HindiMeHelp ke liye konse Tools or Accessory Use hoti hai [Full List]

Hello Blogger, ek baar fir se swagat hai aapka HMH jaha aap ko milti hai Internet ki jankari Hindi me!

Mere Paas aaye din ye sawaal aata rehta hai ki ke konsa Tool use karta hu, to konsi Theme or Plugins use karta hu.. konsi hosting ya konse software use karta hu HindiMeHelp ko manage karne ke liye, to mene socha q naa sabhi sawalo ka jawab ek baar me hi de diya jaye.

Advertisements

To chaliye start karte hai or jante hai HindiMeHelp ke liye kya kya use karta hu.

HindiMeHelp ke liye konse Tools or Accessory Use hoti hai

Page Contents

Me Kya Use karta hu HindiMeHelp ke liye [Full List]

Abhi me aapko har wo Tool, Accessory, Software or Gadgets ke ware me bata raha hu, jo me use karta hu HMH, ummid hai isse aapko jarur help milegi.

*Jitne bhi Tools me use karta hu, sabki link mene di hui hai.. taki aapko pareshani na ho :)

1. HindiMeHelp Website Tools

WordPress Platform: HindiMeHelp WordPress CMS par Self hosted hai.. (WordPress website kaise banaye)

Godaddy Domain: Website ko banane ke liye jo sabse pehli chij Accha Domain, jisko mene Godaddy se liye hai. Badiya Domain kaise select kare uski Tips aap yaha read kar sakte hai.

WPX Hosting: HMH abhi WPX par hosted hai, jo thodi mehgi to hai par uski service achi hai to sasti hi lagti hai. agar aap sasta or badiya hosting ko search kar rahe hai to aap cloudways ko use kar sakte hai.

Cloudways Hosting: Cloudways Hosting HMH par pehle use ki jisme koi paresani nahi aai, par wordpress managed hosting cahiye thi isliye website ko sift kiya. .. par agar aap new hai to Hostgator se bhi le sakte hai. (Cloudways par WordPress kaise Install kare)

Generatepress Theme: Abhi jo HMH ka design hai wo generatepress theme se hai.

Newspaper Theme: ye theme abhi jo theme hai usse pehle install thi.. par agar aap dusri theme lena chahte hai to me recommend karuga Genesis Framework WordPress Theme or StudioPress WordPress Themes.

KeyCDN: Content Delivery Network jo ki ek fast loading website ke liye bhut jaruri hota hai. Agar aapki WordPress website hai to jarur use kare.

Letsencrypt SSL: Google Algorithm update aane ke baad, SSL hona sabhi sites ke liye bhut jaruri hai.. Me Letsencrypt use karta hu jo free hai.

G Suite Email: Professional Email ke liye me G Suite use karta hu, wese to hosting se bhi free me bana sakte hai, par yaha se Google se sabhi product ka access mil jata hai to ₹150 monthly koi bure nahi. Free Professional Email Kaise banaye uski jankari aapko yaha mil jayegi.

DMCA Protection: HMH Website ke content ko copy hone se bachane ke liye.. DMCA ki adad se koi bhi copy karta hai content to uski report karke remove kara sakte hai. DMCA Kya hai wo aap yaha jaan sakte hai.

2. Plugins konse use karta hu HMH.pe

Ye kuch plugin jo me use karta hu, uske aalawa WordPress ke liye Jaruri plugin ki list aap yaha dekh sakte hai.

Wp Rocket Cache Plugin: WordPress Website ko fast load karne ke liye Cache plugin sabse jada jaruri hoti hai.. Agar aap WP Rocket use karte hai to uski sahi setting kaise kare yaha di hui hai.. ye Paid Plugin hai.

agar aap abhi paise nahi lagana chate to Free Cache Plugin bhi use kar sakte hai – W3 Total CacheWP Super CacheWP Fastest Cache.

One Signal: Website ki Push notification ke liye me onesignal ka use karta hu, jo bilkul free hai.

Yoast SEO: Post likhte time SEO analyse karne ke liye iska use karta hu.. Agar aap bhi use karte hai to Yoast ke sabhi Signal Green kaise kare uski jankari yaha di hui hai, wo bhi jarur read kare.

Pretty links: Kisi bhi likh ko short karne ke liye iska use karta hu.. ye Affiliate links ko manage karne ke liye bhi best hai.

Imagify: Blog post me Image add karna bhut jaruri hai, par utna hi jaruri hai Image ko Optimize karna or Image SEO karna.. Image ka Size kam karne ke liye me Imagify plugin ka use karta hu, jisse image compress ho jati hai to site speed me fayda milta hai.

Akismet Anti-Spam: agar aapki website hai or thodi bhi popular hai to Spam comment aana to conform hai, to unse bachne ke liye Akismet Anti-Spam best hai, taki site par sirf ache Comment hi aaye. Jab WordPress install karte hai to starting me ye install hi aati hai.

JetPack: JetPack Plugin Automatic company ne hi banai hai, jinhone WordPress ko banaya hai.. iss ek blogin se bhut se function chalu kar sakte hai website me.

Contact Form 7: HMH.pe par Contact Form banane ke liye iss plugin ka use karta hu, taki jo bhi contact karna chahe wo kar sake.. Mene iss Plugin ki madad se Contact Form, Request Post Form or Guest Post Submit Form banaya hai.

Updraft: WordPress site ka regular Backup lena bhut jada jaruri hai, Jo Backup nahi lete wo samjo apni gardan par talwar latka kar kaam kar rahe hai, Q ki agar site me kuch bhi gadwad hui to sari mehnat par pani phir sakta hai.

HindiMeHelp Hack ho chuki hai, ek war or meri laparwahi ke karan mera uske nuksan bhi hua, q ki backup purana tha mere pass.

3. Software konse use karta hu

Lere Laptops me bhut sare software jinka laga alag kaam hai, unme se ho HMH ke liye use hote hai wo ye rahe:

Chrome Browser: Website chalane ke liye Browser ki jarurat to padti hai hai, or Google Chrome mera sabse pasandida hai.. Ye muje jada q pasand hai uske ye kuch karan hai: sync ho jata hai all device me, Multi user login kar sakte hai, Extension add kar sakte hai apne kaam ko aasan banane ke liye. 50+ Chrome Extension for Blogger

Brave Browser: ye Browser bilkul chrome browser ki tarha hai, par isme hame apni privacy ko bachane ka option milta hai, jo ki Chrome me nahi milta kyu ki ye Google ka Product hai or google hamare data ko uske fayde ke liye use karta hai.

Camtasia: Video Editing ke liye me Camtasia use karta hu.. wese Sony Vegas or Adobe Premiere Pro or Filmora bhi ache hai.

Snagit: Snagit Software bhi techsmith company ka hai jinka Camtasia hai. Iski madad se Screenshot lena bhut aasan hai q ki iska widget screen ke side me rehta hai, or arrow hai wo bhi issi se lagata hu image par.

Photoshop: Photo Editing ke liye sabse Best Software hai, or agar sahi se isko chala aa jaye to koi limit hi nahi hai kya kya kar sakte hai isme.

Filezilla: ye FTP Clint hai, to hosting ke file-manager ko computer par access karne ke liye iska use kiya jata hai.

Audacity: Audio ki quality achi hona bhi bhut jaruri hoti hai, to jitne bhi mere audio hote hai wo me unke andar ka sor saraba khatan karne ke liye iska use karta hu. ye software bilkul free hai.

Team Viewer: Ek Computer se dusre computer ko remotely use karne ke liye iss software ka use hota hai. Ek Computer Ko Dusre Computer Se Remotely Operate kaise kare uski jankari aapko yaha mil jayegi.

Skitch: Photo ke upar read color ke highlight text or arow ke liye iss software ka use karta hu. ye Evernote ka hai jo bilkul free hai.

4. Sites konsi use karta hu

Badiya Website ki Internet par bharmar hai, me 101 Most Useful Website ki list phele share bhi kar chuka hu, par ho HMH ke liye jada use karta hu wo ye rahi..

kraken.io: Website me jitni bhi image upload karta hu, unka size kam karne ke liye iss website ka use karta hu.. har ek image ko upload karne se phele iss website se compress jarur karta hu. Image Compress kaise kare uski detail jankari aapko yaha mil jayegi.

DropBox.com: Ye Online Sharing n Storage website hai, jisko me HMH ka Backup save karne ke liye bhi use karta hu.. me jo Updraft plugin use karta hu backup ke liye usko mene setup kar rakha hai ki automatic DropBox me backup save ho jaye.

*Mene DropBox ka Software bhi computer me install kar rakha hai, jisse website ka backup automatic computer me aa jata hai.

bit.ly: Jitni bhi badi or ugly URL hote hai unko short karne ke liye iis website ka use karta hu.

Pixabay.com: Post ke liye Royalty Free High Quality Image me issi website se leta hu.. iske alawa 11 Free Stock Image website list aap yaha dekh sakte hai.

lumen5.com: Apni Post ko Video me convert karne ke liye me iss site ka use karta hu.  Demo Video aap yaha dekh sakte hai.

gtmetrix.com: Website ki loading speed kesi hai, ya kya optimize karne ki jarurat hai wo iss website se check kar sakte hai.. iske alawa pingdom.com bhi badiya hai.

HTML.HindiMeHelp.com: Jab kuch HTML code edit karna hota hai to yaha karta hu, isme HTML Live edit karna bhut aasan hai, q ki uska live result turant niche dikhta hai.

5. SEO Tools konse use karta hu

Ye kuch SEO Tools jo me use karta hu, wese inke alawa bhi hai.. par jo mere pasand ke hai wo me share kar raha hu.

Ahrefs: Ye ek Paid Tool hai, jisme ham kisi bhi website ko analyse kar sakte hai..

Semrush: Semrush bhi kisi bhi website ke ranking keyword pata karne ka best tool hai.

UberSuggest: Ye Bilkul Free tool hai, or agar aapko Keyword nihalna hai or unka search volume or CPC bhi janna hai to aap iska use kar sakte hai. ye samajh lijiye ye Google Keyword Planner ka hi update version hai.

Keyword.HindiMeHelp.com: Muje jab bhi kisi bhi Keyword se related keyword nikalna hota hai to me iska use karta hu.. Simple ek keyword dalke search karo.. usse related hajaro keyword seconds me aa jate hai. Iss Tool ko kaise use kare uski mene share ki hui hai.

Soovle.com: Ye Free website tool hai, jispar ham kisi bhi keyword ko search karke usse related keywords alag alag patform par dekh sakte hai. jese Google, Bing, Youtube, Amazon etc..

SmallSEO.Tools: Iss website par website or SEO se related bhut sare tools hai, jo website ke kaam ke hai.

DropMyLink.com: Iss website ki madad se search karna bhut aasan ho jata hai ki apni backlink kaha banaye.

6. Browser Extension konse install hai

Mere Chrome Browser me 161 Extension install hai, unme se ye kuch jo HMH ke liye use hote hai. Wese agar aap Blogger hai to Aap Best SEO Extension List jarur dekhe.

Keyword EveryWhere: Ye ek Free extension hai, jo kisi bhi keyword ka kitna search volume hai wo bata deta hai.. ye 100% sahi to nahi rheta, fir bhi ek idea to lag hi jata hai.

Emoji Keyboard: Emoji se hi Emotion aata hai message me, ye to aap jante hi hoge. to aese me ye plugin bhi jaruri hai.. Konsi Emoji ka kya matlab hai wo aap yaha dekh sakte hai.

Grammarly: English type karne me Spelling mistake or sentance me koi galti na ho.. or usko check karke sahi karne ke liye Grammarly ka use karta hu.. Ginger bhi best hai. aap dono try karke dekhe. (Must have Extension for Blogger)

Grammarly kaise use karte hai uski jankari yaha hai,

QuickMark QR Code: Ye Extension Mujhe jab bhut kaam aati hai, jab muje Computer me open koi website mobile me open karni ho.. to me iss extension ki madad se uska QR Code generate karke mobile se scan kar leta hu.. jisse mera bhut time bah jata hai.

LightShot: Kisi bhi website ka screenshot lena ho, uspar erow ya kuch likhna ho.. or wo screenshot online hi share karna ho kisi se to ye extension bhut hi useful hai.

The Great Suspender: Jab bhi me kisi topic par research karta hu to normal 50-60 tabs open ho jati hai browser me, aese me computer ka slow hona normal hai.. par iss extension ki madad se jo tab kuch time tab active nahi rehti wo suspend ho jati hai.. jisse browser par jada load nahi padta.

TubeBuddy: Ye Youtube ke liye best extension hai, jiski madad se kisi bhi Video ke tags dekh sakte hai.. uske aalawa bhi bhut kuch data isme pata chal jata hai.

7. Gadgets konse use karta hu

Gadgets to waise bhut hai, q ki muje sok hai Gadgets collet karne ka, ye kuch gadgets jo HMH me kahi na kahi kaam aate hai.

iPhone 12 Mini: Ye Mera Primary Phone hai, jisko me apne Personal use ke liye use karta hu.

iPhone 6: ye mera old phone hai, jo me sirf office ke liye use karta hu.

Redmi Note 8 Pro: Ye Android Phone hai, jisme lagbhag 200 Apps install hai, isko rakhne ka karan ye hai ki iPhone me wo freedom nahi milta ki kuch bhi kar sako phone ke sath.

Wese mere pass 4 mobile hai, par 2 regular use karta hu.. ;)

MI Power Bank: Ek Blogger hu to sidhi si baat hai, Mobile me to hamesa Net on rehta hi hai, to aese me kahi jane ka moka padta hai to mobile ko charge karne ke liye powerbank hona bahut jaruri hai.

mPow Speaker: Work karte time apne mind ko fresh karne ke liye Songs bahut jaruri hai, to aese me mere pass ye portable speaker hai, jo me daily use me leta hu.

Eye Glasses: Computer par regular kaam karne se Eyes par load to padta hi hai, to ussi se bachne me madad karte hai ye Computer Glasses. Agar aapko bhi lena ho to mene Computer Glasses Guide share ki hai.

Logitech Keyboard Mouse: Mere pass Laptop hai, par Type karne me Laptop par maja nahi aata, to uske liye wireless Keyboard or Mouse hai.. Full Paisa vasool product hai, keyboard ki 2 saal ho gaye abhi tak cell khatam nahi hue.

Laptop: Mere Pass 4 Laptop hain Lenovo, Sony Vaio, Dell or Macbook Air , Wese to mera primary laptop Macbook Air hai.. par me sabhi ek sath use karta hu, agar kuch extra kaam hota hai to. Agar aapko Laptop lena hai to Laptop Buy Guide mene share ki hai, usko jarur read kare.

Blue Yeti Mic: Ye One of the best Mic hai, jiski quality itni fast class hai ki me yaha type karke aapko bata nahi sakta..

Boya BYM1 Mic: Youtubers ke liye sabse best or sasta Mic, jisme har wo quality hai jo ek youtuber ko chahiye, jese lambi cable, noise conciliation.

8. Mobile Apps konse use karta hu

WordPress: HMH.pe jitne bhi comment aate hai unko mobile se manage karne ke liye ye sabse best hai, baki or bhi basic chije isse manage ho jati hai website ki.

SwiftKey: Fast or flow me type karne ke liye muje ye sabse best lagta hai, jisko mene sabhi device se sync kar rakha hai, to accuracy achi aa jati hai type karne me.

Youtube: Ye to wese sabhi Android Phone me Phele se aata hi hai, par isko me Usefull Video or tutorial dekhne ke liye use karta hu.

Youtube Studio: Apni Youtube Channel ko manage karne ke liye ye to Must Have App hai.. or agar aapki bhi Youtube channel hai to Youtuber ke liye Must Have Apps ki list jarur check out kare.

Facebook: Facebook ek Social Network hai, par me isko specially apni Blogging community se jude rehne ke liye use karta hu.. Agar aap HindiMeHelp Fb Group me join nahi hai to abhi join kare.

Messenger: Wese me Messanger ko chat ke liye use nahi karta, par mene kuch Bot subscribe kar rakhe hai, isliye iska use karta hu. Aap HindiMeHelp Bot Subscribe kar sakte hai link se..

Google Keep: Post idea ko likh kar rakhne ka ye sabse Best App hai, q ki Google account se link hota hai to har device par wo list ko access kar sakte hai.. jisse kaam bhut aasan ho jata hai.

Blogger ke liye konse jaruri Apps hai uski Jankari HMH.pe phele se hai wo bhi jarur dekhe..

At Last: 

Mene to aapko sab kuch bata diya, ab aapki war hai.. aap mujhe comment karke bataye aapko ye jankari kesi lagi, or agar kisi useful tool ke ware me aapko pata ho jo sayad me use nahi karta to please wo jarur bataye..

Agar aapko Jankari Pasand aai ho, to aap isko apne Blogger Friends se share kar sakte hai.. muje khusi hogi ki chalo mehnat safal hui jo kisi ke kaam aai..

Happy Blogging…!

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

147 thoughts on “HindiMeHelp ke liye konse Tools or Accessory Use hoti hai [Full List]”

  1. Sir,

    Pls 🙏 Post ko update kar do!

    Aap Abhi Konse Laptop, Computer, Mobile, Accessories, Etc.Use Karte Ho?

    Reply
  2. सर मुझे आपका यह आर्टिक्ल पढ़कर काफी अच्छी जानकारी मिली है मैंने आज तक कभी अपने ब्लॉग का बैकअप नहीं लिया था और न ही यह सोचा की ब्लॉग हैक भी हो सकता है आपका आर्टिक्ल पढ़ने के बाद अब मैं भी रोज अपने ब्लॉग का बैकअप लेकर रखूँगा। साथ ही आपने जिन प्लगइन के बारे में बताया है उनका इस्तेमाल भी मैं करूंगा। हमारे लिए इतनी जरूरी जानकारी शेयर करने के लिए आपका बहुत बहुत आभार सर!

    Reply
  3. Aapka login page url same hai which is /wp-admin.

    Aapne login page ko password protect kar rakha hai with some codes placed in the root folder of your server… Wohi process puch rahatha bas…. It’s ok… Btw thanks..

    Reply
  4. Sir aapka post bahut achha hai. Mujha bahut helpful huya hai. Or aap apka personal jankari Diya eska liya bahut bahut sukriya.

    Reply
  5. ACCHA LAGA BHAI, BLOGGER KA TEMPLATE KAYSE BANAYE IS PR BHI EK POST BRO BAHUT LOGO KO TEMPLATE BANANE ME PROBLEM HOTI , MUZE BHI HOTI HAI TO KOI TRICK YA HACK PLEASE POSE KARO JO LEGAL HO,,, JISSE AASANI SE MAN CHAHA TEMPLATE BLOGGER KE LIYE BANAYA JA SAKE .
    THANKS BRO

    Reply
  6. Sir ek baat btayiye ki kya hum blogger par site se paise nahi kama sakte or kya blogger ki post kabhi bhi renk rank nahi kar sakti?
    Ek baat ki meri site par daily 100 to 150 tak hi visitors aate hai to kya wordpress pe move karne se mujhe koi fayeda ho sakta hai. or kya wordpress par free ki theme use krna thik rahega. Please suggest me.

    Reply
    • SEO ke liye ya rank ke liye wordpress or Blogger me koi fark nahi hai.. Google me dono ke liye same hi hai ki dono blog hai.. wass WordPress me hame thoode jada option mil jate hai jo Blogger me kar pana muskil hota hai.

      Reply
  7. Maine apne blog pr auto ads lagaye hai.. pr ads post ke beech me nhi AA RHA hai .. sidebar aur upar hi sirf AA tha hai… Kya karu please help me sir….

    Reply