Youtube ka naam to aapne jarur suna hoga, or sayad aapko pata bhi hoga ki ham Youtube se Paise kama sakte hai..
Agar aap thoda bahut jante hai ki kaise ham youtube se paise kama sakte hai to achi baat hai or agar aap ko uski koi jankari nahi hai to bhi koi baat nahi kyu ki me abhi aapko wo sabhi tariko ke ware me batane wala hu jinki madad se ham youtube se paise kama sakte hai.
Agar aap Search kar rahe the How to Make Money on Youtube par aapko har jagha adhuri jankari mil rahi thi to ab aapki wo search yaha complete ho jayegi.. to chaliye jante hai konse konse tarike se Youtube se paise kamane ke.
Page Contents
How to Earn Money from Youtube in Hindi
Youtube se agar aapko Paise kamana hai to kuch Basics Steps ko follow karna hoga, jese aapko apna youtube channel banana hoga, jispar original video upload karna hoga jisko log pasand kare.. jiske baad jitne jada log aapke video ko dekhenge utne hi jada chances aapke badh jayege youtube se paise kamane ke.
To me Samajhta hu ye sab Points aapne complete kar liye hai:
- Aapki Youtube par Channel hai. (Youtube channel kaise banaye)
- Channel par aap Original Video Upload karte hai. (youtube Video Upload kaise kare)
- Aapke Video ache hote hai, jisko Log pasand karte hai. (youtube ke liye badiya Video kaise banaye)
To Chaliye ab jante hai, Youtube se Paise Kamane ke Tarike ke ware me:
1. Youtube Partner Program (YPP)
Youtube se paise kamane ka ye sabse Best or aasan tarika hai, jisme hame apni youtube channel ko Partner Program se jodna hota hai, uske baad jab bhi koi hamari video ko play karta hai to uspar ads aate hai.
Jitni jada war koi hamari video ko dekhege utni jada war ads aayege, jiske karan utni jada ads se hamari earning hoti hai.
Ads se jo bhi earning hoti hai uska 55% Youtube hame deta hai or baki ka hissa wo apne pass rakhta hai.
Agar aapko youtube Partner Program join karna hai to uski kuch condition hai, jese aapki Channel par ek saal ke andar 1000 Subscriber or 4000 hour Watch time hona chahiye. isko detail me aap hamare dusre article me read kar sakte hai.
Jab ham Youtube Partner Program join kar lete hai to uske baad kuch or Option hamare samne open ho jate hai Youtube Earning ke..
1.1 Ad Revenue
Agar hum ne apne Video par Ads on karke rakhe hai to jitni jada war video par ads aayege utni hi jada earning hamari usse hoti hai. isme hame sirf ek war ads ko on karna hota hai uske baad hamara kaam khatam.. wass fir hamara kaam bachta hai ache se ache video dale jisse hamare video ko jada se jada log dekhe.
1.2 Youtube Premium Revenue
Youtube ka Premium plan bhi hai ye to aapko pata hi hoga, jisko agar koi leta hai to unke samne koi ads nahi aate.. to aese me hota ye hai agar koi aisa person hamare video ko dekhta hai jiske pass Youtube Premium hai to jo uske subscription ka charge hai wo unn sabhi channel me month ke last me bat jata hai jinke video unse pure month me dekhe hai.
1.3 Channel Memberships
Agar aapko Channel par 30,000 Subscriber se jada hai to aap apni Channel me Membership bhi on kar sakte hai, jisme hota ye hai agar aap koi aisa video upload karte hai jo sirf aapke Paid Member hi dekh sake.
Agar aapke pass kuch aesa content hai jo aap Free me nahi share karna chahte to Youtube Membership ek badiya option hai youtube se paise kamane ka.
1.4 Merchandise
Aap Youtube par apne Channel or Brand ke Merchandise jese T-shirt, Cap, Mug etc sell karke paise kama sakte hai.
Agar aap Apni channel par Merchandise Shelf on karna chahte hai to uske liye aapki channel par 10,000 Subscriber hona jaruri hai.
1.5 Super Chat
Youtube par aap Live bhi ja sakte hai ye to aap jante hi hoge, jisme aap apne Fans se Live baat kar sakte hai.. to aese me agar aapke FAN ko aapki koi baat pasand aati hai ya wo aapko koi Tip dena chahte hai to wo Super Chat ki help se aapko de sakte hai.
Agar aapki Fan Following achi hai to aap sirf iss ek tarike se hi lakho rupee kama sakte hai.
1.6 Youtube Shorts
Agar aap Youtube App use karte hai to aapne Youtube Shorts to jarur dekhe hoge.. kya aapko pata hai aap Youtube shorts se bhi paise kama sakte hai.
Youtube Shorts se Paise kaise kama sakte hai uske ware me detail me mene share kiya hua hai aap waha dekh sakte hai, abhi agar Short me batao to aap Youtube Short Fund or Ads Revenue Sharing se paise kama sakte hai.
1.7 Supar Thanks
Youtube Shorts me Supar Thanks ka Button bhi aata hai, jisko click karke koi bhi aapko Thanks ke rup me paise de sakta hai.
To agar aap koi aese Shorts banate hai, jisse logo ko koi fayda hota hai to jada chances hai wo aapko Supar Thanks kare.
2. Sponsor Video
Agar aapki Youtube Channel ki thodi bhi authority hai to aapke channel par bahut si brands apne Product or Service ko Promote karne me interested hogi. to aap unse apne hisab se charge kar sakte hai.
Ye ek sabse best tarika hai, par iske liye aapko thoda wait karna hoga or apni channel ki achi authority karni hogi or jada se jada subscriber karna hoge.
Youtube Subscriber kaise badaye, uski kuch Important Tips yaha hai.
3. Affiliate Marketing kare
Aap apne Video me kisi Product ya Service ka use karte hai ya fir unka Review karte hai to aap unki Affiliate link apne Video ke description or Comment me de sakte hai, jisse koi bhi user agar aapki link se click karke usko leta hai to aapko uska commission milega.
Agar Youtube se earning ke dusre tariko ko hata diya jaye, fir bhi sirf iss ek tarike se aap lakho rupay kama sakte hai.
Affiliate Marketing kya hai agar aapko uski jankari nahi hai to aap yaha dekh sakte hai, jisme mene detail me sab kuch bataya hai.
4. Khud ka Course Sell kare
Agar aapki Channel kisi Topic par hai usme aapko acha knowledge hai to aap uspar apna Paid Course bhi bana sakte hai.
Aapki Channel par aese bahut se log hoge, jo aapse detail me sikhna chahte hoge to aap unse kuch extra charge karke aesa kar sakte hai.
5. Apne Content ka Media License de
Ye ek aesa tarika hai, jo jada tar youtuber use to nahi karte, par agar aapka video aesa hai jisko dusre Channel ya koi New Channel apne user ko dikhana cahe bina kisi copyright ke to aap unko apne content ka licence share kar sakte hai.
Youtube Common Questions
Youtube se Kitna Paisa kama sakte hai?
Iski koi Limit nahi hai, Bahut Log hai to Croro bhi kama rahe hai. ye depend karta hai aapke Kaam or aapki mehnat ke upar ki aap kitne paise kama pate ho.
Youtube Monetize On karne ke liye kya Threhold hai?
Youtube Channel par 1 Saal me 1000 Subscriber or 4000hr Watch Time Complete hona jaruri hai, uske baad hi Monetize on hota hai.
Kya Youtube se Paise Kamane ke liye 18 Saal ka hona jaruri hai?
Officially Dekha jaye to Haa, Agar aap India se hai to aap 18 Saal ke honge uske baad hi Youtube Partner Program (YPP) Join kar sakte hai.
par Agar aap 18 Saal se kam hai to aap apne Mummy-Papa ke Naam se bhi account bana kar youtube se paise kama sakte hai.
Conclusion:
Agar aap APna Video bana kar Youtube se Paise kamana chahte hai to uske bahut tarike hai wass jarurat hai to aapke Video banane ki or usme regular rehne ki..
kyu ki agar aap ye soch kar Youtube channel banayenge ki aapne aaj Video banaya or kal aapko lakho Subscriber or paise mil jayege to aap youtube se kuch hi din me de-motivate hokar youtube par kaam karna chor denge.
To ab me umeed karta hu aapko samajh aa gaya hoga, Youtube se aap Paise kin tariko se kama sakte hai, agar simple sabdo me kaha jaye to youtube se paise kamana aasan hai par uske liye kaam karna bhi jaruri hai.
Best of Luck for your Youtube Earning….!
Agar aapka koi bhi Sawal ya Sujhab ho Youtube Earning se related to aap niche comment me jarur share kare.
Very nice useful information 👍
Nice post ❤️❤️
Thanks for sharing this useful information.
Bahut badhiya sir.
Aapne youtube se kamai krne ke bahut se trike btaye. Thank you
Very energetic post, I liked that a lot. Will there be a part 2?
Hey, thanks for sharing this information.
youtube par view hi nahi aate kya kre please btao
Really Great Content thank you for this post i mae my own youtube channel and earning