Hello Friends, Aaj Date hai 27/05/2018 yani ki mera B’day.. isliye ye din mere liye Special to hai ki, par jo log mujhe chahte hai , Mujhe pasand karte hai, jo muje support karte hai unki baja se ye din mere liye or bhi jada Special Ban gaya hai.
Mere Bhut se Friends hai jo mere ware me jaana chahte hai or unke bhut se sabal bhi hai jinka jabab abhi tak kisi ko nahi pata hai, par aaj me mere wo sare raaj open karne wala hu.. Kuch bate to aesi hai jo abhi tak mere alawa kisi or ko nahi pata hai.
Sabse Pehle Baat karte hai me pehle kis type ka banda tha, kya karta tha, kya soch thi meri or kya karna chahta tha wo jaan lete hai uske baad jo Sawal hai unke jawab diya jayega.
Page Contents
- Meri Life ke Top Secret
- Rohit ki Life se Jude Secret Sabalo ke Jabab
- Rohit Mewada ki GirlFriend Hai ya Nahi ?
- Computer me konsa Course kiya hai ?
- Sabse Phela konsa Blog banaya ?
- Blogging me sabse pheli Post konsi likhi ?
- Family me or koi bhi Blogging karta hai ?
- Blogspot par Blog tha jab kitni Income thi ?
- Jab Blogging start ki to kitne din me Stable ho gaya ?
- Kitni Age se Blogging Start ki ?
- HindiMeHelp Income kitni hai ?
- HMH kitni Post hai or kitni Delete ki hai?
- Mene Padhai me Kya kiya hai ?
Meri Life ke Top Secret
Me ek aise kism ka ladka tha, jo andar hi andar bahut kuch sochta tha, or andar kya chal raha hai wo kisi se share bhi nahi karta tha.. q ki mujhe kahi na kahi aisa lagta tha ki me agar kisi se share karuga to wo samjega nahi or sayad mera majak bhi udaye.
School Time me 8th class tak to kuch extra nahi kiya.. Normal School se ghar, TV, Khana-Pina, Sona wass ye hi sab normal chalta raha.
8th Class me pehli war mene Computer ko use kiya School me, uss time to usko chalu kaise karna hai ya band kaise karna hai iss baat ne hi pasine chuda diye the.. par dhire dhire thoda knowledge bada..
Ab Internet bhi kuch cheez hoti hai, jiska use karke ham kuch bhi dekh sakte hai, kuch bhi search kar sakte hai aesa pata chala.. to wass ab isme thoda interest jag gaya.
Ek war mere ek Friend ne online Map par uske ghar ka naksha dikhaya, par ye usne kaise kiya ye usne nahi bataya.. Wass Fir kya tha Net Cafe ke chakkar lagna chalu huee, or Internet par pata nahi kya kya search karte, Game khelte.. Fir aise hi dhire dhire bahut si chijo ke ware me pata chala.. or WikiMapia ek site hai jis par ham apna Map set kar sakte hai ye bhi pata chala..
Fir Kya tha Map set karke, mere uss friend ko bataya jo nahi bata raha tha ki usne kaise kiya.. wass ye sab chal raha tha..
Yaha par jo sabse Interesting baat thi wo ye, ki Jab bhi Net Cafe jate the to wo hamara Naam or Mobile Number puchte the.. aise hi security propose ke liye.. Mere Mind me ye pata nahi kaha se aa gaya, ki yaar aisa naa ho me kuch ulta kardu or muje police utha le jaye, isse bachne ke liye me apne Friend ka Naam, Uska Address, or uske ghar ka Number use karta tha Cafe par ;)
Me Net Cafe itna jata tha ki jo Uncal the unko mera naam hi yaad ho gaya tha (jo mera nahi mere friend ka naam tha 😜..), Hit to ek war jab hui, me jis Friend ka naam use karta tha me ussi ke sath cafe par net chalane gaya, to uncal ne mera naam direct likh liya bina kuch kahe ya puche, or last me jab ham nikle to mere friend ne wo naam dekha.. to waha se jane ke baad usne mujse kaha, dekha beta kitna Famous hu, Uncal ko bina bataye unhone mera Naam likh liya 😂😂😂.., mene kaha haa bhai tu to bhut bada wala nikla yaar, or andar hi andar thoda hass bhi liya 😝..
Meri jo Pocket money huaa karti thi wo aese hi Net chalane me khatam ho jati thi, baki mera or koi sok bhi nahi tha.. ye sab 12th tak chalta raha, uske baad Bhopal aa gaye Engg karne.
2010 me jab me Bhopal aaya tha, Engg karne uss time mere pass Samsung Champ Mobile tha, jisme 2g net chal jaya karta tha bhut hi slow speed me, to wass aese hi thoda bhut net par kuch bhi search karte rhete tha, kahi Songs Download kar liya ya Fb open karli..
Ek Din aese hi collage me baat chal rahi thi, GF-BF ke topic par, usme aese hi kahi se Love Guru ki baat nikli ki jo Pyaar karte hai wo unko tips dete hai unki Help karte hai. 😇 Fir Kya tha iss sararti dimag ne fir kuch ulta karne ka socha.. to net par apne uss chote se mobile par search kiya, par jada kuch mila nahi.
Mene search ki Love Guru website, par kuch nahi mila.. par aese hi search karte karte me ek website par phucha jiska naam hai Peperonity, jispar ham Mobile se Blog ya Page bana sakte hai..
Mere pass computer to tha bhi nahi ki me uske ware me jada kuch search karu.. wass aese hi use karte karte pata nahi kaha se, kaise mene usme account bana liya or LoVoGuRu naam se ek blog bhi bana liya 😜 jiska maksad tha ki jo bhi ladke ladkiyo ke message mere pass aayege unke maje liye jayege. wese bhi Pyaar Vyaar me koi interest tha nahi, wass dimag ulti sidhi chijo me bhagta rheta tha, jo me kisi se share bhi nahi karta tha.
To ab uspar apna blog bana liya apne chote se mobile se, uspar logo ke message bhi aane lage, phele to kuch bhi ulta sikha reply kiya.. par kuch aese question aaye ki me thoda series ho gaya, or jo muje sahi lagta sirf wo hi batata or help karne ki kosis karta.
Ab Jab Engg ke 2nd Year me aaya to Papa ji ne thodi Jid or Request ki to unhone Laptop dila diya.. Mechanical Engg me AutoCad ke aalawa to koi jada kaam bhi nahi tha Laptop ka, or usko ek mahine ki coaching karke usko pura sikh liye.. ab kuch time baad ye samaj hi nahi aa raha tha ki ab iska sahi tarike se kya use karu.. thoda bhut FB, Songs Download, Game ke aalawa koi or use hi nahi tha laptop ka..
Fir ek din aese hi jo mere Room Partner the, jinki CS Branch hi thi wo aese hi kuch baat chal rahi thi to unhone kaha me to Project me Website banaoga. Ye Baat sunne me itni badi lagi uss time ki khud ki website 😍. Website kaise banti hai kese kya hota hai kuch pata nahi tha To unse jaanna caha, par sahi baat to ye thi unko bhi website kese banti hai uske ware me jada jankari nahi thi.
Ab Net par mene apne Laptop me search kiya How to create a Website, wass yaha se jo meri Blogging ka safar hai wo ho gaya start.. mera din wa din usme interest badta gaya, me collage se aane ke baad laptop me ghus jata, or pata nahi kya kya naya sikhta jada or apni site par implement karta jata. Mene apna website Blogger par hi banai thi or blogspot domain hi tha, muje ye tak bhi pata nahi tha ki isko Blog khete hai.
Roj ka time table ban gaya tha, kuch naya sikhna hai or apni site par implement karna hai, aesa karne me bhut war to raat ka pata hi nahi chalta tha. subha hogai uska pata bahar se roshni aane lagti jab pata chalta tha.
Agar aapko Meri Blogging ke ka safar kese start huaa or mene kya kya kiya wo sab janna hai to aap meri One Year Success Story Padh sakte hai.
Issi Bich mera Interest Hacking me bhi bada, or Kuch Facebook Account or website bhi hack ki, Hacking ki kuch interesting baat batata hu:
Hacking Case 1: ek din mera bhai FB chala raha tha, koi Girl ki ID open thi or jo Room Partner the wo wahi bethe the, to ek ne mere bhai ki ID se uss ladki ko message send kiya “HII”, par jese ki ham sab jante hai ladkiyo ke pass itna time nahi hota ki wo reply kar paye kisi anjan ladke ke Hii ka to jo Room Partner the unhone ek or Message send kar diya.. “Reply kar nahi to teri ID hack kar luga” to ab ladki ne reply kiya “tere baap me dam ho to hack karke dikha, mera BF Hacker hai“..
Ye baat muje thodi achi nahi lagi jab mene uska aesa message dekha.. usne mere bhai ko to uske baad block bhi kar diya.. to ab mera kaam start huaa q ki muje usko sabak sikhana tha, ki tikh hai aapko baat nahi karni thi aapka BF hai , par jo Baap ki baat kahi wo nahi karni thi, ab moka tha muje apna talent dikhane ka..
Mene apni ID se usko friend request send ki or 2 fake account turant banaye or unse request send ki uss ladki ko, or 3 trusted friend Technic se uski ID agle din hack karli.. par muje kuch galat nahi karna tha wass usko sabak sikhana tha.. to mene uski id par ek Status share kiya –
“Mera jo Boyfriend hai wo bhut bada Hacker hai, Ab wo meri ID recover karke dikhayega, jo RNHCKR ne hack kari hai”
Hacking Case 2: Mene ek Virus software banaya tha, jisse hota ye tha, jis computer me wo run ho jaye usme Facebook site open karne par meri site par redirect ho jata tha, or agar koi Porn site open karte to bhi redirect hoke meri site open ho jati.
Ye Virus mene apni site par bhi dala tha jo automatic download ho jata tha jo bhi website ko open karta tha, or mene usko Collage ke jo computer the usme bhi run kar diya tha.. to ab meri site par acha traffic aane laga
Par uska Faida kya tha, muje iss time tak ye pata hi nahi tha ki website se paise bhi kama sakte hai. 😒 , kher mera aesa kuch irada bhi nahi tha.. wass me sabko sudhar raha tha ki galat site ka use karna band kare 😆😆
Iske baad.. Jab engineering Complete hui to mere pass 2 option the.. Job karu ya aapna passion ka kaam karu..
Or mene blogging ko select kiya.. Jiski starting me bhut dikato ka samna bhi karna pada.., starting me hosting ke paise bachane ke liye 1 mahine dono time khana tak nahi khaya..
To ye rahi meri Life ki kuch interesting bate jo aaj se phele kisi ko nahi pata thi, par ab mere sabhi dosto ko pata chal jayegi, or isse aapko thoda or ye samajne me aasani hogi ki me kesa banda hu 🙂
Chaliye ab jo kuch Question hai unke jabab jaan lete hai
Rohit ki Life se Jude Secret Sabalo ke Jabab
Rohit Mewada ki GirlFriend Hai ya Nahi ?
Agar aapne meri upar ki bate read ki hai to iss question ka jabab aapko mere dene ke phele hi mil gaya hoga.. Mera isme koi Interest nahi tha or ek Baat jo mere Papa ji ne muje kahi thi kahi na kahi wo mere dil or dimag me beth gai thi wo bhi ek karan hai.
Mere Papa ji ne kaha tha “ijjat banane me puri jindgi lag jati hai or bigadne me ek second nahi lagta, to beta kuch bhi aesa kaam nahi karna hai apneko jisse apni jo ijjat hai uspar thodi bhi aacha aaye” or me kisi ke ware me galat nahi soch sakta tha ye nature mera phele se tha.. to agar me GF banata to ussi se meri shaadi hoti, fir chahe uske liye me muje kuch bhi karna padta.. or me iske liye apni Family ke khilaf bhi nahi ja sakta tha, to yahi karan hai ki mene koi GF nahi banai.
Pata nahi Q par mera Dil me bhut phele se ye baat hai, Dil diya jayega to sirf ek ko, or jisko diya jayega wo hi life time sath rahegi.
Mere Pass Kuch Offer bhi aaye the, par muje kisi ke sath Time Pass nahi karna tha so mene koi response nahi kiya. Ek ladki to itni jada gusse me aa gai thi jab mene uska koi response nahi diya to usne muje dhamki di thi ki “Tu ab Chan se nahi ji payega”
or jo ye sabal tha ki meri shaadi hui ke nahi, to buddy’s me aapko abhi shaadi ke layak bhi lagta hu, abhi to bacha hu yaar.. kaha muje in jhanjato me fasa rahe ho.
Computer me konsa Course kiya hai ?
Mene koi course nahi kiya, jo bhi muje aata hai naa wo muje kisi ne nahi sikhaya .. Jitna kuch bhi muje aata hai wo me khud se sikha hu.. Haa Hacking me jab thoda interest tha, or thodi bhut hacking banjati thi to Hacking ka ek Event tha 2 Din ka wo jarur attend kiya tha..
Sabse Phela konsa Blog banaya ?
Agar sabse phela blog ki baat karu to wo mene apne Chote se Mobile se hi banaya tha LoVoGuRu jo peporinity.com site par tha. uske baad Laptop aane par jab thoda isme interest jaga to RNHCKR banaya tha..
Blogging me sabse pheli Post konsi likhi ?
Blog bana kar jo mene sabse pheli post likhi thi wo thi How to Protect Gmail Account From Hacker.
Family me or koi bhi Blogging karta hai ?
Sirf me Blogging karta hu, baki sabko Blogging ka B bhi nahi pata, or jab kisi ka interest nahi hai to wo blogging kar bhi nahi sakte.
Wese mera ek sapna hai ;) ki jo meri partner hogi.. usko thoda bhut blogging ke ware me jarur pata ho, taki wo samaj sake me asliyat me kesa insan hu.
Blogspot par Blog tha jab kitni Income thi ?
Me apni income share nahi karta hu, par ye jo sabal hai wo aesa hai jiska Blogspot ya WordPress par blog ho usse koi fark nahi padta.. Meri Blogspot par blog tha us time 35k per month ho jati thi, baki aesa nahi hai me isse jada blogspot par nahi kama sakta tha.. wass muje thode jada option chaiye the isliye WordPress par sift karna pada.
Jab Blogging start ki to kitne din me Stable ho gaya ?
Is sabal ka accurate jabab me nahi de paoga, q ki ye muje yaad nahi or stable se aapka kya matlab hai ye uspar bhi depend karta hai.. agar visitor ki baat karu to phele 1000 visitor per day lagbhag 1 month me aa gaye the..
Kitni Age se Blogging Start ki ?
isme me kahuga me thoda late ho gaya.. mene 22 ki age se start ki.. jitni kam age se muje iski jankari hoti aaj me utna hi aage hota..
HindiMeHelp Income kitni hai ?
Me janta hu ye sabal lagbhag mere sabhi dosto ke mind me hoga, or aap bhi unme se ek hoge jo ye janna chate hoge ki akhir meri income kitni hoti hai. Friends me aapko iss sabal ke liye fir se niras karuga, q ki mene agar apni income share ki to jo mera maksad hai wo me pura nahi kar paoga.
me chata hu logo ko apne pero par khada karna, or ek baat me clear kardu paise aap starting se hi nahi kama sakte blogging me.. isme paise kamane ke liye aapko bhut kuch sikhna padega.. to agar mene apni earning bata di to aap usko apni earning se compare karege or fir demotivate ho kar blogging chor dege.
HMH kitni Post hai or kitni Delete ki hai?
HMH par abhi 420 Post hai or jo post kaam ki nahi rheti me unko delete kar deta hu.. abhi puri post ko update karna hai to bhut si post delete hogi abhi to. jo Post kaam ki nahi uska HMH par koi kaam nahi. ;)
Mene Padhai me Kya kiya hai ?
Mene BE ki hai Mechanical Stream se jiska mere Blogging se koi lena dena hi nahi hai, par mera interest tha blogging me to me isme aaya.
Ye baat me har war kheta hu aapka jis me interest hai aap wo kaam karo to success aapko jarur milegi or aapko paise ke piche nahi bhagna padega, Paisa khud aapke piche bhagega.
To Friends, ummid karta hu is post ko read karne ke baad aapko mere ware me bhut si aesi bate pata chali hogi jo aaj tak koi nahi janta tha..
Aapko Meri Life ke secrets kese lage ya inke aalawa bhi agar aap kuch jaanna chate hai to comment karke puch sakte hai.
Rohit bhaiya,
आप ने इस पोस्ट में अपने बारे में सबकुछ बता दिया है,आपकी ब्लॉगिग लाइफ सच में बहुत मोटिवेटेड है ।
आपकी यह पोस्ट बहुत लॉन्ग और पढ़ने लायक है रोहित भाई।
और आपने जो उस लड़की को सबक सिखाया वो भी कमाल की बात है पर यहाँ पर में कुछ कहना चाहता हूँ भैया की आज कल बहुत सारे ऐसे केस होते है जहाँ पर लड़के सिर्फ अपने शौक के लिये किसी लड़की का अकाउंट हैक कर लेते है और उनकी निजी बातों में दखल करते है ,दोस्तों न ही रोहित भैया ने कभी ऐसा किया है और न ही किसीको करना भी चाहिए ।hb
औऱ रोहित भाई आपका रोल मॉडल कौन है ब्लॉग्गिंग में ?
Thanks Ravi.. wese ye aapne kaha sach hai.. or muje galat kaam se to starting se hi duri banane ki aadat hai..
n Brother, Role model jaruri nahi ham jo kaam kar rahe hai ussi field se ho.. or mera bhi aesa hi hai.. mere jo Role Model hai wo hai Dr. A.P.J. Abdul Kalam
Bhopal mai Ap kha rhte ho
Ashoka Garden.. Brother agar aap milna chaho to me MP nagar me mil sakta hu. :)
rohit bhai aapki story prerit karti hai . mujhe apne blog ko lekar madad chahiye kya aap meri madad krenge
abhi jio ke aane ke bad bahut logo ne wordpress par blog banaya ( main bhi hoon ) he ab ap un logon ke ye bataye ki free blog par success mil sakti hai kya agr nhi to ek beginner ke liye asan v sasta host v domain kahan se v kese lena hoga .
Thanks,
Me aapko suggest karuga.. agar aap Paise kharch nahi kar sakte to aap blogger ka use kare.. ya fir aap hosting le kar WordPress self hosted website banaye..
WordPress ke Liye Hosting Kaise Le Uski Puri Detail
bht badhiya rohit bhai and happy birthday bro
Thanks Bro :)
Bro ap se ek ques hai. Mera ek blog hai usko 1 saal+ ho gya he . Abhi uskI Ranking kuch khas nahi hai. Abhi Muje Kitne interval par post karni chahiye. Mera matlab Daily 1 post, weekly ek post? Jis se Ranking or bhi jada improve ho paye. Please answer jarur dena
Brother, post ki quantity se jada jaruri quality hai.. to aap sabse jada ispar dhiyan de ki achi se achi post dale.. or agar quality ke sath sath quantity bhi hogi to ye to or achi baat hai.. khene ka matlab agar aap achi se achi post dalege or daily dalege to isse aapko jada faida hoge. ;)
Not only good story but also a true story. Are yaar itna sab likhta hai koi. (Inspiring)
Mujhe pata tha tum kamal ke ho or wahi nikle. Happy Birthday Again.
Thanks JDK :) wese aap bhi kam kamal nahi ho ;)
Rohit mewada Jo v ho tumhe motivative story likhna chahiye
Thanks Bro.. mr try jarur karuga.. jo mujse jude hai unko motivate karke acha karne ke liye force karu.. thanks for your suggestion bro :)
Rohit Bhai aapne bola ki aap engeyring ke liye bhopal aa gye the to aap rehte kaha ho matlab aapka Ghar kaha he ? ????
Brother me Sehore se hu..
जन्मदिन की सुभकामनाएँ रोहित जी | आपके बारे में जान कर बहुत अच्छा लगा, और साथ ही साथ आपने इतना twist के साथ बताया कब पोस्ट ख़त्म हुआ पता ही नहीं चला |
THanks Brother.. Keep Loving..
Aapki story mazedar thi and very happy birthday 2 you
Thanks Vicky :)
Bhai bahut badiya
Thanks
भाई सबसे पहले आपको जन्म दिन की हार्दिक बधइया और आपकी स्टोरी बहुत बढ़िया है एस पर एक बायोपिक भी बन सकइ है
HAHA Thanks Bro. muje khusi hui ye jaan kar ..
Bhai Mazaa aa gya aapke baare me sb pdhkar ~ very nice sir
Thanks Brother :)
Rohit Bhai Sabse Pehle to aapko janmdin ki dhero shukamnayein. Aap aur HMH aise tarakki karte rahein. Aapko yaad ho to maine morning kuch aise hi post ki request ki thi aapse. Bahut accha laga padh. To bhaiya aap shaadi kab kar rahe ho?? hehe
Thanks Nitish ji jo aapne itna interesting sabal pucha.. jisko mene sabse share kiya.. or sab mere ware me jaan kar exited bhi hai. or rahi baat shaadi ki to uska abhi kuch nahi kaha ja sakta.. ????
Awesome story . Sandip Maheshwari ke videos nd apki baate hmesha helpful rehti hai mere liye . Thanks bro for sharing ur personal life story .
Thanks Brother.. jo aapne muje iss layak samja..
Great share!
Aapne aaj khul ke baat ki aur apne bare me bahut kuch bataya hai,,, Ye mujhe bahut achha laga. Jahan tak mein aapko janta hu aap Itne se khush hone wale nahi hai kyonki mein aapko pichle 2 year se follow kar raha hu jab aapne post ki thi ki “Blogger se .blogspot kaise hataye?”
To aapka dream Project kya hai? Matlab thoda bhaut guess hi sahi but Share jaroor karen. Thanks.
Happy B,day Again,,,
Thanks Bro.. or ye jaan kar bhut khusi huio ki aap muje 2 year se mere sath hai..
or jo aapne post ka kaha ki blogspot kaise hataye.. to mera ye hi maksad tha ki me bina knowlage ke kaise website banai ja sakti hai uski step by step jankari du.. abhi bhut jald me iske uspar ek full guide bhi likhuga.. jisme starting se lekar last tak sab kuch hoga..
Happy birthday bhai…
Aur ye apke bare me rochak story hai. Mujhe pasand aayi.
Thanks Brother :)
Nice story sir.
THanks
Rohit bro sabhi information to ekdam sabhi hai mujhe aapki story kafi acchi lagi ..But ek chez hai Jo Lagbhag sabhi blogger janna Chahte honge .Abhi Aapke blog par kya traffic aarahi hai par day. Itna aap kya Bata skte ho kya .
Brother abhi Google ke updates din wa din aa rahe hai to thoda aasar HMH par bhi pada hai.. 30-40k per day
Happy birthday dear rohit bhai.Sorry for very late wishing. Bahut hi acchi secret share ki aapne.
Thanks Bro :)
BAHUT ACCHI POST THI SIR & HAPPY B’DAY
LEKIN SIR AAPSE EK QUESTION PUCHNA THA KI
AAP AB PAHELE KI TARAH REGULAR POST NAHI KARTE PAHELE AAP DAILY POST KRTE THE USKE BAAD AAPNE POST KRNA CHOD DIYA AB AAP KABHI KABHI POST KARTE HAI. KYA SIR AAP BATA SAKTE HAI AISA KYON HAI?
Thanks Brother.. n really sorry me thoda dusre kaam me busy tha… par ab kosis karuga regular rahu or roj kuch na kuch naya or helpful aapke liye lekar aao.
nice bro
Thanks
Story to apki achi lagi lakin agar ap apni earning ke bare me thodi si bhi hint dete to is story me char chand lag jate
Sorry Brother.. par me janta hu.. uske baad jo me kheta hu jiska interest hai wo blogging me aaye wo nahi ho pata.. or aesa bhi nahi jitne me kama raha hu wo ek limit hai.. isme paise kamane ki koi limit nahi hai.. ho sakta hai mujse jada paise aap kamaye kuch time baad.
This is a motivational story, bro
Thanks brother ❤️
nice post nice story padhkar maja aa gaya aur ese hi hamare sath jude rahe
Thanks Brother.. Keep visiting :)
kya baat hai brother .. awesome .. kta story hai bahi .. 1000 baar padu to bhi interest kam na ho .. ye story ek essi energy hai Jo har ko jeet mai badal sakti hai ..
Aww really thanks Brother.. Love You
happy Birthday
Rohit Brother
aapki life story bahut acchi lagi
meri bhi story aapse 50-55% milati hai
Thankyou
ooho kya baat hai brother..
Nice post Bhai…..
Interesting ha ;)
thanks Buddy :)
धन्यबाद रोहित जी
जो आपने ये पोस्ट लिखा वो भी हमारे लिए इस पोस्ट में भी काफी मोटिवेशन है जो अच्छे से पढ़ेंगे वो जरूर मोटीवेट होंगे
धन्यबाद आप लाइफ में और भी तरक्की करो हम सब की यही शुभकामना है ????
Thanks ????????
Kya Gmail Account Delete Krne Se Adsense Account Bhi Delete Ho Skta hai.
Haa, uss gmail account se jitne bhi account add hai wo sab delete ho jayege.
Nice bro achi post share ki he
Thanks brother ❤️
Wish You Happy B’Day Dear :) Nice work keep it up.
Thanks ❤️
Bahut hi intresting secret hai bro aapke, aur kya aap future me blogging ko ek life time career ki trah dekhte hai.
Thanks bro
bhai ek bat or pta chli ki ap b kam bigde hue ni…ho….ap b ek no.. k badmash ho…
????????Me bigda hua nahi hu.. Wass thodi harkat kar deta tha????
Bhai rohit mera answer nahi diya.?
Bohot hi badiya..
Aaj Ki Post me hame Thode Sararti Rohit Bhai najar aaye..
Lekin maja aa gaya padhke…
????thanks brother ❤️
Bahut Bahut Bahut Hi Jyada Badhiya article share ki hai aapne rohit bhai.Mujhe aapke bare me jankar bahut achha laga aur aap bhi bahut achhe insan ho so i like you and happy happy happy birthday
Thanks brother ❤️
Really, wonderful & inspiring story of your sir
Mzaa aa gya pdke ????????
Thanks buddy ❤️
Sir aapki story muje 10000% achhi lagi…….
Mera ek or question hai aapse.
Aapne jo virus creat kiya tha wo kese kiya tha… Muje esa ek virus creat karana hai or mere village me sabhi ko sabak sikhana hai.
Agar aapko lagata hai ki ye batana chahiye to muje batao plz…
Dhaval Rathod
Brother wo redirect code tha.. Jisko mene exe file me convert kar diya tha.. Aap wuske are me net par search karege to mil jayega.
Ha ha ha ha ha is line “Tu ab Chan se nahi ji payega” me to maja hi aa gaya thanks for sharing your personal life
????????thanks brother ❤️
Bohot achhi lagi bhai thanks jo apne ham sabse apne bare me share kiye and mujhe bharosa h sabhi ko pasand ayegi
Thanks bro❤️????
Wow bro nice post ???????? I like it ????
Thanks buddy ❤️
Interesting story . But bhai aapne ye nahi bataya ki aapne sabse phele kis site se website banana sikha . Maine toh hindimehelp se sikha tha . Or dusri baat jo aapne peparonity ke baare me bataya mera bhi sabse phele account 2013 me isi pr tha jaha pr ladke or ladkiyo se maje leta tha .
Teesri baat Career ya pyar Isme se sirf ek ko hi select kar sakte hain jo aapne Career select kiya .Agr aap love select karte toh aaj yaha nahi Balki Jannat me Hote . ☺☺☺☺
Brother jesa ki mene bataya kese blog bana muje samaj hi nahi aaya. Wo mene Google par hi Search kiya tha..Pata nahi kis site se koi fix site nahi thi..
Or jo aapne last me baat kahi hai usse me aapse 100% agree karta hu ????????
Bahut Badiya Rohit Sir. Aapke Birthday gift…Aapne khud de Diya. Bahut motivation Aya Ajj, Aapke bat sunkar. Thanks a lot.
Ho Yar Jao Aap Jaise bande Ke bare Me Duniya Jitna kahe kam Ho , Yar Itni Badi Secret itne din Chhupne Ki kya Jarurat Thi , Hame Itna Bada Secret Se Lag Raha Aapki life Aur Bhi Secret hai Kyuki Jo babda Itna Bada Secret Chhipa Sakta Apne Chahne wale Se To Wo 1 Din Me Puri History Baya Nahi Kar Sakta ,☺☺☺☺☺☺☺
Khusnseb Hogi Wo Ma Jo Aap Jaise Layak Ko Is Khubsurat Duniya Me Lai Phir Se Happy Birthday Ab Itna Emotional Na Hote Hue Aaj Ki Enjoy Kare
Thanks brother ❤️ ???????? Wese ek din me puri life to nahi par uske kuch main post mene share kiye hai.
Superb Bro..😘😘😘
Rohit Ji,
आपको जन्मदिन की बहुत बहुत शुभकामनाये और आज आपने अपने लाइफ से जुड़े ऐसे राज शेयर किये जो वाकई में हमें मालूम नहीं थे उन सबको पढ़कर बहुत अच्छा लगा आप हमारे साथ इसी तरह से जुड़े रहे और हम भी आपके साथ इसी तरह से मिलकर आगे बढ़ना चाहते है|
Thanks brother ❤️ keep loving keep supporting ????
Kya baat ki hai sir ji really aap modal ho hmare liye thnq u sharing ur journey
Thanks Anupam ❤️
Bhai main aapka bahut bada fan hoon aur aapke saare post padhta hoon bahut useful post hain aapke.
Bhai mujhe ye batao k kaise main site mein phone number add karun through the Facebook debbuger?
Brother ye aapne kaha dekha aesa hota hai.. agar aapne koi website par dekha hai to please aap uske ware me HMH Fb Group me post kare.. muje iski abhi jankari nahi hai.. .
Yeh hum sabke liye best gift tha rohit ji aapke b’day par
Thanks brother ❤️
google webmaster tools kya hota hai our kase use kar th hai pls reply me
Google Search Console
Bro aapki story sunke bahot achha laga kasam se mujhe bhot motivation Mila aapki Baatein jaankar
Ek number Rohit bhai..Keep up the great work.. aur aage Badho
Thanks satish bhai????????
kiya bat h bhai…mai apke jo secret janna chahata tha bo aj jan liye…and happy birthday bro. ….
Ooh kya baat hai.. ❤️