On-Page optimization ek SEO ka hi part hai, SEO ka Matlab hota hai Search Engine Optimization, yaani ki apni website ya blog ko better Search Engine Result Page ke liye Optimize karna. Yah optimization bhi 2 tariko se hota hai.
Ek hota hai On-Page aur Dusra Off Page SEO.
Is post me ham bat karenge On-page ko kaise optimization karte hai.
Jab bat aati hai On-Page SEO ki to apne abtak yahi padha hoga ki On-Page kya hai? Lekin is article me On-Page ko SEO ke liye perfect optimization kaise kare use practically janege.
On-Page SEO: Content ya Article banate time jo bhi ham apne content ya article me implement karte hai jaise Title, Heading, Permalink, Media, Design etc. ko sahi dhang se ompimize karna hi On-Page Search Engine Optimization kehlata hai.
![On-Page SEO Kya hai: Website Page Ko Search me Top par lane ka Tarika [[year] Updates] On-Page SEO Kya hai: Website Page Ko Search me Top par lane ka Tarika [[year] Updates] - SEO](http://hindimehelp.com/wp-content/uploads/2022/08/On-Page-SEO-kya-hai.png)
On-Page SEO kya hai? yah janne ke bad ata hai ki ise better SERP (Search Engine Page Result) ke liye kaise kare.
On-Page SEO ko bina practically samjhe aap ise apne blog Content par laagu nahi kar sakte, aur agar ap apne post ka On-Page SEO achhe se nahi karte hai to apko better SERP nahi mil sakta.
Page Contents
#1 SEO Friendly Permalink
permalink ko hamesha chota aur keyword ko sath me lekar banaye. Bekar dikhne wale URL ko ignore kare jaise:
hindimehelp.com/p=123
Iske sath URL ko jayda bada bhi nahi rakhe jaise:
hindimehelp.com/on-page-seo-apne-page-ko-seo-ke-liye-perfect-optimize-kare
Lekin aisa kyon?
Aisa isliye kyonki Google hamesha post ke permalink me se shuru ke 3-5 word ko jyada value deta hai. Jiska mtlb hai ki hame apne URL me targeted keyword ko place karna chahiye.

Screenshot yah show karta hai ki kis tarah tarah se short URL Google Search Engine Result me attractive bante hai, aur sath me wo keyword hote hai to Google unhe Bold show karta hai, jo jyada eye catching hoti hai jisse hamari Blog par CTR bhi badhti hai.
CTR: Click Through Rate, Google ke fist page par 10 results show hote hai, suppose karo Google ke first page par 100 users search karne walo ko apki site show hoti hai to un me maanlo 20 users ne apki site ko hi open kiya baki ke 80 users ne baki ki bache 9 blog ya website ko open kiya, tab apki CTR 20% hogi.
Aap jitna apne Permalink URL me kewal Main Keyword ko hi place karoge aur URL ko short rakhoge to yah alag aur chote me achha lagega.
#2 Title Ke Shuru me Keyword
Defiantly aap apne post ke liye targeted keyword (Jis keyword se apne post par ranking chahte hai) ko title me place karte hai, aur yah acha bhi hai kyon ki yah Google ka sabse important On-Page SEO factor hai.
Lekin,
iske sath me apko is bat par bhi dhyan dena chahiye ki Apne main Keyword ko title ke shuruaat me rakhe.

Ho sakta hai aap kuch post ke title ko direct apne targeted keyword se shuru nahi kar paa rhe hai ya koi meaning hi nahi ban pa rahi hai to bhi kosis kare ki ap apne targeted keyword ko title ke end me na rakhe.
#3 Chakit Karne Wala Multimedia
Kewal text se content banana hi kafi nahi hota hai, kosis honi chahiye ki us content me Videos aur Images bhi ho.
Videos aur Images apke blog par aane wala user kuch waqt aur rukega. Jisse Bounce rate kam hogi aur time on page badhega.
Bounce Rate: Jab user blog par akar bina blog par second page par jae hi blog ko band kar deta hai.
Time on Page: Visitor apki site par kitna Time tak ruk raha hai.
Sawal banta hai ki Multimedia SEO ke liye kese achha hai, Right?
Aap apne content me attractive videos aur Images add karoge to isse apne blog ki Bounce Rate kam hogi yaani user apki site ko close kar de, iske chance kam ho jaege jo ki Google SEO ke liye achha hai aur sath me Time on Page badhega jisse user apki site par jyada time tak rahega to ye bhi Google SEO ke liye achha hai.
Kul-mila kar Google user behaviour bhi dekhta hai ki user apki site par kitne time tak rukta hai aur kitne user apki site ko bina aage padhe close kar rahe hai.
Agar koi visitor apke content par Google se search karke ata hai aur page loading hote hi apke us content se back aa jate hai then yah apke Search Engine ranking ke liye negative effect dalegi isliye hamari kosis honi chahiye ki us visitor ko apne site par roke rakhe.
#4 Keyword ko Shuru ke 100 Words me hi Rakhe
Apke article ya content me shuru ke 100-150 words me hi targeted keyword hona chahiye. Yani jo first paragraph hota hai apke content ka usi me apke keyword hona chahiye.

Is screen shot me dekhiye, hamne SEO, Optization, On-Page, Search Engine ko target kiya hai jise content me shuru ke 100-150 words me hi use kiya hai.
Keyword ko shuru ke 100 words me hi use karne se Google yah samajh jata hai ki aap ka page kis bare me hai.
#5 Loading Speed Kam Kare
Google yah bhi record karta hai ki apki blog ke loading speed kitni hai. Yani apke blog ko khulne ki speed fast honi chahiye.
Ise kam karne ke liye aap apne blog par high definition images ko compress kar sakte hai, aur agar apne blog ko self host par rakha hai to fast speed hosting hi le. Agar aap Google Blogger (Blogspot) use karte hai to apko hosting ki power ke bare me dekhne ki koi jarurat nahi hai kyonki Blogger platform me apki site Google ke server par host hoti hai.
Apni koshish banaye rakhe ki apki site kam se kam 4 seconds me hi open ho jaye. Aur agar apke blog par users Indian aate hai tab apko apni site ki speed ko kam karna hi chahiye.
Research se pata chala hai 75% users apki site ko dubara visit nahi karege agar apki site khulne me 4 seconds se bhi jyada time leti hai.

GTMetrix.Com ka use karke apni site ki loading speed ko check kar sakte hai.
Website ki Loading speed kaise kam kare uski kuch important tips mene share ki hai, jo aapko apni site par jarur apply kare.
#6 Apne Title Me Modifiers Add kare
Modifiers jaise “Best”, “Top”, “Famous”, “Guide”, “Complete Guide”, “Review”, “Helpful” etc. ko apne title me add karne se ise aur bhi attractive bana sakte hai.
Jaise apko ek content likhna hai jiska theme hai “WordPress Ke Tools”
to ise Title me is tarah se add kar sakte hai:
1) “Top 10 WordPress Tools Jo Apka Time Bachaege”
2) “10 Famous Tools jise Aap Ko Bhi Use karna Chahiye”
3) “Best WordPress Tools ko Use karne Par Complete Guide“
Esa karne se agar aap Facebook, Twitter par bhi apne content ka link share karte hai to waha se apko click milne ke change high hoge.
Aur sath me Google par site show hone se high chance hoge ki users apke blog content ka title dekhe to pahle apke blog ke content ko pahle open kare.
Agar aapko sikhna hai kaise ek badiya Title likh sakte hai jisse aapka SEO Improve ho to aap meri is post ko read kare jism mene bataye hai Blog Post Title Likhne Ke 6 Badiya tarike.
#7 Social Sharing Buttons Use Kare
Kya chance hote hai apke content ko padhne ke bad readers apke us content ko apni social profile par share kare?
Chances are very high jab aap social share button ka user karte hai tab users apke content ko shares karege.
Agar aap Social Share Button add nahi karte hai, tab apke blog ke ese readers kafi kam hoge jo Address Bar se URL copy karke apne social profile par paste karke share kare.
Yani social share button ka use karna bahut jaruri hai agar ap apne content ko social site par viral karna chahte hai.
Agar aap Google Blogger platform use karte hai to ho sakta hai apke Template me hi Social Share Button option ho, agar nahi hai ho to apko alag se social share button add kar sakte hai.
aur WordPress users simply Digg Digg plugin install kar sakte hai.
#8 Content Ko Bada Rakhe
Research se pata chala hai, apke content me jitne length hoge chance high hoge apke Google first page par rank hone ke.
Jis content ki high ranking chahte ho aur wo content ka topic bhi kafi high competition me hai tab apko kosis karni chahiye ki post kam se kam 2000 words me to likhi hi jae aur agar isse jyada words me likhte hai to wo aur bhi best hai.
Aur rule bana dena chahiye ki har content ko at least 1000 words se jyada me likhe.
Jitna Long content hoga usme utne hi jyada Long Tail Keyword ko use me le sakenge. yaani utna hi acha hai SEO ke liye.
#9 Internal Links
Internal link ka matlab hai ki apne new content me purane published post ka link bhi add kare. Lekin us new content me usi content ka internal links add kare jo usse related hai.
Agar iska acha sa example dekhna hai to wo hai Wikipedia, Wikipedia par average har post par 50+ Internal Links aapko mil jayenge.

Is bare me mera suggestion hoga ki new content par kam se kam 2-5 old content ko link kare. Jisse apki blog ki bounce rate bhi kam hogi kyunki aap user ko ek hi content nahi de rhe hai uske sath me aur bhi content aage kar rahe hai padhne ke liye to visitors apke blog par aur jayda time time tak rukege.
#10 Use Keyword in H2 and H3
Aap apne content me H2 and H3 ko subheading dene ke liye to use karte hi hoge? agar nahi to ise use me le kyonki first yah apke content ko more user friendly banati hai aur second usme keyword rakhne se yah On-page SEO optimization ko aur bhi strong karega.

Jo aapka Keyword hai aapko uska ye dhiyan bhi rakhna hai wo ek limit se zyada naa hi, nahi to wo bhi keyword staffing kehlata hai.. jo hamare liye acha nahi hai. Keywords ki kya limit honi chaiye uski jankari mene share ki hai wo aap read kar sakte hai.
#11 Image Optimization
1) Image Name
Apne content me jo Image add karte hai us image ka name bhi wahi de jo apka target keyword hai. (for example: on-page-SEO.jpg)

Is tarah ke image ke name nahi rakhe:
12142015.jpg
1207pm.jpg
2) ALT Tag
Image Optimization ka second step ata hai ALT tag add kare.
2.1) Blogger
Agar aap Google Blogger platform user karte hai iske post editor me image me ALT Tag add karn ka option hai. ALT Tag me bhi apne target keyword ko hi place kare.

For Example agar apke target keyword hai “On-Page SEO Optimization”, to ALT name add kare kuch is tarah add kare.

2.2) WordPress
Agar aap WordPress platform user karte hai iske post editor me bhi image me ALT Tag add karn ka option hai. Jiske liye kewal Image ke border par edit button par clik.

For Example agar apke target keyword hai “On-Page SEO Optimization”, to ALT name add kare kuch is tarah add kare.

Image optimization karne ka dusra reason yah hai ki Google ko ye pata chalne me aasani hoti hai ki apka content kis bare me hai. Jo apko search traffic aane me madad karega.
For example apke content me 2 images hai jis par alt tag add kiya hai ek par “online-make-money” aur dusre par “offline-make-money” to Google samjhega ki apka content Make money topic par hai.
#12 Post Description
Hamari jo Post joti hai wo search engine me ya fir Social Media me share karne par jo dikhta hai wo uska Title, Permalink or uska Description or Post ki Thumbnail.
inhi ko dekh kar user unpar click karta hai.
Blogger me Post Description kaise add kare uski jankari yaha hai or agar aap wordpress use karte hai to SEO Yoast Plugin use kare.
SEO Ki or jankari ke liye aap HMH pe SEO Category ki post read kar sakte hai.
Ummid hai yah content apko On-Page Optimization ko achi tarah se samjhaya hai, comment karke apna feedback de ya aapka koi sabal hai to jarur kare.
Unique and helpful blog post
Thanks for sharing helpful information
Fantastic blog post, you are a great writer, thanks for sharing info with us
Thank You
Bahut acchi article h . Sir , kya post me video use karna sahi hota h .
haa, agar kisi topic par video hai to user ko or ache se samaj aaye uske liye Video, Image, Audio ya jo bhi content possible ho sab add karna cahiye.
haa, agar kisi topic par video hai to user ko or ache se samaj aaye uske liye Video, Image, Audio ya jo bhi content possible ho sab add karna chahiye.
Thanks you so much.
Nice article, Apne SEO par bahut he acchi aur jaruri post likhi hai.
Thanks for sharing your experience knowledge.
काफी अच्छा article लिखा है आपने।
क्या आप मेरे blog पर traffic बढ़ाने के लिए के कुछ tips दे सकते है?
Traffic kaise badaye uski jankari yaha hai.
On Page SEO ke baare me aapne bahut hi acchi jankaari diya hai.
Thanks.
Thanks sir me ab samjh gayea
Great :)
Hey Brother !
Thanks for sharing your experience knowledge, I like your writing skills again thanks dude !
Thanks you so much.
Nice article, Apne SEO par bahut he acchi aur jaruri post likhi hai.
Thank you so much for telling about yourself.
Fantastic web site. Lots of helpful info here. I’m sending it to several pals ans additionally sharing in delicious. And of course, thanks for your sweat!
Nice Post !
nice articles Rohit Bhai, I hope you spread your knowledge through ur blog.
On-page SEO ke bare me apne best post likhi hai.
Apki sabhi post lajawab hai.
Bro, aapne bahut achhi jaankari di hai On page ke baare mai, lekin ek question hai jab Image Upload karte hai WordPress mai to 2-3 main option hota ek Alt Tag, Title, Image Description. to kya saare likhna jaruri hai aur kya image ke alt tag aur title me same likhte hai ya alag alag ho skta hai?
sabhi likh sakte hai.. usse image or jada detail me samaj aa sakti hai.. baki alt tag se ham search engines ko bata sakte hai image kis ware me hai.