Agar aapne koi blog banaya hai to uske main do karan ho sakte hai, Aapne apne sock ke liye banaya hai ya fir Paise kamane ke liye banaya hai ya fir ho sakta hai dono karan ho. Me phele bata chuka hu kaise bidvertiser ke ads laga kar ham income kar sakte hai apne blog me. Blog me ham Infolinks se bhi paise kama sakte hai.
Infolinks pehla ad network hai jo text ads ke concapt par kaam karta hai. isme koi banner ads lagane ki jarurat nahi iske ads hamari post me jo sabd hai unhi ko link me badal deti hai. Isse Hamare Visitor ko bhi koi dikkat nahi hoti or hamari income bhi achi hoti hai agar koi link par click karta hai to. Infolink ke baare me aapko batane se pehle mene usko tri kiya or mujhe inka concept badiya laga.
Page Contents
Infolinks Kya hai ?
Infolinks ek ad network hai jo 2007 me suru huaa tha. jo text advertising karte the par baad me inhone or bhi bhut si cheez apne ads network me add ki jisse income ko or bhi badaya ja sake, jese intag, infold or inframe. Me aapko sabke baare me batao ga. Infolinks design aese kiya gaya tha ki site par koi extra jagha bhi naa use ho or visitor ko koi dikkat bhi naa ho site ko chalane me.
To ab aapke Dimag me kyi sabal aa rahe hoge, Chaliye uske jawab ka pata karte hai.
Infolinks Kaam kaise karti hai
Infolinks jitna bhi text hota hai usme hi apne ads ki link ko daalti hai, Chalo dekhte hai kaise kaam karti hai
- Sabse pehle koi Advertiser infolinks ke pass jata hai or usko paise deta hai apne sabdo ka ads karne ke liye
- Fir Publisher(Yani ham) Infolink ke account se code le kar apne blog par lagata hai, uske baad InfoLinks hamare pure blog ko scan karti hai or unke pass jitne bhi ads ke shabd hote hai jo hamare blog par hai unko link me badal deti hai
- Jab koi Visitor hamare blog par aata hai or us link par click karta hai to hamari income hoti hai.
Infolinks jo ads dikhati hai bo usi prakar hote hai jesa visitor chahta hai. matlab bo hamari site par aane ke pehle jis bhi site par gaya tha ussi se related ads aate hai. ya fir jesa wo search karke hamari site par aata hai us sabd se sambandhit. jisse click karne ke chances bad jate hai.
Kitne Type ke Ads hai Infolinks ke
Infolinks ke 5 tarah ke ads hai – Intext, Infold, Intag, Inframe or Inscreen. Niche Detail me diya hai sabka.
1: Infolinks Intext Ads
Is Type ke Ads Apni Blog ki Post ke Text ko Ads link me Badal dete hai.. Tik se samajne ke liye maan lijiye aap kisi Sports ki site par kuch pad rahe hai, to jitne bhi aese sabd hoge jinpar koi ads hai wo link me badal jayege, or jab aap un link par click karoge to ek chota Popup khulega us shabd se sambandhit.. jesa aapko image me dikh raha hoga.. basketball ka ads aa raha hai.
2: Infolinks Infold Ads
Ads ke badiya paise kamane ka ye bhi badiya place hai site par. Infold Ads sirf jab aate hai jab aapki site par koi visitor Search engine se aaya ho or wo jo sabd search karne me use karta hai usse related hi ads aate hai, isliye click karne ka chance bad jate hai ads par.. Ye jo ads hai Site ko kholne ke kuch second baad niche se aata hai computer screen me, jese aap Image me dekh sakte ho.
3: Infolinks Intag Ads
Intag ads me aapki site ko scan karke usse sambandhit ads ki like ki list aa jati hai, Agar koi visitor inpar bhi mouse le jata hai to uska ads popup hota hai.. ham isko apne hiosab se set bhi kar sakte hai, ki ek link dikhani hai ya do link ads ki.
4: Infolink Inframe Ads
Ye jo ads hai wo hamari site ki faltu ka jo space hai bha aate hai, Site ke dono side. Is ads me bhi site se sambandhit ads hi aate hai to click karne ke chance bad jate hai. Image me aap dekh sakte ho.
5: Infolinks InScreen Ads
is type ke ads me link me hi ads aate hai, isko chalu karne par link ke ads popup karke bhi khulte hai jisse click karne ke chance or jada bad jate hai intext ke mukable.
To ab aap ye jaan chuke ko Infolinks kya hai or ye kaise kaam karta hai or kitne prakar ke ads hai isme.
Infolinks Payment dene ka tarike
Infolink Payment option me hame ye option milte hai.
- Paypal – $50 (Paypal Account banaye)
- eCheck – $50
- ACH (Only for U.S. Bank Accounts)- $50
- Payoneer – $50
- Bank Wire Transfer – $100
- Western Union – $100
Infolinks Payment Proof
bese muje isko batane ki koi jarurat nahi hai par fir bhi me bata deta hu, taki aapko yakin ho jaye ki mene isko use kiya hai or isse meri income bhi hui hai.
me janta hu, bhut log soch rahe hoge ye to bhut kam hai, iske karan hai mere blog par bhut kam traffic tha.
Infolinks ke Fayde or Nuksan
Jese aap jante hoge agar kisi chij ka koi faida hota hai to nuksan bhi hota hai. jese ek sikke ke do pehlu hote hai usi prakar. to chaliye ye bhi jaan lete hai kya fayde hai or kya nuksan Infolinks ke.
Infolinks ke Faide
- Account Banana bahut aasan, Facebook or Google se bhi login kar sakte hai.
- Site ka jo navigation hai bhut aasan hai, aasani se use kar sakte hai.
- Site Approve hone me 2-3 hin hi lagte hai.
- Site par agar 10-15 badiya post hai to aasani se approve ho jata hai, isse koi fark nahi padta aapne site par kis prakar ki chije dali hai. (Adsense ki sarte bhi pade )
- Subdomain bhi use kar sakte hai, jese xyz.blogspot.com or xyz.wordpress.com
- Pura control hamare haath me hota hai kis prakar ke ads dikhana hai apni site par.
- Ham ads ka color or uska size bhi badal sakte hai, jisse hamari site par wo achi se dikhe.
- Sirf ek baar code add karna padta hai.. bar bar code ko add karne ki koi janjat nahi.
- Infolinks jo visitor search karke hamari site par aata hai wo ho ads dikhati hai.
- 128 county se jada advertiser hai unko, matlab ads ke option bhi jata hai.
- iska eCPM abhi badiya hai.
- Inke Payment karne ke liye bhi bhut option hai, ham hamari subhida ke hisab se apne paise le sakte hai.
- $50 le sakte hai minimum adsense se compare kare to badiya hai.. adsense ki minimum 100$ hona chaiye.
- Agar koi dikkat aati hai to iski support team help karti hai.
Infolinks ke Nuksan
- bhut se Intext ads aa jate hai, jo hamare kuch visitor ko sayad pasand naa aaye.
- Infold or Inframe ads disturb kar sakte hai visitor ko.
- Earning kam ho sakti hai kuch country me, India bhi unme se ek hai, par aesa sirf iske sath nahi hai.. kisi bhi ads network me earning kam hi hoti hai India me.
- jo hamari daily ki earning hoti hai usme ham sirf ye dekh sakte hai kitni earning huii.. kitne click huee ye nahi dekh sakte.
Ab aap InfoLinks ke bare me sab kuch jaan chuke ho –
- Infolinks kya hai
- ye kaise kaam karta hai
- kitni trha ke ads hai
- kaise payment karta hai
- kya faide or kya nuksan hai infolinks ke
Agar ab aapne diside kar liya hai to aapko account banana hai Infolink par to Button par click karke account banaye.
Agar aapko Account banane me koi pareshani ho rahi hai to thoda wait kare.. Agli post me hum dekhenge kaise Infolinks par account banaye or usko kaise apne Blog me Add kare puri detail ke sath..
Aapko ye Detail me jaankari kaise lagi Comment karke jarur bataye ..
Great post about infolinks..
Thank You Sir
thank you
नमस्ते,
आपका लेख बहुत जानकारीपूर्ण है और इससे मुझे अधिक जानकारी प्राप्त करने में मदद मिली। साथ ही, आपकी वेबसाइट से अधिक गुणवत्तापूर्ण लेख की आशा है।
शुक्रिया
Knowledgeable content
Sir me ek hi adsense se meri 2 websites chala sakta hu ?
Mera ek site me google adsense he uss par jyada view aate he lekin adsense ke view kam dikhate he aisa kyu?
Aapki site ki loading speed kam hogi. Uske Karan ads pure load nahi ho pate hoge.
Ya fir aapne ji ads lagaye hai wo bottom me lagaye hoge or user niche tak scroll nahi karte hoge Jisse wo ad unko nahi dikhta hoga.
Thanks Sir
Bhai info link ke liye apna blog kitna purana hona chahiye
Aesi koi requirements nahi hai. Par fir bhi agar visiter nahi aayege to earning kam hi hogi. Ache visiter hone cahiye
Muzhe yeh information bahut jyada pasad hai thank you Sir!
मुझे google adsence नहीं मील रहा सर infolink आज ही अपरुव हुआ है इस लिए यह पोस्ट पढ़ने आया था – धन्यवाद
Bahut Achha Jankari
👌👌👌👌👌👌👌👌
Great post sir.
Mera yeh kahna hai ki infolinks par india ke traffic se daily kitne income kar sakte hai.
Bhai mene bhut pehle use kiya tha.. Abhi uska idea nahi hai. Aap khud se try kare dekhe.
Wese wo hindi support nahi karta hai.
Sir Aapne Baatya hain ki infolinks Hindi blog ko support karata hain lekin infolinks ke site pr laguage supoort me yah likha hain (Infolinks supports websites in English and Spanish. We are working on making Infolinks available for websites in more languages in the future.) Sir Plz conform ?
nice post bhai
Rohit Bhai.. Ye Bataaye Ki Jaise AdSense Fake Activity Me Disapprov Ho Jata Hai Ya Koi Usme Fake Click Kare Bar- Bar…
To Agar Aisi Situation Infolinks Ke Sath Ho To Kya Ye Bhi Disapproved Ho Sakta Hai?
haa bilkul bhai.. wo bhi ho jayega.
Infolinks has the worst adverting program
i have ever seen in terms of user interface.
by the way very nice info.
Hi Rohit,
agar mere pass infolink account hai aur add dikh rahe hai mere website par.isase adsense ke approval milane me koi problem hogi kya?
me aapko suggest karuga aap use naa kare jab tak approval naa mile.. q ki usse site ko manage use karne me thodi problem aati hai..
Nice post
infolink kitne ads click par infolink kitna rupay deta hai… aur kitne visitor ka kitna rupay deti hai..waiting for your Reply
ye koi fix nahi hota..
Sir yah Google Adsense ki tarah Trusted hai ya Nahi
ye trested hi hai .. bhut lambe time se chal raha hai.. or inki support team bhi achi hai..
Agar hum PayPal ya wire transfer se paise lete hai to koi extra charges to nahi lagta
Bahut badiya post hai..
Kya Infolink aur Adsense dono use kar sakte hai ek saath rohit
haa bilkul kar sakte hai
sir meri site hindi mein hai kya infolink support krega ?? or uspe adsense bhi lage hai kindly tell