Google’s ReCaptcha Best Alternative: hCaptcha for Spam Protection

Website ko banana or usko manage karna usme sabse important point ek ye bhi hai ki Website ko secure rakhe or sath me Spam se website ko bachaye.

Google's ReCaptcha Best Alternative: hCaptcha for Spam Protection - Website

Agar aapki website hai to aap ka kabhi na kabhi Spam comment ya spam message se pala jarur pada hoga, jisme user ya koi script use karke koi bhi fake message send karte hai.

Advertisements

Spam comment ki pehchan kaise kare uske liye aap yaha read kare, badiya Comment kaise kare jate hai..

or agar aap Spam Form se bachna chate hai, taki koi bhi automatic script se spam message naa kar sake to aapko uske liye site me Captcha add karna hoga..

Website Form ko Secure kare hCaptcha se

Jese jese technology badti ja rahi hai, log Spam karne ke bhi alag alag tarike nikalne start ho gaye hai.. to aese me agar hame apni website ko spam message se bachana hai to uske liye hame CAPTCHA service add karni hogi.

Wese Google reCaptcha ke ware me to aap jante hoge, jisme jab bhi ham koi form fill karte hai to hame uspar tick karke verify karna hota hai ki ham ek Human yahi insan hai.

Ussi ki tarah popular Alternative hai hCaptcha jisme H ka matlab hai Human ..

Google wese to hamari or hamare user ki bhut se detail ko track karna hai.. aese me agar aap apne user ki Privacy ke liye Google ke alternative ko agar search kar rahe hai to hCaptcha sabse best option hai.

hCaptcha ko use karna or site par implement karna bahut hi aasan hai.

Jese agar aap WPForms ko use karte hai to uski setting me jayege to ab aapko Spam rokne ke liye 2 option mileage.. hCaptcha or Google’s reCAPTCHA

Google's ReCaptcha Best Alternative: hCaptcha for Spam Protection - Website

User ko Form fill karne me koi pareshani bhi naa ho or hamari site spam se bhi bachi rahe uske liye Captcha ka use karna to jaruri hai.. par bhut se logo ne Google reCAPTCHA ke trickes bhi nikal liye isliye jo sabse best option hai wo ye ki ham hCaptcha ka use kare..

reCAPTCHA setting ki trha isme bhi hame option milta hai Galat Message, Spam Message ko rokne ka or No Conflict Mode ko on karne ka.. Isko site me add karne par website ka look bhi ek Professional lagta hai.

Google's ReCaptcha Best Alternative: hCaptcha for Spam Protection - Website

Jab bhi ham website me kuch add karte hai to ye sabse important hai ki wo Clear ho taki user ko koi pareshani na ho.. to aese me hCaptcha bilkul clear show hota hai or user ko koi paresani bhi nahi hoti.

hCaptcha service ko use karne ke liye simple jab aap Form banate hai kisi bhi ache Form builder se to aapko waha hCaptcha ko Block milega, wass wo aapko apne Form me add karna hai.

Google's ReCaptcha Best Alternative: hCaptcha for Spam Protection - Website

hCaptcha ki jo ek achi baat hai wo ye, ki yw WPForms ko puri trha support karta hai, jiska matlab hai hum badi aasani se isko apne Form me implement kar sakte hai.

At Last:

Last me wass yahi kehna chahenge ki agar aap apni website me abhi tak koi Captcha use nahi karte to aapko aaj hi se start kar dena chahiye, or agar aap Google reCAPTCHA ka best alternative search kar rahe hai to hCaptcha se acha option nahi ho sakta.

Agar aapko hCaptcha se related koi bhi doubt hai to aap Comment karke puch sakte hai or sath me ye batana na bhule aapko ye jankari kesi lagi.

Share on:

Internet Ki jankari ham Hindi Me Share karte hai.. Hamse Judne ke liye Social Network par hame Follow kare!


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

12 thoughts on “Google’s ReCaptcha Best Alternative: hCaptcha for Spam Protection”

  1. बहुत ही बेहतरीन जानकारी देते हो आप, सच में सर आप जैसा कोई नहीं बता सकता ।🙏🙏

    Reply