko download kar liya hu par site ka layout jesa chahata hu wesa ho nahi raha hai
    bahut sare layout hai par mujhe simpal sa chahiye jesa aap ka layout hai. theme panel se layout ko change kar rahahu kya koi alag se home page banana hoga kya.

    Reply
  20. rohit ji aap ne bilkul bhi kadwe shabd ka use nahi kiya hai. aapki writing esi hai jaise aap apne readers ko nahi balki apne bhai logo ko samjha rahe hai.
    mera sawal hai ki me apne blog me tricks and tips ki post karta hu aur me doosre english blog se seekhta hu aur use practical karke apne shabdo me likhta hu to koi copyright to nahi hoga na.

    Reply
    • aap sikh kar fir apne sabdo me likhte hai to wo thoda bhi copywrite nahi hai.. wass agar kisi ne kuch banaya hai to aap usko apna nahi kha sakte.. aapko uska credit saamne wale ko dena padega..

      Reply
  21. Bahut hi acchi tips hain. Maine sirf 1 Mahine apne purane blog par dhyaan nahi diya. New Website banaya aur Oos par dhyaan diya, Ek mahine mein hi Mere Blog ki Alexa Rank Kitni zyada Down ho gyi aur to aur Mere Old blog ka Traffic bhi bahut zyada kam ho gya. Aur sabse bada asar meri income par pada. Isliye maine yeh realize kiya 1 hi blog banao, 2 ya 3 agar blog bana liya hain to aap focus nahi kar paate hain. Thanks Rohit bro. …

    Reply
  22. Bhai maine bohot se blog dekhe hai jo pinterest se kafi traffic blog pe derive karte hai yeh kaise hota hai ? Kya aapko bhi pinterest achhi traffic milti hai ?

    Reply
  23. Bhai mera blog 4 months old hai aur 60 post published hai maine analytics mein check kiya jisme organic search se 230+ visitors daily aa rahe hai aur mera 630+ pageviews ho jate hai. Direct traffic se bhi 70+ visitors aa jate hai. Mujhe yeh janana hai ki 4 month old & 60 post wale blog ke liye yeh traffic thik hai ya mujhe traffic ke bare mein chinta karne ki zaroorat hai. Plz apne experience ke hisab se batana bro

    Reply
  24. Bahot khoob rohit bhai wakai mein bahut achi post hai aap jo bhi lilkhte ho apne visitors ke help ke liye likhte ho aur unko puri tarha se samajate ho bahut ache bhai

    Reply