YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
Sir mere you tube m my channel ka option ni as RHA h kya kru or phone pr him videos upload krke PSE ni earn kr skte kya
phone me alag jagha aat hai..
but mujhe to or dusra koi mail aya nahi ki WO mere address pe code bhejege.
or
mujhe kaise patta chalege ki mere 10$ ho gai hai because I don’t know tell me bro how do this properly so I need to check my A/C
address verify ke liye hamare address par code send kiya jayega 10$ income hone ke baad.
Aap ye youtube analytics me dekh sakte ho or adsense ke account me bhi login karke dekh sakte hai. (adsense me har mahine 15 tarikh ko add hoti hai income)
You’re almost ready to get paid for your videos!
Great news, Manoj Rawat!
Now that you’ve signed the YouTube monetization agreement, you’re one step closer to earning money and getting paid for your monetized videos.
Here’s what you need to do next:
isme adsence or monetization ki title site aa raha h iska kya MATLAB h mera account Jud gya isme….
bhai mail aya hai
haa aapka account add ho gaya hai
me apne android cell phone se Monetize kaise kare, Adsense se jode raha tha abhi Lenin usme .Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow Jo apne bataya tha apne HMH per but WO to nahi aa raha h kya karu..
rohit isme kya bharna padta h bar bar error batata h
Email preferences:
Customized help and performance suggestions No Yes
Newsletters No Yes
Google market research invitations No Yes
Special offers No Yes
Information about other Google products and services which may be of interest to me No Yes
rohit aur ye bhi bata do Account type me invidual kare ya buisiness
ye pur nahi ho raha pls help me
Ye sab email ? ki sunidhi hai.. Isme agar aap chate hai ki adsense se aapke pass email aaye to aap inko yes karde..
Mera suggest aap sab ko yes kare
ADAAB BAHI ROHIT BHAI MAINE AAPKE BATAYE HUE TARIQE SE SAB KUCH KAR DIYA HAI AB MERE PASS GOOGLE ADSESE SE APPORVEL MAIL BHI AA GYA HAI LEKIN AB AAGE KYA KARNA HI ..KIS TARHAN SE EARNING KARNI HAI PLZ HELP ME ……MERI VIDEO KO 15 SE 20 BAAR DEKHA BHI JA CHUKA HAI 2 DIN ME BUT ABHI TAK KOI BHI OPTION SHOW NAHI KAR RHA HAI …AUR ADS KIS TARHAN LAGATE HAIN PLZ ISKI BHI JANKARI DE DIJIYE
Rohit Email preferences: me kya bharna hota h aur ( Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our Terms and Conditions.) ye ata h pura form bhrne ke bad kya karu please help me
Rohit
sir ek din me 1000 viwers ek aam aadami ko kese mil sakte hai.monthly incom 5000 rs ho.usake liye kitane viwers chahiye.free indian viwers get ki koi web site ho.to name batao.aap ek promotar group bhi banao.i hope..
20000 views me ho sakti hai 5000rs income… free promotion ki koi site nahi hai.. aap video aesa banaye jo logo ko pasand aaye or wo usko share bhi kare..
mene ek group banaya tha jisme sab apni link share kar sake par kuch log ulti sidi chije share kar rahe the is liye band karna pada.
Hello,
Rohir sir
Sir mera adsence account approved ho gya he
Or code bhi bana liya he
But problem is baat ki he ki ads code post me show nahi ho raha he
Maine blog me ja ke layolet me addit post me
Configure Blog Posts par
Show Ads Between Posts pe click karke right. Kiya par huaa nahi
Lagata he isliye show nahi hota
Fir blog ke dessbord me ernings teb me ja ke setting karana chahata tha but huaa nahi vahi pe Sign up for AdSense nahi ho raha
Fir me adsence account me ja ke account setting me se 3th parti……karana chahata tha but
Adsence account me setting ki oppston hi nahi he kya karu please help me
My site HindiLoveShayari143.Com
aapka adsense account approve ho gaya hai to aap uske code site me lagaye.. phele khali ads aayege unme kuch bhi nahi hoga.. adsense ki team aapke blog ko ek bar or check karegi ads lagane ke baad fir jese hi approve hoga ads dikhne lagege.. agar kisi karan nahi dikhege to aapke pass email aa jayega.. mere bhi ads dikhne me 2 hafte lage the.. kitna time lagega ads dikhne me uska koi conform nahi kha sakte.
youtubd par per day 1000 viwers milana ek aam aadami ke liye bahot muskil hai.ab aap hi kaho ki kese hum 1 din me kese 1000 viwer mil sakte hai.
apne video ke viewer se ek relation banao.. or popular video dekho or sikho wo kaise vido banate hai or unki kya trick hoti hai.. phele din se koi success nahi ho jata.. unhone bhi kabhi 0 se start kiya hoga.
sir.ek aam aadami ke liye har din 1000 viwers milana to impossible hai.ab aap hi batao ki hume harroj 1000 viwers kese mil sakte hai.hum har din 100 logo ko link sher kare to 30 viwer 2 to 3 din me milate hai.ab viwers badhane ka koi magic batao.500 rs per monthly ki kamai ke liye kitane viwer milana jaruri hai
sir youtobe me my chennel to nahi aaraha
(1)browse channels
(2)what to what
(3)my subscriptions
(4)set india
(5) other channels
ye show karraha he to me ab kiya karon youtube se paise kese kamaye
Browse channel par click karke apni channel select kare
Adsens PR account banate samay your website dalne ko bol raha h air mera to koi website Nhi h
maine 5 month pehle youtube pa account banaya hailekin abhi tak youtube se letter abhi tak nahi aaya hai aage kiya kare
youtube par account banane par koi latter nahi aata.. ye kisne kaha ki youtube par account banane par latter aata hai.. agar aapne adsense se connect kiya hai to aapki 10$ income hone ke baad wo aapke address par letter send karege.. aapki 10$ income nahi huii hogi abhi tak.
nahi sir mene vidio record kiya hai usme jo record kiya hai uski hi awaz hai to vo copyright kase ho sakti hai phir bhi green ki jagah red symbol a raha hai
aap uspar click karke dekhe kya aata hai.. agar video ka proof mage to aap video kaha banaya, sound kaha ka hai, wo sab likhe.. or haa aapne agar koi galat sabd use kiye hoge to bhi aapka video monetize nahi hoga.
maine 5 mahina pehle youtube pe account banaya hai aur adsense se bhi jora hai aur video monetize bhi ho gaya hai par abhi tak ghar pe letter nahi aaya hai to abb kiya kare jaldi batayega plzzzzzzzzzz.
sir mere youtube pr 41 videos apne hain aur sabhi video ke samne $dikha raha hai,ye video 8719 view ho gaya hain pa mera income 0 dikha raha hain , kyu,
mera sabhi video monetise hai mera $green nahin dikhata hain .kyo bhaaiji
$ ka green sign hota hai jab hi video sahi se monetize hota hai.. or agar video me sopywrited songs hoge to jiska wo songs hai puri income us video ki uske pass jayegi.. aapko kuch nahi milega.. to agar koi bhi copy kiya video hai to usk hatane me hi faida hai.
sir,
mera youtube account me monetizition me enable ki jagah red sign aa raha hai green aana chahiye mene video banakar dala hai aisa kyu pls help
aapke video me jo sound hai wo bhi copywrite nahi hona chaiye.
sir, car me jo aage ke shise par mobile me jo map chalta hai vo ham pc par kaun si website se chala sakte hai . car me map exject position batata hai vo online map hota hai kya please muje bhi vahi chalana hai batao please sir
Google Maps me
Bhai mai .Enable My Accountpar click kare agery par click he nahi ho raha help me
Aapne apna banaya huaa ek video upload kiya ki nahi.. Copy kiye video upload kiye hai to phele usko delete kare.. Fir hi hoga
ye batao ki address se jab code aayega to vo kaise dalege apne account per
jo letter hoga usme uski link hogi.. usko open karke aapko uska code dalna hai.. jab code aayega jab aap sab samaj jaoge..
Usme koi song lod kiya jayega to kya usse paisa nahi kama pauga Maine ek song YouTube me dala h to usko Monetization Enable Nahi ho raha koi option hi nahi araha chainal pe tuch karne ke bad video araha bus
Sound ? bhi copywrite nahi Hona chaiye..
ye sab mobile me ho jayega kya???
Nahi
Bhai m jb my channel pr click krta hu to video manager ka option nai ata.to m kya kru
Mobile me my video ke naam se aata hai.. Computer me aata hai video manager
Bhai mujhe google adsense me apna address change karna he kuch upaye kare
Maine video upload kar diya he par video par $ ka nishan nahi aaya he mera google adsense account chalu ho gaya he
Bhai mere YouTube par my channel nahi aarha ha ab kiya karu plzzz
Thanxxx bhaiya ji,apne help ki mere but ek choti se help or kardejiye google absence ka form bharne ma
ko, me uski post dalne ki kosis karta hai.. kaise adsense account banaye site ke liye.. youtube ke liye to kaise bharna hai uski jankari mene issi post me di hai.
es k baad koi bhi video upload krne pr y hi sab kuch krna hoga kya
ya bs upload kr du
YouTube account par My Channel option nahi aa raha Kay karna padega rohit bhai
Mere YouTube account par My Channel option nahi aa raha . Kay karna padega rohit bhai bataya muje
sir ji
montize karane ke baad view hona bahut kam ho gaya hai kyo
sabse pheli baat monetize karne se views ka koi lenden nahi hai.. aap apne video ko social networking sites par share kare..
bhai ye dashboard kya hai, khud
ka view count hoga
dashboard me hamare channel ki video saetting bagera hoti hai.. khud ke views bhi count hote hai..
bhai mera video manager main jaha $ ka sign ata h waha ? ka sign araha h to koi sugg do
aapka video under review hai.. Agar aapne video kahi se copy nahi kiya hai to sign hat jayega.. aap ? sign par click karke dekho.. usme aapse video ki detail magi jayegi ki ye video aapka hai ki nahi.
sir mene kal you tube par adsense account banaya video dalne ke liye usme likha hai your adsense
application was rejected
Aap kam se kam ek video upload kare apply karne ke phele… Apna hi hona chahiye.. Copy kiya ek bhi nahi
Mene Jab apna youtube account ad sense se joda toh sab clear ho gaya but jo last ki step hoti hai ushme dikkat aa rahi hai wo clear nahi ho raha hai
sir video manager me $ ka sign nahi a raha hai aur hamara account verify bhi nahi ho raha hai please help
youtube par video computer se dala hai chalega nahi kya ya khud bana kar dalu
Aap video kese bhi dalo.. Agar upload ho gaya hai to bilkul chalega.. Par agar aap usse paise kamana chate hai to khud ka video hi banana padega
sir google image me photo kaise dalte hai please detail me
yaha diya hai
sir wifi connection lene ke liye kya karna padta hai detail me batao
aap customer care call kare wo iski jankari aapko de dege..
view me newest likh kar kyo aata hai pulick nahi aata hai
iske liya hume google wl or kisi ko koi paisa nhi dena hoga kya….
video upload karane ki koi limit hai,khud ka video view me count hoga
me ek dancer hun ….or ….youtube pr pese kamane k liye me apne dance ki video upload krun to …kya wo copyright kehlayi jayegi …kyunki …songs…..to ….pehle se hi dale huye hai youtube pr …lkn video alg hai …btao ..kuch is bare ,….kya ise copy bolege ……jese ki mene dheere dheere se meri zindagi me aana is song pr..apne dance ki video dali hai to ..ye copy boli jayegi kya …reply me plz ..
Maine apna addres montiz kar diya hu kitne din ne code aayega .our kaha dalna padega
22din ho gaya aabhi tak aaya nahi code
Maine apna addres montiz kar diya hu kitne din ne code aayega .our kaha dalna padega
hello rohit YouTube me paise bank account mei ate h to bank account ke bare me to apne bataya hi nahi ki kaha PR bank account number submit karna h pls iske bare mei bataye waise apki jankari bahut achi h hame jankari dene k lie Thanks..
maine apna address montize sabmit kar diya hai. Kitne din me code no. Aayega .our kaha dalna padega batao 20 Din ho gaya . Abhi code no .aaya nahi
maine apna address montize sabmit kar diya hai. Kitne din me code no. Aayega .our kaha dalna padega batao
maine apna address montize sabmit kar diya hai. Kitne din me code no. Aayega .our kaha dalna padega batao
khud ka dekha hua video count hoga ya nahi,ek adami ek video kitni bar dekhane ka view count hota hai
An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we’ll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you’ll be able to log in to your account and get started. Bhai is problem ka koi solution batao please
Aapka account approve nahi hai.. Isliye login nahi kar sakte.. Jab aapka account approve hoga to account me login kar sakoge.. Or aapko email aa jayega jab approve ho jayega.
apna whatsapp no. do
mai youtube montiz par aapna address sabmit kar diya hu. Kitne din me code aayega .our code kaha dalna hai.batao
AGR mera bna hua video PR kisi ka song set krke YouTube PR upload kru to chalega kyaa
Agar copyright © sound hai to nahi.. Agar aese me ads aayege tab bhi income jiska songs hai uski hogi.