Hello Friend, Youtube ko ki ek Video Sharing Site hai jo February 14, 2005 ko launch hui thi, jisko baad me Google se connect karliya. is Post me ham ussi ki kuch options ki baat karenge.

agar aap Youtube use karte hai ya karne ki soch rahe hai ya fir aap youtube paise kamane ke liye use karte hai to ye jankari aapke liye jaruri bhi hai.
To Chaliye jaante hai Youtube Me use hone wale Shabdo ke bare me or kya matlab hai unka, kya istemal hai unka –
Page Contents
- Youtube Channel Kya hoti hai
- Subscribe Kya hota hai, or iska Kya Faida hai
- Youtube Channel Trailer kya hota hai
- Youtube par Monetize ka kya matlab hai or isko kaise karte hai
- Youtube Video Thumbnails kya hoti hai
- Youtube PlayList kya hoti hai
- Youtube Video Annotations kya hai or inka kya istmal hai
- Youtube Cards kya hai or inka kya istmal hai
- Subtitles and CC kya hai or kya faida hai iska
Youtube Channel Kya hoti hai
Youtube par jo hamara account hota hai, jisme ham video upload karte hai usko Channel bhi khate hai. Jese Hindi Me Help ki ye Channel Hai.
Subscribe Kya hota hai, or iska Kya Faida hai
Ham youtube par kis channel par new video ki jankari ke liye subscribe karte hai.. Subscribe karne ke baad hamare youtube ke account ke subscriptions me new video aa jate hai jinko hamne subscribe kiya hai or Hamare email par bhi pata chal jada hai..
Job koi kisi channel ko Subscribe karta hai to wo subscriber kehlata hai.
*Agar Subscribe karne ke sath sath Bell Icon par bhi click kare to uska Notification bhi aata hai mobile App par.
Youtube Channel Trailer kya hota hai
Ye hamari Channel ka hi ek video rehta hai jisko hum apne channel ke home page me set karte hai.
jab koi hamari channel ko kholta hai jisne subscribe nahi kiya hai to wo video apne aap play hone lagta hai. ham is video me apne channel ke bare me batate hai taki wo subscribe karle.
Channel Trailer kaise banaye uski jankari yaha hai.
Youtube par Monetize ka kya matlab hai or isko kaise karte hai
Youtube par jo video upload kiye jata hai to uske jariye paise kamane ke liye uspar ads dikhana padta hai, usko monetize khate hai, or is process ko monetization khate hai.
Youtube monetize on kaise kare paise kamane ke liye uski jankari yaha hai.
Youtube Video Thumbnails kya hoti hai
jo video rahta hai, usko play karne ke pehle jo image hame dikhti hai wo Thumbnail hoti hai.
Youtube PlayList kya hoti hai
youtube par ek se jada video ek group me rhate hai usko playlist khate hai. Playlist me ek video khatam hone ke baad dusra video apne aap start ho jata hai.
Youtube par video kaise upload karte hai Computer se
Youtube Video Annotations kya hai or inka kya istmal hai
Ye Youtube ka ek future hai isme ham video ke upar link add kar sakte hai. Fir jab koi hamare video ko dekhta hai to us button par click karke bo us link par ja sakta hai.. Ham Subscribe button bhi add kar sakte hai Annotation se madad se.
ye Feature youtube ne band kar diya hai ab..
Youtube Cards kya hai or inka kya istmal hai
Youtube Video Card ki madad se Video, Subscribe link, poll ya apni website ki link de sakte hai. jo Video ke upar hi (i) button me dikhti hai.. or jo time hamne select kiya hai uss time popup bhi hoti hai.
Subtitles and CC kya hai or kya faida hai iska
Video ke andar agar koi bol raha hai to uska likha huaa bhi aata hai video me usko khate hai subtitles ya CC.
Ye sabse jada jab kaam aata hai, jese koi video kisi dusri bhasa me ho or aapko wo nahi aati to aap CC ki madad se jaan sakte ho ki wo kya bol raha hai, CC ko translate bhi kar sakte hai.
At Last:
Friends ye kuch Common chij hai jo youtube par istemal me aati hai, inke aalawa bhi bhut si chije hai, jinke bare me me aaye bataoga.. agar aap kisi or chij ke bare me janna chahta hai youtube me to Comment kare.. me usko post me bhi add karuga.
Sir kya youtube me movies upload ker sakte hai please help me sir
Rohit bro..
Apke blog ka yahi bat hamko jyada achha lagta hai ki aap post me jyada ad use nahi karte jisse padhne me asani hoti hai aur me shok se post padne ke bad ad par click karta hu
Sir main vinay..
Maine video monetise kiya fir adsense se add kiya to monetise me egiblity likha hua h aur adsense me acount no kha likhe pta nhi chal rha h..
Gmail me ek msg aya uska kya karu malum nhi..
Please help me.
Comment:Very nice site sr.Sr ek sawal puchhna hai ki website kaise banate hain
hi. bhai mere channel ka naam kafi baar chenge kiya. Ab to oh naam change nahi ho raha hai.
sir ap kafi ache s samjaate h or kisi m itne detail m nhi samjate hai I really like it site
Thanks Deeksha ji..
Sir youtube par subscribe ka kya kam aur kiyu kare
Agar humre youtube chennel ko koi subscribe nahi kiya tu kya hoga
sir mera youtube ke video pr doller ka nishaan bhi aagya or unko monitizebhi kr diya but abhi tk un pr koi bhi ads nahi aarhe hai…why…?
Adsense account se connect karna jaruri hai.. Uske baad aata hai ads
Rohit GI many site banaya hai .par open naiy horahai key karu. Plz repl kary
badiya open ho rahi hai.
Hi Rohit,
Aapki Ye Site Muje Bohat Hi Pasand Aayi Or Is Site Ke Bare Me APNE Dosto Ko Bhi Batata Hu or Share Bhi Karta Hu.
Mene Ek YouTube Channel Banaya Hai Aur Usme Mene Ek Video Bhi Upload Kiya Hai Leki Jan 30-40 minit Hui To Ek Mail Aya Aur Usme Likha That,
“The YouTube community flagged one or more of your videos as inappropriate. After reviewing the content, we’ve determined that the videos violate our Community Guidelines. As a result, we removed the following videos from YouTube”
Iska Kya Matlab or Mera Video Bhi Remove Ho Gaya.
Please Help Me
Aapka jo video hai wo youtube ki term ka ullagan kar rahe hoge.. Aapne koi aesa video dala hoga jo youtube allow nahi karta ya fir kahi se copy kiya hoga.. Isliye youtube ne aapka video delete kar diya hai
Yar mene ap se kuch pucha tha ? wo comment mujhe show kyu nhi ho rha..
Bhai muje animation video banane ka software chahiye
Kaise milega
Please tell me ?
Videoscribe hai.
Thank you dost
Bhai muje animation video banane ka software chahiye
Kaise milega
Please tell me
Hello sir good morning,
सर मेरे पास पहले फ्री डोमेन था http://www.apnamobile.tk
लेकिन अब मेने एक डॉट कॉम वाला डोमेन ले लिया है ।
लेकिन वो डोमेन मेने wordpress से जोड़ लिया है।
अब मुझे ये बताये की में अपना ब्लॉग को
वर्डप्रेस से import करू तो मेरा ब्लॉग तो मुझे
wordpress पर दिखाई देगा ।
लेकिन अब मेरे पास डॉट कॉम का न्यू डोमेन होगा तो मुझे अडसेंसे में क्या सेटिंग करना है?
haa jo aapka domain hai wo hi aapko adsense me aply karna hai.
Phir jo pehle ke domain ka kya karna hai
Uska ad code AdSense me show ho raha hai
Koi dikkat nahi aap ek se Jada domain add kar sakte hai adsense me. Or aap chahe to adsense me domain ko remove bhi kar sakte ho.
Sir mere uc mini se video.song. pic. download nhi ho raha?
Network problem ho sakti hai..
Youtube par doller logo ke jagah par question logo dikh raho kyu plz help me
aapka video abhi revew ho raha hai, agar aapne kahi se copy karke upload kiya hai to aapko ? par click karke video ka proof dena hoga, ki ye video aapka hai.
Sir aapne apne post ke bich meme 4 ad
Lagaye hai ye 4 alag alag code hai ya 1 hi code hai
Agar ek hi size ke use karna ho to ek hi code se kaam ho Jata hai.. Par agar alag Alag size, type use karna hai to alag Alag code use karna padega
Youtube par doller logo ke jagah par question logo dikh raho kyu plz help me
Aapka video abhi review me hai.. Thoda time lagega.. Agar aapne video kahi se copy kiya hai to monetize nahi hoga.. Agar video apps hai or fir bo nahi ho raha to aapko ? Par click karke uska proof dena hoga
Rohit ji
Maine YouTube se adsence account banaya that
Usko blog se kaise ad kare air kaise
Aapko uske liye phele blog ko bhi approve karana padega.
Rohit ji
Maine YouTube se adsence account banaya that
Usko blog se kaise ad kare
Thanks sir
Kya YouTube par movie kaise upload kare jisase copyreight ka paresani na ho
Uska sirf ek tarika hai ki aap khud movie banai or upload karo.. Kahi se copy karke upload karoge to copywrite clam to hoga hi
hello sir me online pese kamana chahta hu….
sir me online pese kamana chahta hu….
Haa to aap bilkul kama sakte hai.. Blogger or youtube se paise kama sakte ho..
Sir me YouTube ke embed code ko mere blog pr lagana chahta hu
To mera YouTube according block to nahi hoga kyoki mera blog and YouTube dono hi adsns se connect hai
Nahi isme koi problem nahi hai, or Isse to aapko income bhi Double hogi agar koi aapke blog ko khol kar video bhi dekhta hai
hiii sir kya aap mujhe bata sakte ho mene to apna blog bana diya hai but usse me paise kaise kamau mujhe kya karna hoga ?
aapko uske liye blog me ads lagane padege..
hii bro mujhe ye janna tha actuly mene blog me apni id to bana li hai but mene abhi tak koi blog nhi likha hai…because jaise ki mene pahele hi kaha mujhe kuch idea nhi aa raha me kaise kya karu ager mene apna blog bana bhi liya to use website me kaise dalu aur sir meri jo website hai wordpress par hai chalega ager me apna blog wo site pe rakhu aur me kaise usse paise kama sakta hu plz in sab sawalo ka aap jawab dijiye na bro its very urjunt for me
Hi rohit ji
Mujhe ye bataye ki mere paas .tk ka
Domain hai
Or usse me google se ad bhi approve ho gaya hai
Ab mujhe domain change karna hai blog pr
To domain .com wala rakhungi
To kya AdSense se jo ad dikh rahe hai wo dikhenge ya nahi
Or ha kya setting karni padegi AdSense me ya nahi
thanks
sir
sir 1 website pr kitne ad dal sakte hai
Ek page par 4-5 ads Hona Sahi hai usse Jada ads laga sakte hai par aesa lagta hai jese ads ki dukan hai.
Ads 5 per page Sahi hai par Sahi tarike se add karna bhi jaruri hai
ok sir aur mene aapka ek video dhekha hai bloggar k bare me nice video…aur sir mujhe ye bhi janna hai mene alredy wordpress me apni ek website banayi hai kya me usse use kar sakta hu blgging k liye paise kamane k liye ?
Sir me appse kuch or bhi janna chahta hu
Q. Jese ham blog me adsense ko jod kar money kamate h ushi prakar facebook se bhi kama sakte he kya or adsense fb par lagta h ua nhi.
Q. Sir 4.3.jellybeen android ko 4.4.4.kitkat @ lollipop virson update kese kar sakye he plz help
hiiii sir kya aap mujhe bata sakte ho ki google adsense me jo add new unit ka option aata hai usko kaisa kya aur kaha copy karna hai means kya aap mujhe uske bare explain kar sakte ho plz ?
add new unit ka matlab hai aap ads ka new size banao or usko use kare site par.. Alag Alag size ke liye new unit banani padti hai. Fir unka code jaha par use karna ho add karde
thancs sir aur aapse ek aur bat janna hai kya apna blog direct google adsense me bana sakta hu ?
aapka mye sabal hi galat hai.. phele aap ye samaj lijiye adsense ek ads network hai jo ads deta hai or unse site par lagane par paise deta hai.. ye koi site nahi banata., aap sirf yaha se ads le kar apni site par laga sakte ho or usse paise kama sakte ho.
thancs sir ha sir actuly mujhe kuch bhi pta nhi hai is bare me isiliye me aapki help lena chchata hu aur achche paise kamana chchata hu sir ji..q ki sir me bahut hi jiyada pareshan hu me jaha pe kam karta tha wo office bund ho chuka hai…isliye sir me ab ghar bethe mehnat karke achche paise kamana chchatha hu….aur sar ji mene google adsense me account to khol diya hu lekin mujhe ye pata nhi hai ki me usse kaise use karu..isliye aap meri help kijiye kaise me usse paise kamau aur aage mujhe ab ky karna padega plz sir
youtube ko sirf add karna hai baki ka kaam automatic ho jata hai q ki youtube or adsense dono Google ki service hai.
hii sir kya me intarnet se roj ka $50 kama sakta hu kya sir ye possible hai ?
Q nahi kama sakte.. 50 kya 100$ bhi kama sakte ho. Par usme time lagega or dhire dhire badege aapki Income..
Maf keejiyega sir comment galat he par mujhe ye janna jaruri he
Q-kisi bollywood movies ke sort scan par adult audio edit kiya jay phir upload isse channel ko koi problem to nhi hogi agr apko mera q.samjh na aaya ho to app ye video dekher mijhe bataye esa karna sahi h ya galat plz sir-https://www.youtube.com/watch?v=ZiN0vHAVBiQ
Nahi, aap is trha se nahi kama sakte. Ye copy writed hai
Sir me appse kuch or bhi janna chahta hu
Q. Jese ham blog me adsense ko jod kar money kamate h ushi prakar facebook se bhi kama sakte he kya or adsense fb par lagta h ua nhi.
Q. Sir 4.3.jellybeen android ko 4.4.4.kitkat @ lollipop virson update kese kar sakye he plz help
nahi aesa nahi kar sakte.. fb koi hamari website nahi hai.. jo hamari website hai ham sirf bha laga sakta hai.
Anroid kaise update kare uske bare me muje jaankari nahi hai.
Sir mene blog bna liya par aage samajh nhi a raha kya karu mene apki blogger se sambandhit post dekhi h pa unme se sabse pehle kis post ki zarurat he ap mujhe ek ek karke line se bta dijiye taki post ko follo karke apna blog thik kr saku sir apka blog hindimehelp.com open ho jata he aisa mera hi krba dijiye plz
sir ji
maine you tube pr video daali,use monetize kiya,par abhi taq mere video ko kisi ne nhi dekha,8 Days ho gai upload kiye huye,
sir mai kahi kuch bhul to nahi please batay
Sirf upload karne se kuch nahi hota.. Croro video hai, to samaj lijiye kitna competition hai.. Aap title, tags, discretion Sahi se add karna bhut jaruri hai.. Video bhi badiya Hona chaiye jab hi uspar views aaayege
sir mujhe best video edit karne wala software konsa hai
bata sakte ho
mujhe jo aapne youtube pr dekha hoga jo
apna naam ya jis subject ke bare me
video hai
wo ek black bord per likha aata hai
wese wala videos edit karne wala software chahiye plz tell me software name
Screen Recording or Video Editing ke liye – Camtasia
Whiteboard ke liye – VideoScribe
thanx bhai… muje aap se bahut kuch sikhne ko mila thanx again…
bhai mera ek doubt he jaise ki blog or YouTube par kuch bhi daale to apni income aap baatate ho ki 10$ he etc..
to kya yeh 10rs. he ki foreigners money
Nahi 1$= 66 Indian rupees hame milte hai
hi rohit ji
mene ne bahut dino se aapki website pr hu
aapke bare me bhi pada hai
aapne apni ek comments me likha thha
apne blog se achhi kamayi karte ho
but me ye janna chahti hu ki aapke blog me mujhe ads to dikhyi nahi dete aap kese earning karte ho
agar aap Google Chrome me kholege to site speed se bhi khulegi or ads bhi dikhege jisse meri income bhi hogi aapke duaara meri site kholne par :)
sir mere opera mini se twitter mai photo upload nhi ho raha kaise aru
aap twitter ke app se kare.. to jada aasani hogi.
me apna video programmes youtube me dalna chahti hun .please process bataiye
youtube par kaise upload karte hai uski jaankari mene phele hi di huii hai. yaha par
hello
sir mujhe wapka kI site ke baare me jankari chahiye wapka me category ko main page per kese show karu
sorry par me sirf blogger par focus hai to me sirf uske bare me bata sakta hu.. usko mene tri nahi kiya to abhi uske bare me muje jaankari nahi hai. or mere pass abhi itna time nahi hai ki me uske bare me dekhu.. Blogger ki jaankari yaha hai
Acchi jankari hai sir
Mera jo bhi svaal hota hai mujhe comments me hi mil jata hai isliye
Thank you
WellCome Afzal, and thanks for Support :)
Rohit mujhe apni video par ads suru me dikhane h kaise dikhau
monetize me only skipable add select kare.. Video edit karte hai jab monetize ke tab me aata hai option.
rohit .. hi . . .mene kuch din pahle 1 video upload ki thi jo ki adsense se jodne ke bad us par bich me ads aane lage . . 17 sec. ki thi wo video
wo mene delete kar di ab new upload ki h 7 min.ki usme ads bich me show hota h mujhe usse suru me karna h or wo mobile me nai aata to mobile me bhi show karnA h
1 bat or jo bich me ad aata h koi us pe click karta h to income hoti h ya sirf dekhne se ho jati h
mene y e sab phle likha tha bahut bada lekin update nai huwa menat bekar gayi
video ko deit karte hai uske monetize ke option me aata hai option.. par me suggest karuga ki aap dono format use kare ads ke.. or haa click karne par imcome hoti hai par dekhne par bhi hoti hai.
weebly me next page ka option kaise lagate h jaise apne apni site me niche all post change karne ke liye lagaya g
Weebly ke bare me muje jada jaankari nahi hai.. aap agar blogger ban banayege to me bata sakta hu kaise kare..
sorry rohit . . . . . ..
mene tumhe koi order nai diya . . . .ok
aapne hr post me likha ki post likhunga isliye bola
plz really really sorry .. agar aapko bura laga to ok sorry . . . . . . plz ab kabhi nai bolungi aapko aisa sooorrrryyy
mera ye matlab bhi nahi tha.. bas me ye khana chata tha ki me itna karta hu uske baad agar aesa response aaye to kya faida..
Hello sir Maine video monetze bhi kar diya he or ads bhi ho gaya that par me usko verification cod nahi dal paya an me kya kru me kaise pata kru ads we conct hua ya nahi plzz help
youtube analytics me..
Sachme, Rohit ji ki Jankari – Hamari Kamiyabi ka matlab chuka hai…….. Rohit ji mera aapse ye sabal hai ki apki site par jo comment box hai wo kahase milega, mera blog blogger par hai, NOTIFY ME OF NEW POSTS, ye kese lagaye apni blogger ka simple sa comment box mai?
aap aesa comment box naahi laga sakte blogger me… par notify ka option laga sakte hai.. me jald batane ki kosis karta hu..
youtube se offline vedeo kaise dekhe ?
uske liye youtube app me download ki button aati hai, video play karte samay.. hame usko ek baar download karna padta hai, uske baad ham offline bhi dekh sakte hai youtube app me.
ager hum karoke me apne likhe song jaise koi naya geet filmi karoke me gakar record karke upload karte hain to wo copyright ho jata hai kya aisa koi tareeka bhi hai ki ye copyright nahi ho…copyright ho jane se monitize bhi nahi hoga…pls bataiye
h rohit 1 se jyada video ko monotaiz kaise karte h or ab plz aise mat bolna ki iski post lagaunga phle mujhe bata do . . . . plz … . . or tumhare no. bhi de do bat karni h tumse .. . . .
video upload karte hai jab uske monetize ka option aata hai, video tital, description ke balag me.. Video ko edit karte hai jab bhi aata hai.. ya fir jaga $ ka nisan aata hai uspar clickkarke bhi monetize kar sakte hai.. Sirf adsense se ek baar connect karna hai bar bar nahi..
aapko itna basic baat bhi nahi pata thi or aap mujse kha rahe ho ki ye mat khana ki iski post lkhu.. mera maksad rhata hai ki me achi se madad kar saku isliye me khata hu ki post likh kar bataoga.. kya aap special hai jo aapko alag se time du.. Mera khane sa sirf ye matlab hai ki aap sirf muje sugest kar sakte ho ki me aesa karu.. order nahi de sakte..
AAP MERE KO YE BTAYE KI YOU TUBE PR KIS TYPE KI VIDEO HIT JAYEGI