Meta Tags ko Blogger me kaise add kare SEO ke liye

Blog ko banane ke baad ham uspe apne kuch post daalte hai or Hamari ye iksha hoti hai ki ham jo bhi apne blog par daale bo search me aaye. Agar hamre blog par visitor nahi aate to hame bhut nirasha hoti hai. Par me aapko ek baat bata du sirf ache contant ko daalne se hi kuch nahi hota hai uske aalawa bhi bhut kuch karna padta hai, jaise Apne Blog ki post ko Promote karna padta hai Facebook, Twitter, Google+..

Blogger ke Template par jaa kar Edit HTML par click kare

Hamare Blog ko Search Me laane ka Meta Tags bhut hi jaruri hai, Q ki issi ki madad se ham Search Engines ko batate hai ki hamare blog pay kya hai taki jab koi search kare to hamara blog bhi search me aaye. Meta Tags ki madad se ham Google ko in chijo ke baare me batate hai – Blog kis baare me hai, Blog me hai kya, Blog ke Author ka naam, Country, Bhasa or ham usko batate hai ki bo hamare kin kin chijo ko search me laaye.

Advertisements

Meta Tags ko Blog ke Template me Add karna hota hai. Per bo kisi blog ke visitor ko nahi dikhta hai. Par Meta Tag se Search Engines ko bhut aasani hoti hai hamare blog ko samajne me.

Meta Tag ko apne blog me jodna bhut hi saral hai bas aapko karna ye hai ki ek code hai, sirf bo aapko apne blog ke Template me add karna hai. Code me kya hota hai or usko kaise banate hai chaliye jaante hai.

Page Contents

Meta Tags Code me Kya hota Hai

Ham Meta Tags me In baato ke baare me batate hai

  • Blog kis baare me hai
  • Blog ke topics kya hai
  • Blog kon likhta hai
  • Blog ki Bhasa kya hai
  • Kis country ka Blog hai
  • Kin-kin chijo ko Search me lana hai

Meta Tags kaise banaye

ye kuch baate hai bo aapko niche diye Meta Tags Generator me bharni hai

Description : Isme aapko apne Blog ke baare me batana hai 160 sabdo me. Blog ke baare me aesa likhe ki koi bhi usko padkar samaj sake ki is blog me kya hai. Agar aapke blog ko koi Share bhi karta hai Facebook, Twitter, Google+ par to ye hi description dikhta hai. Ye Bhut Jaruri hai.

Keywords : KeyWords se to aap samaj hi gaye hoge iska kya matlab hai, or aapko keyword me bo sabd jodna hai jo aapke blog me main topic hai. Jaise mere is blog ke sabd kuch is trha hai – Blogger, Make Money, Social Network, Internet etc…  Aap 10-15 sabd jod sakte hai or unke bich me “,” (coma) jarur lagaye.

Author : Author me aapko apna naam likhna hai jisse google ko pata chal jayega ki is blog ko kon likhta hai. ye jaruri nahi agar aap nahi chate to isko rhene de.

Language : isme aapko apne blog ki bhasa batani hai konsi hai. Jese – Hindi, English, Gujrati koi bhi ho aapko bo likhna hai. aap chahe to rhene de ye itna jaruri nahi par isko batane se Google ko aasani se pata chal jata hai ki hamara blog kis bhasa me hai.

Country : Isme aapko apne Desh ka Naam likhna hai. jese – India, Pakistan, USA

Robots : Is option me ham Google ko batate hai ki bo hamari kin kin chijo ko Google ke search me laaye. Me aapko kahuga aap isko All hi rhane de.

To ab aap ye to samaj hi gaye hoge ki Meta Tag se kya hota hai or Isme kya hota hai. Ab apne blog ke liye Meta Tag Code banane ke liye apni sahi sahi jaankari is Tool me bhare fir Generate ki Button ko dabaye.

Meta Tag Generator Tool

Ab aap jo code banaya hai usko Copy kar lijiye. Code par Mouse lejakar Ctrl+C ki Button dabakar aap copy kar sakte hai.

Meta Tags ko Blogger me Kaise Jodte hai.

Jitna banana aasaan hai utna hi Meta Tag ko Blogger ke Template me jodna. Code ko Blog me add karne ke liye in Steps ko follow karo.

Step 1:

Blogger.com par jao or apne blog me login karo.

Step 2:

Ab aapko Template ke section me jaana hai. Edit HTML ki button par click karo

Blogger ke Template par jaa kar Edit HTML par click kare

Step 3:

Ab aapko <head> code ko search karna hai, uske liye apne keyboard me Ctrl+F ki button dabao. ab ek search baar khul jayega. usme <head> type karo. aapke blog ke template me jaha ye code hoga bo aa jayega. Bese bhi ye code Template ki 4-5 line me hota hai jada tar.

Ctrl+F daba kar ke code ko Blogger me search karo

Step 4:

Ab hame karna ye hai ki jo Meta Tag code hamne banaya hai usko <head> code ke niche daalna hai. Ctrl+V se aap paste kar sakte ho.

<head> code ke niche meta tag code ko paste kare fir Save Template ki button par click kare

Step 5:

Ab Save template ki button daba kar template ko save kar de.

Meta Tag ke faide or Nuksaan

Meta Tag ko apne blog ke template me add karne ka ye faida hai ki ham Google ko Batate hai ki hamare blog me kya hai.

Meta Tag ka koi nuksaan nahi hai. Meri Najriye se to meta tag bhut jaruri hai hamare blog ke liye.

To ab aapne apne blog ke baare me google ko bata diya hai Meta Tags ki madad se. Agar aapko koi bhi sabaal ho Meta Tags se sambandit to aap comment jarur kare.

Is Tool ko banane me muje 2 din lage hai to aap ye batana naa bhule ki ye aapko kaisa laga. :)

Aapko Ye post bhi padni chaiye

Internet se related koi bhi sabaal ho Aap comment karke puch sakte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

310 thoughts on “Meta Tags ko Blogger me kaise add kare SEO ke liye”

  1. Error parsing XML, line 8, column 33: Element type “META” must be followed by either attribute specifications, “>” or “/>”.
    rohit bhai mere meta Tags karne par mujhe yah Error show kar rahi hai sika kya matlab hai mai samjha nnhhi hun

    Reply
  2. sir do din ho gaye hai mera blog sarch nahi horaha hai please halp.sir blog me meta tag add karne ke baad kya karna hai kyoki blog serch me nahi dikha raha hai

    Reply
    • Photo ke liye direct option aata hai post editor me or video youtube par upload karke usko bhi insert kar sakte hai post me.

      Blogger me hame koi hosting nahi milti is liye ham usme koi mp3 ya fir or koi file upload nahi kar sakte.

      Reply
  3. Sir maine webmaster main site add bhi kar li aur sitemap submit bhi kar diya per ek jagh 1error likha aa rha hai main blog ko search main nahi la pa rha hu please help me sir

    Reply
  4. Sir mera blog search main nahi aa rha hai maine webmaster main link aad kardi aur verification bhi kar di sitemap bhi submit kar di lekin sitemap main ek jagah error bata raha hai sir please help me

    Reply
  5. Bhai, me ek website banana chahta hu jisme
    me mp3, mp4, 3gp, photo etc. Dawnload hone wale app vagera rakhna chahta hu, to mujhe kya karna hoga?
    Mp3 mp4 etc ko kaha se upload karna padega or kaise?
    Ans me in detail plz

    Reply
  6. Thank u sir ab meri site google pr search ho rhi…sir u r genius sir meri ek help or kr dijiye sir plz…Maine abhi apne blog pr domain set nhi kiya h lkin wo search m aa rhi h…lkin m aapse te puchna chahta hu ki mera google adsense approve kyu nhi ho rha h sir..mein 3times usko submitt kr chuka sir…or mujhe ye bhi btaiye sir ki mujhe usme domain jodne se kya benifits h sir..or agar m usko kuch time k baad..kuch alag usme krna chahta hu…mtlb ki m hosting lena chahu to kya wo mere isi domain m set ho skti h sir..or kya m isko ek badi website bna skta hu sir..jisme mein sb kuch post kr sku..ya upload kru sku..i mean..mp3 ,vedios, Wallpaper, Jokes,Sms,Shayri,apne kuch toughts jo m sb se share krna chahu..plzz sir jrur btaiyega sir…mein bhut bdi problems m hu is time plz meri help kijiye…sir

    Reply
    • Domain set karne se sirf ye Faida hai ki aapke blog ke url me se blogspot hay Jata hai. Jese
      Phele – http://www.hindimehelp.blogspot.com
      Baad me – http://www.hindimehelp.com

      Isse site Profesional lagti hai. Baad me bhi set kar sakte ho.

      Hosting lena ho to uske liye aapko apna blog work par transfer karna padega. Blogger me hosting ki koi jarurat nahi hai. Or aap is par koi file upload nahi kar sakte. Hosting le kar file usme upload kar sakte ho.

      Or kya problem hai aapko

      Reply
  7. Sir mera blog bhi search m nhi aa rha h or maine webmaster pr bhi try kiya lkin..
    Wha pr blog ko kaise submit krenge plz aap mujhe ye btaiye…sir main domain bhi le chuka hu sir lkin wo bhi add nhi ho rha h sir plz help me sir..mujhe btaiye ki m kya kru..

    Reply
  8. Rohit bhai

    Mujhe blog banakar paisa kaman hai. Mene already blog banaliya hai lekin vo google par search nhi horaha and plzzz ap meri help karo aur ye batao ki blog me ads kese dale… aur kya mai jan sakta hun aapne kis cheez ki padai ki hai jo itna sab kuch jante ho aur itne talented ho

    Reply
    • Akram sirf aap ke sath hi ye problem hai hai. bhut logo ke blog search engine me nahi aate. aap Google webmaster me apne blog ko submit karo.
      Ads ke liye mene bidvertiser ki site ka review post kiya hai aap usko pade.

      Aap meri padai jaanege to aap jarur heraan hoge. Mene Mechanical Engineering ki hai jiska Internet se kuch bhi samad nahi hai. Mene is sab ke bare me net se hi sikha hai. muje mere interest ke bare me thoda late pata chala jiska natija mene bina soche Mechanical branch le li.
      Matlab simple sabdo me kahu to mere pass koi qualification nahi hai jo aap logo ko sikha raha hu:)

      Reply
    • Aap agar ussi email se se webmaster se account banaoge to sirf aapko blog ki link hi add karni padegi uske baad bo automatic verify ho jayega. Agar dusre email hai to uska code blog me add karna padega

      Reply
  9. Rohit bhai ye jo meta tag generator me description , keyword etc. Bharna hai ye kaha bharna hai ye list khul nahi rahi

    Reply
    • nafees aap simple usko copy kar sakte ho par isse koi Faida nahi hai.

      Agar aap kisi ki post ko copy karke apne blog par daalte ho to aapki site black listed ko sakti hai. Google me aapka blog nahi aayega. AdSense se aap paise nahi kama sakte agar ek bhi post copy ki hui hai to. Or sabse main baat agar aap kahi se copy karke daloge to jo visitors aapke blog par aayege uska bhi bharosa aapke Upar se uth jayega

      Reply
  10. Description
    Keywords
    Author (Optional)
    Language (Optional)
    Country (Optional)
    Robots (Optional)

    jnb ye sab kuch kesy aye ga means kay ye kaha sy copy kru

    Reply
    • Aare kholega nahi, or mene iske baare me post me bhi bataya hai sayad aapne tik se pada nahi. Meta tags code sirf google ko dikhta hai or Google meta tag se samaj Jata hai ki is site me kya hai. Ye kisi visitor ko nahi dikhta.

      Reply
    • Aap kya chate ho kuch samaj nahi paya raha hu..

      Aap meta tags code ko generate karo fir apne blog par add karo jese mene bataya hai. Iske aalawa koi link nahi hai.

      Agar aap ye chate ho to meta tag generator aap apne blog par laga na chate ho to iski koi jarurat nahi hai.

      Reply
  11. Rohit sir krapya ye bataye ki Hindi blog ke lete meta tag ki keyward description kis lenguage me likhna hai

    Reply
      • Thanks sir but mera blog Hindi devnagri me hai or log generally English keyward use kart hai serch karne me to kya me post me bhi English keyword use karu jese aap karte ho …

        Reply
        • Has, q ki ham un keywords ki madad se ham google ko batate hai ki agar koi in keywords ko search kare to Hamare blog par hai.

          Aap English me Hindi wale sabd use karo ho aapke blog ke main topic hai. Jo sabse main hai or agar koi usko Devnagri me search karta ho to aap usko bhi use karo.

          Reply
  12. gogle wapmaster me to apna blog add kar diya *fir usme account bana kar blog ko usme add karo* iska matlab kya he jo apne mere jawab me likha he me blog ko kisme add karu

    Reply
  13. Sir mene meta tags b use kar liya par abi tak full site ka name b daldo par phir b mera blog search me nhi aa rha
    Plz iske liye kuch kijiye sir

    Reply
  14. Sir app mughe blog par category, or level kese banaye isko bataye. Kyo ki jo b jis post ko padna chahta h aaram se us category ya us section me pahuch sake..
    Plz sir..

    Reply
  15. sir me google adsense par account banaan chahta kya ham use paise kama skte he agar ham kama skte he to hame kya karna padega kese account bnanau or adsense par account banane par koi charge to nhi lagega

    Reply
  16. bhaut bahut dhnyawad rohit ji is post ke liye . post dekhke hi lagta hai ki apne isme bahut mehnat ki hai. ashi jankari shayd hi kahi or mil sakti hai…..thanks…

    Reply
  17. very very thanks rohit ji aapke post ke liye mera blog google me dikha nahi raha tha i wish ki ab meta tag ke use se jald hi dikh jayega..
    thANK U VERY MUCH

    Reply