How to Boost Site Speed and Improve Google Ranking

How to Boost Site Speed and Improve Google Ranking - Wordpress

Agar aap Apni Website ko 2021 me pehle se behtar karna chahte hai, or chate hai ki site ki ranking Improve ho to aap Sahi Post par aaye hai.

Aaj ham iss post me janege kaise aap apni site ki Speed report dekh sakte hai, or uski madad se kaise apni Website ki Loading Speed ko bada sakte hai.

Advertisements

Ye to aap Jante hi hoge Website Loading Speed ek Google Ranking Singal hai, jiska matlab hai jo website fast hogi wo Google me Top par rank karegi..

Simple sa logic hai, aap Khud ka example lekar sochiye, agar 2 website hai ek bhut fast or ek Slow to aap kis website ko use karna pasand karenge.. simple si baat hai koi bhi Slow website ko pasand nahi karega.

To agar aap apni website ki speed ko improve karna chahte hai or Google me uski ranking badhana chahte hai to aapko dekhna hoga ki website ki speed kis kis baja se Slow ho rahi hai or usko fir thik karna hoga.

Chaliye Detail me dekh lete hai Kaise karna hai….

User ka Experience Acha kare Site Speed Report se

How to Boost Site Speed and Improve Google Ranking - Wordpress

Agar Website Jaldi Load hogi to User ka experience automatic accha hoga, or agar usko website ko use karne me aasani hogi to wo website par visitor jada der bhi rukege or jada page bhi open karege..

matlab simple hai Agar user website ko pasand karega to hamari Ranking Improve hogi or Earning bhi …

Google pehle hi Officially bata chuka hai ki Website Speed ek Ranking Signal hai..

Google kisi bhi Website or Page ko rank karne se pehle 200+ factors ko check karta hai, usme se mein hai User Experience hamari website par jisme aata hai Website Speed, Responsiveness or Website me Image or Text kitni jaldi Load ho jate hai wo.

To agar aap Apni website ki Speed ko measure karle or uske according sab sahi karke Website par user ka Experience accha karle to automatic hi Google me aapki website ki ranking badh jayegi.

Site Speed Report ki Help se kam kya kya Improve kar sakte hai chaliye ab thoda uske ware me bhi jaan lete hai.

Iss Report ki madad se ham ye to dekh hi sakte hai ki kitni fast load hoti hai hamare visitors ke pass uske sath website ki speed score bhi milta hai Mobile or Computer dono ka.. jiske according ham apni website ki speed jada bhi improve karne ki jarurat ho waha kar sakte hai.

Website Speed ke sath hame ye jankari bhi milti hai:

  • Server Response Time: Website Jab bhi open hoti hai to uski request jab server par jati hai to server kitni der wad response karta hai jiske baad website load hoti hai.
  • First Contentful Paint: Website jab load hoti hai to sabse pehla content jo site par dikhai deta hai usme kitna time lagta hai. jese koi Image ya Text.
  • Time to Interactive: Website ko puri trha load hone me kitna time lagta hai, jiske baad website ke pure function use karne layak ho.
  • Total Blocking Time: User site par kuch bhi karta hai to uske bich me kitna time delay hota hai jo bhi wo kar raha hai us

MonsterInsights me sirf hame kaha kya kami hai uski jankari nahi milti, uske sath jo bhi kami hai usko kaise thik kiya ja sakta hai uski information bhi milti hai.

Niche aap image me dekh sakte hai, iss tarha se warning aati hai, agar kahi koi issue hota hai website speed loading me to.. jiske baad ham usko badi aasani se tikh kar sakte hai.

How to Boost Site Speed and Improve Google Ranking - Wordpress

To iss trha ham apni site ki loading speed ko track kar sakte hai or ussi ke sath agar kahi koi issue hai to usko tikh bhi kar sakte hai..

Par isme muje ek feature or badiya laga wo hai Year in Review jisme hamari site ne pichle saal kesa perform kiya usko ham dekh sakte hai.. ke kis mahine sabse jada traffic aaya ya kis mahine site tikh se load nahi hui..

wo kehte hai naa ki ham apni galtiyo se sikh kar hi aage badte hai, to ham yaha bhi apni galtiyo ko dekh kar sikh sakte hai or apni site ko pehle se or jada improve kar sakte hai.

How to Boost Site Speed and Improve Google Ranking - Wordpress

is tarah se ham dekh sakte hai kis mahine jada traffic aaya, ya hamne kis tarha ki post dali thi uss time jo hame accha response mila.. aese ham New Post ke liye Topics bhi pata kar sakte hai.

ummid hai ye jankari aapke liye useful rahegi, or iski madad se aap apni website ki speed ko track karke usko improve kar payege.. agar aapka abhi bhi koi question hai to aap comment karke puch sakte hai.

Share on:

Internet Ki jankari ham Hindi Me Share karte hai.. Hamse Judne ke liye Social Network par hame Follow kare!


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

32 thoughts on “How to Boost Site Speed and Improve Google Ranking”

  1. I loved your article and it’s, simple yet thorough writing style was amazing. I too have a blog and will try to write an article in you writing style.

    Reply
  2. Bahut achhi information di hai aapne. mai bhi is trick ko aajmaunga. Aapne apne sabhi article me ek Chij so maintain ki hai wo hai quality of Conten.isi vajah se aapka blog Popular ho raha hai

    Reply
  3. Sir yah bataiye agar hum educational blog banate matlab kisi subject ke bare me batate hai to us par adsense approvel ke liye kuch alag karna hota hai kya . Kyoki 2 baar reject ho gaya jabki quality post aur unique content tha Fir bhi approved nahi hua.

    Reply
  4. Hello sir, mai apka website roz visit karta hoonkyunki apka blog hinglish main hai. Main odisha se hoon. Kya main appke sath guest blogging kar sakta hoon? mai ekdam SEo friendly article likhke baas mere 2 blogs keliye 2 backlinks content ke andar lena chahta hoon. Please sir mujhe darkodisha@gmail.com par reply dijiye. Email par reply denepar main apko mera original identiy bataunga.

    Reply