Pokemon Go kya hai or kaise Khelte hai is Game ko

Hello Friends Abhi ek Game jo bhut hi Popular hai or sab dur ussi ki charcha ho rahi hai lakho caroro log usko download kar chuke hai, Game ka Naam hai Pokemon Go jo ki bhut hi interesting Game hai.

Chaliye Jante hai Pokémon Go ke ware me Bistar se ki akhir ye hai kya or isme hota kya hai or kaise is Game ko khela jaye or kaha se isko download kiya jaye.

Advertisements

Pokemon Go kya hai or kaise Khelte hai is Game ko

Page Contents

Pokémon Go Kya hai?

Pokémon Go ek free game hai jo hamari location ke adhar par khela jata hai, jisme hamara Mobile ka camera or GPS or internet connection ki jarurat padti hai. Pokémon Go banane wali comapny ka naam hai Niantic or is Game ko Publish kiya hai The Pokémon Company ne. Ye Game July me hi released huaa hai ISO or Android ke liye.

Also read: Apne Android Mobile ki location kaise pat kare Google par

Pokemon Go Kaise Khele

ye jo Game hai Real World ke Map par khela jata hai to usme Mobile ka Camera, Mobile ka GPS or Internet connection ki jarurat padti hai. Game me karna ye hota hai ki hame pokemon ko pakadna hota hai jo hame hamare Mobile ki screen par dikhai dete hai.. Ham agar kahi jate hai to jo game me hamara avatar hai wo bhi chalta hai or jab koi Pokemon aata hai to mobile ka camera bhi chalu hota hai to aesa lagta hai wo Pokemon hamare samne hi hai.

Pokémon Go Jab ham open karte hai to hame sabse phele Google account se sign up karke apna Avtar select karna hota hai, or uske color, dress, bagera select karni hoti hai.

Ab ham Game chalu karke agar real me chalte hai to jo hamara avtar hai wo bhi game me chalta hai, or is trha hame jaha bhi Pokemon dikhge hame waha jana hai or unko pakadna hai.

jese jese aap pokemon ko pakadte jayege aapki lavel badti jayegi or khatin Pokemon aate jayege jinko pakadna muskil hota jata hai.

kul mila kar kha sakte hai ki jo log is game ko itna pasand kar rahe hai uska karan bhi hai q ki game khelte same hame lagat hai ki ham real world me wo game khel rahe hai.

Pokémon Go Game ko khelne ke liye Kya kya chaiye

Game me hame Pokémon ko pakatna hai wo to aapko pata chal gaya par Game ko khelne ke liye hame or kin kin chijo ki jarurat padegi wo bhi jaan lete hai.

Game khelne ke liye bhar jana padega

Pokémon Go Game Real world map ko use karke hi khela jat ahai to isme jo hamari real location hoti hai ussi me hame Pokemon ko pakadna hota hai.. to iske liye hame bhar jana padta hai.

Har Kahi nahi khel sakte

Is Game ko khelne ke liye hame Mobile me hi dekh kar chalna padtah hai q ki hame usme jaha bhi Pokemon dikhta hai hame waha ja kar usko pakadna padta hai. par agar ham is game ko road par khelne lage to ho sakta hai hamara dhiyan mobile ho or hamara takkar ho jaye kisi gadi se. Pokémon Go Game ko khelne ke liye Mall sabse achi jagha hai mere hisab se.

Internet connection hona jaruri

Id Game me hame Internet ki achi speed ki jarurat padti hai, agar ham 2g se khele to Game bhut slow chalega.. isliye agar kahi Wifi ha or jagha bhi achi hai to waha Pokémon Go ko khele. Data plan se khelne par bhut jada data kharch ho sakta hai.

Also read: High Speed Free Wifi Internet Chalaye Railway Station par

Battery bhi bhut use hoti hai

Pokémon Go jab chalta hai to isme ek sath Mobile ka camera, GPS, Internet connection sab ek sath kaam karte hai to battery bhut jada use hoti hai. to agar aapko ye game khelna hai to aapko ek Powerbank bhi rakhni padegi apne pass.

Mobile Garam ho jata hai

Pokemon Go ko chalne me kitni process chalti hai wo to me bata hi chuka hu, to agar itni sari chije ek sath chalti hai mobile me to Heating Problem bhi aane lagti hai Mobile me.. Isliye ham is game ko jada der nahi khel sakte.

Acha Mobile chaiye

Game 56 MB ka hai or game ko khelte same bhut sari process ek sath chalti hai to hame achi RAM or memory wale Mobile ki jarurat padegi, Agar kisi chote mobile me khelege to mobile bhut jada hang hoga.

Yaha Padhe: 10 Tarike Mobile Ko Hang Hone Se Rokene ke

To Friends ye sab hai jo Pokémon Go khelne ke liye chaiye or honi chaiye.

Aapko ye Game ek war jarur khelna chaiye or dekhiye ki akhir kya hai is game me aesa jo isne itne kam time me puri duniya me dhoom macha di jabki abhi to sab jagah launch bhi nahi huaa hai.

Pokémon Go ko Download kaise kare

Jo Game hai wo Launch to ho chuka hai or ham isko Playstore se download kar sakte hai, par abhi India me ye Playstore par avlable nahi hai to ham iska Direct apk download karke install kar sakte hai.

[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://itunes.apple.com/us/app/pokemon-go/id1094591345?mt=8″]Download Pokémon Go from itune[/button]

[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://play.google.com/store/apps/details?id=com.nianticlabs.pokemongo”]Download Pokémon Go from PlayStore[/button]

[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”http://www.apkmirror.com/apk/niantic-inc/pokemon-go/pokemon-go-0-29-0-release/pokemon-go-0-29-0-android-apk-download/download/”]Pokémon Go Direct apk Download[/button]

Friends Pokemon Go Game Download karke Kheliye or dekhiye abhi ke sapse popular game kesa hai..

Aapko ye jankari kesi lagi wo aap comment me bataye or apne dosto ko bhi is Popular Game ke ware me bataye.

Ye Bhi Padhe:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

60 thoughts on “Pokemon Go kya hai or kaise Khelte hai is Game ko”

  1. Sir mene galti se apna pokemon transfer kr diya h konse professor ab aap btaye meeko wo pokemon waps chaiye to kasie aayenga

    Reply
  2. Bhai is game me password nhi bna pa rhe hai kaise bnaye password
    Or
    Nickname dalo to not available bta rha hai kya name dale

    Reply
  3. Bro mujhe bs ye janana hai command se relative quotion hai wo ye ki jb hum cmd yani command open karte hai usme jab hum type karte hai jaha hum jis line mein type karte hai Usse pehle kuch iss tarah ka likha hua hota hai c:/users/fir kisi ka naam likha hota hai jo naam likha hota hai Hume change karna uss naam ko to kese kare apko koi idea ho to plz bataye Nd mujhe ap meri email pe Bhi bata skte my email- tusharmehrolia21@gmail.com plz bro

    Reply
  4. Mere mobile per game to chal gya h but vo ldka apni jgha se hill hi nhi raha h mene idhar oodhar jaaker bhi try kiya h …but start hote smay GPS not found batata h plz help me kamlesh ji

    Reply
  5. Are itna easy b nhii h bhai mne b try kiya h
    direct download krne k baad b India m nhi chlta…..ha par mne fake gps software download krke apni location Australia pr set kr di tb Jake chla h….

    and Rohit bhai Main apna phone root nhi kr paa rha hu
    Main kayi mhino se paresaan hu or mne laghbhg sari tricks use kr li Kingroot,Farmaroot or b kayi h
    bas PC wali trick use nhi ki qki mere pas PC nhii h
    To kya aap meri help kr doge plzzzz

    Mera phone Zen ultraphone 303p h
    plz sacrifice ans. dena

    Reply
  6. Bhai ye game mere mobile me nhi chal rha h..esako open karne pr kuch nhi chalta h or mere mobile ka version 4.4 kit kat hai…

    Reply
  7. Are mene game download kar liya but meko pokemon pakdna nhi aa rha mere isme Pokémon aa gaye lekin kaise paste the ylllly

    Reply
  8. Pokeman game ka jitna halla hua hai…usme mujhe to wo mza nahi aaya. Sabse main baat is game ko khelne me kafi jyaa limitations hai. Vaise apne bhot ache aur simple tarike se game khelne ka tarika bataya hai.

    Reply
  9. dost iske bare news me suna tha par kabhi try nahi kiya aaj isko download bhi kar liya hai dekhta hu kaisa game hai,

    Reply
  10. bahut achhi lagi, Apne uske bare me bataya. Aap Kuchh Naya aur Sabse alag dhundhne me expert ho, tabhi to mai kisi blog ke Alexa ko nahi dekh ke izzat karta hu. iske liye aadmi perfect rehna chahiye, ek bar Mai phir dil se kehta hu, AAP MAHAN HO.

    Reply
  11. Badhiya jankaari hain dost. Lekin India mein Pokemon itna jyada successful nahi ho payega, Kyonki yah Internet jyada use karta hain. aur aapke mobile par acchi internet signal aane chahiye. Aur thodi thodi location ke baad internet ke signal badal jate hain.

    Kaash Bharat bhi Internet ke mamle mein Duniya ke top desho mein shamil ho jata. to Sabse zyada Pokemon Game India mein hi khela jata….

    Reply