Hello Friend, Youtube ko ki ek Video Sharing Site hai jo February 14, 2005 ko launch hui thi, jisko baad me Google se connect karliya. is Post me ham ussi ki kuch options ki baat karenge.
agar aap Youtube use karte hai ya karne ki soch rahe hai ya fir aap youtube paise kamane ke liye use karte hai to ye jankari aapke liye jaruri bhi hai.
To Chaliye jaante hai Youtube Me use hone wale Shabdo ke bare me or kya matlab hai unka, kya istemal hai unka –
Page Contents
Youtube Channel Kya hoti hai
Youtube par jo hamara account hota hai, jisme ham video upload karte hai usko Channel bhi khate hai. Jese Hindi Me Help ki ye Channel Hai.
Subscribe Kya hota hai, or iska Kya Faida hai
Ham youtube par kis channel par new video ki jankari ke liye subscribe karte hai.. Subscribe karne ke baad hamare youtube ke account ke subscriptions me new video aa jate hai jinko hamne subscribe kiya hai or Hamare email par bhi pata chal jada hai..
Job koi kisi channel ko Subscribe karta hai to wo subscriber kehlata hai.
*Agar Subscribe karne ke sath sath Bell Icon par bhi click kare to uska Notification bhi aata hai mobile App par.
Youtube Channel Trailer kya hota hai
Ye hamari Channel ka hi ek video rehta hai jisko hum apne channel ke home page me set karte hai.
jab koi hamari channel ko kholta hai jisne subscribe nahi kiya hai to wo video apne aap play hone lagta hai. ham is video me apne channel ke bare me batate hai taki wo subscribe karle.
Channel Trailer kaise banaye uski jankari yaha hai.
Youtube par Monetize ka kya matlab hai or isko kaise karte hai
Youtube par jo video upload kiye jata hai to uske jariye paise kamane ke liye uspar ads dikhana padta hai, usko monetize khate hai, or is process ko monetization khate hai.
Youtube monetize on kaise kare paise kamane ke liye uski jankari yaha hai.
Youtube Video Thumbnails kya hoti hai
jo video rahta hai, usko play karne ke pehle jo image hame dikhti hai wo Thumbnail hoti hai.
Youtube PlayList kya hoti hai
youtube par ek se jada video ek group me rhate hai usko playlist khate hai. Playlist me ek video khatam hone ke baad dusra video apne aap start ho jata hai.
Youtube par video kaise upload karte hai Computer se
Youtube Video Annotations kya hai or inka kya istmal hai
Ye Youtube ka ek future hai isme ham video ke upar link add kar sakte hai. Fir jab koi hamare video ko dekhta hai to us button par click karke bo us link par ja sakta hai.. Ham Subscribe button bhi add kar sakte hai Annotation se madad se.
ye Feature youtube ne band kar diya hai ab..
Youtube Cards kya hai or inka kya istmal hai
Youtube Video Card ki madad se Video, Subscribe link, poll ya apni website ki link de sakte hai. jo Video ke upar hi (i) button me dikhti hai.. or jo time hamne select kiya hai uss time popup bhi hoti hai.
Subtitles and CC kya hai or kya faida hai iska
Video ke andar agar koi bol raha hai to uska likha huaa bhi aata hai video me usko khate hai subtitles ya CC.
Ye sabse jada jab kaam aata hai, jese koi video kisi dusri bhasa me ho or aapko wo nahi aati to aap CC ki madad se jaan sakte ho ki wo kya bol raha hai, CC ko translate bhi kar sakte hai.
At Last:
Friends ye kuch Common chij hai jo youtube par istemal me aati hai, inke aalawa bhi bhut si chije hai, jinke bare me me aaye bataoga.. agar aap kisi or chij ke bare me janna chahta hai youtube me to Comment kare.. me usko post me bhi add karuga.
hello bro mujhai apki help chaiye me chahti hun youtube par animated movies upload karu mne buhat mhnt ki movies download ki edit ki but phir bhe disney walt copy right to ap plz mujhai reply dy aur meri help kare mein kaise videos ko upload karu meri koi aur help nahi kar raha youtube waly kehty hai hamari video dekhu or enjoy kru plz reply fast and help me mujhai pura methd bataye me disney movies kaise upload karu..thanks
nice article sir thanks for this information
Sir YouTube’ ka video edited remove ko wapas kaise late
aare bhai Youtube ne usko band kar diya..
Mere YouTube channel mai video editer ka option q nahi aata hai please tell me
Youtube se usko remove kar diya hai..
Sir please give me answer ..mere YouTube channel video editer ka option q nahi aata hai
Movie apload karte hai Ek Do second rah jate hai to fail ho jata hai kya problem hai
Bhai aapki jankari bhut achi thi to please apka whatsaap no. Mil skta hai mai youtube mobile pr chla rha hu aur mujhe tumhari help ki jaroort hai bhai mobile me wo option nhi aa rhe please bhai aapka whatsaap no. Bhej dena mai whatsaap pr mer mobile ka screenshot bhejna bhai help me…………..
Aapko kya problem aa rahi hai aap fb group me post kare
Hallo sir Kya aap batao sakte Hai ki ham apne channel ko khud see search karne par kiu nahi AATA h
aesa nahi hai.. khud se search karne par bhi aata hai.
Youtube chanal band ho gaya
Adsense Ac chalu h ? kya me dusara youtube chanal bana ke usi adsense se jod sakta hu help me
Sar
Mera youtube chanal to band ho gaya lekin adsense chalu h
Kya me dusara youtube ac bana kar usi adsense se link kar sakta hu ya nahi
kyo ki dusara adsense nahi bana sakta 18+nahi h
Jo video upload ho gaya hai usme hum cc subtile kaise lgayenge?
2 aagar hum chahte hai ki video me Jo Hindi me bol Rahe hai wo English me video par likhte hue dikhe to Kya yes fiture editing app me hita hai ya YouTube ke default settings me hoga
CC me aap likh sakte hai..Uske liye aap computer me open kare.. Video edit ke tan me option aata hai.
mene bhi youtube channel bnaya thanx you
Rohit ji you tube me cards ke bare me thoda detail se bataiye please