Reddit se Traffic Kaise Badhaye Blog or Website Par

Reddit se Traffic kaise Badane or High Quality Backlink kaise banaye apne blog ke liye uske ware me ham iss article me janne wale hai, Ummid hai agar aapki website hai to isse aapko bhut help milegi.

Is Article men Men Aap ko Batane Ja Raha hun ke Reddit Kya Hai aur Hum Apne Hindi Blog men Reddit se Traffic Kaise Le Sakte Hen.

Advertisements

Reddit se Traffic Kaise Badhaye Blog or Website Par

Reddit Kya Hai?

Dosto Reddit ek Social Media Site Hai Jahan Pe Log Youtube Videos, Images, Text Posts aur Web Posts Share Karte Hen Zyada Tar English Websites Apne Saare Posts Yahan pe Share Kar ke Buhat Zyada Traffic Receive Karti Hen.

Reddit ko zyada tar English he Use Karte hen Lekin Kuch Waqt se Reddit Per Hindi Users ki tadad Increase Hone Lagi Hai aur Log Hindi SubReddits bhi Banane Lage hen jo Kaafi Popular Bhi Ho Rahe Hen.

Reddit se Traffic Kaise Badhaye

Dosto Reddit se Traffic Lene se Pehle Aap ko Reddit Per Apna Account Create Karna Parega.

Account Create Karne Ke Liye Reddit.com Visit Karen aur Sign Up Kare.

Reddit par account kaise banaye or post kare

ap ki Gmail ID pe Confirmation Mail Ayega us Pe Click Kar ke Verify Kare, uske baad aap Reddit use karne ke liye teyar hai.

Account Create Ho Jane Ke Bad sub se Pehle Aap ko Apne Blog ya Article se Related SubReddits Search Kar ke Join Karne Honge.

SubReddit ko Aap ese Keh Sakte hen Jaise Facebook Groups Hote hen Isi Tarah Reddit men Subreddits Hote, jin Men Lakhon Nahi Balke Karoron Subscribers Hote Hai.

Reddit par post kare or traffic or backlink banaye

Lekin Yad Rahe ke Aap ko Apne Topic ke Mutabik SubReddits Join Karne Honge aur Han Aap Ek Article 1 se Zyada SubReddits men Share Nahi Kar Sakte agar Aap ese Karte Hen to Aap ka Account Block Ho Sakta Hai.

Aap ko Khud ho Ache aur SubReddits Dhondne Parenge jinmen Lakhon ki Tadad men Subscribers Hon.

Us ke Ilawa Har SubReddit Men Apne Apne Rules Hote hen Jinko Follow Karna Lazmi Hota Hai Agar Aap Follow Nahi Karte to Aap ko us Group se Block Bhi Kiya Ja Sakta Hai.

Tip: Reddit Spamming naa ho uske liye bhut jada stricked hai, to aap aesa kuch bhi naa kare jisse lage ki aap sirf spamming kar rahe hai.. aesa karne par aapka Account blog bhi ho sakta hai.

Reddit ko use karne ka jo faida hai wo ye, ki aap waha se traffic la sakte hai to High Quality Backlinks bhi bana sakte hai.

Aaj mujhe Rohit Mewada in HindimeHelp.com pe Guest post karne ka Mauqa diya hai jis pe men un ka Buht Shukr Guzar Hun.

Agar aapko bhi HMH.pe Guest Post karna hai to uski Jankari yaha hai.

Share on:

Hello Friends mera naam Ahmed Nawaz hai aur PakistaniHelper.com meri Website hai jis pe men Internet, Blogging, Mobile Tips & Tricks ETC se Related Information share karta Reha hun.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

50 thoughts on “Reddit se Traffic Kaise Badhaye Blog or Website Par”

  1. Hello Bhai kya mjhe ye bta sakta ho mere blog me abhi kya kya kamiya hain plzz help me ..maine phli bar blog bnaya hai

    Reply
  2. hi sir,
    thanks for sharing information but,
    maine pahle bhi try kiya tha lekin muje baclink nahi mme le please help me sir.

    thanks

    Reply
  3. sir youtube pe adsense fully aprooved hai kya usme ad unit create karke blog pe laga sakte hai kya?
    youtube ke adsense pe koi problem toh nahi ayegi na. Please answer

    Reply
  4. Vishal Singh
    Reddit is one of the most hottest and a goldmine for quality and highly targeted traffic for websites. I’m using this technique for around two months now to attract massive audience to my blog and other websites.And this really works well!
    best of luck Rohit Mewada

    Reply
  5. Bhai Mene reddit pe account bnaya tha aur jesa ap ne btaya same wese hi kiya tha aur bhai mujhe itna traffic mila k mein bta ni skta hun.. so reddit is the best

    Reply
  6. bahut hi behtareen jankari di hai. yah mere liye bahut hi upyogi hai. aapki website par hamesha hi kuch na kuch naya seekhne ko milta hai . jo ki hame prerit karta hai.
    Apka tehe-dil se sukariya

    Reply
  7. Reddit is one of the most hottest and a goldmine for quality and highly targeted traffic for websites. I’m using this technique for around two months now to attract massive audience to my blog and other websites.And this really works well!
    best of luck Rohit Mewada

    Reply