Is post me, Main apko Revenue-hits Ads Network ke bare me bataunga. Jo Google Adsense ke bad sabse achha vikalp hai paise kamane ka..
Hum jante hai ki Google Adsense ke Ads lagan ke liye humara Blog 6 mahine purana hona chahiye aur kam se kam 40 se 50 badhiya post bhi hone chahiye. Hum Blog(Website) isliye banate hai ki isse hum kuch paise kama sake. Par jab humara Blog(Website) new hota hai to hum Google Adsense ke Ads nahi laga sakte. Aise me Revenue-hits achha vikalp hai paise kamane ka. Google Adsense ke liye kya kya jaruri hai yaha dekhe
Page Contents
Revenuehits Kya Hai ?
Revenuehits ek Ad Network hai site hai jise MyAdsWise Ltd. Ne 2008 me suru ki thi. Revenuehits ek different Ads network hai jo CPA Ad Network par Bassed hai. Jo visitor dwara kiye har Action pe hume paise deti hai. CPA Ad Network CPC ya CPM se thoda agag hai. Jab koi visitor humare website me dikh rhe Revenuehits ke Ads pe kaisa bhi reaction karta hai to uske bhi hume paise milte hai.
Ye Ads Network bhi tri kare.
Kitne Format Ke Ads Hai Revenuehits Me ?
Revenuehits 8 formate ke Ads provide karti hai
- Banners
- Popunders
- Slider
- Shadow Box
- Top Banner
- 158*21 Button
- Footer
- Interstitial
5 Mobile Formate ads bhi jo Mobile ke liye best hai
Aap alag-alag format ke Ads unit create kar ke Ads laga sakte hai apne Blog(Website) me.
Ads kaise Lagaye Blogger me HTML Widget ki madad se uski jankari yaha hai.
Revenuehits Ki Khubiya
- Revenue-hits ka CPM rate dusre Ads Network se achha hai.
- Aap apne hisab se Ads choose kar ke laga sakte sakte hai.
- Sign Up karte hi turant Approval ho jati hai.
- Isse Minimum 20$ Payout le sakte hai.
- Revenue-hits ke Ads humare Blog(Website) pe widget ki tarah adjust ho jate hai jisse visitor ko koi paresani nahi hoti post padhne me.
Revenuehits Payment Kaise Karti Hai ?
Revenuehits Paypal, Payoneer, aur Wiretransfer ke madhyam se Payout karti hai. Jisme hum Paypal ke dwara Minimum 20$ Payout le sakte hai.
To ab aap jan chuke hai ki Revenue-hits kya hai aur ye kaise kam karti hai. Agar aap Account banana chahte hai to niche button par click kar ke asani se bana sakte hai..
ab aapko form bharke apna account banana hai.
Revenuehits Account kaise Banaye (Video)
Apko agar Account banana me dikkat aa rhi ho to is Video ko dekhiye jisme Details me bataya gaya hai Revenue-hits Account kaise banaye…
Yah post apko kaisi lagi aap apne comments jarur de. Aur Hindi Me Help ko Subscribe karna bhi na bhule…Dhanywad!
rohit ji aap mera site thoda dekh lijiye usme kya kami h
aapke home page par 6 post show ho rahi hai.. unko 9 ya 12 kare.. or jo popular post ka number aapne 10 kar rakha hai unko thoda kam kare.. taki wo sab sahi se fir bethe.. badi aapki site ka design baduya hai.. or aapne topic bhi badiya select kiya hai side ke liye.
ek or suggestion aapke liye.. aapki side ka naam bhut badiya hai or unic bhi hai.. aapne uska jo page banaya hai.. usme se freecharge hata de.. sirf jo aapki site ka naam hai wo rakhe.. Cool lagega. :)
sir iske code kanha se milrege plzz help me
aapko account me login karke..
Bhai rohit maine apne blog pr aapki template upload ki h lekin ab mera blog myytdotin ki tarah show ho rha h.
Hindimehelp ki tarah show kyu nhi ho rha kya ye koi alag template h.
Thoda detail me btaye
wo meri hi site hai.. or wo hi template hai.. mera ye blog wordpress par hai..
hallo,Rohit
mne youtube pe 10 din phle 1 video upload kiya thaa jo ab tak 1000 dekha jaa chuka hai aur ushka time duration hai 38 second .muje ye help chahiye ki ushe google adsence monetize kiya jaa skta hai yaa nhi
yaa phir aap koi aisi website btaao jo ushe monetization de ske
aap monetize kar sakte ho..
I am big fan of you… meri website sirf apki wajah se bani hai.. adsense ka first step v approve ho gya bas 2nd step baki hai.. waise mere site ki 6 month nhi hua hai and 70 post hai mere site pe aur per day 150 – 200 viewrs ho rhe hai.. av 17 day huye hai site banaye huye. meri help kro bhai agr adsense aprvd nh hua toh mge ye btao ki adsense ke alwa sbse acha advertiser kon hai.. . bdvertiser, revenuehitz, infolinks, etc.. kya ye sb v ads dekhne ke paise deti hai ya ads pe click krne ke sirf paise deti hai. mughe insbe ke bare clearly kch samgh nh aa rha hai..
agar aapka adsense account approve ho gaya to aapko inki kisi ki jarurat nahi padegi.. par aapne kaha ki 17 din to jaha tak muje pata hai 6 mahine ke phele bhut logo ka account approve huaa hai par fir bhi 1-1.5 mahine to lagte hi hia.. aap apne site ki traffic badane par diyaan de.. jab tak aapka account pura approve hoga to aapki income bhi achi hone lagegi… 200 visitor me to naa ke barabar income hogi..
Kya hum adsense ke sath revenuehits use kar sakte hai?
haa bilkul kar sakte hai, bas popup ads nahi hona chaiye jisse adsense ko problem ho.
Main ye jaana chahta hun ki bina domain purchase kiye
.blogspot.in par bhi adsense approve ho sakta hai ya nahin yaa domain purchase karna jaruri hai ?
BLospost par ho adsenes laga sakte hai.. ye google ki hi service hai to isme koi dikkat nahi hai.
Bhai rohit revenuehits se 10,000 pageviews pr 25$ se 30$ milte h kya? yr itne toh adsense se bhi nhi mil rhe. Adsense me toh 10,000 page views pr lgbg 7$ milte h.
Or bhai rpm kaise bdau maine ek jagah pda tha ki ek din aapki rpm 7.46$ thi 6000 pages view pr aapko 30$ mile the. M itne kaise bnau.
Or abhi aapki average rpm kitni h? meri to 0.50$ h bus.
aapki income kam hone ka karan aapka RPM hai.. mera average 5$ rhata hai.. or revenuehits ka muje nahi lagta itna milta hoga par ye ek guest post hai to iske bare me muje pura conform nahi hai.
aap jo low paying ads hai unko block karde or ads ki location sahi rakhe.. dhire dhire badte hai RPM.. starting me mera bhi itna hi tha..
bhai ye revenuehitz site theek tarah se kaam nhi kar rahi
Kya dikkat aa rahi hai
Muje blogger pr comment krna h toh m konsi id chunu mtlb google+ profile ya name/url ya ir kuch
Agar name/url chunta hu toh phir mera photo nhi aata h or ydi google+ chun leta hu toh photo aata h lekin click krne se website nhi khulti kuch btaye
Google+ se kare Blogger par.. Uspar image nahi aati email id se
Sir bataya ni dosto ko mcent kase refer karu.or you tube se ya bloger se paise kamane ke liye computer ka hona jaruri hai kya
MCent me refer ka option hota hai.. Usme jo link hai wo hame share karni hai jiske bare me mene mCent ki post me bhi bataya hai..
Nahi jaruri to nahi par bhut se kaam hai jo sirf computer se hi hote hai
Bhai mera blogger pr ads nhi lag pa raha hain. Main jo code dalta hu vo code ke rup me hi dikhta hain.
kya aap mere blog pr ads laga denhe. Main aapko apna id aur passward batau.
Sir please ku6 upaye batado jisse mai ku6 paise kama saku
youtube or blogger best platform hai.. par iske liye aapko inka concept sikhna padega.. kais incokme hoti hai.. inke bare me mene site par bataya hai
Rohit bhai… Maine apse ek sawal puchha tha k agar ham koi blog banayen. aur aur us par apki tarah jaise ap hindi ko English me likhte ho (ke words English ke hote hain aur uchcharan hindi ka hota hai) to iske liye hame bhasha kaunsi select karni padegi? Hindi ya English.? Please is baar jawab zaroor dena.. Aur bhai zra jaldi bhi dena… Thankyou…
Hindi Language select karege. par English bhi kar sakte hai.
Hello rohit maine gravatar pr account bnaya tha lekin m jb bhi khi comment krta hu toh mere naam pr click krne se meri google+ id khul jaati h. Jbki aapke naam pr click krne se hindimehelp open hoti h. Aisa kyu h or meribhi aise hi website open hono chaiye tarika btaye.
aesa nahi hai.. aapne yaha comment kiya hoga wo Google+ ki ID se kiya hoga.. aap issi comment ke aapke naam click kare.. aapki site hi khulegi.
sir maine aapki post ko padhkr ek website banayi hai blogger pr. kya aap bata shakte hai ki jo add website pr lagayi jati hai to website ko kholne ke paise milte hai ya add ko kholne ke. sir mere blog pr 2029 pageviews hai sir mai ye janna chahta hi kk pageviews se hame paise milege ki nahi
Page views se koi paise nahi milte.. Ham jo ads lagate hai uske dekhne par bhi paise milte hai par bhut kam or agar koi click karte hai ads par to usse thode jada Post milte hai
sir kya aapne ise use kiya hai. kya isse chitika se jyada earning hogi
Sarif aap apni site ki link Website ke box me dale jab comment kare.. comment me se aapki link delete kardi jayegi..
Mene isko Tri nahi kiya or aap dekhe ye ek guest post hai.
bhai koi template 3 slide wala
yaha dekhe
bhai you tube chhanal ka naam kaise change karna h gmail se plz deails me bataye plz plz plz help kya kya karna h pura details me
aap Google+ par uska naam change kare jis naam se aapki channel hai.. change ho jayega.
Nyc Post Bro !!
Thanks…
Google Adsense ka to mujhe pata nahi par Chitika se jyada earn kar sakte hai Revenuehits Ads Newtwork ke dwra….!!
Maine Ise Try kiya hai. tabhi maine ye “Guest Post” likhi hai…
Akhir main galat jankari kisi ko kyon dunga….isse mera kya fayda hoga!
Mujhe Revenuehits ka concept achha laga isliye maine ye Post likha hai.
hello bhai agar mai aapki website se photo aor post copy karke apne blog par share karunga toh yeh copyright hoga naa.
lekin
mai aapki website se Koi Bhi HTML code copy karke share karu toh yeh bhi copyright hogo
haa bilkul.. par agar me kuch share kar raha hu.. to aap usko meri post ke jariye share kar sakte hai.
Sir mcent se refer kaise kare .or mcent ke alava koi or app hai jisse ku6 inkam or ho sake
Sir mcent ko refer kaise karte hai .or mcent ki tarah koi or tarika bhi hai jisse aasani se paise kama saku
Ha sir Mujhe Aap jaishe Help krna hai
haa to aap bilkul kar sakte ho.. isme me aapki kya help kar sakta hu.. aapko jo aata hai wo aap share kare apna blog bana kar.
Sir….
Main Ek Help site bnana chata hu but mere pass pc nhi hai koi Solve de…..
aap Net Cafe se manage kar sakte ho.. kuch kaam monile se bhi ho jayega par kuch kaam aese hai jo computer se hote hai.
Hello bhai mujhe ek baat bataiye jaise ham blogger blog ko blogger.com par jakar chalate hai aor ise andriod mobile se bhi chala sakte hai. Aor isse blogger application se bhi chala sakte hai.
Ab mujhe yeh janna hai ki word press kaisa sistam hai. Aor yeh kaise kaam karta hai. Kya isko mobile se bhi chala sakte hai…
Bhai puri detail mei bataiye wordpress ke baare mei…
Bhai koi aesi plagiarism wali website btaye jispr ham ye jan sake ki hmara article kitna genuine hai aor kitna copy……..vese google pr search kro bhut sari website aati h pr koi kuch btati h koi kuch……aap koi aesi website suggest kare jo bilkul sahi btati ho…..
http://www.smallseotools.com
siR mAinE eK bLogGer mE eK bLoG bAnAyA hAi
[ Official Fb Status ]
kE nAmE sE iS pAr kiSi kO kOi pRobLeM tO nAHi hAi yA mUjHe kOi pRobLem To nAHi
Isme kesi problem.. Aap bilkul bana sakte ho.
Aapne ye kese type kiya hai.. Padne me sirr dard hone laga ?
bhai mene jo weebly ki post
send ki h uska rply mere pas
abhi tak nai aya aap is par kar
ke dekhe hindimehelp2@
gmail.com
Reply
bhai apne kaha ki adsens me copy contant nai hona chaiye to hm img kaha se download karen or kya hn post pahle notpad me likhkar bad me use copy karke past kar sakte h kya adsens man jayega
Image app creative common use kare.. Mene uski kuch sites ki list share ki hai ek post me..
Copy kar sakte ho par copyright © nahi Hona chaiye.. Khane ka matlab hai aap kabhi bhi likho.. Wo aapka hi to rahega to copy thodi khalayega.. Net par phele se nahi Hona chahiye bas
Sir mane mcent pe ku6 paise kamaye hai lakin wo sirf mobile use ke liye hi jo pate hai kya koi tarika hai ki ye paise me kisi ko transfer kar saku .or koi aisa hi tarika hai jisse me ku6 paise or kama saku jo simple jo or kam se kam paise jisme lagane pade mai mobile se kam kar pata hu mare pass computer ni hai please koi paise kamane ka simple tarika bataye mujhe
Aap mCent se dusre number par gift kar sakte ho jinka ispar account hai.. Or isme sabse main income to jab hoti hai jab aap apne Dosto ko refer karege.
bhai apne kaha ki adsens me copy ki hui cnntant nai chalti kya me aise kar sakta hu ki mene pahle apni jo post h use pc me wordpad ya notpad me likh liya or bad me waha se copy karke or past kar du
Aare copy karne se matlab hai kisi or ke likhe huee nahi Hona chaiye.. Jo phele se kisi site par likhe huee ho.. Aapne to copywrite ka matlab hi badal diya…
Aap kahi bhi likho usse thodi kuch hota hai
hahahaha bhai itna gussa mt kro
kya karu, ek hi saball 10 bar puche or jis sabal ka koi matlab hi naa ho to gussa to aa hi jata hai.. :)
Kitna bhi try kar le par 6 mahine se pahle hum Apply hi nahi kar sakte Google Adsense main..!
Main pahle hi try kar ke dekh chuka hun.
Meri mane to 6 mahine intejar karne me koi harj nahi hai..kyonki 6 mahine tak agar hum achhe post dalenge to visitor bhi badhenge jisse jab hum 6 mahine bad Adsense ko Apply karnege to turant Approval hone ke chances rahenge…aur Aproval hone ke bad achhi kamai bhi hogi…!!
Bilkul sahi kaha vinay ji
bhai ap koi simple jaisa apke pass h mere blog ke liye 3 slide template btao na ya link de do jisme sab feture ho custom ho plz mene dekh liya nai mila or ha jo mila usme powered by blogger remove nai hota
yaha list me dekhe apni pasand ka template
Sir mein apne blogger se about us page ko menu mein kese add karo
bhai jaise ki maan lo mere blog ko sirf 2 month huye h lekin us par 20000 visiter h to kya google adsence 6 month pure huye ye dekhta h ya tarrif dekhta h or wo 6 month se pahle approv bi ho jata h kya
Sabse pheli baat visitor bhale zero ho.. Usse koi fark nahi padta..
Or unki term conditions me 6 month diya huaa hai.. Or jo points mene dale hai aap unko pado.. Agar wo sab hai aapki site par to aap 6 month ke phele bhi apply karke tri kar sakte ho..
Bhai agr me kahi se koi article copy kr ke dalu aor usme niche likhu….source – website name…..to thik rahega na….copyright to nhi hoga na…..
Aor agr me sare article apni website pr aese hi dalu to..mtlb ke copy kr ke dal du aor unko credite de du to……
Nahi, Agar aap aesa karege to sabse main to aapki site ki koi value nahi rahegi.. Jo koi visitor Gali se aapki site par aa bhi jayega to agli bar jaha se Aapne copy kiya wo usse site par jayega. AdSense bhi approve nahi ho sakta aesi site par.. Or thoda bhut copy karke link dedo to kisi ko dikkat nahi hogi par pura hi copy karo unki mhanat ko to sabko dikkat hogi.. Aesa idea apne dimag se hata se alag aapko lambe time tak blogging karna hai to..
bhai jaise ki ye mere koi yt page ki link h https://m.youtube.com/results?hl=en-GB&gl=IN&client=mv-google&q=popluhelp&submit=Search adfly se hm sirf url hi chota kar sakte h ya page ki link bg
Koi bhi link ho.. Kis chij ki link hai usse koi fark nahi padta
kya me apne you tube ka name change kar sakta hu or me apnd u tube ke adsence ac ko blog par jod sakta hu ya mujhe alag se 1 or bnana hoga
Aap youtube ka naam bilkul change kar sakte ho.. Uske liye aapko uske google+ page me uska naam edit karna hoga..
AdSense ko youtube ka hai usko hi aap use kar sakte ho site par bhi.. Uske liye aapko blog add karke apply karna hoga adsense account me
bhai aapne kaha ki apki site par 20000 pageview par day aate lekin es post me jo video h us par sirf 13 view h wo bhi pahle ke to apki site ka kya fayda 1 bhi visitor ne nai dekhi video btao apki site ko din me 100 bar to me open kar ke dekh leta hu or ha apki hmh ki video par to 1000 1500 view hi h bas
Agar aapko dikkat hai to bataiye me aapki post hata deta hu.. Mene phele hi bataya tha ki kitne bhi views aaye me uske bare me koi garenty nahi leta.. Aapko meri rank pata karlo alexa.com par para kar le.. Aapko sirf backlink milegi mene uski garenty li hai.
Aap 100 bar kholte ho usme se kitni bar video ko dekhte ho usse hi andaja laga lo.. Kitne log video ko dekhte hoge..
bhai aapne kaha ki apki site par 20000 pageview par day aate lekin es post me jo video h us par sirf 13 view h wo bhi pahle ke to apki site ka kya fayda 1 bhi visitor ne nai dekhi video
mene aapko email me kaha tha.. Ki ye aapke promotion ke liye nahi hai.. Or main aapko sirf ye Faida hai ki aapki blog ko backlink mili jisse google rank me aapko Faida milega.. Jo aap 13 views ka bol rahe ho to uski bhi me koi bada nahi karta.. Aap khud ko ek visitor ki jagha rakho.. Kya sab log karte hai link par click..
Agar aapko backlink ki kimat pata hoti to aap ye comment kabhi nahi karte.
bhai mene you tube par video upload ki or usme mene apni site ka naam bhi bola video me ki ye meri site h lekin ab mene site ka naam change kar liya to kya me us video ko edit karke wapas kar sakta hu
Aap youtube video editor me kar sakte ho.
bhai mene jo weebly ki post send ki h uska rply mere pas abhi tak nai aya aap is par kar ke dekhe hindimehelp2@gmail.com
bhai apnd upar coment me likha h ki free domain .tk wala na le .tk lifetime ke liye free hota h kya ya ese kya problam aa sakti h free wale me or purchas wale me kya anter h
Free wala sirf ek saal ke liye hai.. Uske baat wo dono saal ke paise ek hi saal me le lege.. Itna jada charge hai us domain extension ka..
Ek baat Hamesa diyan rakho.. Kahi bhi kuch bhi free me mil raha hai usme jarur jo de raha hai uska matlab hota hai.. Me kabhi kisi ko free ke liye suggestion nahi deta.. Bese bhi itna jada charge bhi nahi hai ki itna jada sochna pade.. Agar domain nahi le sakte to free blogspot hi use kare.. Usme bhi koi problem nahi hai
bhai koi sasta ya kam rupee me domain name h kya mujhe abhi purchas karna h
aap google me search kare.. Godaddy 99 Domain fir jo ads aayege uspar click karke domain kharid le..
Google Chrome Browser me search kare.. Computer par
rohit bhai mere blog ko 2 month ho gaye kya me us par adsens aprov kar sakta hu
aap ye post pade.. isme mene jo points bataye hai to aapka blog jarur approve hoga
Rohit bhai winRAR softwear mere laptop me pehle se install hai, ya phir jo ap ne winRAR sofwear dala hai apni site pe wohi download karun tab khulegi.
nahi, agar phele se hai to double se karne ki jarurat nahi hai.. aap uski madad se file extract kar sakte hai.
Rohit bhai. maine apka template download kiya tha lekin RAR file open nahi ho rahi hai. please ap mujhe apna template email kar do. badi meherbani hogi…
Winrar software me khulegi.. Uski link bhi mene post me di hai
bohot achhi jankari hai.. vinay singh aapne kuchh thoda bohot iski income pe roshni nahi dali. jaise agar kisi ke visitor 1000 hain tab uski ek din ki kitni income ho sakti hai. thanx
10000 visitor pe 25$ – 30$ Earing kar sakte hai…
Aap khud hi andaja laga sakte hai…!!
Vaise bhi ye visitor ke bihavior par nirbhar karta hai ki aap kitna Erning kar sakte hai.
Thanks Rohit Ji…
Post Ko Jaldi Publish Karne Ke Liye…
Most WellCome :)
Sir 1 baat btaiye ki is par sign up ke liye maine apna url dala to invalid bta rha tha aur haa sign in kaise krte hai isme sir aap mere kisi bhi reply ka ans kyu nhi dete