Blog ko banane ke baad ham uspe apne kuch post daalte hai or Hamari ye iksha hoti hai ki ham jo bhi apne blog par daale bo search me aaye. Agar hamre blog par visitor nahi aate to hame bhut nirasha hoti hai. Par me aapko ek baat bata du sirf ache contant ko daalne se hi kuch nahi hota hai uske aalawa bhi bhut kuch karna padta hai, jaise Apne Blog ki post ko Promote karna padta hai Facebook, Twitter, Google+..
Hamare Blog ko Search Me laane ka Meta Tags bhut hi jaruri hai, Q ki issi ki madad se ham Search Engines ko batate hai ki hamare blog pay kya hai taki jab koi search kare to hamara blog bhi search me aaye. Meta Tags ki madad se ham Google ko in chijo ke baare me batate hai – Blog kis baare me hai, Blog me hai kya, Blog ke Author ka naam, Country, Bhasa or ham usko batate hai ki bo hamare kin kin chijo ko search me laaye.
Meta Tags ko Blog ke Template me Add karna hota hai. Per bo kisi blog ke visitor ko nahi dikhta hai. Par Meta Tag se Search Engines ko bhut aasani hoti hai hamare blog ko samajne me.
Meta Tag ko apne blog me jodna bhut hi saral hai bas aapko karna ye hai ki ek code hai, sirf bo aapko apne blog ke Template me add karna hai. Code me kya hota hai or usko kaise banate hai chaliye jaante hai.
Page Contents
Meta Tags Code me Kya hota Hai
Ham Meta Tags me In baato ke baare me batate hai
- Blog kis baare me hai
- Blog ke topics kya hai
- Blog kon likhta hai
- Blog ki Bhasa kya hai
- Kis country ka Blog hai
- Kin-kin chijo ko Search me lana hai
Meta Tags kaise banaye
ye kuch baate hai bo aapko niche diye Meta Tags Generator me bharni hai
Description : Isme aapko apne Blog ke baare me batana hai 160 sabdo me. Blog ke baare me aesa likhe ki koi bhi usko padkar samaj sake ki is blog me kya hai. Agar aapke blog ko koi Share bhi karta hai Facebook, Twitter, Google+ par to ye hi description dikhta hai. Ye Bhut Jaruri hai.
Keywords : KeyWords se to aap samaj hi gaye hoge iska kya matlab hai, or aapko keyword me bo sabd jodna hai jo aapke blog me main topic hai. Jaise mere is blog ke sabd kuch is trha hai – Blogger, Make Money, Social Network, Internet etc… Aap 10-15 sabd jod sakte hai or unke bich me “,” (coma) jarur lagaye.
Author : Author me aapko apna naam likhna hai jisse google ko pata chal jayega ki is blog ko kon likhta hai. ye jaruri nahi agar aap nahi chate to isko rhene de.
Language : isme aapko apne blog ki bhasa batani hai konsi hai. Jese – Hindi, English, Gujrati koi bhi ho aapko bo likhna hai. aap chahe to rhene de ye itna jaruri nahi par isko batane se Google ko aasani se pata chal jata hai ki hamara blog kis bhasa me hai.
Country : Isme aapko apne Desh ka Naam likhna hai. jese – India, Pakistan, USA
Robots : Is option me ham Google ko batate hai ki bo hamari kin kin chijo ko Google ke search me laaye. Me aapko kahuga aap isko All hi rhane de.
To ab aap ye to samaj hi gaye hoge ki Meta Tag se kya hota hai or Isme kya hota hai. Ab apne blog ke liye Meta Tag Code banane ke liye apni sahi sahi jaankari is Tool me bhare fir Generate ki Button ko dabaye.
Ab aap jo code banaya hai usko Copy kar lijiye. Code par Mouse lejakar Ctrl+C ki Button dabakar aap copy kar sakte hai.
Meta Tags ko Blogger me Kaise Jodte hai.
Jitna banana aasaan hai utna hi Meta Tag ko Blogger ke Template me jodna. Code ko Blog me add karne ke liye in Steps ko follow karo.
Step 1:
Blogger.com par jao or apne blog me login karo.
Step 2:
Ab aapko Template ke section me jaana hai. Edit HTML ki button par click karo
Step 3:
Ab aapko <head> code ko search karna hai, uske liye apne keyboard me Ctrl+F ki button dabao. ab ek search baar khul jayega. usme <head> type karo. aapke blog ke template me jaha ye code hoga bo aa jayega. Bese bhi ye code Template ki 4-5 line me hota hai jada tar.
Step 4:
Ab hame karna ye hai ki jo Meta Tag code hamne banaya hai usko <head> code ke niche daalna hai. Ctrl+V se aap paste kar sakte ho.
Step 5:
Ab Save template ki button daba kar template ko save kar de.
Meta Tag ke faide or Nuksaan
Meta Tag ko apne blog ke template me add karne ka ye faida hai ki ham Google ko Batate hai ki hamare blog me kya hai.
Meta Tag ka koi nuksaan nahi hai. Meri Najriye se to meta tag bhut jaruri hai hamare blog ke liye.
To ab aapne apne blog ke baare me google ko bata diya hai Meta Tags ki madad se. Agar aapko koi bhi sabaal ho Meta Tags se sambandit to aap comment jarur kare.
Is Tool ko banane me muje 2 din lage hai to aap ye batana naa bhule ki ye aapko kaisa laga. :)
Aapko Ye post bhi padni chaiye
- Blog ki Traffic kaise bada sakte hai
- Blog ko kaise promote kare Facebook Page par
- Blogging Me Career Banane ke phele Pata honi Chaiye aapko Ye Bate
Internet se related koi bhi sabaal ho Aap comment karke puch sakte hai.
thank you sir aap k support k liye
nice post sir
hello rohit bhy
blog ke page Google me blog ke link ke niche kaise show karwate hai. please bataye.
Wo automatic hai.. Jab jada traffic aata hai to Google aesa dikhata hai
hi sir ,
maine blogger me meta tag add kiya meta header tags bhi set kiya phir bhi google me show nahi ho rah mere template me di head text hai dono ke neeche add kiya kya karna hoga pls.
Bhai kuch bhi change karne ke turant Bag Google me uska result nahi dikhta hai.. Wo index hoga Uske baad dikhega
such a nice information sir,
Hello sir
ap ka meta tag tool bahut upyogi or bahut saral he .is se hamare jaise blogger ko bdi aasani hoti hai . but sir i am new blogger so please help me to create backlinks so thank you for help me or all
Backlink me liye aap comment kare. Or aap guest post kar sakte hai..
You are doing a great job bro…. I had never expected to see such a wonderful blog in our country’s mother language. As most of the blogs are only available in English. This will help a lot of people who are unable to understand English.
Mere blog par templates ka option show nahi kar raha kya kru
sir, meta tag generator ka tool show nahi kar raha hai. plz help me.
sir meri ek site hai erexams.com is par new meta tag add karna chata hu but usme pahele se hi
name se ek seo add hai to me kya me dono seo tag ko use kar sakta hu kya please help me
sir, meta tag banane wala farm aapke is post par nahi sow kar raha hai
samja nahi brother ka khe rahe ho.
sir, [description keywords author language country robots] bharne wala tool nahi sow kar raha hai.
sir mera blog ka sabhi page index ho gaya thaa magar dhere dhere karke sabhi index se hat gaya ab ek bhi page index nahe bata raha bas 28 page submit bata raha hai ,magar mere blog me jitne bhi photo hai sub google me dikhata hai
sir khuch madad karo
Rohit bhai, maine aaj Meta tag to add kar liya hai lekin ek doubt aa gaya. Maine kuchh din pahle blog ko Google Console par bhi add kiya tha to us samay bhi usey bhi thik isi tarah se ke thik niche us code ko paste kiya tha. To ab ye bataiye ki is baar bhi yadi usi ke niche paste karunga to google console waala to aur niche chala jayega na? Please help….
Head Tag ke andar aap search console code ke niche ya upar dalo koi fark nahi padega :)
Mene sb Kuch karliya fir bhi nhi ho Raha he
Sir plz help me
isme aesa sabkuch karne ki kya jarurat hai.. aapko simple add hi to karna hai.
………………
…………………………..
Mere blogger template ke html me ye show ho raha hai.
Kya meta tag yahi put karna hai.?
Ya sirf search kar iake niche rakhna hai
Head Tag ke niche.. jesa post me bataya hia aap search karke uske niche dale.
hello sir mujhe apke trah meta teg generator lgana hai apni website me sirf itna btado ki kon kon se language ko use krke apne ye teyar kiya hai mujhe php,javascript ,jquery,html,css etc ati hai to plz btado kya inme se koi lanuage use ki hai apne bakki me khud bna lunga is generator ko
Rohit Ji you r the great really…..
Pkease aap hmarai site pai eak bar visit kar kai btayai ki kya kya hmai add karna hai eas mai…. I mean kya khamiya hai.
I did
Thank for support rohit bhai ..
ye code ko WordPress me kaha past kare sir
WordPress main free plan main hai mera website. Meta tag wordpress ka templates main kaise paste kare.
sir,
apka bahut thanks, apke dwara di gyi hr jankari hmre liye bahut helpful hai .
THANKS SIR , LEKIN AVI TAK MERA PHOTO GOOGLE MAI NAHI AA RAHI HE…….
Rohit sir main jo tag karta hun vo visitor sab dekh lete hain ki kaha kaha tag huaa hain kya vo hm chhupa sakte hain vo
Rohit Sir Aapki Har Post Ekdum Acchi Hai isse Muje Kafi Madad Mili
Aab me Ye janana chatha hu ki jo aapne Meta tag Tool Jo banaya Vo
Kese banaya or koi Other Genereter banana chathe he tho kese banaye plz.
muje bataya
thank you so much sir
aap muje mail karke bhi bata skathe hai
E-mail Id = ogod8644@gmail.com
bhai thodi der pahle mere 4 posts google pr aa rhe the fir jb mene ye meta tag use kiya to bus ab ek hi post google pr aa rha hai
Sir mai blog me cuch post karta hu to notumbnil show ho raha hai kiya karu?
hy bro aapne ish meta tag generator tool ko kaise add kara hai?
hello sir head code ko kaise search kare
बहुत बहुत धन्यवाद रोहित सर…..
आपने जरूर इस टूल को बनाने मे कड़ी मेहनत की होगी।
meta tags के बारे मे भी काफी अच्छा explain किया
वाकई दिल से धन्यवाद!………………
Thanks
Sir main ek site ka naam(domain name) jaise “coolsong.com” rakhna chahta hu to code me kasie likhu .
<DOCTYPE html public………
sir kya aap is code ko pura likh jar denge please
Rohitji
Kya aap bata sakte hai ki kis tarah se tool banta hai! Matlab aapne jo tool banaya hai converter ka html tag k liye!
Vaise hi main bhi tool banakar kuch topic par post likhna chahta hu but main nahi bana pata! Please guve me answer!
Ya phir ek post is topuc par likh dijiye!
Isse ham new blogger ko bahut help milegi!
My blig address careervala.blogspot.com
thanx sir
Nice…post..
I like it
bhai bolg to ban gya lekin aage kuch samajh me nhi aarha hai
kya kre
kya me meta tags ko mobile me edit kar sakta hu please jaldi se bataye
Sir mere Blog me Hosted Account Me Meri Email ID show ho rhi hai use change kar dakta hun kya apne domain name se
agar han to process bata dijiye
Thanx
sk-shobu.blogspot.com
hai gd mring bro
is blog ko kaise chek karsaktey hai..key a post huwa hai ya nahi kaekey
Rohit bhai mere blog ka ko url me search karta hu tb aajata h lekin search baar me search karne par nahi aata. Or url me b coolboywallpaper.blogspot.in pura likhna padta h
sir ek acha sa apni website par me comment box banana chahta hu aapke jesa kuch…sir please uske liye kuch bataiye jisse vo comment box har post me neeche aaye
Hello sir mera blog search me nhi aa raha he
Sir Maine Jo bhi thodi cheeze shikha hu wo sirf aapki website se yha par aap bahot achhe se discribe krte ho kisi v Topic ko….sir maine website bana li hai aur usme 5-6 post bhi daal di hai par visitor jyada nhi aate sir yhi koi 20-25 aate hain per day Aap meri blog ko check kro aur plzz btao ke mujhe ab kya karna chahiye aur domain le lu ya blogspot se hi blog chalau sir jara detail me help kr do plzz.
Sir me mobile use karta hu to usme meta taggs ke code save. Karne ke liye kya karu
hello rohit g mai ye janana chahta hu ki.agar ham koi keyword target karke apna post likhte hai to kya uska keyword bhi meta tags ke keyword me add karna parega?
jaise man lo maine keyword target kia ki “blog kaise banate hai” to kya ye keyword meta tags ke keyword me bhi add karna parega ? jo aapne upar bataya hai ?please healp me …………….
sir isme meta tag maan nahi raha hain yeh massage aa raha hain
Error parsing XML, line 9, column 2: The value of attribute “CONTENT” associated with an element type “META” must not contain the ‘<‘ character. Hide notification
Thnx Friend aj tumhari post ko padh kr mera blog rank pr aa raha hai without url dale mera blog sarch huwa thnkx again ye btao k niche jaise tumhari rank box show hota hai to uske liye mai kya karu or ye btana ke mujhe blog me f.book paje bnana h ya f.b pr blog paje bnana haihai. Plz notify kr dena mail pr . mujhe yad nhi rahta k kon si post per comment kiya tha jane kon si post pr .mail dena .thnx
bhai mari wapsite me keyword mm sirf main keyword so kar rahe he plz mari help kro pure keyword so kyo nahi ho rahe he….
For reader’s
Mere hisab se saval puchne se pahle baki comment ka reply bhi pade usme aapke savalo ka javab ho sakta hai .
Thanks Pavan ji.. ye me bhut bar kha chuka hu..
Meta tag GE.nreter kese add kren blog Ki post me brain thanks , solve zroor krna
Bhai Is Tool me URL aur Blog title nhi hai par Kaafi Jagah Me dekha hai ki title aur url Jaruri hota hia ?