YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
hlo sir
mene monetize karke form pura bhar diya uske baad mene submit my application bhi kr diya iske aage kuch aa raha hi nhi hai ishime kuch likha hua aa raha hai kuch asha (dont paticipate in this adsense)
hlo sir
mene youtube adsense k liye form pura fill up kr diya or submit my application bhi kr diya but kuch problem bta raha hai
hlo sir
mere youtube me add show nhi ho rahi hai mene pura form fill up kar diya and submit my application bhi kar dar diya but aage ka option nhi aa raha hai
hlo sir
mere youtube ke liye adsense k liye kuch problem aa rahi hai mene form pura bhariya fr submit my application bhi kr diya lekin nhi ho raha hai
Aapne apni youtube channel me video to dala hai naa. Or agar wo kahi se copy kiya hai to usko hata de.. AdSense ke liye apply karte samy detail check kare Sahi Ho.
rohit bhai . mere video pr monetize to ho gaya hai pr ad nahi araha hai . Paid content bhi deseball arha hai . aur uske samne likha ahi ki :- Your channel must have at least 1,000 subscribers before you can offer paid content. kya karu ki paid content offer ho..
aur vedio par ad kaise chalu karu
Kya hum youtube me android mobile se youtube desktop version open karke bina computer ke apna kam nhi kr skte.
haa bilkul kar sakte hai
sir Google s letter nhi aaya dubara aab kiya kare koi link send karo or sir mera last name nhi h to…… kiya karu
aap setting me ja kar resend kar sakte hai..
sir mane last name m sandeep Kumar kar D iya h
aap usko sahi kare nahi to baad me dikkat aayegi.
Paiisa kaise dega you tube bala plzzx rply
adsense se bank me aata hai..
Rohit bhai maine youtube par 2 video upload kiya hai monteize or absence bhi kar diya hai
Ab mujhe ye samjh nahi aaraha hai ki mere 2 video ke view add karke payment milega ki har video par mujhe alag alag payment milenge jese mere 1 video par 500view hai or dusare par 600 view hai toh in dono view ko add karke 1100 view ka payment milega ki har video par 1000 view hona chahiye.
Aesa nahi hai ki 1000 views par milte hai.. Har ek views ke milte hai.. Par agar ek views se calculate karege to naa ke barabar hi rahega is liye 1000 views se karte hai.. Or kitne bhi video ho sabke ek sath hi milte hai..
Ek baat or sirf view se hi income nahi hoti.. Video kitni der dekha gaya or kaha dekha gaya or konsa ads video par aaya aesi bhut si baate nirbhar karta hai earning me.
Hello sir..mra nam Prabhat h..Mnre youtube se adsense ko active kr liya h pr jb m apne blog pr ads lgata hu to show nhi hota ads..
Hlp me
M kya kru..
hello rohit sir,
sir agar maan lijiye maine apne channel pe koi video upload nahi kiya hai aur main apne channel ko monetize karu aur adsense acount se jodu aur uske baad koi video upload karun to kya ye possible hai?
Hy rohit bhaiya Maine apna Google account bana liya hai or mujhe apni video upload karni hai kaise karu
youtube me login karke karni hai.. kaise kare wo mene site par diya hai aap search karle site par hi.. video upload kaise kare
Rohit ji agar ham kisi video ko google download karke usko computer me chala kar uski phone se recording karke you tube pe upload kare to ye copyright hoga ya nii hoga
Rohit sir Maine YouTube mai video dali hai par video bahut niche aa rahi hai. Iss video ko upar kaise karu
Mera Q. Yaha hai Ki adsense ko connect Marne ke baad Jo latter Google bhejega WO 10$ Ki kamai hone ke baad aayega jaise aapne kaha WO kamai kaise hogI kyoki usme an code aayega aapne kaha .us code we to ham pause kamayege.
Aare nahi wo code sirf address verification ke liye hota hai.. Earning to ads se hoti hai jiska code ham adsense account me bana kar diye me laga sakte hai..
Bas banari income address verify Hona he baad hi aati hai..
Bhai you tube ko google adsence se connect krne ke baad apne video me jo ads ka paisa milega vo kaha pr jayega???
Har mahine ki 15 tarikh ko add hoti hai adsense account me..
Bhai kya tv serial youtube pe upload karke paise kama sakte hain
Nahi, so copyright © hai
bro mere ko bhi youtube par pese kanaane h par kya aap bataaoge ki video kesi honi chahiye… I mean ki itihaasik vagerh ki chal jayengi?
Payee name: ki samaj nahe arhi
Street address: ki samaj nahe arhi
Postal code: ki samaj nahe arhi
AdSense Email preferences: ki samaj nahe arhi
plz mujhy batan den plz
payee name: jiske naam se payment lena hai uska naam.. bank account me bhi wo hi naam hona chaiye..
Street address: Ghar ka pata, makan number ke sath..
Postal Code: ye hamare address (ghar ka pata) ka post code hota hai.. post office ka code.
AdSense Email preferences: Adsense account ke liye konsa email use karna chate hai wo email dale.
MONETIZE KE BAD KIYA KARE ADS ALAG SE CHUNNA PADTA HAI
Nahi..
Sir hum adsense form me apni puri Jankari daldi or jab hum submit kar rahe h to. Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our ye likh kar aa raha h ab ap bataiye ki hum kya kare.
Apne jo Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karne ko kha hai vo show nhi ho rha hai mera
aap kiski baat kar rhe hai.. aap facebook group me uska screen shot post karo..
Bhai mere yotube video ka add mobile me nahi dikh ta he sirf pc me dikh ta he iska koi solution he kya
admin ji ek bar Monetization kiya to meri all video ke paise mile ge
video par jab log aayege or usko dekhege jab aapki income hogi.
hello Rohit sir mai application ni form ni bhar pa raha hun kya karun aap ek screen shot me example dekar samjhaiye plz aap meri help mere email pe bhi kar skte ho plz tricksinhindi4u@gmail.com
Rohit bhai mera bank account me name Rhoda change he or gmail account me thoda change he to koi. Problem to nahi ho gi na
Adsense se agar payment lena hai to same hi hona chahiye.
BHAI MAINE APNA VIDEO monetization AUR ADSENSE CONNECT KAR CHUKA HOO AB KIYA KARU
ab aap apne videos par views badao or paise kamao :)
sar mere you tube account me vidio monitaiz karne par (?) ka nishan ata hai ,($) ka nahi
aapke video ka proof dena hoga uspar click karke. agar copy kiya hai video to delete karne me hi faida hai.
Rohit ji maine YouTube pe ek video dala he. Bt uspe add nahi aa raha he
Pr $ ye symbol green he fir bhi add nahi aa raha he kya karu
Adsense account se connect karna bhi jaruri hai.. post me bataya hai mene..
sar mere youtube me vidio ko monetize karnepar ( ? ) ka ikon dikhai deta hai
$ ka ikon nahi ata hai
sir ji mujhe problem aa rahi hai….
.
.
jab bhi mai apne form ko submit my application par link kar raha hu tabhi…….vo je apsan bata raha hai….
.
.
.
.
.
Email preferences are required
aapko email se login karna hai
rohit mujhe ye batao mane sab kuch karli par balance kaha dekhega or send kaha se ho ga
youtube ke analytics me dekh sakte hai
Thnx sir. I want your help. Sir 1 hi adsence account se ham 2 3 sites connect kr sakte h aur usi adsence account se Youtube channel bhi connect kr sakte h plz reply me
aur jo apne bataya ki google se 1 coad ayega jo hamko adsence account me fill krna h wo kb ayega jb ham paise lene ke lye req denge ya phir starting me hi ummeed h apko meri prblm samajh aa gyi hogi plz reply me sare step complete ho gye bs ye 2 confusions h wo bhi door kr dijye plz
ek hi se karna hai.. ek se jada ek naam se account bana bhi nahi sakte. nahi to hamare account block ho jate hai.. jitni bhi sites or youtube channel hai ek hi se karna hai.
jo google se code aata hai wo hamare adsense account me 10$ income hone ke baad send kiya jata hai hamare address par or uske 2 hafto me aata hai hamare address par.
sir aap viwers badhane ka koi bahot badhiya idea sochie.aap twiter par group banao.jaha log sher kare link
hi sir,
nepal se google adsense or monetization ka syatem kaise karsakte hai,aapaka help chahiye,thank you.
aap country me nepal select kare.. baki process to same hi hai
sir namaskar,
main nepal se hu. mera youtube channel to open kiya hai,but mera google adsense se add karneka liye A to Z idea nahi milraha hai,plz aapka help ke liye request karta hu.thank u.
kya mai pahle apne subscribe bdhane ke liye dusro ki famous videos dal skta hu kya…..
fir bad me jab subscribe bd jayenge to apna videos dal dunga
isse koi faida nahi hai.. q ki agar koi dusre ki video dekh kar subscribe kar bhi lega to jaruri thoda usko aapki video bhi pasand aaye.. or aesa hone par wo unsubscribe bhi kar lega.. or agar aap kisi ka video daloge to aapki channel par copywrite clam aa sakte hai jisse channel hamesa ke liye delete bhi ho sakti hai.
my Question is..
1.konshi videos gerkanuni hogi ya hme use youtube par nhi dalni chaiye?
2.is se hume kya kya nuksan ho sakta h?
3.hum is se starting me lagbhag kitna earn kar shke ge?
hi,
rohit g mai janna chahta hu ki maine youtube me adsence bhi connect kar diya par mujhe ye samajh nahi aarha k hamari video ka paisa hamen kaise milega kyonki hamare bank account aadi ki details to kahi hai hi nahi
jab address verify ho jayega.. or 10$ income ho jayegi.. uske baad adsense ke account me aata hai bank detail dalne ka option.
hi, m laik
rohit g mai janna chahta hu ki maine youtube me adsence bhi connect kar diya par mujhe ye samajh nahi aarha k hamari video ka paisa hamen kaise milega kyonki hamare bank account aadi ki details to kahi hai hi nahi unke paas
Aapne jo kuchh bhi is post me bataya hai maine vaise hi kiya hai lekin mere video me ads nahi dikh rahe hai Q…
Plz help me
Mene abhi tak koi bebsite nahi banai par me apse nibedan larta hu ke plz youtube se pese kmane me app meti madad kare mene kai jagah par try kiya par koi meri ye problam hal naho lar saka meri app madad kkare
sir Maine ek video banaya hai jisko hum you tube par daal chuke hai but account bana kr n dale the to ab account bana kr us me dal sakta hu to beni fit milega
haa bilkul milega.. usko monetize jarur kare
Hallo namaste friend
Aapne jo jo bataya hai is post me maine bilkul waisa hi kiya lekin mere video me ads nahi dikhai de rahe hai ..kya karooo.
“Plz hElP mE”
sir Maine ek video banaya tha usko you tub pe load kr chuka hu but sadharn me load kiya to ab apna account bana kr fir se us me usko daal sakta hu
Youtube ko sir me verify nahi kar pa rahi hu. Please advise kare.
yaha diya hai kese karna hai
Google AdSense video upload kiye hi oh $ simble dikh raha lekin green nahi kyu sir video upload krte samy pulich krna hi plzz bataye whatsapp per msg kre
sir YouTube PR Jo video upload karrahe hi $ ka simble green nahi dekh raha kewal. $ dekh raha hi bataye mera whattsa no. 8804473007 pr msg krdegye plzzz
bhaiya G AdSense pr account kese banate h
upar dekhe post me bataya gaya hai