Hello Friends, Me Phele bata chuka hu kaise Youtube se Paise Kamaye Jate hai Video Upload karke or Kaise Video Upload karte hai Youtube Par. Youtube Google ki hi Searvice hai or youtube par Google ke baad sabse jada search hoti hai duniya bhar me, matlab agar kuch share karna hai duniye se to ye ek badiya platform hai.
Youtube Account Banane ke Baad Hamara sabse phela Kaam hota hai ki ham apni Youtube Channel ko sahi se set kare or jo uski settings hai unko sahi se apne hisab se set kare. Isme sabse phela jo kaam hai jiske bare me aaj ham is Post me dekhege, kaise Apni Youtube Channel ko Partner Verified kare or jaanege iske kya faide hai.
Page Contents
Kya Faide Hai Youtube Account ko Verify karne ke
Partner Verified – Hamara account Youtube ka partner ban jata hai, matlab hamari koi brand hai or hamara Youtube ke sath partnership hai.
Monetization – Agar aapko Youtube se paise kamana hai to aapko apne video par ads lagana padega (monetize karna padega). uske liye phele hamare account ko verify karna jaruri hai. Verify karne ke baad Apne Youtube Account ko Adsense account se connect karke monetization enable kar sakte hai.
Longer videos – Agar aapka Youtube Account verify nahi hai to aap 15 minute se jada ka video upload nahi kar sakte. Verify karne ke baad aap youtube par lambha video bhi upload kar sate ho.
External annotations – Ye Youtube ka ek future hai isme ham apne video ke upar link add kar akte hai. par agar aapko external link (apne website ki link) add karna hai to phele verify karna hoga. kaise Annotation ka istaal karte hai iske bare me me aaye bataoga.
Paid content – Paid Contant me aap jo video upload karege usko sirf wo dekh payege jo aapko paise dege. is future ke bare me bhi ham aage jaanege.
Content ID appeals – Aap jo Video Upload karege agar usko koi copy karta hai to aap youtube ko report karke video ko delete karba sakte hai. agar koi 3 video copy karke upload karta hai to uski youtube account bhi delete ho jati hai. is liye kabhi bhi aap kisi or ka video upload naa kare..
Live streaming – Aap Youtube par apna Live Show bhi set kar sakte hai Verify karne ke baad.
Fan Funding – Is Future me jo Youtube par hame paise dega uske video dekhne par ads nahi aate. Kher iska India me to muje nahi lagta koi use hai :)
Youtube Channel ko Verify Kaise Kare
Account ko Activate karne ke liye kya karna chaliye jaante hai. Video Dekh
Sabse phele apne Youtube account me Sign in kare.
Ab upar kone me apni Image par click kare, fir Gear ke icon par click kare.
Ab aapke youtube ki setting ka page khulega. View additional features par click kare.
Ab aap apne account ke Status and futures ke kection me phuch jayege. bha par aap dekh sakte hai Verify ki button hai. us par click kare.
Aap direct ye link bhi khol sakte hai –www.youtube.com/features
Ab jo new page khulega.
- Apni Country select kare.
- Verification ke liye koi ek tarika select kare, Call ya SMS. uspar Google se ek code aayega.
- Apna Mobile Number Dale. Mobile aapke pass hona chaiye q ki abhi uspar ek code aayega jo aapko abhi daalna hai.
- Submit ki button par click kare.
Ab new Page khulega usme aapko 6 number ka code dalna hai jo aapke mobile par aayega.
Code Submit karne ke baad ek message show hoga. usme likha hoga ki aapka Account Verify ho chuka hai. :)
Video – Kaise Youtube Account Partner Verify Kare
Ab aap dekhe ki aapke Account ke sare futures enable (chalu) ho gaye hai.
To Ab aap jaan chuke ko kaise Youtube Channel ko Verify karke youtube ke pure futures ka faida utha sakte hai. Agar aapka koi Bhi Sabaal hai Youtube se sambandit to aap mujse jarur puche.
Internet se related bhi agar koi sabal hai to me aapki madad karne ki puri kosis karuga.
Rihit sir mai aapki is site ko pichhle 1 year se read jar rha hu
Sir mai ik dancer hu mai chahta hu ki mai youtube se paise earn karu sir mai chahta hu ki meri video uk and usa me dekhi jay to mai kya karu
Paid content Signup. Enabled
Select karnepar yahi form aata hain
Full Name:
Title:
Email Address:
Phone Number:
Company Name:
To yahapar kya likhana hain sir?
Youtube par account to verify ho gaya he…account par …partner verified likha aa raha he…aage ka process bataye…please…par mere video par add show nahi ho rahe he….aur Adsence ke liye bhi apply karte hen…to account verify ke bad website verify nahi hota…please batane ka kasht kare sir….is sambndh me net par bahut artical pad liye par Adsence ke liye….apply hi nahi ho pa raha he…..thanx
Adsence ke liye youtube aur blogger par apply nahi ho pa raha he…first step me account to verify ho jata he…second step me..websit verify nahi ho pati..jab is par click karte hen to…process aage nahi badta he…aur click jis par karte hen…voh halke rang ka ho jata he…kul mila kar bat ye he ki Adsence ke liye apply hi nahi ho pa raha he…please bataye kese adsence ke liye apply karen….approve hona to bad ki bat he…pehle apply to ho…sir
Payment settings kse krte h or apne acount m payment lene k liye kya krna hoga
Payment settings
sir mujhe bataye ki android phone me citrix recieiver app me kaise account banate hain
Bhai me account verify karne k liye mobile number dal raha hoo to unvalid aa raha h india ka number h
Sr nice aartical
Hello Rohit Sir
Mere Kuch Swaal hai
1. Mai apse se jo puchunga uska mujhe kese pata chlega ki apne jwaab diya ya nhi or diya to kab diya?
2. agar man lo market me bhot c Movie’s, Video’s Bgira Bgira aa rhi h kya mai unme se M kisi ko add kr skta hu YouTube pe ??
Coz jab mai Koi song ya Movie search krta hu YouTube pe to wha bhot sari videos aa jati h ek hi video
same as mne search kiya #Tera_mera_rista_purana song awarapan ka
But yehi song kai bar aata hai
Awarapan movie By Raj , By Shankar eshe
3. Agar mai India mai Apni Koi web start krna chata hu A musical Web Jispe Computer Every type software, Video’s, Movie’s in every language, Every language MP3 Songs in sbki But sun ne me aaya hai ki in sbke liye Licence lena pdega because India me government ne ispe Bain Lga diya hai
Question ye hai ki Ye licence kha se milega or Isme kitni cost Chiye hogi??
4. Web hosting ke liye Space ki jrurt hoti h or ap server bhi keh skte hai
Sbse best or fast server kha se milega i mean m sirf ek web ko publish ni krna chata hai blaki jo web me create krunga wo har web + Hosting service bhi dena chata hu
to ye sb kha se or kese ho skta hai
Because ab tak jinse bhi pucha h wo sb khul ke saf saf nhi batate or mujhe lgta hai ki wo sb bewkuf smjte hai mujhe
M apke blog ko Pichel 1 saal se read kr rha hu jb kuch smj ni aata ya kuch jan na hota hai to apke blog pe aata hu
& Please sir Mere Questions ko Publish Na Kare But ha Ap answer publish kr skte hai
Hellow sir youtube me sign in kar kar ke me thak gaya sign in nehi ho rara hai me kaise sign in karu. Plz thoda help kardo….
Jb ham PayPal account banate h.usme bank account bank of India ka aur debit card andra bank ka add kr skte h..ya phir dono chezz same bank ka hona zaruri h.
rohit..Maine 1 YouTube channel banaya hai..aur kaafi saare videos v upload kiye hai..analytics me show nhi kar raha kitni income hue h..red sign show kr RHA hai..jab k mere saare videos monetize hai..plzz bataye.
jab ma YouTube ko kolata HP ta oh play store ma chala jata ha
do vedio ko ek kase kare
aap kisi video editor ka use kare..
bhai kya him kisi aur k video ko post krenge to pause nahi ayenge agar WO video youtub par na ho pahle se
Hello sir mene monetize bhi Kar Liya or Adsense bhi par wo log payment kese karenge. Please bataye….
Wire transfer ke through direct bank account me..
Sir mera naam Manojkush hai aur mera sawal yah hai Ki mano Maine YouTube par 10 videos ko upload kiya hai to un sab videos K kamay paise ek jagh Joe kar dete hai
10 video ho ya 1000 sabki income ek hi jagha or ek hi account me aayegi
thanks sir for halp
thanks sir
sir plz ek help kar do youtube pe jo video upload huyi hai use channel me kaise add kare ??
jo video upload hote hai wo channel me hi hote hai.. or kahi thodi hote ho unko upload karne ke baad add karna pade.
hello sir
m hmh ka regular visitor hu, abi mne youtube channel bnaya or use adsense se coonect bhi kiya,but wo monitize ni ho rhi
monitoring possible reviev aa rha h plsss help me
or ha kya me koi song ki video editing ya dubb karke you tube pe daal sakta hu
Hello rohit bhai maine sab kar diya verify,monetize,bhi adsense a/c bhi ab ye batao ke earning kaise dakhe ki kitni ho gai
Analytics ke section me..
where is my comment,
Aur bhai wordpress pe blog banane ke liye hosting zaroori he kya
Bhai youtube ke liye kon sa format ki video best hogi achhi quality kam size
HD ke liye mp4 or 1280×720 pixels me
Bhai kon sa mic use karun please koi naam batao apka sound bhut clear aata he video me please naam bta do me purchase kar lunga
mere pass blueyeti mic hai wo 15000 ka hai.. ek snowball mic bhi acha hai 7000 ke lagbhag hai.. baki aap thoda search karle bhut se hai ache mic..
Bhai video record karta hun to sound clean nahi aata achha sound kaise record karte he kisi product ke dwara please help me
sabse phele to sant jagha chune recording ke liye.. or Audiocity ki madad se bhi sound clear kar sakte hai
Bhai video record karta hun to sound clean nahi aata achha sound kaise record karte he koi kisi product de dwara please help me
acha mic ka use kare or audiocity software se bhi aap audio ka noise clear kar sakte ho.
Rohit bhai,
mere YouTube me “video manager” option hi nahi aarha please.. help me..
muje meri channel ko adsens se jodna he.
Mobile me my video ke naam se aata hai..
adsense se kaise add kare uski jankari yaha hai
Sir maine youtube ko adsense se jod liya hai lakin mujha dekh na hai ki mera adsense ke account me kitna earning hua hai please help me
sir mere youtube channel ka name anmol hindi hai sir mere is me 12 video hai. sabhi ko monitez kiya hai aur sabhi me $ ka green signal aa raha hai aur koi problam nahi hai. toh sir mujhe sirf ye puch na hai ki mere 3 ya char video me ads display hota hai jabki baki me nahi jaise ki maine ek video 3 week pahle upload kiya tha uske viewers 45 hai aur jisse mujhe 0.11 $ ki income hui hai aur maine 6 day pahle ek video upload kiya tha jis se mujhe 0.00 $ hui jab ki ye video maine cream review ke bare me banai hai na koi copyright isuu hai aur na he koi ? mark toh kya karan ho sakta hai??
Sir Hamara youtube account verify nahi hau raha hai jab number dalne ka option aata hai tu number dalta hai taab ye ajata hai ki
your verification code is invalid or time out try again likh kar ajata hai please help sir
sir mere youtube channel ka name anmol hindi hai sir mere is me 12 video hai. sabhi ko monitez kiya hai aur sabhi me $ ka green signal aa raha hai aur koi problam nahi hai. toh sir mujhe sirf ye puch na hai ki mere 3 ya char video me ads display hota hai hai baki me nahi jise maine 3 hafta pahle 1 video upload kiya tha uske 45 viewers hai jis se mujhe 0.11 ki income hui uske baad maine 6 din pahle ek video upload kiya jiske viewers 55 hai jise mujhe income nahi hui jab ke ye sabhi video me $ ka green signel bata raha hai aur ye video maine khud banaye hai aur koi copyright issu nahi hai aur na he koi ? mark toh mere baki video income kyo nahi ho rahi sirf 3 ya 4 se ho rahi hai pls help me ..????
bhai ji meri ek problem hai mai you tube ko veryfie (satyapn) karta hu to nahi hota hai kyo……
likh kar aata hai amany coad number and time out…………………… please help me…..
Aapke number jo code aata hai wo dalte ho aap.. Koi dusre number se verify kare
Bhai nahi ho raha hai verify problem ha jab number dalta hai tu kuch time out ke jiysa ajata hai
thode time baad dusre number se kare..kabhi kabhi server problem ki baja se nahi hota hai.
Sir Mai 1o Days Se Video Upload Kar Raha Ho Us Video Pe View Bhi Dikha Raha Hai Lekin Adsence Pe View Nahi Dekha Raha Hai , Adsence Abhi Pesa De Raha Hai Ya Nahi Please Help me
Youtube analytics me dikhata hai.. AdSense me har mahine ki 15 tarikh ko add hoti hai income
Bhai nahi ho raha hai yahi problem hai youtube account ko verify karna ke liya jab number dalta hai tu kuch time out ke jaysa ajata hai
Aap Thode time baad tri kare.. or kisi dusre number se verify kare..
Nahi hauraha likh raha hai
please input a valid phone number
agar dusra phone number dalta hai tu wahi araha hai
alag alag 5 number try kiya dalkar wahi likh kar a raha hai
Aap number 10 no. Hi dal rahe ho na.. Code bagera nahi dalna hai
Sir main You Tube par apna account Kaiser banau bistar she batayen pleas
Simple aapko google account se login karna hai youtube par.
Sir, aapke kahe anusaar maine ek video youtube pe dala phir 3dino ke baad you tube ne delate kyu kar diya jabki wo video maine banayi thi jisme two children khel rahe the. Please bataye koi paresani to hume nahi hone wali?
Agar kisi movie ka video scene cut karke banaye aur use kya uplod kar sakte hai?- koi paresani to nahi hogi
Sir m YouTube se earn karna chahta Hu. Par mre pass website nhi hai. Ky m without website ke google adsence m account open kar sakta Hu. Plz sir help me.
sir
youtube account kitni wiews par kitna paymant aata h or kaise aata h
had office kaha par h
Koi office nahi direct Hamare bank account me aata hai adsense ke through..
Income ka koi fix nahi hai 1000 views par aapko kitne milte hai aap usse andaja laga sakte ho
Help me pls youtube ke bare me
Aap youtube se sambandit post yaha pad sakte hai.
http://www.HMH.pe/category/youtube
Sir mere yuotube channel par 33 video hai wo sab mere banaye hua hai usme koi bhi video copyright nahi hai Lekin usme 30 video to monitizing hua hai par teen (3)video par dollar ka nisan hi nahi aata hai
Aapne usko koi song use kiya hai kya.. Uski Baja se bhi nahi hota hai
Nahi sir maine unme koi song use nahi kiya hai video title bada imambara lucknow aur dusra ambedkar park lucknow hai
$ ke sign ki jagha kya aa raha hai.. Agar ? Aa raha hai to uspar click karke video ki detail dena hoga.. Video kaha se or kese banaya hai
Do hi nisan aa rahe hai $ is nisan ki jagah par kuchh nahi aa raha hai
Aap apna Video Fir se upload kare, or is video ko delete karde.. baki dusre video par aa rahe hai $ ka nisan ki nahi.
Maine YouTube par apna sahi sahi address daal diya hu. Kitne din me mere address par code aayega .our kaha dalna padega code. Acc.no. kaha dalna padega please batao. Details me
30 din me aa jata hai, par agar aap kisi gav me hai to or jada time lag sakta hai.. Jo Letter aata hai usme sab likh rhata hai, kaha kya karna hai.
very nyc bro
mera YouTube par bank acc.no.nahi submit ho raha hai. Kaise submit Hogan batao
bhai mene video upload to kar diya h par uspar views 0 he?
haa to aese hi views nahi aa jate uske liye hame Video ka titel, Description, or Tags sahi se add karne padte hai. fir jab koi search karge to hamara video agar aaya to usko koi dekhega.
Please mujhe 2-3 aache mobile friendly sugges karo.Maine btemplate se karib 20 template download karke dekha koi v mobile friendly nahi hai.
yaha aap 250 blog template ki badiya list dekhiye
Thank you sir
Thank you or hum jis credit/debit card se khridte he kya next year payment bhi usi se kategi
nahi, jisse ham payment karege usse.
Please Comment karte samay apna naam sahi dale
Sir mera ek saval Hai
Jab Domin name buy krte he
‘Your personal info will be publicly available, make your domain private for ₨ 289.50’ ka option ata Hai kya isko bhi jaruri Lena pdhta he ager ESE hi rhne de to. Ager na click kre to hmari kon so information publicly ho jati he
isko lene ka koi faida nahi hai, par agar aap chate ho ki aapki website ke bare me kisi ko pata naa chle ki kon ke naam par register hai to aap le warna koi jarurat nahi hai. mera suggestion hai naa le :)
Acchi post hai
Aapne bataya tha ki google hame letter humare ghr per bhejti h. Is bare me pura detail btaye ki us form me kya rhta h or kyu jaruri h.