YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
ye mere e mail par aya hai ab mujhe kya karna hai
Hello Shivam Gangwar,
The AdSense account linked to your YouTube channel Shivam Gangwar was successfully changed. All future payments will be processed through this new AdSense account. View details
AdSense ID:
2685040605795925
Status:
Pending
Date associated:
September 13, 2015 at 9:32 PM
Didn’t request this change?
If you’re not aware of this change, someone else may have recently accessed your account. To keep your account secure, please do the following immediately:
Reset your password
Change your associated AdSense account
If you need additional help, please visit our Help Center.
Thanks,
YouTube Support Team
Aapne ye Email Q Paste kardiya Comment me.. Ye isliye aaya hai q ki aapne Adsense par account banaya hai.
sir mujhe you tube par step no 15 bta dijiye
WO Form hai, aapko usme apni puri sahi sahi jaankari bharni hai.
sir mera mobile ma youtube per my channel nhi aarha ha ma youtube per kis trha paise kamau
Mobile me nahi aata hai.. Computer ? me kholo
Contect information me kya kya karna hai mujhe ye bta do
Or iske liye wibsite to jaruri nahi hai
Stape no 15 me kya kya bharna hai mujhe bto plzzzz
aapko apne puri detail bharni hai sahi sahi.
agar youtube ke account se banaoge to koi jarurat nahi hai website ki..
site search me bhi nhi aa rhi hh plz rply,,,,,,,,,,
Har chij me time lagta hai thoda wait kare
Bhai mujhe ye btao you tube par mai account bna RHA hu par usme ..YOUR WEBSITE ..ik form a RHA hai usme de raha hai us par kya kya bharna hai payee name me kya bharna hai
sar plese help
namste sir sar muje aap se yah baat pucni thi ki aap aapki site me you tub par pesa kamana ho to isme jayie adscen banaana ho to isme jaiye ye sab alg alag blog banaaye he ya koi link he or kya me bhi ye sab jod sakta hu or ha to kese please help
aapka sabal hi samaj nahi aaya.. aapke jo bhi sabal hai or kya dikkat aa rahi hai. Points me pucho
Maine YouTube pe ORIGINAL video bana kar upload kar diya lekin meri YouTube app m MY CHANNEL ka option hi nahi aa raha
App me nahi aaya.. Computer ? me aata hai
jab koi hamara video dekhega tu hame ek video se kitne income hogi
ye koi fix nahi hai.. aap 1000 views par kitne mil rahe hai usse andaja laga sakte ho
matlab paise jama kaha hoga uski thodi jankari digiye sir
adsense ke jaruye aapke account me aayega.. uska option aapko 10$ income hone ke add adsense account me dikhega.
youtube se paise kaise kamana h to mze pta chal gya sir but vo paise muztak kaise pahuchenge???
adsense ke jariye.
kisi movie me se video ko jo 1-5 minute ki ho ,ko cut karke youtube par upload kar de to us video se hum paisa earn kar sakte hai
Copy write rahega, nahi jana sakte
Mera monetize account sabmit nahi ho raha hai. Mai 7-8 din se paresan hu .mera montiz bana do plz.bhai
aapne agar video copy kiya hai to kabhi hoga bhi nahi..
Customized help and performance suggestions No Yes (Option Hai)
Newsletters No Yes
Google market research invitations No Yes
Special offersNoYes
Information about other Google products and services which may be of interest to me NoYes
Submit my application(Ispe Click kertahun to yahi bata hai jo neeeche hai)
Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our Terms and Conditions.
Aare saaf saaf to likha hai abhi aapka blog adsense ke layak nahi hai abhi..
Sumbit Nahin Ho Raha Hai
Kya submit nahi ho raha hai
monetization enable nahin ho raha hai
Video copyright © hoga.. Or koi Karan nahi hai
Rohit bhaiya
mane abi ek account bnaya or usko blogger se add kar ke ek blogg bnaya lekin ab earning me jane ke bad adsence kar rha rha hu pr sign up for adsence available nhi ho rha he mane blog ko change krke bhi dekha plz help me
Step:6,2.: i accept par click kar rahi hu par click nehi horaha
Aapne apne youtube me video upload kiya ki nahi.. Phele kam se kam ek apna banaya video upload karna jaruri hai..
yotube me upload kiya hua video monitise ho gya hai ab agar dusra video upload krenge to usko bhi monetise krna pdega ya nhi plz btaye …
karna padhe ka monetise sabhi video ko youtube pr.
sir adsen me sing up karna jaruri he kya ya how bill we paid me nex se hi nex par klik karne ke baad adsen judega you tub me
Mene Jojo steps bataiye hai same aesa hi karna hai
nahi sir( how bil we paid) par ok kiya fir adsense account par ok kiya fir pej khula or uspar nexe kiya magar aage ka page nahi khul raha
aapka net connection slow hai isliye nah aa raha ..aap kuch time baad tri kare.
sir mene you tub par montezion par sab thik vese hi kiya magar last me i accept nahi ho raha kyaa karu
Form me kuch bharna chut gaya hoga.. Ya fir koi error aa rahi ho to wo batao
Aap ki Jankari muje bahut hi achi lagi thank you rohit gi
Hello sir mene AdSense aur YouTube ko connect kr liya h …. Mujhe 1 month rukna hoga ya mujhe koi request bhejni h taaki mera account fully approved ho jaaye AdSense ka
youtube se sirf apna ek video upload karo or usko adsense account se connect kardo.. direct approve ho jata hai..
Mene aisa kr diya pr kisi ne kaha ki AdSense account 1 month me update hota h to kya karu 1 mahina rukun ya koi dusra raasta btaye … Earning kb start hogi ye bhi btaye Rohit ji
Adsence account me had machine 15 tarikh ko add hote hai. Par aap YouTube analytics me dekhe sakte hai.
Sir khud aad par knha s click karte h m ek bar dekh lu kabhi galti s hogya ho
.
phone track karne ka aap or phone hack karne ka application
galti se kuch nahi hota..
mobile ko hack karne ka koi app nahi hai.
Fir sar pta kase chale ki aad aarhi h ya nhi (mane khud aads par click nhi kiya
aapke video manager me agar video ke samne $ ka green icon aa raha hai iska matlab aapka video monetise hai or uspar ads aayege.
Hi sar sab kuch kardiya ye tag $ aarha h green m par (aad nhi aarhi ) . Adsense s bhi jod diya
aap khud to click nahi kiya naa ads par.. or kabhi kabhi spam views ki bajah se bhi nads nahi aate.. matlab aap hi nbar bar video dekh raho hp tab.
Bhai mene youtube pr monetize bhi kr li or adcense se bhi jod liya pr meri video pr ads show nhi ho rhe or naa hi income aa rhi h bhai plz help me
q nahi hogi…
Bhai android phone k liye konsa anti virus bdhiya h or phone track karne ki aap
avast tri kare..
Hi sir videos par aads nhi aarhi h 28 video h kisi par nhi sab k samne $ ye nishan aarha h green m jase aap n bataya vase kiya sab thik h
haa, par adsense se connect karna bhi jaruri hai.. nahi to income nahi hogi..
how to inprove my youtuve earning pls ans me
uske liye youtube video ke views ko badaye… ab uske bhut seupai hai.. me uske bare me aage share karuga.. aap bas itna diyaan rakhe agar video acha hoga jab hi achi income ke bare me soch sakte hai.
Sir mera bank account Bhi kha Dana hoga kya or mobile sa ho sakta hai ya computer ki jarur hogi uska lya
Hello sir ya absenece account YouTube account sa online connect ho jaya ga kya
online hi hota hai.. mene post me bataya to hai.
hello
Rohit mai aapse ye janna chahta hu ki ye monetize or adsense account kya h or ye bnate kaise h???????
agar aap post ko sahi se badege to aapke sabal ka jabab aapko mil jayega.
kuch video ke aage doller ke nishan ki jagah ek icon aa rha hai jisme likha hai proof original ka hai kya
agar aapne ye video kahi se copy karke upload kiya hai to aapko monetize karne me dikkat aayegi.. usme aapko apna proof dena padega ki ye video aapka hai or aapke pass video ke pure write hai. aap nisan par click karke direct us option par chale jayege.. agar ye video aapka nahi hai to me aapko suggest karuga ki aap isko delete karde..
maine apni jis mail id se login kiya tha wo koi blog ke karn ad nhi ho rhi thi to mujhe new creat other id krke krna pda. ab main kis id se video upload karu first wali ya second
kisi se bhi kar sakte hai, isse koi dikkat nahi hai.
Maine puri praccess ar diya hu ab ye kaise confirm hoga ki AdSense se connect ho chuke hai..
Aapki di hui jankari bahut achchi lagi.
Maine you tube par video upload kiya hua tha us par views aate hai. Ek video par 8000 views bhi aaye. Bahut din se main ad kaise dete hai logo se puch rha tha par sahi jankari nhi mil pai. Thanks aapke dwara bahut achchi jankari mili
Sage bhi milegi. Bad hamse Jude rahe
ek sawal or hai sir ki jis gmail id se youtube ko login kiya hai usi gmail id se adsense ko bhi login kiya ja sakta hai ya uske liye new id banana hogi
nahi gmail ki id se hi login karna hai.. Google ki jitni bhi services hai sabme ek hi id or password lagega.
sir aap mujhe ye bataye ki agar me photos ko edit kar ke ek video banata hu or us video me koi bhi hindi movie ka sad song dalta hu audio ke liye to chalega na ya phir mera account delete kar diya jayega . or us video se meri income hogi ya nahi.
hii rohit
Youtube ac adsense se jodne par $ sign a
ayega kya? ya fir monotize enable karke aayega
Dono karne ke bad hi income ho sakti hai
isski counting kis hisaab se ki jaati h mtlb kitne views mai hum 10$ kmate h or uska code kaha par aayega or kaha par likhna hoga jisse mera bank account you tube se jud jayega
aapke address par aayega. usme likha hoga kya karna hai aapko.. views se nahi hoti imcome.. Ads kitne bar aaye or kitni bar unpar click huaa.. kaha se logo ne click kiya.. or bhi bhut se bate hai unsab ke hisab se alag alag milta hai or bo koi fix nahi hai..
sir, maine saari formalaties poori kar li hai or mere paas mail bhi aaya lekin ab you tube ko mere bank account se kese jodna h plz bataiye sir……
wo option 10$ income hone ke baad aayega aapke adsense account me
kiss hisaab se paise aayege mtlb kitne view m kitne paise aate hai or code kaise aayega or kaise dalna hai
please bar bar ek hi comment naa kare . aapka jabab yaha hai
haa lekin mere video par ek bhi views nhi he too iska mtlb 10$ ki income nhi hogi?
nahi, aap facebook, twitter , Google+ par share kare or apne friends se bhi share karne ko kahe.. sabse main hai video logo ko pasand aana chaiye jabhi sahi income ho sakti hai.
haa lekin mere video par wk bhi views nhi he too iska mtlb 10$ ki income nhi hogi?
Video too upload kar diya he par you tube par search kare to nhi aaa raha he
Tital or discription sahi se add kare or tag bhi.. agar aapne jo video upload kiya hai usme competation jada hai to jo video popular hai wo phele aayega.
to monetize to kar diya or green ka $ sign bhi aaa gaya
too wo 10$ ki income kaise hoti he
video ko monetize kare.. usse hogi me phele bata chuka hu.. please aap sabal puchne ke phele ek bar site par search kare.. or dusre comment bhi pade.
bhai youtube account login karne ke bad usme chaneal ka option nhi aata hai
aap mere screen shot me dekh sakte ho aata hai.. or haa sirf computer me aata hai.
Hi sir 1 view par kitne pasi milnge (1 videos you tube)
naa ke barabar.. or kitne milege ye me nahi bata sakta.. aap khud calculate kare.. ki aapko kitne mil rahe hai 1000 views par.. sabko alag alag milte hai.