Sendinblue ko WPForms me kaise Install kare

Agar aap chahte hai Sendinblue mail list ko WordPress Form me add karna to wo aap WPForm ki madad se kar sakte hai, jiske baad koi bhi Form fill karke jaise hi aapki email ko subscribe karega to aap direct sendinblue me usko manage kar sakenge.

Iss Tutorial me ham wahi dekhege ki kaise WPForms me Sendinblue addon ko add karke install kar sakte hai.

Advertisements

Page Contents

Sendinblue Addon Install Process

Start karne se pehle aap ye conform kare ki aapke WordPress me WPForms plugin install hai or activate hai.. agar nahi hai to kaise WPForms ko install kare wo aap yaha dekh sakte hai.

Agar aapne WordPress me WPForms install kar liya hai or License se verify kar chuke hai to aage ki steps ko follow kar sakte hai.

Sendinblue Account ko WPForms se Connect kare

SendinBlue Addon ko Plugin me install karne ke baad account connect karne ke lie WPForms >> settings par click kare uske baad Integrations tab par jaye.

Ab SendinBlue option par click karke uski settings open kare, jaha aapko Add New Account ka button milega.

Sendinblue ko WPForms me kaise Install kare - Wordpress

Ab account ko connect karne ke liye Sendinblue account ki API key dalna hai, or apna koi nickname de sakte hai.

Agar aapka SendinBlue par account nahi hai to yaha click karke pehle account banaye jisse aapko 2000 free email mil jayenge.

Sendinblue ko WPForms me kaise Install kare - Wordpress

API key ke liye aap SendinBlue account me login karke main menu me SMTP & API par jaye.

Sendinblue ko WPForms me kaise Install kare - Wordpress

yaha jane ke baad API Key dikhai degi wo copy karke WPForms me dalna hai..

API Key or apna NickName Dalne ke baad jese hi aap Connect to Sendinblue button par click karege aapka account connect ho jayega.

Sendinblue ko WPForms me kaise Install kare - Wordpress

SendinBlue Integration kare Forms se

SendinBlue account ko sahi se connect karne ke baad, New Form create karna hai ya jo pehle se Form hai usme bhi add kar sakte hai.

Form Builder ke andar Marketing >> Sendinblue par jaye.. uske baad Add New connection button par click kare.

Sendinblue ko WPForms me kaise Install kare - Wordpress

Button par click karne ke baad connection ka nickname dena hai, kuch bhi aap apni marji se de sakte hai, jisse baad me aap ko samajhne me aasani ho ki ye konse form ka data hai.

Agar aap chahe to ek se jada Sendinblue account bhi use kar sakte hai. simple jab Form banaye to uss account ko select kare.

Jese hi aap Account select kar lege, kuch or extra settings aa jayegi jo aap apne according select kar sakte hai ki aapko user ka kya kya data cahiye.

Sabhi option ko select karne ke baad Configure kare..

Sendinblue ko WPForms me kaise Install kare - Wordpress

Form me jo bhi option hai unka kya matlab hai wo aap niche dekh sakte hai.

Sabhi setting ko set karne ke baad save kar dijiye… uske baad jo bhi user form fill karke subscribe karege unka data or puri list aap Sendinblue me dekh sakte hai.

agar aapko abhi bhi kahin koi doubt hai to aap comment karke puch sakte hai.

Share on:

Internet Ki jankari ham Hindi Me Share karte hai.. Hamse Judne ke liye Social Network par hame Follow kare!


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

47 thoughts on “Sendinblue ko WPForms me kaise Install kare”

  1. प्रणाम सर,

    अच्छा काम! “मुझे वास्तव में आपके ब्लॉगिंग स्किल्स पसंद हैं, इसे जारी रखें”।

    क्या आप जानते हैं? यह लेख समग्र रूप से शानदार और अच्छी तरह से समझा गया था। एक बात जो मैंने नोटिस की, आप हमेशा सूचनात्मक और आवश्यक जानकारी प्रदान करते हैं और मुझे यह लेख बहुत अच्छा लगा और यहां तक ​​कि मैंने इसे अपने दोस्तों के साथ भी साझा किया।

    मुझे ब्लॉगिंग में अभी 2 साल से अधिक का समय हुआ है और मैंने ब्लॉगिंग में बहुत सी चीजें सीखी हैं। आपके द्वारा हमें प्रदान की जाने वाली सूचनाएं हमेशा सर्वोत्तम और लाभकारी होती हैं। इसलिए हम शुरुआती लोग मुफ्त में ब्लॉगिंग के बारे में बहुत कुछ सीखते हैं, शुरुआती आपके आने वाले लेखों को पढ़ने के लिए हमेशा उत्साहित रहते हैं।

    और सच कहूं, तो मैं आपके आने वाले लेखों को पढ़ने के लिए भी उत्साहित हूं क्योंकि जब हम आपके लेख पढ़ते हैं तो हमें बहुत सी उपयोगी और लाभकारी चीजें मिलती हैं।

    ठीक है अपना ख्याल रखें और आपका दिन शुभ हो, फिर से हमें इतनी सहायता प्रदान करने के लिए बहुत-बहुत धन्यवाद।

    Reply
  2. Bhai kuch mahine pehle mene apna admob account banaya Tha application ke liye wo kuch waja se, invalid traffic ki waja se wo AdSense account disable ho gya Tha ab Kya me dusre email or dusre naam se same ussi phone me same usi browser me apne blog ke liye new Google AdSense account bana sakta hun koi masla to nhi hoga Bhai ? Ya phir phir se AdSense disable hojayega ? Please btain

    Reply
  3. Jese hi aap Account select kar lege, kuch or extra settings aa jayegi jo aap apne according select kar sakte hai ki aapko user ka kya kya data cahiye. Very Good Article thanks sir Ji I wish u

    Reply