Hello Friends aap ye to jaante hi hoge ki Internet ne aaj hamari jindigi kaha se kaha pahuchadi hai, ab hame kahi jane ki jarurat nahi ham apne ghar se hi puri duniya se jude rha sakte hai or apne saare kaam Internet ki madad se kar sakte hai.
ham ek ussi kaam ki baat kar rahe hai jo internet ne hamare liye bhut aasan kar diya hai or hame kahi jaane ki bhi jarurat nahi padti. Online Internet se Mobile Recharge karna.
Mobile Recharge karne ke liye bhut si sites aapko mil jayegi, jinki madad se aap ghar bhete ya apne mobile ki madad se kahi bhi apna mobile ya kisi or ke mobile recharge kar sakte hai. Muje jo sites pasand hai bo hai FreeCharge or PayTM
Page Contents
Online Mobile Recharge karne ke liye kya kya chaiye
Hame online mobile recharge karne ke liye in chijo ki jarurat padti hai –
Email ID, Bank Account ATM or Mobile Number.
- Email ID – hame mobile recharge karne wali site par apna account banana padta hai uske liye ek email id hona jaruri hai.
- ATM – Jab ham online recharge karte hai kisi site se to hamare mobile recharge ke rupee hamare bank account se kat te hai, uske liye hamare pass Net Banking ya Bank ATM hona chaiye. Jisse ham hamare recharge ki payment kar sake.
- Mobile Number – hamara ek Mobile number bhi hona chaiye Q ki iski jarurat hamare account me padti hai.
Also Read:
- Kya Aapko Pata hai Android Mobile me Ham Free Mobile Balance bhi kama sakte hai.
- Mobile Se Paise Kaise Kamaye – ₹10,000 Kamaye True Balance App se
- Net Se Phone or LandLine Par Free Call kaise kare
Online Mobile Recharge Kaise kare
jese ki mene bataya bhut si site hai online mobile recharge karne ke liye unme se ek FreeCharge. Me aapko bataoga ki Freecharge Website se kaise mobile recharge kare. Jannne ke liye Meri Steps ko follo karo.
Recharge karne ke liye aap inki website ka use kar sakte hai ya free inka jo App hai uski madad se bhi recharge kar sakte hai.. dono ki process bilkul same hai.
Paytm se Recharge Kaise Kare agar aapka ye sabal to me aapko bata du, aap online Mobile recharge kisi bhi website se kare same hi process rahega, was design or interface change hoga.
Step By Step Process Online Mobile Recharge karne ki
Step 1:
www.FreeCharge.in par jao, ya fir aap Mobile me Paytm App Download karke usse bhi aasani se kar sakte hai.
SIGN IN par click karo
Step 2:
ab agla page khulega usme agar aapka account phele se hai to aap login kar lijiye ya fir phele apna account bana lijiye.
- Account banane ke liye SIGN UP par click kare or apni detail bharke apna account banaye.
- Agar aap ka Account nahi hai to aap SIGN Up kare, ya fir aapka Facebook ya Google+ ka account to hoga hi. aap unse bhi Login kar sakte hai or ye bhut aasaan bhi hai. Sign in with Facebook ki button par click kare fir bo Facebook par aapse ek permision magega usko allow karde or fir aap FreeCharge me Login ho jayege.
- Agar aapka account phele se hai to yaha par login kar sakte hai
Me aapko Suggest karuga ki aap Facebook se Sign in kare ye Jaldi bhi ho jayega or asaan bhi hai.
Step 3:
Apne FreeCharge ke account me login karne ke baad aapke saamne ek form hoga mobile resharge karne ke liye usme detail bharde
- Mobile Number daale jispar recharge karna hai
- Konsi conpany ki SIM hai bo select kare
- kitne rupee ka recharge karna hai bo daale
- PROCEED TO COUPONS ki button par click kare
Step 4:
Ab ek naya page khulega uspar aap dekhege ki kuch coupan giye huaa hai aap chahe to unko select kare ya fir PROCEED ki button par click kare
Step 5:
Ab jo naya page khulega uspar aapko payment karni hai. yaha par payment ke bhut option diya hai. ham Debit Card ko select karte hai.
- ATM Card ke Upar jo likha ho aap bo Card type me select karle.
- Card ke upar 16 digit ka number hoga bo aapko yaha daalna hai
- Expire Date daale, bo bhi aapke ATM Card ke upar di hui hai.
- ATM Card ke piche ki taraf ek 3 digit ka number hota hai usko CVV number khate hai bo aap yaha daalde.
- Aapke Card ke upar Jiska Naam ho bo daalde. Bhutbaar hota hai ki uske upar kisika naam nahi hota to aap jiska account hai uska naam daalde.
- MAKE PAYMENT par click kare
ATM Card Ki Detail
- 16 digit ka ATM Card Number
- Card Expire Date
- Card Holder ka Naam. ho sakta hai aapke card me naa ho.
- Card ka Type jo is demo card me VISA hai
ATM Card piche se
Step 6:
Make Payment ki button par click karne par ek naya page khulega.
ye me apne PNB ke ATM card se kar raha hu isliye aesa aa raha hai ho sakta hai aap ka dusra ATM ho to alag tarike se aaye. ek baat or aapke Bank account me aapka mobile number jarur juda hona chaiye q ki jab ham payment karte hai to ek OTP aata hai hamare paas hame bo daalna padta hai jab payment hoti hai.
OTP Kya hai or iska Kya use hai uski jankari yaha aapko mil jayegi.
*Ek baat ka jarur diyaan rakhe kabhi bhi aap online payment kare to phele site ko dekhle or apne card ki detail kisiko nahi bataye nahi to wo aapke account ka koi galat istmaal kar sakta hai. Kabhi bhi Apna ATM pin kisi ko na bataye.
bank account se mobile recharge ke liye utne paise cut ho jayege ot aapke mobile me balance aa jayega.
Also Read: साइबर क्राइम क्या है | What is Cyber Crime in Hindi
to dosto ab aap jaan chuke hai online mobile Recharge kaise karte hai to ab aapko Mobile recharge karbane ke liye kahi jaaneki jarurat nahi, aap kahise bhi apne mobile ko recharge kar sakte hai.
Agar aapko kahi kuch paresaani aa rahi hai Mobile ko recharge karne me to aap comment karke muje bata sakte hai. me aapki madad karne ki puri kosis karuga. or ye jarur bataye aapko ye jaankari kaise lagi.
Agar aapka Internet se related koi bhi sabaal hai to aap puch sakte hai.
Mobile par Free Recharge kare TrueBalance se, kaise Free Rechange kare kisi or paise kamaye uski jankari aapko yaha mil jayegi.
Ye Bhi Pade:
Sir hame mobile recharge buisness karna hain.
Please riply dijiye kaise kar sakte hain?
Nice
Sar
ye apps bahut achchha work karta hai
bahot hi badhiya Post
bhai
Sar me public ka recharge karna chahta hu to mujhe batao ASA konsa app Jo mujhe profit melega
Paytm me paisa add krne pr failed Kyo batata h
Agar mobile recharge karte h ,account se balnce kat jaata h par rechrj nhi hota h to kya kre,apna paisa wapas kaise le sakte h,kya iska jwab denge 1 baar nhi3,4 baar aisa hua h
iske liye aap jis company ya site se reacharge kar rahe hai.. unse contact kare.. wo uska solution jarur nikalege..
paytm ke promo code ka use kaise kare
last me payment karte time aata hai usko enter karne ka option..
Hello sir hume ye bataye ki recharge kisi bhi network par kare to hume kamisan milega ya nahi
nahi aapko in site se commsion nahi milega.. par jab offer rhete hai to aap cash back pa sakte hai..
Abhi mujhe atm nahi mila h
Mai kese recharg kro
aap net banking se bhi kar sakte hai.. par sabse aasan ATM card se hi hai.. aap bank se apna atm le.
Comment:sir main website se frecharge khol raha hu par mujhe promo code nahi mel raha hai kiya karu
Aap Google par search karo. Bhut si sits hai coupons ki
Comment:sir promo code kaise milega aur kiya har bar alag dalna padta hai
Aap Google me Search kare.. Mil jayege n aap ek code ek war user kar sakte ho
Comment:sir promo code kaise milega aur har bar change hota hai kiya
Aap Google par Search kare.. Or ek promo code sirf ek war use kar sakte hai
Bhai jaise Maine free charge se chat payment kr di mgar his no pe payment ki hai us no se I’d nhi bhi Hui hai free charge pe kya Kru or us no se I’d bhi nhi ban rhi hai
Aap freecharge ke contact us me ja kar unko apni problem bataye
Sir state bank of india atm ke piche cvv nahi hai na to expiry date hai valid from hai
Sir credit card se paytm me amount aa jayga aur paytm se axis Bank shaving account me chale jayge kya plz ans me
Sir jo mobile no.bank ke A.C no se juda hai usi se I.d banana hai
SIE RECHARGE NI HO PA RHA PENDING BTA RHA HAI
Kya bina atm card k bhi patym me money add ho skta hai
sir m buddy use kr rha hu usme promo code kya dalte h plz help
Mere yaha airtel retailers ke airtel money recharge nahi ho raha mujhe koi other tarika batao airtel money recharge karne ke liye
mere pass maestro ka debit card hai aur uske piche cvv number nahi hai iss karan me online recharge nahi kar pata hu.to iske liye kuch jankari bataiye sir.
Sir jo mob no rajister tha wo bhul gaya to ab otp kaise paye
Hello sir mujhe TV ka recharg kaise Kate he on Lain maloom karna he kiya app merit madd karsakte he kiya.or mujhe ye bhi janna he ki ye Sab safe rehta he ya nhi..pls..pls..or mujhe ap ka post bhat a cha lga OK by by …..
Sar aap ki sites sai me ‘re ko presani aari h
Mobile no. Se recharge ksse hota hai plz sir batao or prmocode bhi batao sir
Mobile no. se freechargr kasse hoga plz detal se batao sir plz promocode bhi batao sir plz
Sir intranet pr login kaise hote hain
May balance recharge kar nayhi pay rayahu cvv code Kay hotaha
Sir menu Freecarj si Airtel postpaid ka500 se jyada ka bill payment Kiya mere ac se pesa kat Gaya per no per pimint nahe hua please sir Refund kese karte Hain
Hi
Sir
Mai apka promo cod q dalu ager dalu to koe noksan huwa to
onlin recharge me bank detail dene se koi khattra to nhi he
Life time ATM said recharge kese Kate
Please help mee
Sir mera debit card SBI ka h recharge nhi ho rha field Dekha rha h Kya karu
Comment:hello sir promocode kya hota hai