Jab bhi ham Type karte hai, Jane anjane me Spelling Mistakes to ho hi jati hai.. ab aese me hamari nazar us par chali jaye to thik hai warna waha galat hi reh jata hai..
Agar baat kare English ya Hind ki to jese hi ham koi Spelling mistake karte hai uske niche Read line aane lagti hai, jispar simple ham right click karke usko sahi kar lete hai.. par agar wahi ham baat kare Hinglish ki jo ke Hindi+English ka mixture hai to usme itna aasan nahi hota.
*English Grammar Mistakes ko thik karne ke liye Grammarly Browser Extension ya Ginger Browser Extension jarur Install karke rakhe.
Internet ke Iss Morden jamane me jadatar Hinglish ka hi istemal karte hai, Whatsapp, Facebook par.. or ussi ka ek example aap HindiMeHelp.com par bhi dekh sakte hai.. jispar Hinglish me Post Publish hoti hai.
To agar aap kahi bhi Hinglish me kuch type karte hai or aap chahte hai ki Hinglish me bhi kahin koi spelling mistake naa ho to me aapko uska tarika iss post me bata raha hu.
Agar aap bhi Hinglish me Blogging karte hai HMH ki trha to ye jankari aapke bahut kaam ki hogi. or agar aap comfuse hai Hindi or Hinglish me se kon hai jada behtar to mene unke detail me fayde or nuksan share kiye hai aap wo jarur read kare.
Hinglish me sabse pehle Blog HindiMeHelp.com hai jo 20 feb 2015 me start kiya tha.. to ab ye mera kartab bhi banta hai ki me sabhi se share karu ki wo kaise apni Hinglish ki spelling mistakes ko thik kare.
All Hindi Blog ki List aap yaha dekh sakte hai.
To chaliye ab jaan lete hai kaise Hinglish ki Spelling mistakes ko tikh kiya jata hai.
Hinglish ki Spelling ko Kaise tikh kare
Jese Hindi or English me spelling mistake karne par red underline aa jati hai, wese hi Hinglish ya kisi or language me aaye wo ham on kar sakte hai.. iske liye aapko Chrome Browser ki jarurat padegi.
Aapne ye to dekha hi hoga, jab bhi ham kuch google me galat type karte hai, to Google usko automatic sahi kar deta hai.. to ham abhi ussi Technology ka istmal karege.
jese aap image me dekh sakte hai, mene Hinglish me online pese kese kamaye Search kiya to Google ne online paise kaise kamaye ke result show kiye.
To ham Google ki issi auto correct Spelling mistakes ki jo techlonogy hai usko Google Chrome Browser me bhi on kar sakte hai… uske baad jis trha Google Search me Spelling Mistake pakad me aa jati hai wese hi ham Browser me kahi bhi type karege to waha bhi uss Word ke niche Red line aa jayegi..
Chrome me Hinglish Spell Check On karne
Note: Me Hinglish ka bol raha hu, par aap agar iss setting ko on karte hai to Google jitni bhi language ko samajhta hai wo sab auto correct kar sakte hai.
Step 1: Chrome Browser ki setting me jate, uske liye upar 3 dots par click karke Settings par click kare.
Step 2: Advanced par click karke Languages ke option ko open kare.
Step 3: Ab Spell check on sabse pehle on kare.. uske baad Enhanced Spell Check ko select kare.
Jese hi aap isko select kar lege, uske baad jo Spell Checker Google Search me use hota hai wahi aapke pure Browser me hoga.. par yaha aap iss baat ka bhi dhyan rakhe, Jo bhi aap type karege wo pehle Google ke server par jayega uske baad hame pata chalega agar koi Spelling Mistake hogi to.
*Spell Check sirf jab kaam karega, Jab Net On hoga..
Agar aapke Browser me Enhanced spell Check on hai or Net bhi chal rah hai to uske baad aap kuch bhi type karege.. or agar usme kuch spelling mistake hogi to unke niche Red line aa jayegi. jisko simple jese ham normal tarike se Spelling ko tikh karte hai wese kar sakte hai.
Jis bhi Sabd ki Spelling tikh karni hai, uspar right click karke sahi word ko select kar sakte hai.. jesa upar image me dikh raha hai.
At Last:
Ummid hai aapko ye choti par useful jankari pasand aai hogi, or isse aapko Typing me bhut help bhi milegi, or jo bhi Spelling Mistakes aapse ho jati hai unko aap aasani se tikh kar payege..
Agar aap chahte hai aapki English me koi grammar mistake naa ho to aap uske liye Grammarly ka jarur use kare… jiska Extension hame Browser me install karna hai wass.. Grammarly kya hai uski puri jankari yaha hai.
Me aapko suggest karuga, aap apni Puri Post ko likhne ke baad jab Proof Read kare, uss time apni Spellings ko bhi jarur check kare.. Proofreading kya hai or kya sahi tarika hai Proofreading karne ka uski jankari aapko yaha milegi.
jankari kesi lagi comment karke jarur bataye, or agar aapka Blogging se sambandhit koi bhi sawal ho to aap comment karke puch sakte hai.
और बंटाय क्या बोलते तुम नास्ता पानी करके पिए चाय में चीनी कम कोई मारे दम तो कोई चिल्लम सब बोले एकी नाम बोले बम बम. मालूम ऐना.
BAHUT BADHIYA POST
bahut hi badhiya post likha hai
Bahut hi useful jankar share ki hai Aapne shukriya
Good!
Rohit Bhai Mai aapse request Karta hu ki aap jo subscribe widget use kar rahe hai uska code plz share kare…🙏
es method se easly mistakes pakad me aa jayegi.
hi
mast article bro
Amazing Post, Loved it, Keep it up!
That’s a really Good Point, this article is very Helpful and Informative. Thanks for Sharing.
Hello Rohit Bhai Aap mere Blog ko ek baar dekhkar bataye ke usme kya problem hai aur mujhe usme kis tarah se improve karna chahiye
सर आपने बहोत ही अच्छी जानकारी दिया है |
bahut badiya bhai mere
Sir आपने जो जानकारी दी है वह बहुत ही अच्छी है पर मेरा सवाल यह हैं की क्या आप इस तरह की trick मोबाइल के लिए बता सकते हो।
Is Website Se Mujhe Bohot jankari hoi he Har Article Usefull hota He THANK YOU ) MUCH love💞 Rohit Mewada bhai 1 help chaiye meri website http://www.faizank12.com pr traffic nhi araha pehle per post 3,4000 ajata tha but abhi 40 views bhi nhi arahe 12k User se 50 Users hogaye analytic pe plz help
Thanks Rohit bhai, Ye article mijhe bahut pasand ayaa mai apni Status website mai ise use krunga. Thanks Rohit Bhai.
Very Nice News Rohit Sir
bharat bhi bahut achhi jankari di hai …..
very nice and infomarmative
very good
These are really great article. Thank you for sharing
very technical information get to know by you…………
Nice knowldege
Aapka Bhaut Bhaut Dhnaywaad aapki is post ki wjha se mai apnhi Hinglish post ko Modify kr paTa hu.
Aapka Bhaut Bhaut Dhnaywaad aapki is post ki wjha se mai apnhi Hinglish post ko Modify kr paTa hu.
Nice post Bhai ji aap bahut achhi post karte hai aapki saari post ko read karta Hu
Really Good Post dear Thanks for sharing
Aapne Kafi Badhiya Jaankari Share Kiya Hai
thanks, Rohit Bhai
sahi hai bhaiya.
Mozilla browser me google input tool Extension kam nahi karta hai, PC par Mozilla Browser me best Plog post Hindi Typing ka tarika kya hai
very useful and informative post thanks for sharing such information with us
nice
Broadcasters of ideas in cinematic style
Hinglish is laungage of chats widely used on social media
proofreading is one of the hottest trends in recent senario..
Thanks sir I am waiting this ideas .
Are muje es blog se bhut achi jaankari mili
Yll m to ye krte Krte pgl ho gyi hu
Thanks dear for your valuable reply!
Rohit bhai meri adsense ki dashboard me address verify ki notice aya hai aur PIN generate bhi go gaya hai lekin sawal yah hai ki PIN mera ghar aane me kitne din lag jayega.
Aap mujhe please yah bhi bataye ki aapka PIN aane me kitne din laga tha. Thanks! I hope you reply me.
28 din tak lag jate hai.. uske baad bhi naa aaye to aap resend kar sakte hai.
Mein apka hinglish por liya.. Bohot assi khas kam tha ye tomhara…. Actually, your language is not main focused here… But focused your tricks about learning Google special. So thank you so much…
Go on… With such this informative writing.
If you want to know something less important theory.. Can go there… I read that… Also good…
https://sutlan8ap.blogspot.com
Thanks sir
Sunder Post Rohit Bhai,
es method se easly mistakes pakad me aa jayegi.
Dhanyabaad
Rohit bhai meri status releted website he jisme yoast seo plugin lgaya he,yoast plugin hmesha mujhe notification deta he ki wo meri language me seo nhi kr paa rha kyaa me ise ignore kru..?
Yoast ke sabhi signal green kaise kare.. Or unke piche ka kya fanda hai wo samje, uske baad to bhale aap yoast hata bhi dege to bhi fqrk nahu padega.. wass aap on page seo sahi se kare jo bhi yoast bhi hame sirf wahi batata hai. Par hindi tikh se nahi samaj pata.
सर आपने इतना अच्छा से समझाया है और एक-एक बात को मेंशन किया है कि अब आपसे और कुछ पूछने की आवश्यकता ही नहीं रहा
बहुत-बहुत धन्यवाद
Great.. Hope isse aapko aage jarur help milegi.
Bro hmh.pe newspaper ka kon sa template he
Bahot badiya jaankari di hai sir
very nice post Rohit Bhai, but mujhe blogger ki footer me social icon add Karni hai please bataye.
Aapke agar browser me Social Icon nahi hai to aapko code add karna hoga uska.. aap Social Icon code google par search kar lijiye, jaise bhi aapko chahiye.
Iski bahut kam logo ko aavashyakata padti hai. Jo log english me kamjor hai.