IIN Idea Kya Hai or Isse kaise Jude

Internet ek bhut badiya jagha hai kuch bhi naya sikhne ke liye. Agar aapko koi bhi jaankari chaiye to aap internet par search karke uski puri jaankari paa sakte ho.

IIN Idea kya hai or isme admission kaise le uski puri jaankari hindi me

India ki ek Company hai Idea Cellular jo India me Mobile service deti hai or ye Aditya Birla Group ki hai. Ye company logo ko Apne ek TV Ads ki madad se logo ko bata rahi hai ki bo kaise Internet kuchbhi sikh sakte hai or kuch bhi kar sakte. Bo IIN ke madiyam se logo ko bata rahe hai ki koi bhi IIN par kuch bhi sikh sakta hai.

Advertisements

Page Contents

What is IIN❓ / IIN kya hai ❓

IIN (Idea Internet Nework), idea ka banaya huaa ek concept hai. or ye December 2014 me launched kiya tha. Isme TV par ads ki madad se logo ko bataya jata hai ki bo kaise apni chuti padai, ya fir apne sapno ko kaise IIN se join karke pura kar sakte ho.

IIN Meaning / IIN ka Matlab kya hai

iin ka kya matlab hai internet

IIN ka matlab sirf Internet hai. IIN ka pura matlab hai Idea Internet Network. Bo apni company ka advertisement TV par kar rahe hai isliye unhone apni compay ke naam internet ke sath jod kar IIN kar diya. ek ads me dikhay gaya ki ek ladke ka IIT me admission nahi huaa to bo IIN par sikh kar ek dron banata hai.

How Can I Join IIN idea/ IIN me kaise jude

IIN (Idea Internet Network) sirf ek natak hai jo Idea Cellular ne banaya hai apne business ke liye. jisme bo dikhate hai kaise log Hotel Management, Dance, Videsi bhasa, or apni chuti padai ko pura kar sakte hai. par iska simple matlab hai aap Internet se kuch bhi sikh sakte ho.

IIN Idea Cellular TV Ads

Idea Cellular ke ye kuch ads jo TV par dikaye jate hai IIN ke upar

  1. Hotel Managment sikha Internet se
  2. Bike ko badal kar New Banana sikha Internet ki madad se
  3. Chuti huii padai ko pura kiya Internet se
  4. Dron Banaye IIN ki madad se
  5. IIT me admission nahi mile to Internet se sikha
  6. Internet se bidesi bhasa sikho

In sabhi ads me dikhaya gaya hai ki log kaise IIN yani Intenet ki madad se apne sapno ko kaise pure kar sakte hai. Par ek baat me aapko bata du ye sirf ek concept hai.

Bhut logo ka sabaal hota hai ki kya IIN se degree milti hai – to us ka answer hai nahi. Aap internet se kuch bhi sikh sakte ho par uski aapko koi degree nahi milegi.

IIN ka fullform hai Idea Internet Network matlab Idea apne inernet ka advertise kar rahi hai ki aap apne mobile par Idea ki SIM me net dalba kar kuch bhi sikh sakte ho. par ye jaruri nahi ki aapke pass Idea ki sim ho aap koi bhi sim par net chala sakte ho.

Agar Aap Internet ke baare me Sikhna Chate ho to aap HMH.pe sikh sakte ho. HMH ka matlab hai Hindi Me Help, Aap HMH par Internet se related sari jaankari Hindi me pa sakte ho.

HMH par aap sikh sakte ho

To jab bhi koi jaankari chaiye ho to Google me Search kare Hindi Me Help :)

Janiye Kaise Ghar Baithe Paise Kama Sakte hai Internet par

IIN Idea Jokes

Ab aap ye to samaj gaye hoge ki IIN kya hai or ham isme kya kar sakte hai. Bhut log IIN ke upar Jokes bhi bana rahe hai. Aap Google me search karke dekh sakte ho.

ye ek video me aap logo se share kar raha hu jo youtube par kisi ne dala hai. Is Video me ek vakti IIN se sikh kar Boom banata hai par network jane ke karan bo ye nahi sikh pata ki boom me timer kaise lagate hai or boom blast ho jata hai.

Dosto ummid hai aapko ye jaankari pasan aai hogi. Bhut se log apne dosto se puchte hai ki muje IIN me admission lena hai, IIN kaha hai, kitni fees hai or bhi bhut kuch to agar aapka koi dost ya koi bhi aapse aesa sabaal phucha hai to usko Post jarur bataye.

Aapko ye jaankari kaise lagi ye bataye or agar aap apna koi incedent mujse share karna chaho to comment karke bata sakte ho.

Android Mobile se Paise Kaise Kamate hai, Jaanne ke liye Click Kare

Internet se Related Koi Bhi Jaankari Ke Liye Google Me Search Kare Hindi Me Help Ya fir apne browse me dale www.HMH.pe

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

610 thoughts on “IIN Idea Kya Hai or Isse kaise Jude”

  1. Sir me language sikh raha hu to me kese sikh skta hu language pls rply me
    me franch language me knowledge lena chahta hu kese lu iin se

    Reply
  2. bhaiya please help me
    meri website p google ads show nhi hoo rhi h. kya google adsense n ban kr diya h agar kr diya to kise pata chlegaa or unban krne k liye kya krna hogaa
    please reply me

    Reply
  3. Sir kya hm fan se electricity produce kr skte h jaise india m sb k ghr fan hota h aur jb electricity aati h to fan to chaltaa hi h to hm aisaa ni kr skte fan m aisaa motor lgaa de ki jitnaa der fan chale electricity rhne pr utnaa der electricity produce ho aur jb electricity chala jye to h uss electricity kaa use kr ske… To iss se hmesaa electricity hmre ghr rh ske gi ……

    .

    Reply
  4. Hello Rohit Sir,
    Aapki Blog bahut impressive hai aur iska rank bhi bahut better hai. Main bahut dino se hinglish me tech blog search kar raha hun aur padh raha hun. Aur blogging suru karne ki bhi sochi hai. Bus main theme ko lekar thoda pareshaan hun. Mujhe aapke blog jaisa hi theme chahiye , jo impressive aur google adsense me easily approved bhi ho jaaye.
    Ummid karta hun aap mere comment ko blog me saamil karenge aur meri help karenge.
    Thankyou

    Reply
  5. sir mujhe hangkar ban na h kisi ka bhi website hang karna ho kr saku
    sir agar ap muje sikha de to me jitna bhi atm hang karunga usme se appko 25% dunga
    plzzzzzzzzzzzz sir

    Reply
  6. sir aap jo iin se judne ki jo baat kar rahe hai ye baat shayed kisiko samaj nhi aar hi isliye mujhe aap ka whats up number chahiye plz plz maine bahut taraye kiya nhi ho paye

    Reply
  7. Sir…mujhe internet ki JARIYE famous hona h mujhe modeling me interest h or mujhme saari quality h jo ek model me hoti h me chahta hu mera official page ho….aur log mujhe pasand kre…..mein bohot jada famous hona chahta hu sir…aisa kuch idea hai jisse me famous ho jau aur mujhe modeling ke offers bhi milnne lage…. thank you

    Reply