Mobile Daily Life me kitna jaruri ho gaya hai wo to aap jante hi hoge, Agar kabhi hamara Mobile band ho jaye ya kisi ko Call karna ho or ham nahi kar paye to pata nahi kitna Kaam bigad jate hai.
Agar aapke Pass Mobile hai to aapke sath bhi aesa jarur kabhi na kabhi huaa hoga ki aapke Mobile ka Balance khatam ho gaya ho or aapko kahi par jaruri call karna ho. Aesi Problem bhut war aa jati hai to ham iss Problem se bachne ke liye kya kar sakte hai chaliye jankate hai.
Agar aapke Pass Android Mobile hai to aap App Install karke badiya Paise kama sakte hai, itne ki to me garentee le sakta hu ki aapko kabhi Paise de kar Mobile Recharge nahi karana padega. App se paise kaise kamaye uski jankari yaha hai.
Aap ke Pass Paise hai ya aapne Mobile par paise kamaye hai to aap Balance daal sakte hai, par kabhi aesi condition bhi aa sakti hai ki aapke pass itna time bhi naa ho ki aap kisi Shop se Recharge kara sako or na Online Recharge kar sako.
Aapko kahi urgent baat karni ho to aese me aap apne Friend ya apne Family member se Balance transfer karke le sakte hai ya kisi ko de sakte ho.
*Ye jo jankari me dene wala hu, wo aapko kaam to aane wali hai par yaha me aapko ek baat or bata du, Kuch log jo jaanna chate hai mobile balance chori karne ka tarika, to agar ye jankari unko mil gai to ho sakta hai wo aapke Mobile se Balance transfer kar le apna number par..
Ye bhi Padhe: Mobile ko hang hone se kaise bachaye jaanne ke liye click kare.
To Chali ab Dekhte hai Kaise Mobile Balance ko Transfer kiya ja sakta hai, kisi dusre Mobile Number par.
Balance Transfer Kaise Kare
Page Contents
Mobile Balance Transfer kaise karte hai Ek Number se Dusre Number Par Uski Puri Jankari
Idea to Idea Me balance Transfer kaise karte hai
Idea me Balance Transfer karna bhut hi aasan hai simple aapko phone dailer me ek ussd Code dail karna hai or uski madad se aap badi aasani se balance transfer kar sakte hai. Kaise Kya karna hai Idea me Balance Transfer karne ke liye jaanne ke liye Steps ko follow kare.
Step 1: Apna Phone Dialer open kare.
Step 2: Dial kare 567<jiske pass Paise send karna hai uska Number>*<Kitne paise transfer karna hai>#
Example: 5679876543210*20#
Note:
- Transfer karne par 2₹ Service Charge lagega.
- Paise Transfer sirf 5, 10, 20, 30, 50 hi kar sakte hai
- ek Din me 5 War se jada war transfer nahi kar sakte.
Ye bhi Padhe: Whatsapp Se Paise Kaise Kamaye Uski Jankari in Hindi
BSNL to BSNL Balance Transfer karne ka tarika
BSNL me Balance ko Transfer karna bhi bhut aasan hai, isme aapko Agar kisi dusre BSNL Number par paise transfer karna hai to aapko ek SMS send karna hai. BSNL me SMS send karke kaise Paise transfer hoge uske liye Steps follow kare.
Step 1: Sabse phele ek Message ko open kare, or New Message type kare.
Step 2: Message me likhe: GIFT<space><jiske pass paise transfer karna hai uska Number><space><kitne paise transfer karna hai>
Example: GIFT 987654321 20
Step 3: ab iss message ko aap 53733 par send kar dijiye.
Note:
- 5 se 50 rupee tak Gift kar sakte hai BSNL me
Ye Bhi Padhe: WhatsApp Hack kaise kare or WhatsApp Hack se Kaise Bachaye [6 Tarike]
TATA DOCOMO me Balance Transfer kaise kare uski jankari
Tata DoCoMo me Balance Transfer karne ke liye ek SMS send karna hota hai, jiski madad se aap badi aasani se kidi dusre Docomo Mobile number par Balance transfer kar sakte hai. Kaise karna hai Steps Follow kare
Step 1: Sabse phele Message me ja kar New Message Type kare
Step 2: Messaage me Type kare: BT<space><jis number par transfer karna hai><space><kitne ammount transfer karna hai>
Example: BT 9876543210 20
Step 3: ab SMS ko Send kar dijiye 54321 par
Note:
- Balance 5-50₹ tak kar sakte hai transfer
- Balance transfer karne ka 1₹ charge lagega.
Ye Bhi Padhe: Facebook Se Paise Kaise Kamaye uske tarike in Hindi
Airtel SIM Se Balance Transfer kaise kare uski Puri Jankari
Airtel SIM se kisi dusre Airtel SIM par Balance Transfer karna bhi bhut aasan hai. Airtel SIM se Balance Transfer karne ke liye hame ek USSD Code dial karna hai fir uski process ko follow karke Balance transfer kar sakte hai. Aritel SIM se Kaise Transfer kare Balance jaanne ke liye Step s ko Follow kare.
Step 1: Sabse phele Apne Mobile me Dial kare *141#
Step 2: Ab ek Menu aa jayegi aapke saamne, jisme kuch option diye hoge.
- Share talk time
- Buy happy hours
- Take loan/Ask for talk time
- Gift pack
- Call me back SMS
- Account
- Help
Step 3: Ab Answer ki button par click kare fir 1 badaye Share talk time select karne ke liye fir send ki button par click kare.
Step 4: Ab aapko kitna amount transfer karna hai wo dale.
Step 5: Ab wo Mobile Number dale Airtel ka jispar Balance transfer karna hai.
Step 6: Ab Send ki button par click kardijiye.
Ab jis Number par aapne Balance transfer kiya hai uspar ek message aayega ki aapko itna Balance Gift mila hai.
Note:
- 5-50₹ Transfer kar sakte hai
- kam se kam 20₹ balance hona chaiye jab hi transfer kar sake hai.
Also Read: Facebook Security: Account Hack Hone Se Kaise Bachaye
Aircel to Aircle Balance Kaise Transfer kare
Aircel Mobile se Balance Transfer karne ke liye ek Code hai wo dial karna hai or fir uske baad kuch process hai unko follow karke balance dusre Aircel par transfer kar sakte hai. Chaliye dekhete hai kaise.
Step 1: Sabse phele Mobile me Dailer open kare.
Step 2: Ab Dial kare 11266# fir Call ki button par click kare.
Step 3: AB aapko Share Your Balance ka option select karna hai.
Step 4: Jis AirCel Number par balance transfer karna hai uska Number dale.
Step 5: Ab kitna Balance transfer karna hai wo dale. uske baad send ki button par click kare.
Ab aapke pass ek message aayega jisme jo balance transfer kiya uski jankari hogi, kitna service charge laga wo bhi usne bataya hoga. Iss Tarah Aasani se Aircel to Aircel me balance transfer kar sakte hai.
Note:
- 5-100₹ Balance Transfer kar sakte hai.
- 1₹ Charge lagta hai Balance transfer karne ka
- ek din me ek war hi balance transfer kar sakte hai kisi ek number par.
Ye Bhi Padhe: Website (Blog) Kaise Banate Hai in Hindi
Reliance Mobile se Balance Transfer kaise kare uski Jankari
Reliance ki SIM se kisi dusre Reliance Number par Balance send karna koi bada kaam nahi hai, Simple ek USSD Code hai wo Dial karna hai or process ko follow karke balance transfer kar sakte hai. Chaliye dekhte hai kaise.
Step 1: Mobile se sabse phele Dial kare 3673#
Step 2: Ab aapko Kis Number par Balance send karna hai wo dale
Step 3: Kitna Balance transfer karna hai wo dale.
Step 4: Ab aapko PIN dalna hai, PIN Number 1 hai.
Iss trha aap balance transfer kar sakte ho Reliance me.
Also Read: Mobile Se Free Calling Kaise Kare kisi bhi Number Par
Vodafone se Vodafone me Balance Transfer karne ke tarika
Agar aapke Pass Vodafone ki SIM hai or aap ek SIM se dusre vodafone sim me balance transfer karna chate hai to aapko ek Code dial karna hoga. Chaliye dekhete hai kaise karte hai Balance transfer Vodafone me.
Step 1: Dial kare 131<kitna balance transfer karna hai wo dale>*<jiske pass transfer karna hai uska number>#
Example: 13120*9876543210#
Step 2: Code Dial karke call kare.
Iss trha Balance transfer ho jayega.
Note:
- Service Charge lagega Balance transfer karna par kuch iss trha
- 2 Rupees (5 Rupees to 9 Rupees transfer)
- 3 Rupees (10 Rupees to 19 Rupees transfer)
- 4 Rupees (20 Rupees to 30 Rupees)
- .Ek Din me ek war hi Balance transfer kar sakte hai, or ek din me 3 war balance le sakte hai
- 5-30₹ Balance transfer kar sakte hai.
Ye Bhi Jarur Padhe: Mobile Pani Me Gir Jaye To Gile Mobile ko Kaise Sukhaye
Telenor (Uninor) India se Balance Transfer karne ka Tarika
Uninor me Balance transfer karna aasan hai, simple ek USSD Code hai wo dial karna hai Mobile number ke sath or ham balance transfer ho ayega.. Chaliye dekh lete hai kaise.
Step 1: Dial kare 202<Mobnile Number jispar Balance transfer karna hai>*<kitne paise transfer karna hai>#
Example: 2029876543210*20#
Step 2: Code dial karke call ki button par click kare.
Note:
- 5-50₹ Balance transfer kar sakte hai
- ek war balance transfer karne par 2₹ charge lagta hai.
Read Also: 10 Android Apps Bloggers ke Mobile me Install Hona Chaiye
Sir mene tata Docomo ki 1sim se 2sim me se balance transfer kiya nahi huaa keypad Mobile se
Budhram oraon Abhi hame dusre balance transfer karna hai
Sir mera recharge dusra number par ho gaya h kya koi upay h
mujhe second transfer karna hai uska coad kya hai
sab post me diye huee hai.. aap dekh sakte hai
mujhe second transfer karna h uska chod kya h
Idea se Vodafone me balance Kaise dal sakte hai?
Sir kya idea se Vodafone me main balance send Kar sake hai? Kaise?
Hi Bhai Sahab muche bhi jankari do
Not working….dont add fake thinks….bcz last 1 year i am your reader
sorry bro.. par mene sab code ko tri nahi kiya.. kya aap muje batayege konse code ne work nahi kiya.. thanks.. kuch comapny ne ye subhidaye band bhi kardi hai.
Sir mene tata Docomo ki 1sim se 2sim me se balance transfer kiya nahi huaa keypad Mobile se
hlo mr .. only jio to jio balance transfer
Nice Rohit bhai
sir ye to apne balance transfer karne ka tarika bataya please idea to idea mb transfer karne ka tarika batae
Nice
kia bger pad eifi chal sakta hai most reply me fast
kia mobile pe wifi bger pas k chala sakte hai
Bhai mujhe apna phone root karna hai kaise karu
airtel s airtel ka recharge ho ya fir ham airtel sim se idea ka recharge kar skte h
Are bhaiya data balance kaise transfer hoga ye v batiye na
aircel to aircel jo code hai wo invalid bata raha hai
Apna pic net par kaise chadaye
Hi Rohit kya aap hacking nhi shikhate hai agar nhi to jo shikhata hai uski website bta denge pls
भाई सब साही है मगर आईडिया वाला ट्राय किया तो ussd code inviled लिख रहा तो क्या आईडिया में ट्रान्स्फर नहीं होगा
Champcash play stor se dawanlod kare aur usme apna ditel bhare bharne ke bad refer id 6328557 dale aur paisa kamaye …,,aur koi bhi jankari hokhe tois whatsapp namber ..7068913520 jankari le sakte hai
Until I found this I thhuogt I’d have to spend the day inside.
bro tumhara koi whatsup group ho to add kiro is tarah ka
telenor se airtel me balanace kaise transfer kartte hai sir plesa
Are rohit ji smart to smart ek no.se dusre no.pe balance kese lu
sir…
pahle mere adsence clicks 52 the par abhi check kiya to 41 bta rha hai,
click kam kaise aur kyu ho gya
sir Ek number se do whts app account ban sakte h kiya
rohit ji mere micromax canvar fire me auto apps downlod ho rahe he faltu ke kese uninstald karu un ko pLz plz help plz
Apni device ke software update karalo bhai care me
Bro,maine ek group pe kuch post likhe the.uske kuch dino baad maine us group Ko follow nahi kiya and leave group Par click kara.uske baad maine aapna facebook account delete kar diya.kya abhi vi us group par mere likhe huye post show honge?
Thanx sir
bro..pokemon game mai googal id par kya dalna hai usme id or gps not found bta rha hai
mere mobile hai usme launcher stop ho gaya hai aur viruses aa gae hai to thik kaisse kare
Ye padhe
Sir.apna phon de sakte ho.kya.plz.
Hello :sir kya data bhi 1sim se dusre sim me transfer kar sakte hai ?
Nahi..
sir telenor se paise transfer karane ke liye hamane 202mobile number*5# dial kiya lekin enter keyword rong bata raha hai
Aap costumer care call karke pata kare.. Q nahi ho pa raha hai
bro,ebook kaise banaye and kaha par upload karke paisa kamaye is bare me plz koi post kijiye aapke is site par.matlab kaise PDF file banaye kaha upload Kare,paise kaise milenge Sab kuch jankari dekar ek post likhiye.
thanks bro.
bahut achhi information bataye aapane. hume bahut help hue aapake es post se. kitana balnce send kar sakate hai hum ek din me.
are sir nhi ho rha reliance me mene try kar liya plz help
Nice post Sir g – aapka Blog Accha hai .
Thanks
Nhi ho rha sir ji balance transfer idea to idea
Kya error aa rahi hai
apne bhut hi achi jankari di hai sir…
THanks Sandeep ji..
badhiya post. lekin idea ke alawa aur sim me kaise transfer karenge. wo bhi bataiye please.
aap puchna cha rahi hai ki idea se kis desri comapny ki sim par transfer karna hai to aesa nahi kar sakte..
Rohit bhai me Hostgator wordpress shared hosting me Clouflare ka free SSL https enable kar raha hu ho nahi pa raha hai please help me !!!
Brother, aap phele ye check kare wo sahi se add or verify huaa hai ki nahi..
Hello sir , adsense ka pahela approval mile 1 week ho gaya hai but ab tak fully approval nhi hua to ab kya kare to fully approval ho jayega
Aap ads ka code header me lagaye.. or regular post dalte rahe. kabhi kabhi 1 mahina tak lag jata hai.. or agar blog me kahi koi kami dikhe to usko turant tikh karnaa..
Nice post Rohit sir.
THnaks
Hello, Sir Maine Guest Post ke liye mail kiya tha.. No any Updates…
sorry, me check karke aapko email par reply karuga..Thanks
idea she airtel me tansf kar sakte he
aese nahi kar sakte ..
Bhai aap ko nahi lagta ke aap ne is post ke title me kuch galti kar di hai?
Kya hina chaiye thaa
sir telenor se aitel me balancea kaise tranfer karte hai
Thanks for this post!