YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
adsn par sign nhi ho rha kya is ke lye PAN CARD BHi lagta he kya
Nahi PAN card nahi lagta par. Apna blog kamse kam 6 mahine purana Hona chaiye
mere youtube video me sirf computer se hi ad dikh rha hai par mobile se nahi dikh rha hai aisa kyu.
Sir Maine utube me account banaya hai Ek vedio v uplode kiya hai par use monetize nahi kar paa raha hu q ki utibe me my chanale Ka option nahi aa raha hai.
What to watch ke bad your subscription aa raha hai ab kya Karen?
Plz help.
aap direct bhi ja sakte ho is link par click karke https://www.youtube.com/my_videos
Sir Maine utube me account banaya hai Ek vedio v uplode kiya hai par use monetize nahi kar paa raha hu q ki utibe me my chanale Ka option nahi aa raha hai.
What to watch ke bad your subscription aa raha hai ab kya Karen?
Plz help.
ek adress par itne adsense account bana sakte
ek aDDRESS PAR KITNE BHI ACCOUNT BANA SAKT EHAI.. PAR EK HI NAAM SE NAHI..
ek adress par itne adsense account bana sakte hai.
Rohit monetize karne ka koi or tareeka batao computer nhi h mere pas mobile hi h.. ya fir sirf monetize kisi frnd k computer par kar lu or us k baad baki sab kuch mobile me hi kar sakti hu ya nhi plzz ans fast
aap browser me open kare or desktop view on karde browser ka.. to site jese computer me khulti hai wese khul jayegi..
Mere pas my channel option show nhi ho rha
aap ye post pade
Video uplod kiya uske bath.mera youtube par my channel show nahi karraha hai.ab mein monetize kaisa karuuun
sirf computer me hi hoga.. mobile me nahi.
Video tho upload hogaya but my channel ka option mobile ke screen par nahi dekraha hai.kya karoon
mobile me nahi aata hai. aap dekhtop view mw karke dekha sakte hai.
kya her vedio pe monitize enable karna hota h
Monetize to har video ka enabled karna padta hai par adsense se to ek baar hi connect karna hai youtube account ko
blog aur blogger ek hi hai ki diffrent hai.batayena sir plz
Blog jo ham banate hai uska naam hai jisko website bhi kha sakte hai. Blogger google ki service hai jispar ham blog bana sakte hai
sir,blog aur blogger ek hi hai ki diffrent hai.sir batayena plz
blog website ko khate hai.. or blogger google ki service hai jispar ham blog banate hai
Nahi bina login kiye dekh rha hu https://youtu.be/5mvDubxdZVw
Ads aa rahe hai. Ham jis device me apne account me login karte hai usme kabhi kabhi ads nahi aate.
sir mai jaanna chahta ho ki a yi mean youtube money working he isko sirf laptop par account bana sakte he yaa mobile par bhi use ho sakta.i will try but mobile par nahi ho raha..
mobile par nahi hota.
Hello sir maine mere aur mere sis k mob me mera video dekha to add aya pr baad me cyber me dekha to ad ni aya aisa q ho rha h?
Aesa kabhi kabhi hota hai. Iska kya karan hai bo kisi ko nahi pata. Ho sakta hai aap youtube account me login Karke video dekh rahe ho
HELLOW SIR PAYMENT KIS TAREEKE SE AAYEGI.. INFORMATION APPLICATION ME BANK ACCOUNT NUM NAI MAANGA.. TO HAME PAYMENT MILEGA KESE…
Youtube ki payment Adsense se aati hai.
Hi
Account to hamnay banadia
Magar pasa kasay ayega.
Aap youtube par video upload karke usko monetize karo. Uske baare me mene site par bataya hai. Aap meri site par youtube search karo sare youtube ke post aa jayega.
video editing ka software kon sa hota h taki hum youtube par good video dal sake. Aur Screen capturing ke liye kon sa software badiya h
Video Editing or Screen Recording dono kaam “Camtasia” se ho jayege.
Thnku very much sir.
hello sir
adsend ke code letter mere ghar par ayega kya
Haa apne jo address diya hooga baha par aayega
Sir
Mare YouTube analytics earning 10$ show ho rahi hai or sir mere adsense account ki total earning 3$ show ho rahi hai esa kyu?
Aapke adsense account me ek notification bhi hoga. mere me hamesa rhata hai.
bo 3 islye show ho rahi hai q ki har mahine ki 15 tarik ko youtube ki earning adsense me add hoti hai.
Hiii sir
Sir maine apna youtube account addsense ke sath connect kar diya hai or maine apne YouTube account pe do nai Chanel creat ki hai to sir main usko bhi vohi AdSense account ke sath connect kar sakata hu.
Haa unse hi connect karna hai. or kabhi bhi ek se jada adsense account banana bhi nahi. nahi to aapke dono adsense account band ho sakte hai.
12 views h
Hello mera ho gya h sb on mere videos me analytics section me jata hu to aata h ki your channel dont have any views pr video pr to 12 likes h aur agr mai apne video ko khud dekhunga to kya hoga?????
abhi aapka account new hi isliye aesa bata raha hai. 2 din baad graph me detail aana suru hoti hai.
Agar aap khud hi apne video ko dekhoge to sirf uske views badege par income nahi hogi
Bhai maine sb step kr liye pr adsense not activated aa rha h your your request currently in review bta rha h ab mai kya karu???
currently in review ka matlab hai unhone abhi aapki request ko dekha nahi hai, bo abhi pending me hai. Jab ho jayega to aapke pass ek email aayega.
blogger me paise kese kmate h?
kese kmate h?
aap site par search kare.. aapko bhut si post mil jayegi..
Google play store uninstall ho gya h Kaiser set Kare.
Aap apne kisi dost se Playstore ka app le. ya fir playstore apk Google me search karke download karle
Google play store uninstall ho gaya h Kaiser install kare
Aap apne kisi friend se USA apk file le kar install karo. Ya fir google me play store apk search karo fir download karke install kar lena.
Ek baat ka diyaan rakhna install karne ke baat playstore me ja kar update jarur karna agar ho to.
sr ap ye btao k jo verification code aayga use adsence account m kese daluga or bnk accunt no. kb or kha dena pdega sr
Sorry for Late reply
Aapke pass aesa letter aaya hoga usme bhi bataya hai kaha or kaise is code ko use kare.
1. Apne adsense account ki setting me jao >> Account Information me jao >> Verify Address ki link hogi uspar click karke apna code dalo fir Submit PIN par click karke save kardo
Reading email she Kaiser paisa kamate hai
Maine PayPal, clixsense per account ban liya hai
Internet se paisa kamane k lite air kya karna padega plz sir reply me
Sorry but mene kabhi isko tri nahi kiya. me blogger or youtube se paise kamane ke tarike batata hu
hello dear aaj ka mera. aap se. Q h ki
mne youtube par cannle bna liya h or us ko monetize. bhi kar diya. h. .
ab kya muje youtube par koi bhi setting. krne ke jrurt nhi h. or. bas. a
age m video uplode. kru to us. only monetize krna. h baki kuch nhi. krna. na
us ko ads s bhi. jod diya h m puchna. chahta hu ki next video uplode krne p kya kya krna padega
ab aap jab bhi apna video upload kare to uska sahi description or tag de. usko monatize karne ke liye aap video ki hi setting me hi kar sakte ho.
Mera last pana form ka nahi hai kya karu or dolar or earth ka nisan a raha hai right ka nahi a raha hai Kya karu sabhi chij hu gai hai bas itni paresani hai please halp
sir google adsens k form me bank accnt no. bharne ka option to hai nhi,,to acnt me paise kis tarah pahunchenge?????
Jab Hamare 10$ ho Jate hai uske baad aata hai account detail ka option
kiya account type me paypal ka account hona jarori hai?
nahi… paypal ki koi jarurat nhi hai.
nhi aa ra
Kaha par dikkat aa rahi hai bo batao. Q ki mene puri step by step bataya hai. Simple aapko meri steps ko follow karna hai
sir maine u tube pr videos uplode kr diya hi pr usme my chanel ka option hi nhi arha hi …mujhe monitize or addsense krke paise kamane hi…
Aap computer me kholo jese mene screen shot diye hai aesa hi option aata hai
MERA SIR PYEE NAME ME BANK ACAUNT WALA NAAM PDEGA????????
Haa, jisko payment leni hai uska hi naam. Jo bank account me hai bo hi
bhai yaar mere channel pr video maneger ka option nhi aa ra h kya kru plz btao
Jese aap bol rahe hai aesa ho hi nahi sakta. Aap computer 💻 me kholo. Mobile me nahi aayega.
Sir kya me apne android phone se koi video bna skta hu ager ha to sir plz mujhe btaye kyonki sir mere pas laptope nhi h
aap bilkul bana sakte ho or mobile se upload bhi kar sakte ho.
Bas aap mobile me video ko achi se edit nahi kar sakte or youtube ke kuch option hai jo sirf desktop view me aate hai
dear rohit,
apana bahut achcha knowledge diya he, maine try kiya apane jis tarah se step by step bataya he par pahale step me hi jab youtube ke side me chhota arrow me click karate he usake bad channel opetion khulta he usake bad jab video manage me click karana rahata he par maine jab kiya to viedeo manager wala option to dikhata hi nahi he 3rd no. option. ab kya kare
Aap mobile par chala rahe ho Sayad. Video manager aa raha ki nahi ye batao.
mere ek video me monotize enable ho gaya hai leki aur sab me likhta hai not monotize click to provide proof of comercial use right to kiya kare. aur adsense account address change kare to confirmation code ayega .
Aapke vieo par aesa isliye aa raha hai, q ki sayad bo video aapke khud nahi banaye or kahi se download karke upoad kar deiye ya fir unme jo sound hai bo aapne kahi se download karke use kiya hai.
Address Verify karne ke liye hamare address par Google Adsense se ek latter aata hai usme ek code hota hai usse hame hamara address verify karna hota hai. is prakar hota hai code.
sir, ye jo address verify code aata hai wo kitne day me aata hai. address par
era code 1 mahine me aa jata hai. par mera nahi aaya tha to mene ek mahine baad fir se code ke liye apply kiya to 2 mahine baad ek ath 2 code aaye.
Tension mat lo agar code nahi aa para hai. to 3 tri ke baad direct hamare email par code aata hai usse verify kar sakte hai
Publisher ID
pub-7351549497372207
Customer ID
6908375189
Time zone
(+05:30) India Standard Time
edit
Active products
Content
Content host
iska kya matlab hai. or Adsense se ek latter me code aata hai , verify ka. wo abhi tak nahi aaya
ye sab hamare adsense account ki detail hai. or jo latter aata hai usme ek code hota hai jisse hamara address approved hota hai. latter me sab likh rhata hai.
bhai maine apne blog ko bidvertiser se add kiya tha uska ad mere blog pe so hota h bt ko earng nhi ho rhi h jbki 1000 se upr viwers b h fir jo bidvertiser site me sbse upr yhi dikhata h
Account 1326735
Total Paid $0.00
Pending Balance $0.00
Payment Advice PayPal
aur niche Impressions me per day ka 1027 dikha rha h
Revenue Points me 0
Revenue-process
status-runnig
bhai ek bar ap apna bidvertiser me chk kr lo ki mere me glt kha s hai plz bhai aur ha ye revenue upte kya hota h
payment kaise milega
Kaise Bhai…???
Bhai mere 3000-4000 view ho Gaye Hai but koi doller nhi aaya h Bhai green $ bhi a raha h
Aap conform karo ki aap ka adsense account youtube se connect ho chuki hai. Agar nahi huaa to phele usko connect karo jab hi income hogi. Youtube ne abhi unke monetize ki term conditions bhi update ki hai aapke youtube account me uper notification to nahi aa raha,usko agree karo
g phly ik vedio par show ho raha tha wo maye nye vedio delet kr de ab dosri vedio charhai hay us par neshan ni a raha plz plz detail sy samja do
aap puri steps ko follow karo. Kahi aesa to nahi aapka monetize disabled ho gaya ho. Or mobile number bhi verify karna jaruri hai.
Agar aapne jo video dala hai bo copy kiya huaa hai to bhi monetize block ho Jayega
jnb mera monetizze on hay lekin vedio par $ ye neshan nahi a raha
Har video ko alag se monetize karna padta hai.
Step 8 me dekho jo icon hai us par click karke enabled karna hai.
Sirf adsense se ek baar connect karna hai
yaar mane vidios ta pati lakin minu pata kive chaluga gi paise kaha hai or kase nikalte hai
ye ham apne Account ke analitic section me dekh sakte hai. Iske bare me me ek post bhi daluga aap thoda intjaar kare.
Kisi bhi video par nahi aa raha hai kya?
yar video jab upload krta hun to copyright error a jata hai iska koi hal nikal do pllz yar plz
aap video ko kahi se copy karke upload naa kare.
jnb agr hum ik vedio par already monetize kr chuky hay to 2sri vedio par kesy monetize lay means dollar wala neshan kesy lay dosri vedio par
Youtube par jo video ki list hai uske saamne aata hai $ ka Nissan. Har video ko monetize karne ke liye us video ki setting me aata hai.
Simple video ke saamne jaha $ ka Nissan aata hai us par click karke monetize chalu kar sakte hai
Kabhi kabar aati hai har bar nahi aati hai adds
Isse koi dikkat nahi hai. Aap koi bhi video youtube me chalao jisme monetize ho, aap dekhege ki uske ads bhi kabhi kabhi aate hai.
jnb maye ny ye you tube wala sara process kr liya hay lekin adsens par rupess nahi a rahay kia waja hay pllzzz tell me
Itni aasani se nahi aa jate. Kitne view ho face hai aapke video par. Kam se kam 1000 view to Hona chaiye jab hi kuch income dikhegi
Sir vo kaise dalane kaa…aap pleze detail ke sath batao naa.maine apna address dala hua hai
Sir hum YouTube sai payment kaise mangvaye iss par bhi sir ek blog banaona sir.
Our sir maine apna monetize kiya hua video maine apne frnzz ke mobile se play kiya lekin koi add show kyu nahi ho rahi hai…
Kabhi kabhi transparent ads aa jate hai.
Aap ye batao ki ads aate hai ya nahi. Kahi aesa to nahi ki ads aate hi nahi ho
Or sir agar mere pass 100$ hojaye to main apna pyment AdSense se kaise mangava sakta hu..
Jis bhi mahine adsense account me 100$ ya usse Jada hote hai to Mahone ki last tarikh ko direct apna bank account me aa jate hai. Bank account ki detail hame adsense account me daalna padta hai