SSD VS HDD konsa Best hai Laptop ke liye or Q

SSD VS HDD konsa lena chahiye or kyun lena chahiye ? Best advice for youtuber and blogger.

Agar apke paas ek laptop hai or usi laptop ki madat se aap apna sara kaam karte hay jaise ki Video recording, video editing, video rendering, Photoshop, downloading, uploading, to iss haal me apko ek acha performance wala laptop hona chahiye taki har task asani se ho or time bhi kam lage.

Advertisements

Blogger or Youtuber ko apne computer me ek sath bhut se kaam karne hote hai, aese me Computer ki speed slow naa ho uske liye agar computer me jada RAM ya Dedicated Graphics card nahi bhi hai fir bhi aapka computer bhut fast performance dega, agar memory ke liye SSD use ki jaye.

Blogger ke liye Best Laptop under 30k konse hai or Badiya Laptop kaise kharide uski Guide HMH.pe phele se hai aap wo jarur read kare, agar aapko new Laptop lena hai

SSD ke ware me janne se phele hum jan latee hai

Page Contents

Computer/Laptop Slow kam kyun karta hai

Slow kaam karne k bhot sara reasons hota hai. lakin jo sabse most important reason hai vo a hai ki Data read and write speed kam hona.

jab vi ham koi software open karte hai ya ek drive se dusre drive data transfer karte hai to transfer rate acha hona chahiye, ta ki read write jaldi se ho jaye or computer/laptop hang v na kare, kyun ki bhot sara task ak sath run hote hai.

Ex: Screen recording software, video rendering, browser, sometime internet etc, to iss haal main HDD (hard disk drive) ka transfer rate bhot he kam hota hay or ek sath jyada task running karne se computer slow ho jati hai.

Slow Computer ki speed Improve karne ke 9 tarike phele share kiye the, uske aalawa hum HDD k badle SSD use karenge to Computer ki speed achi ho jati hai.

SSD kya hai

SSD full form hai SOLID STATE DRIVE, yeh ek storage device hai HDD (hard disk drive) jaysa. lakin SSD main data transfer speed jyada hota hay HDD ke mukabile kyun ki iske andar Moving parts or mechanical parts nahi hota hai.

SSD ke andar bhot sara micro chip hota hai or SSD ko run karne ke liye kam watt ki zaroorat hoti hai (0.025 w) HDD k mukabile. Isliye SSD thodi expensive hoti hai.

Niche SSD or HDD ka different dekh sakte hai, isse ap decide kar payange konsa best hai ap k liye.

SSD VS HDD konsa Best hai Laptop ke liye or Q

Different between SSD and HDD

         Benefits SSD (solid state drive)HDD(hard disk drive)
Battery powerBattery power kam lagne ki karan battery energy saving hota haiBattery power jyda lagne ki karan Battery jaldi khatam hota hai
File copy speedFile transfer rate Generally 200MB/s and Upto 530MBLakin HDD me 50-120MB/s hota hai
File opening speed30-40% faster then HDDSSD ke mukabile a slow hota hai
VibrationKoi vibration nahi hotaMoving parts hone k karan a vibrate krta hai
Booting time10-12 second lagta hai25-30 second lagta hai
HeatingLow power lagne k karan heat v kam hota hayMechanical parts hai isliye heat jyada hota hai
MagnetismAgar SSD ke pas magnet rakh denge to effect nahi hogaLakin HDD ke pas magnet rakh ne se ho sakta hai apka data erase ho jaye
CostSSD thoda expensive hota hai lagvag 15.70-20.20 rupees per GB(250 GB 4000-5000)Or HDD mai per GB k liye 2.8-3.1 rupees lagta hai

(500GB 1800-2000 rupees)

 

To apko ab samaj main aa gya hoga k kya hai SSD or HDD ka antar.

Yadi apko SSD jyada expensive lagta hai to aap 150-250 GB ka v lesakte hai, jyada Speed pane k liye or jyada storage k liye HDD use kar sakte hai.

Kyun ki agar aap 500GB se 1000GB SSD lete hai to bhot jyada karcha ho jyega isliye Apne C drive ko SSD main install kare or HDD external ki hisab use kare sirf video and files rakh ne k liye.

Buy SSD

SSD ke Advantage or Disadvantage

SSD ka Advantage

  • High speed performance
  • less hanging problem
  • consume very low voltage

SSD ka Disadvantage

  • Price jyada hai HDD se.
  • bhot bar format karne se corrupt ho sakta hai

mujhe ummid hai apko samaj mai aa gya hoga ke SSD kaise kam karti hai or SSD lane k kya kya fyde hai.

SSD lane k liye thoda jayada paisa lagta hai lakin iske elawa performance main a ek number hai. Aap ise old laptop main bhi laga sakte hai. Bas lagane se pahale DATA port check jarur kar lijiyega.

At last:

To dosto Apko kya lagta hai konsa lena sahi hai apke liye HDD ya SSD mujhe comment kar k zaroor bataye.

Or agar apke paas pahale se he SSD hai to apna laptop ki performance share kare, or agar aap SSD buy krne k liye soch rahe hai to kitna GB ka lena pasand karenge ? mujhe comment me zaroor bataye.

Thank you.

Share on:


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

13 thoughts on “SSD VS HDD konsa Best hai Laptop ke liye or Q”

  1. Or me khud SSD use karta hu.. CRUCIAL MX300 Bhot Acha performance hai.
    Me ek sath 4-5 browser, Android Emulator( kyun ki filhal mare pas Android nahi hai), Photoshop( kabhi kabar jab Thumbnails banata hu), Linux OS ( vmware par) or Song sab chalata hu.. but koi Hanging nahi hoti..

    Reply
  2. Sir yadi hum ek laptop se ek se jyada Adsense account access kar sakte hai. matlab kya hum ek laptop me do alag adsense account pe kaam kar sakte hai? or isse google ko koi problem to nahi hogi na.

    Reply
  3. Bhai aapka dhanyevad mai soch hi raha tha naya laptop lene ki magar abb mera vihar ssd ki taraf ho gaya hai, mai soch raha hoon abb ssd hi le loon.
    Aapka bhaut bhaut dhanyevaad ssd vs hdd ko explain karne ke liye..

    Reply
  4. nice Information सर क्या आप blogger के लिए Low Rate में अच्छा Laptop कोनसा है। उसके बारे में एक Article लिखिए
    plz … plz … plz … plz … plz … plz … plz … plz …

    Reply