Apne WiFi main Kitne Log Connected Hai jo Wifi Chala rahe hai aur Unko kaise Block kare. Main umeed karta Hu Apko ye Jankari jarur pasand Aayegi.
Railway Station par Google High Speed Free WiFi kaise Chalaye uski jankari yaha hai
WiFi jo agar kisi ko bhi free me mil jaye to usko kabhi naa chode aisa chij hai, or agar aese me Apke pass WiFi laga huaa hai or bhale aapne Password dal rakha ho par agar kahi se kisi ko password pata chal gaya to aapko pata bhi nahi chalega kitne log aapke WiFi ka Free me maja le rahe hoge.
Jab jada log aapke WiFi se connect ho jayege to was aap aese andaja laga sakte ho ki aapki jo Internet Speed hai wo kam ho jayegi.
Agar aapka WiFi Password logo ko pata chal gaya hai to aap ke pass 2 raste hai,
- WiFi ka Password Turant Change kare
- Jo Free me WiFi use kar rahe hai, unke MAC Address ko block karde.
Page Contents
WiFi Ka Password Hacked Q ho jata hai
Kisi bhi cheez ko Hack karna aasan nahi hota, Fir wo chahe Facebook Account ho, Whatsapp ho, Google Account ya Fir WiFi ho. Par ek baat aapko bata du Internet par koi bhi chij 100% secure nahi hai, Bank ki website tak hack ho jati hai.. Hacking se bachne ke liye jitni bhi Possible tarike hai usko use karke security jarur badai ja sakti hai.
Hacker se kaise Bache uski 10 Tips wo bhi aapko jarur padni chahiye
WiFi Ka Password Hack Hone ke Karan:
- Kamjor password rakhna. Kuch log apna Mobile number hi password rakh lete hai.. usse acha to password rakhe hi naa.
- WiFi Connected Device se Password dekh kar. (Connected WiFi ka Password kaise dekhte hai uski jankari yaha hai)
- Kuch App or Software hote hai jo Password tri karke andaja laga lete hai Password ka.
- Aapne kisi ek ko password bataya or usne sab ko bata diya ye bhi ek karan ho sakta hai. :)
To Ab aap samaj chuke hai ki WiFi ka Password Hack hona koi badi baat nahi hai, aapki choti si galti ki baja se aaram se Hack ho sakta hai.
Wi-Fi Chor ka Pata Kaise Lagaye or Block Kare ka Tarika
WiFi se kitne log connect hai or WiFi se Internet chala rahe hai aap agar uska pata laga le to aap unko WiFi me block kar sakte hai, fir bhale unko password pata chal bhi jaye fir bhi wo connect nahi kar payenge WiFi se.
To Chaliye dekh lete hai kaise pata kare kon kon Hamara WiFi Chori kar raha hai or kaise unko block kare.
WiFi Me Kitne Log Connect Hai Pata Karne Ka Tarika
Step 1: Sabse Pehle aapko Apne Android Phone me ek App Download karke Install karna hai jiska Naam hai Fing – Network Tools
Step 2: Install karne ke baad Open kare App ko, Fir Aap dekh sakenge kon kon abhi WiFi se connect hai.
Note: Aap jis WiFi ka dekhna chahte hai ki kon kon connect hai, us WiFi se aapka Mobile Connect hona chaiye.
jitne Bhi Computer, Mobile connect hoge WiFi se unki list aa jayegi. Jo Device hai unka MAC Address bhi dikhega jo connect hai. Ab agar aapko kisi ko Block karna hai to aap uss MAC Address ki madad se kar sakte hai.
WiFi Me Kisi ko Block Kaise Karte Hai MAC Address Ki Madad Se uski Jankari
Step 1: Jo aapka Device WiFi se connected hai usme apne Router ki IP address dale, Fir username or Password dal kar login kare.
Step 2: Ab Click kare Mac Filtering main Security aur Click kare Add on Device.
Step 3: Ab click kare Mac Address aur jisko Block Karna Chahte hai. block kar sakte Hai.
Ap is process se Jisko Bhi block karenge aur phir Kabhi dobara Connect Nahi Hoga.
To Dosto ab aap Jaan chuke hai kaise pata kare kon aapke WiFi ko use kar raha hai, or kaise usko Block kiya jaye taki koi aapke WiFi ka Free me aapne permission ke bina maza naa utha paye.
Aapko ye Jankari kesi lagi aap comment karke bata sakte hai, muje ummid hai aapko isse jarur help milegi or aap apne WiFi ki security bada payege.
Mr-rohit mewada aaj tak muje kabhi bhi apne sabaal ka koi bhi jawab nhi mila agar aap meri koi madad kar sakte hai to aap please muje gmail se help kardo kuldeeprai0005@gmail.com aur ek baat Mr-jumme din khan tumse bahut aage hai vo hamare har sabaal ka jabab bhi dete hai unki har post google me pehle number pr hai
Thanks Kuldeep.. or aapne dekha hoga me regular hi nahi ho pa raha hu apne kaam me.. meri kuch personal problem ki baja se.. to me aapka replay nahi kar paya uske liye sorry.. n aapne jo muje Jummedin ji se comapre kiya ki wo aage hai.. par me aapne aapko kisi se compare nahi karta.. or sab apne aapme best hote hai.. wese bhi mera maksand compitation karna nahi hai.. or agar me wo kaam nahi kar pa raha hu or jumedeen kar rahe hai to muje usme bhi khusi hai.. baki me aapke iss comment karne ka maksad nahi samaj paya..
Jo block h use android phone se kaise unblock karu
Rohit Bhai mujhe dusre WiFi par conect hai to unhe block kaise karu plz batao
Kiyun k me jo username dalta ho tu wo open nahi ho raha. ..
Sir
Username aur password konse dalo
Rohit bhai mai jis wifi se connet nhi to kaise pata kare ki us wifi me kitne device connect hai
Uska pata nahi kar sakte.. Hame connect hona padega phele
very nice bro.. its good application for every wifi owner
Sahi kaha.
hello ,what plugin use for author box
Ye default wordpress comment system hai..
Hlo sir mene website bnai thi myhindiblog .in or mene oehle adsense ke lite apply kiya to unhone kha ki apki traffic kam he mene traffic bda kar apply kiya to kehte hai copyright contact he blog par mene google me kuvh site serch kar copyright content ko delete kar diya ab fir keh rhe hai ki copyright he ab me kese pta kru ki kya copyright hai mene suteliner copycase essi site par no found aata hai lekin ab adsense wale copyright btate he me kya karu plzz help
Sir aapne aapne footer ka colour kaise change kiya hai mujhe white karni hai mai kaise kar sakta hu.plz help aur ise css code dwara kaise change kre.
Haa bilkul kar sakte hai
Pawan
Sir aapne aapne footer ka colour kaise change kiya hai mujhe white karni hai mai kaise kar sakta hu.plz help
sir mujhe ye batye ki blogger me post and popular post thumbnail me photo ko kese responsive bnave
Aap template responsive use kare
rohit bhaiya Maine Aapki tarah mail account create karna chahta hu, kis website se buy karu, domain godaddy se li
Mene hosting li hai… Usme free email service milti hai..
sir
ye bataiye ki agar mera adsense account me jo maine address verify ke liye diya hua hai. kya usi address area ka bank account hona jaruri hai .
jaise agar mera ek ghar delhi hai. waha ka maine address diya hua hai. aur mera jo bank account hai wo lucknow me hai to kya isse koi dikkat hogi.
kyu ki mere lucknow(Up) wale address pe adsense verify nahi ho pa raha tha. isliye delhi ka address diya hun. aur mera bank account lucknow me hai , kya uss bank account ko mai use kar sakta hun
Aapko address verify karna hai to waha code aayega.. Aap apne ghar ka address de..
Thanks Rohit bhai… Apka Dil se Sukriya karta hun.
Aage bhi Apki site Par Guests karta rahunga…
Faithfully
Mdbarkat
Thanks
Bhut jrraruri thi yeh post thanks for sharing