Hindi Me Help 2 Year : Utar Chadav

Hello Dosto, Agar aap (Hindi Me Help)HMH ke reader hai to ye news aapke liye bhi khas hai Q ki HMH ne 2 year complete kar liye hai.

Hindi Me Help 2 year complate

Ye to aap jante hi hoge, Ham kuch bhi karte hai usme utar chadav to aate hi hai, aapne apni life me iss baat ko bhut war mhesus bhi kiya hoga, ki sab kuch acha ho jata hai fir koi new problem aa jati hai.. wo tikh hoti hai fir dusri aa jati hai.. or agar ham hamari life ko dekhe to jese books me chapter hote hai tikh aese hi hamari life me chapter badte jate hai..

Advertisements

khene ka matlab ye hai ki kuch bhi karo, aasan kuch bhi nahi hai or impossible bhi kuch nahi hai.. par aesa koi kaam nahi hai puri duniya me jisme paresani naa ho.. agar aap koi aese kaam ke ware me search kar rahe hai jisme aapko kuch bhi paresani naa aaye or bina mhenat kare paise aate jaye.. to aap search karna band kardo, q ki aesa koi kaam nahi hai.

HMH ka Blogging or Youtube par main focus hai or Internet se related jankari share ki jati hai to ham ussi ke samband me baat karege.. Aap Blogging karo ya Youtube par Kaam karo ya koi bhi kaam.. agar aapko usme success hona hai or badiya paise kamana hai to aapko apne aapko improve karna hoga or new new chije add bhi karna hoga.. or sabse main jo problems aayegi unse nipatna bhi hoga.

Aapko ek baat achi se pata hona chaiye:

Jitna Chota kaam, Unti choti Problem..

Jitna bada kaam, Utni badi Problem…

Matlab ye hai ki agar aap kuch bhi start kar rahe hai or aap chote lavel par hai to aapko choti choti problem aayegi.. jese blogging me aap new hai to Blog kaise banaye, Template kaise upload kare, Domain kaise add kare.. iss trha ki choti choti problems …

Jab aap apne aapko improve karte jate hai or jada sikhte jate hai or aapka jo lavel hai wo bhi badta jayega, or uske sath sath sab chije bhi badti jayegi.. ab jo Problems hai wo bhi badi badi aayegi.. jese Website ki Speed kaise badaye, Website Hack hone se kaise bachaye etc..

Kuch Bhi Start karte hai to Starting me bhut jada mhenat karni padti hai, jese mene apni HMH.pe ki 1st Year Success Story me bataya muje kya kya karna pada or kaise me iss mukam par phucha.

Ab Jab Site Next level par aa gai to uski jo problem hai wo bhi badd gai aesa nahi ki site popular ho gai to ab koi problem nahi aati.. Ab badi badi problem aati hai jese jab Live 500+ Visitor ek sath site par aate hai to site ka server down ho jata hai, or uske liye site ko VPS server par transfer karna pada..

Aapne dekha hoga me kuch din se HMH.pe regular nahi hu, jabke mene bataya hai regular rhena kitna jaruri hai, q ki Problem sabki life me aati hai or life me utar chadav aate rhete hai.. or abhi ka time mere liye acha nahi chal raha.. par me haar maanne walo me se nahi hu or jald hi sab tikh karke kuch aesa jauur karuga jisse jo mera maksabd hai usme me ek kadam or aage bad saku.

HMH ka maksad tha logo ko Internet ki jankari de kar unko Internet se jodna or agar wo Internet me Interest rakhte hai to unko Blogging or Youtube or Online Earning ki jankari de kar unko apne pero par khada karna.. or muje lagta hai me bhut hadd tak isme success bhi huaa hu, or iss baat ki muje jo khusi hai usko me express nahi kar sakta..

Jald me kuch naya lane wala hu, jisse jo Internet se jude hai or apna career banane ka soch rahe hai Blogging or Youtube me unko or help mil sakegi.

English me to bhut hai or Hindi jaanne walo ke liye mere har steps hoge, taki jo ek boundary hai English ki wo hat sake or Internet par apna career bana sake..

Yaha me ek baat jo hamesa se sabse bolta hu wo ek war fir bolna chahuga wo ye ki Aap Internet ka use jarur kare par uss topic par jisme aapka interest hai.. aesa bilkul naa kare ki aapne blogging me blog banana sikha or khud hi blogging sikhane lage..

Mera khene ka matlab aap jis fild me master hai uss fild ko select kare or khud se apna talent share kare.. agar aap kisi bhi dusre ka talent ko share karege thoda bhut change karke bhi to bhi aap success nahi ho payege..

Agar aapko Success hona hai to kuch naya or hatke karna hoga, jiski logo ko jarurat ho.

To Friends abhi ke liye itna hi.. jald hi milta hu.. or regular hoke kuch naya or dhamakedar karege, sab milke..

Happy Blogging :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

112 thoughts on “Hindi Me Help 2 Year : Utar Chadav”

  1. bhI mene blogger me jo new theme ayi hai Emporio use apply kiya blog ki post me pehle post tile h2 tha aur main site title h1 tha mene post ke title ke h3 ko h1 kr diya (jo inspect element me h2 dikh rhi thi) ab blog ke post me 2 h1 tag ho gye hai (ek post title aur blogtitle) me chahta hu ki blog post me blog title se h1 tag remove ho jaye aur main page pr blogtitle h1 rhe aur post title h2 ho jaye

    Reply
  2. maine aapka app download kiya hai…
    Application ke sidebar me blogging,WordPress ,make money vagairh hai ,
    In menu me kaun sa url dalna padta hai ?
    Help

    Reply
  3. Rohit ji blogger ke new tempelate me post me 2 h1 tag haijinme ek site ke title aur dusra post title to kya ki post me sirf post pr hi title rhe

    Reply
  4. Hello Rohit Jee..
    Aapse ek help chahiye mujhe Subdomain banana hai .. To mai ye janna chahta hu ki mai subdomain kaise banau.. maine godaddy se domain buy kiya hai..
    please thoda details me bataiyega

    Reply
  5. sir agar website me adsense ads lagane par uski jagah blank space show hota he to iske lie kye krna hoga.
    mene bahut search kia code change karke to ads display ho rha he lekin earnings nhi ho rhi he .
    sir please help me

    Reply
  6. sir agar website me adsense ads lagane par uski jagah blank space show hota he to iske lie kye krna hoga.
    mene bahut search kia code change karke to ads display ho rha he lekin earnings nhi ho rhi he .
    sir please help me

    Reply
  7. Sir Newspaper Theme Me Post Ki Image Show Nhi Ho Rahi Hai Kya iske Liye Koi Koi Plugin Kaam Aata Hai Or Header Menu Me Bhi Wp menu Bluider Use Show Ho raha hai Please ye Problems Kaise Slove Hogi

    Reply
  8. Namaskar sir App ka pryas kafi sarahniy hai aur itani achchhi jankari ke liye bahut bahut dhanyabad
    Mai app ka blogg jald se padhna suru kiya hai jo ki bahut achchha aur jankriyo sebharpur hai.
    Sir aap jai mahan blogro ki prerna se mai bhi hindi me blogg likhana suru kiya hu jisme bahut kuchh mujhe aap logo se sikhna hai aur hame ap ke sahyog ki awasyakta hai. filhal mujhe abhi ye janana hai ki blogg ke liye mukya image ko kis software se compose, edit ,or desine kare aur lekh ke bichme apni bat samjhane ke liye jo image ka prayog karte hai use kaise banate hai uspe point ko dikhane ke liye tir (arow) kaise lagate hai batane ki kripa kare dhanyabad
    Pramesh Chand Vishwakarma

    Reply
  9. Hello Bro,
    Maine aaj apki Site Open Ki to Kuch error show hua, Pahli Baar 500 Enternal server error Aur Phir Page refresh karne pe “Error establishing a database connection ” Show hua , Mujhe lagta hai Koi Problem hai Aap Check karen , Mai Apke mail Pe screen shot send kar raha hun

    Reply
  10. I LIKE YOUR CONCEPT BUT I DONT KNOW KI AP N UTAR CHADAV KA BARE MAI LIKH RAKHA HAI PAR HAM INHA SATTELED KAISA KAR SAKTA HAI I KNOW YOUR CONCEPT GOOD

    Reply
  11. Nice Post

    Mujhe Yeh Janna Tha Ki Aap Blogging Life Kaisi Chal Rahi Hai Aapne Yeh Batakar Sabka Confusion Dur Kar Diya Bahut Achha Likha Hai

    Kuch Time Nikal Kar Aapne Blog Par Dhayan Do..Me Yahi Kahna Chahuga

    Reply
  12. First of all, Many many congrats to you for completing 2 years as HMH. :)
    बहुत ही बढ़िया article है ….. ऐसे ही लिखते रहिये और मार्गदर्शन करते रहिये ….. शेयर करने के लिए बहुत-बहुत धन्यवाद। :) :)

    Reply
  13. sir ji anirudh here… sir aap mere liye hamesha se tendulkar rahe ho… mujhe pata hai internet par kohli hai, yuvraj hai, raina hai… lekin aapke blog ko padhne ka maja hii kuch aur hai…

    Reply
  14. Rohit Mewada ji, blogging to main hinglish me likhta hu but kya ye sahi hai, bad koi problem to nahi hoga na.. kya aap bata sakte hai kyu ki aap bhi hinglish me likh to ho, but supportmeindia bol raha tha hinglish me kuch hi dino me problem hoga…. kya kare main 300 post kar chuka hu.. kuch samaj me nahi aarha hai :(

    Reply
    • Aap Hinglish me likhte ho.. to usme bhi koi problem nahi hai.. Abhi agar aapki traffic me change aaya hai to wo hinglish nahi.. sabhi site par aaya hai.. q ki google search me abhi sayad koi update chal raha hai.. baki aesa nahi hai ki google hinglish ko search me hi naa dikhaye.. aesa to nahi ho sakta..

      Reply
  15. Rohit bhai mujhe ek bahut bada confusion hai yaar hai yaar about writing.
    Apke hisab se kis tarah blog post likhna sahi hai. ?
    1. Hinglish
    2. Hindi
    3. Hindi + English (Acchikhabr)
    I’m consfused about this. Filhal to main abhi Hinglish Me likh raha hu.
    Lekin kuch bloggers ka manna hai ki furure me google Hinglish support nhi karega etc etc.
    So what is ur opinion?

    Reply
    • Aap Meri recent post dekhe.. mene Hindi me likha hai.. iska jabab abhi me bhi nahi de sakta.. me thodsa research karke fir bhi bata paoga..

      baki aesa nahi hai ki google hinglish support nahi karega.. q ki google ko pata hai log kis trha se likhte hai.. or aap ye to jante hi hoge ki google jisko ham hinglish bolte hai usko hindi hi samajta hai..

      Reply
  16. Congratulations Rohit Bro :) fo 2 years of successful blogging.
    Ye sahi kaha aapne ki Jitna chhota kaam hoga utni hi choti problem hoti hai aur jitna bada kaam hota hai problem bhi utni badi hoti hai.
    Jo in problems ko solve kar pata hai wo success hota.
    Happy Blogging :)

    Reply
  17. Utar Chadhav sabke jivan me aate he lekin jo haar n maankar nirntr chlte rehte he vah hi Life me success ho pate he jis traah aap huye he “Muskilo me bhagna aasan hota he, har pehlu jindgi ka imtihaan hota he, bhagne wale ko kuch nahi milta jindgi me or ldne walo ke kadmo me jahaan hota he”,aapne Indian blogger ke liye bahut kuchh kiya he or hum raah dekh rahe ki aap kab apne blog par reguler hokar humare liye kuch nyaa or dhmakedar lekar aayenge,all the best for your future

    Reply
  18. Sir maine apna blog hinditechworld.blogspot.com lagbhag 10 mahine se chooda hua tha, main aap ki ye post padh kar usse fir se jinda karne ja rha hun. OOr aaj se wada karta hun ki ab main website par regular bana rahunga. Thank you sir!!!

    Kya main fir se pahle wala traffic gain kar sakta hun??? Please batayen..

    Reply
    • haa bilkul.. or aap usse jada bhi kar sakte hai.. wass aap pane aap par bharosa rakhe or regular rahe.. or jo bhi problem aaye unse kaise nipta jaye uspar kaam kare..

      Best of luck Blogging ke liye :)

      Reply
  19. सर Domain लेने से पहले मेरे Blog posts Google Search Engineमे आते थे.. लेकिन जब से मैने New Domain लिया है तब से जो post update करता हु वही Search Engine मे नही आते..
    पुराने post आते है लेकिन Domain लेने के बाद जो post update करता हु वही Search Engineमे नही आते.. Please help

    Reply
      • Hostsar से Domain लेने के बाद मैने Google Console पर Blog Verify किया.. लेकिन verify करने के लिये Google मुझे Godaddy पर भेज रहा हे जब की मैने Hostar से Domain लिया. और मेरा godday पर account ही नही है. तो कैसे मुझे godday पर blog verify करना है.. जब की मैने Domain Hostar से लिया..

        Reply
  20. Thnks rohit bahi ,,Mai aapka blog tab sey pad raha hu jab aapka blog 1 month old tha ,, aapka likhney ka style aaj bhi sabsey umdaa hai ,,,congratulation rohit bahi,,,

    Reply
  21. Hello Rohit Ji,
    Congratulation apke 2 year pure karne per. In 2 salo me jo jankari apne apni site me di hai ek new blogger ke liye kafi nahi kahunga bhut jyada faydemand hai. Jinhe bhi bloging karna hai wo step by step agar apke blog ko follow kare to badi asani se blogging kar sakta hai. Mai khud naya hu is field me aur kafi sari jankari apke hi site se mili hai sukriya.
    Yese hi jankari wale blog banate rahiye dher sari subhkamnaye.

    Reply
  22. nice and superb article bro. can you expalin it how to get rid from server problem abhi mene basic plan liya hatchling ka to upgrade kab karvau. visitor 2000 h or ye badhte ja rhe h.kuch time ye problem ati h jab ek sath jyada visitor ate h specially sam ko

    Reply
  23. Sir aapke 2 year pure ho gye iske liye aapko meri taraf se bahut bahut mubarak ho, aapki इस blog se maine bahut kuch sikha hai aur apni ek blog www. indiahelpz .com bnai hai ispar agar aap ek bar visit kar le to mujhe bahut khushi hogi.

    Reply
  24. koi kaam asani se nehi mil sakta. iske liye hardworking aur talent ko istemal karna hoga nehi to iss competition ke dod me har ho sakta hai.

    Reply
  25. Congrats dost……
    Maine bhi ek blog banaya lekin traffic increase hi nhi ho rha hai….
    Please kya aap dekh ke bata sakte hai ki kya problem hai.

    Reply
    • Aap wo share kare jisko log jada jaanna chate hai or jis trha se jaanna chate hai uss trha se to aapki traffic jarur badegi.. n ye jo traffic badne ki process hai ye turant nahi hoti.. jese agar aapne aaj koi acha article likhe to wo index hoga uske baad traffic aana start hogi.. wass aap regular rahe or apni quality achi banaye rakhe.. tarffic bhi aapke blog par jarur aayegi..

      Reply
  26. Bhai har ek sector me fighting aur struggle karna padta hai.
    Vaise aapne apne is post ke dwara logo ko ek extra energy de diya hai.

    Reply
    • Future hai ya nahi.. Wo to koi nahi khe sakte.. Par agar aap Google ok dekhe to agar koi hinglish me likhta hai to Google usko hindi hi samajta hai.. Or mere hisab se bhut log hai jo hinglish me padna jada pasand karte hai hindi se..

      Reply
    • Bhai agar koi other state ka hai aur use Hindi ki thodi bahut knowledge hai aur o devnagari font ko nahi padh sakta to uske liye hinglish thoda asan ho jata hai

      Reply