Dosto aap HMH youtube se related post ko toh pdhe hi honge. aur agar aap bhi youtube par videos upload karte hai aur uspe views nahi aate hai toh ab aapko kuch Youtube ke basic par sabse important baatein batane ja raha hu jise aapke videos pr view aane lagenge or usse aapki income bhi badegi.
Aesa nahi hota ke Video Dale or ek dam bhut se Views aa jaye jese Dusri Popular Channel par aate hai. Dekhiye ye koi shortcut nahi hai.
yah ek strategy hai jisko Technical language me Youtube SEO (Search Engine Optimization ) kaha jata hai. Toh agar aap in simple Points ko Dhyan me rakhte hue apne youtube videos upload kare toh aapke videos pr ache Views bhi aane lagege or sath sath aapki Channel bhi Popular hogi bilkul sahi tarike se.
Also Read: Youtube se sambandhit kuch Basic Sabal or uske jawab
Page Contents
Youtube SEO: Video ko Top Search me Kaise Laye
#1: Youtube Video Ka Title
aapka video jis bhi topic par ho ,uska Title short and video se related hona chahiye. Matlab ki agar aap kisi cat ka video upload kar rahe hai toh aap ka Title ho sakta hai “Funny Cat Video”. Title likhte samay aap ko dhyan me yah rakhna hai ki aap ka Title aapke Video Content ke according hi hona chahiye.
Aisa nahi ki aap ka video cat ke bare mai hai aur aapne Title likha hai “Hot Sunny Leone Video”. agar aap aisa karte hai toh aap ka video ek spam video mana jayega aur yah video search engine me ignore kiya ja sakta hai.
Agar Lambe time tak aapko Video par kaam karna hai to aisa karne se aapki pehle hi image kharab ho jayegi fir koi aapki channel par aane ka sochega bhi nahi.. to kuch bhi galat or shortcut apnane ki naa soche.
Also Read: SEO Title likhne ke 5 Eye Catching tips
#2: Youtube Video Description
Dekhiye, Youtube ne hamare video ke liye ek Description Box banaya hai iska matlab hme uska utilize karna bahut hi Important hai . Kuch log hote hai Bss Video Upload karte hai aur Description mein Kuch Nahi Likhte hai . Agar aap description me video ke andar jo content hai uske bare me 200-300 words likhte hai toh yah search engine me show karne lagta hai . Jisse aap ki video ki ranking better ho jati hai aur aapke video par views aane lagte hai.
Description ki starting ki 2 line achi se likhna bhi jaruri hai, Q ki hamare Video ke sath wo bhi search me dikhti hai jisko log padkar video par click karte hai.
#3: Keyword (Tags) dale sahi se
Apke video ko famous karne ke liye keywords bahut hi Important hota hai. Aap soch rahe honge ki kon sa keyword daala jay ki video adhik se adhik search ho. Iske liye aapko Google ke Keyword Planner Tool me aap apne video se related keyword ko search kijiye. Fir usme aapko ek monthly search ka data milta hai. Usme Low aur Medium Competition aur adhik bids (CPC cost per click) wale keyword ko choose kijiye aur apne Video me Tag mein Use kare. Isse aapki video previews bhi milegi aur earning bhi jyada hogi.
Keywords dalne se ek or faida hota hai ki agar koi kisi Video ko dekh raha hai or jo tag usme hai wo hi tag hamare video me bhi hai to side me jo suggestion Video aate hai usme hamara video bhi aa sakta hai, jisse bhi hamare Video ke Views badne me madad mil sakti hai.
Read: Apne Blog me Youtube Video ko kaise add kare
#4: Youtube Video Thumbnail ko Change kare
Thumbnail ka matlab toh aapko pta hi hoga. agar nahi pta hoga toh mai aapko btata hu, Dekhiye jab hmara video Suggested Video ki list me show krta hai toh uss video pr jo image show karti hai usko Thumbnail kahte hai. Toh agar hum Thumbnail ko Manually design aur edit karke purane wale thumbnail ko change kr denge toh uspe viewer ki najar padegi. Aur video ko dekhne ke liye bechain ho jayega.
ek Servay me aaya tha ki jo log youtube par aise hi kisi video ko dekhna chahte hai to wo Video ki Thumbnail ko dekh kar hi uspar click karte hai. Matlab agar Thumbnail achi nahi to Views nahi. Youtube SEO ke nazariye se Video thumbnail sabse important hai.
Aapke video ka Thumbnail aapke video se hi related hona chahiye. Koi sexual image bhi nahi lagana chahiye.
Custom Thumbnail use karne ke liye Channel ko Verify karna jaruri hai, Janiye kaise kare Youtube Channel ko Verify.
#5: Subscribe Appeal
Agar aapka video unique hai aur aapke viewer ko video pasand aaya lekin aapne video mein me aapne subscribe karne ke liye bola hi nahi toh ho sakta hai viewer aapke channel ko subscribe na kare. Toh agar apko subscriber ki numbers badhane hai toh video ki last me logo ko subscribe karne ke liye boliye.
Aapke Video ke jo Viewers hai unse ek relation banaye or unse Video ke last me kahe ki wo aapko support kare or aapke video ko Share, Like, Comment kare or New Video ke liye Channel ko Subscribe jarur kare :) .. inki madad se hamare video ki rank badti hai or wo search me top par aane lagta hai, Jo Views ke liye jaruri hai.
Toh friends aap upar btaye gaye 5 Youtube SEO Points ko follow kijiye. Kuch hi dino me apko positive(acha badiya) response milega. Toh aapse ek request hai ki iss post ko adhik se adhik share kare jisse aur log bhi in tips ke bare me janne ka moka mile.!!
Aap agar youtube se paise kamane ka soch rahe hai to aapko Youtube se paise kamane ke best tarike bhi pata hona chaiye, jiski jankari yaha hai.
Aur haa ..Youtube par hmare Channel “Hindi Me Help” Ko Bhi subscribe krna na bhule .!!
sir, mere youtube channel par 130 view hen par ab men jab apni vedio ko view karta hun ya koi or karta he tab bhi view nahi bad rahen Rohit sir help.
bhai, wo kuch time me badh jayege.. kabhi kabi turant nahi badte.
SIR, MERE YOUTUBE CHANNEL PAR 130 VIEWS HAIN PAR AB VEDIO KO DEKHNE PAR BHI VIEW NAHI MIL RAHEN
Sir mere me view hone ke Baad bhi view nhi dikha rha hai YouTube me plzzz help me
Sir mere me view hone ke Baad bhi view nhi dikha rha hai YouTube me plzzz help me
बहुत अच्छा लेख , जानकारी देने के लिए शुक्रिया
Sir channal ko search engine mai kese laye
Aap uska description or baki sab detail fill karke rakhe.. kuch time me apne aap aane lagegi.
मेरा चैनल किसी भी मेरा gmail id से चलाता है कुछ दिनों बाद ब्लॉक हो जाता है
sir Indian beginner youtuber’s ko English ya Hindi kis language me video banana chahiye
Jisme wo comfortable ho.. Or jisme jada acha bana sake usme..
Dear Rohit sir
Maine aapke saare blogs ko padha hai aaj tak maine aise blog nhi padhe but sir mera ak question. Tha YouTube se related
Mera ak account tha Jo maine aapke blog ko follow karke YouTube me video upload ki aur successfully monitize bhi kiya AdSense se connect bhi kiya…but meri video me views nhi aate the to maine ak channel kharida friend se lkin uska channel na hi monitize tha na adsense se juda tha usme 120552 total views the 212subscriber
But sir maine uske account ko brand karke apne brand account me transfer kiya phir brand account ko apni I’d me jiske karan mera old channel jisme views nhi aate the WO delete ho gaya jiske karan abJo maine account kharida hai usme 10k
Views chahhiye to ab usme bhi views nhi aa rhe main kya karo aisa koi…solution dijiye jis se meri video me views aay aur WO channel maine watchtime ke karan liya ki syad watch time accha ho to video me views way..plz help main bahot paresaan hoon maine YouTube pe saari video dekhi kaise top pe laay main niyam ko follow kiya .but kuch nhi meri kkismat hi saath nhi deti…sir aap saath de dijiye apna…plz help sir
Sagar phele baat to me bilkul recommend nahi karta ki 10k views wala channel karuga jaye.. Q ki uske baad bhi agar cute nahi aaye to earning kuch nahi hoti..
Or baat channel ke alag se 10k views bina chaiye jab adsense connect hota hai..
Aap trending topic par video dale to Jada views milne ke chance hai
Sir Youtube Pe Jab Main Apni Video Search Karta Hu To Wo Nhi Aati Hai.. Iske Liye Kya Kru
1.video upload karne ke baad view kitni der main aayenge
2.10000view se pahele monetization hoga ki nahi
3.view laane ke liye kya karna hoga
Mere chainal pr 10 video upload ho chuka h aur ab upload kr rhi hu to nya video upload nhi ho rha h iska kya karan h sir plz help me
Sir,
Ye keyword topic mujhe abhi b clear ni hua…plzz detail me bataiye..
kya confusion hai agar aap thoda detail me batayege to me aapki help kar paoga.
मुझे अपने यूट्यूब चैनल का URL नंबर पता करना है
ye aap setting me ja kar aasni se dekh sakte hai.
Sir you tube ko bank se kese jode.
Aur ye absence kya he.
youtube se bank add nahi hota hai.. adsense se hota hai connect.
Comment: sir muje bahut bar video copiright aya hai to kya mera channel adsense se nho judega or me pahile apna video nhi dala hu 60 vedio mai ne gugal or whatsapp se nikal ke dal diya hu to ab kya hoga sis me kya karu ab
aapne copywright video dale hai.. unse aap paise nahi kama sakte.. aapko khud se banaye video hi dalna hoga.. aap yaha dekhe konse video youtube par nahi daal sakte uske ware me bataya hai.
Improve this video ka kya matlb video ke aage aesa bta rha he
aapne jo video upload kiya hai.. usme camera hil raha hoga.. to aesa aata hai jisme ham video ko thoda istable kar sakte hai.. par agar aap nahi karna chate to aap aese hi rhene ge.. or jo aa raha hai usse koi prblem nah hai..
Improve your video,video ke aage aesa q bata rha he
Sir,Video Me Apna Voice,Music Dalna Joruri He ? Kyuinki Me Apna Video Pe Koi Music Ya Koi Voice Dala nehi He To Kya Koi problem Hoga . Please Mujhe Reply Karo… Please sir…
agar koi music nahi rahega to bhi koi problem nahi hai.. par fir aap ye dekhe kon aapke video ko dkehege or kya unko bina sound ke video pasand aayega..
Sir koi youtuber apne video me Jo bolta (Voice) hai aur hum vaisa ka aapne blog par like to kya copyright hoti hain..
Sir, mere video ke music par claim hua hai. Main us claim karne waale log se contact kaise kar sakta hoon taaki wo mujhe us song ko use karne ki ijaajat de de? Ya fir kya main Orchestra programme mein gaaye gaye songs ko youtube video mein laga sakte hain? Isse to koi copyright claim nahin banega na?
Bahut badhiya information sir
Sir near YouTube channel hai par vidio nhi samajh me at a kin so dale
Aap yahi site par search kare.. Video kaise upload karte hai uske ware me mene bataya hai..
रोहित जी मैंने same id से न्यू youtube chennel बनाया, वेरी फ़ाई किया उसमे अपनी एक वीडियो डाली और उसको ऍड सैन्स के साथ जोड़ दिया कुछ घंटो तक मेरा चेनेल चला और शाम को चेनल बंद हो गया और मैसेज आया की मैंने नियमो का उलंघन किया है उसके बाद मैंने दो बार request भेजी पर उन्होने दोनों बार request खारिज कर दी इसके कुछ दिनो बाद मैंने सेम id से फिर दो yoytube chennel बनाये ओर मैंने एक चेनल को वेरी फ़ाई किया और उसमे दो वीडियो डाली पर इस बार मैंने adsense को नहीं जोड़ा ओर उन्होने फिर मेरे दोनों chennel बंद कर दिये मैंने अपने चेनल पर कोई भी गलत वीडियो नहीं डाली, रोहित जी अब मै अपना चेनल कैसे बनाऊ प्लीज आप मुझे कोई सोल्यूशंस बताए
Rohit Sir.
Kya Youtube se Real me earning hoti hai.
Mere pas 100 se 200 videos hai. Jo dance, Funny, Animal… etc
Agar me ye all video ko upload karu to muje kitni earning hogi.
Or chenal ka nam kesa rakhu.
Sir main Jo video youtube par upload kiya hun vo monatize nahi ho RHA main mobile se video ko upload kiya hun
agar aapne kahi se copy kiya hai to nahi hoga.. warna to koi rpoblem nahi honi chaiye..
hii bhaiya mere aapse kuch question h plzz answer jaroor dena
1. me ye janna chata hu ki me sing bhaut aachi kar leta hu to kya me karaoke set jisme kavel mike se ganna sing karna padtha h music apne aap bajta h usse video banaker apna tallent youtube per video dalkar dikha sakta hu??
2. me ye janna chata hu ki ye ads kya hote kya kisi product ka add hota h example dijiye plzz??
3. me ye janna chata hu ki mujhe income pane k liye jaise exp. mera persnol bank acc. nahi h to apni mummy ka bank ki datels me dal sakta hu or apni mummy k name se hi kya mujhe channel , or gmail id banani padegi plzz bataye??
4. agar me apni mummy ka bank acc. no. dalu to kya vo safe rahega i mean vo sabko show to nahi hoga??
5. me ye janna chata hu ki jab bank se mere pass call aayegi ki aapne ye money kha se kamaye to kya khena h??
6. me ye janna chata hu ki smartphone se video banate h to bahut mb ki banti h kya app mujhe ye bata sakte h ki kisse video banaye ki video kam mb ki bane bade bade singer ki video jab hum net. se downlode karte h vo to keval 20 , 25 mb ki hoti h kyu??
7. kya her ek video ko dalne k baad monitize enable karna padhta h??
8. kya me kisi b song ko gakar dal sakta hu chahe old ho ya new or mujhe bataye ki jaaise me jagjeet singh ki gazhal gaker dalna chata hu ki hooto se choolo tum wali to me ye name hi dalu ya koi or jisse video ko view jyada mile kya tittel dalu ??
9. kya log video ke tittel ke name se serch karte ya channel ke name se me jab channel banuga to kya jarrori h log mere name wale channel ko search kare??
meri only gmail id h
plzz mere in sare question ka linewise answer jaroor dena bhaiya
i will wait your answer…
Google adwords planner tool me ads ke bare me bata raha hai ise use kaise karna hai bataiye
agar jo aap adwords ko use karte hai to aap ke liye wha par ek keywod planner kar ke section hoga aap wha se use istemaal ar sakte hai. whi asli keyword planner hota hai. aur aap ko ads se kuch lena dena nhi hota.
dhanyawaad.
Bhai you tube me mere video ke bare me koi search karta hai to mere video sabse pahle lane ke liye kya karna hoga aur tag me kya karna hota hai….
YouTube s letter kitni viewers hone k baad aata hai
nice information sir aapne phle btaya THA ki YouTube s ghar p phle letter aata hai fir kamai hoti hai to kitne views PR aata hai vo letter . comment ka reply krdia kijiy sir pls.
Sir tag or description ek hi daalna chaiy ya alag alag.sir apka comment ka reply ka muje notification mil jaay is k liy kya kru
sir title change krne k liy kya krna hoga or mobile s vedio upload kerne pr kmai nhi hogi kya
agar aap tags aur title accha use karte hai to isse koi farak nhi padta ke aap mobile use karte hai ya laptop aap ko yoyutube se acchi earnings hoti hai.
बहुत अच्छा सर………. मै youtube पर एक चैनल बना लिया हूँ. लेकिन अभी विडिओ अपलोड नहीं किया…….मै youtube के बारे में और जानकारी ले लेना चाहता हूँ…….. सर एसे ही कंटेंट डालते रहिये
Ji bilkul :)
Rohit bhai bahot bashiya post.aap kaha se aaise topics late hai
sir,Estimated earnings 0.00 kyu bata rhi he ?
sir ji mene you tube par video upload kar di h or video monetize bhi kar diya h lekin adsense account se add nhi ho pa rha hu (step 11) NEXT NHI HO rhi h please help hindime
bhai kal hi meri adsense proved hui hai, 600 page Impression huye hai or 1 cpc jiske wajah se earning sirf 0.04 $ hua hai. kya 1000 page Impression pe automatically 1 $ milegmilega
Nahi, ye fix nahi hai.. Ye but so chijo par nirbhar karta hai.. Baki account approve ho gaya hai to income bhi badegi.. Best of luck aapke adsense account ke liye.. :)
thanx bhai,ads kitne lagau, ek page pe total 6 ads dikhne chahye na, or title ke upar or niche ads laga sakte hai na.ek baat or 3 display ads or 3 text ads hi laga sakte hai kya.mughe ads kaise lagaye uske bare me kuch clear krde please thora detail me
Sir youtube par addition vedio dal shakt hu keya koiy problem to nahi plz repl.
aap kis type ke addition video ki baat kar rahe hai.. agar aap video copy karke add karke fir upload karne ka soch rahe hai to aesa karne par bhi dikkat hai.. agar hamara lamba video hai par usme agar 10 second ka bhi kisi dusre video se milta hai to dikkat ho sakti hai.
Rohit sir keya may youtube par chenall bana kar Paisy kamashakta hu keya..
haa, bilkul kama sakte ho. Video ko monetize karna hoga..
Sir Apne Blog Par Ek Page Par Google Ke Kitne Ads Laga Sakte He
3 Display ads or 3 link ads..
Display ads or link ads..kya hote hai
jo banner hote hai wo or jo sirf link hoti hai wo ads.. adsense account me jab aap code generate karege to aapko pata chal jayega.
bhai mera quest bhi isi se related hai, mene bahut jagah padha h 2 adsense search box bhi lga sakte hai, ye kya hota hai detail me bataye, aise total 8 ads ho gaue, plz clear kare problem ko
Agar aapki site par adsense account approve hai to, jo google ja custom search his hai site ke liye.. Ham usme ads enable kar sakte hai.. Par wo page ke ads me count nahi hota.. Uske ads jab dikhte hai jab koi usme search kare Hamare site par. Jese aap usko meri site par bhi dekh sakte ho
Sir mere me view hone ke Baad bhi view nhi dikha rha hai YouTube me plzzz help me
bhai hlp me ads ke code ko kaha dalna hai btao mere blog me ad show ni ho raha hai
html widget me dale.. agar adsense ke ads laga rahe hai to pheli bar ads aane me time lagta hai..
rohit ji bohut bohut dhanyavad aapka itni achchi tips batane ke liye…. aise hee kuch point dhundh rahe the jisse ham bhi video bana kar kama ske ore aapne bata diye thanks
Most WellCome :)
Really very useful tips..
for youtuber’s
badiya article hai bhai Useful.
Wese aapke kitne pagevies hai per day and visitors?
And aap wordpress par konse seo software use karte hai All in one SEO pack ya Yoast!
20-25k par day hai.. me Yoast use karta hu..
Ye Post mere liye bahut hi usefull hai! kyoki mai bhi video banakar youtube par Dalne wala hu! muje ye sab nahi pta tha ki video me kya kya karte hai! iss post ke baad ab muje pata chal gaya ki video upload karne se pehle kya kya kare hai!
Rohit mai aapko persnaly Thanks bolta hu iss badiya post ke liye…
Sir,wordpress par kaise blog banaye?plz aap jaldi iss bare me post kijiye.
nice post bro.
mujhe bhi isi post ki jarurat thi jo aaj puri ho gayi
bhai Mj mere video ko edit krke usme address naam aadi add krna h fir you tube pr upload krna h..
Phle ye btao video me naam aadi konse software se add kre..
plz reply..
Rajesh ji apko kisi bhi software ka use nhi karna he jab ap upload karne k liye video selecte krenge tab apke samne puri Details open ho jayegi
Jaha apko file name tags …. Jesi Details Deni hoti he
एकदम बढ़िया प्रस्तुति , सुंदर लेख