YouTube ke baare me ham ye to jaante hai ke iski madad se ham Paise kama sakte hai. Bhut log acha paysa kama bhi rahe hai youtube se. hamne hamari pichli post me jana tha ki youtube se Paise kaise kamaye video banakar or Aaj Ham is post me jaanege ki youtube par video upload karne ke baad Paise kamana start kaise kare.
Video Se Paise kamane ke liye hame hamari Youtube Channel (Account) par Monetization Enable (Chalu) karna padta hai or Youtube Channel ko Adsense account se connect karna padta hai.
Is Jankari ko Dene se pehle me maanta hu ki aapne ek youtube channel banali hai or uspar ek Video upload kar diya hai agar nahi kiya to phele Video upload kijiye, Kaise youtube par video upload karte hai uski jankari yaha hai. or jo Video aap upload kare wo aap ka hi banaya hona chahiye, matlab kisi or ka copy nahi karna hai.
To Chaliye jaante hai Monetization ko Enable kaise karte hai or Adsense account ko kaise banate hai or connect karte hai.
Youtube Video Monetize kaise kare Step by Step
Step by Step muje follow karo
Step 1: Apna Youtube Account me Log In Kare.
Step 2:
- Youtube ke logo ke bagal me ek niche ka errow hai us par click karo
- My Channel par click karo
- Video Manager par click karo
Video Manager par click karne ke baad aap aapki channel ke Video Manager khul jayega.
Note: Agar aap Mobile me kar rahe hai to is link par click karke Video Manager par ja sakte hai.. Or aapko same aise hi follow karna hai.. is liye aap browser me ja kar desktop views ko enable karde.
Step 3: Apne Video Manager me aap dekhege ki aapne jo video upload kiya hai uske saamne 2 icon hai. iska matlab abhi aapke account par Monetization Enable nahi hai.
- Ab aap ko apne account ke CHANNEL section me jaiye.
Step 4:
- Ab aap dekhege ki Monetization ke saamne ek button hai Enable ki us par click kare
Step 5: Ab Monetize Enable karne ka Page aayega
New Policy Update: Youtube Channel ko monetize karne ke liye 1 saal ke andar 1000 subscriber or 4000 hours watch time channel par hona jaruri hai, uske baad hi youtube Channel par Adsense se Monetize on kar sakte hai.
Start ki button par click kare.
Aap Apply kar dege uske baad aapki channel ko check kiya jayega.. agar aapke Video Advertiser Friendly nahi rahe to aapka adsense approve nahi kiya jayega.. Aapko iska Email aayega jisme 1 hafta tak lag sakta hai.
Channel me koi bhi copy content ya galat video naa dale.
Step 6: Jaise hi aap Monetize par click karege, aap wapas se apne account ke Video Manager me pahuch jayenge. par ab aap dekhege ki Jo video hai uske samne ek $ ka sign or aa raha hai. Matlab Monetization to Enable ho gaya.
*Abhi aapke video par ads to aayegi par aapki income nahi hogi jab tak aap Adsense ke account ko youtube account se nahi jod dete.
Adsense Account ko Youtube Channel se jodne ke liye
- CHANNEL section me jaye.
Step 7: Ab aapse pucha jayega AdSense account se connect karne ke liye.
- Next ki button par click kare
Step 8: Ab Adsense ki site khulegi. uspar bo puchege ki aapka Google ka account hai ke nahi.
- Yes, proceed to Google Account sign in par click kare. agar aapka Google account nahi hai to pehle bo banaiye.
Step 9: ab aapko apne Gmail id ke password ke liye kahega.
- Apna Password daale
- Sign in par click kare
Step 10: Ab aap Adsense me login hogaye hai.
- Apni Language select kare. Hindi hai to Hindi select kare.
- Continue ki button par click kare
Step 11: Ab aapke saamne ek form khulega
Is Form me apni bilkul sahi sahi jankari bhare. Address bhi bilkul sahi hona chahiye. aapke address par ek latter aayega google se usme ek verification code hoga bo aapko apne adsense account me dalna padega. jabhi aapko apni payment milegi.
Form me sahi jankari bharne ke baad jaise hi aap Submit my application par click kare. aap wapas apne Youtube account par aa jayenge.
To ab hamne Monetization bhi Enable kar diya hamare youtube channel ka or Adsense account se connect bhi kar diya.
ab jo aapka video hai usko jab bhi koi dekhega aapki income hoge. to der kis baat ki Paise kamaiye. :)
Aage me aap ko Youtube se sambandhit or bhi bhutsi jaakari duga. Nai Post ki jankari ke liye hame Subscribe karna naa bhule
Agar aap ka koi bhi sawal ya koi bhi doubt hai to Comment jarur kare. hame ye jarur bataye ki aapko ye jankari kaise lagi.
Ye Bhi Pade:
Absence account kya hai
ye ads network hai.. jisse ham paise kama sakte hai
Rohit ji main ye janana chahata hoon ki android mobile par
Ham video uploaded karte hai .kaya ham mobile parhi apna
Channel bana kar, paise kamane ke liye mobile ke sahare pura information Google ko de sakte kya.
haa bilkul kar sakte hai.. mobile ho ya computer website to ek hi hoti hai..
Bhai kia hum adsence k alwa ksi or method sa pament youtube sa recive kr skte hian? help me
nahi.. income adsense se hi aati hai
Plz help kare
Dear bro. Mane Adsense ki application download kar rakha hai. Wha mujhe par day click 3 se 5 show kar deta hai. Lekin uski earning 0.00$ hoti hai aisa kyu ? Aisa mere sath pichle 4 Dino SE ho rha hai. Earning nhi aa rhi. Click 4 SE 5 aa jati hai. Khi aisa to nhi ke you tube ki video par click aati ho or earning bhi you tube par hoti ho. Iske baare me btaye please. Help kare.
aapke clicks bhut kam hai.. aap visitor badane par diyan de.. ho sakta hai jo click hote hai woi bhi galti se.. or click hone ke baad usko band kar diya jata hoga.. to uska paisa nahi milta
Verification code hamare home per ayega.jab a jayega to woh verification code you tube per kis link per dalenge.
youtube nahi.. adsense account me dalna hai.. uski information bhi latter me di hoti hai..
Rohit sir ji samjo hamne sab follow kiya our hamara video kesi 1 ne dekh liye to hame kitne paise milenge kisi 1 ne video dekh neke bad kitne paise milenge our o paisw hamare hat me kaise aaige cash hamare hat me kaise aaige???plz help me
aap ye pade, samaj aa jayega
Rohit sir ji muze batai ye ke sab Kam pura hua matlab aagar kisi ne mera 1bar video dekh liya to muze kitne paise milinge our o paise mere hat me matlab mere pass cash kaise aaige plz help me
1 war ka to kuch bhi nahi… aap ye pade.. andaja ho jayega kitna mil sakta hai
bhai youtube ko monetize karne ke baad adsense se connect karta hoon to wo google accont set karke agle step me language select karne ke baad save and continue ka option aata hai.lekin waha ckick karne ke baad aage nahi badh raha .. kya karu please help
kya ho raha hai.. aap check kare.. aapka adsense account connect ho gaya hoga adsense se
hi…kya mujhe bata shakte ho ki Google mein mera apna location banani hain keise banate hein…plz
aap google map me set kar sakte hai.. ya fir google+ par business page banaye
My website or content language bharne ke bd continue pe click kre to ho hi nahi raha q aisa plzz help
aapki net connection slow hai wo ek karan ho sakta hai
Y jo step 2 h you tube ke bagal wala aro jo h wo meri you tube par nahi aa rha h kya kru.kaha se kholu jo ye arrow aajay
Rohit ji agar meri video ek city se dekhi ja rhi h to tab mujhe income nhi hogi
bilkul hogi.. usse income nahi ho aesa koi karan nahi hai
Rohit ji agar koi apne mobile youtube par 10 se 15id se channel ko subscribe kre to google adsense me koi prblm to nhi hogi na…
plaz help me
SIR, Plzz help hamara form submit nahi ho ra halast me likh kar ata hai (Unfortunately, our records indicate that you’re not eligible to participate in AdSense at this time. Please be sure to review our) AUR sir hamara phone no. bhi verify nahi hota hai usme yelikha rahta hai jo is prakar hai(( In the AdSense application form, enter the phone number that you want to verify in the “Phone number” field.
If you’ve previously verified a phone number for Google, you’ll see your verified phone number listed in the “Phone number” field. You can choose to use this phone number for your AdSense application and skip the rest of the phone verification process.))
Hlo sir Hume ek problem aarhi h jub form ko bharte h to sir last option mai kya krna h kis kis pe yes krna h Email preferences are required aarha h
bhai kyaa ham android phone se YouTube chanal bna or usko montinize krke adsence se jod skte hain ..
If you receive two more strikes, your account will be terminated.
Bhai mere you tube par ye aa raha h ab kya karu
aapne video copy kiya dala hoga.. to aapki channel par strick aai hai.. copy karke video naa dale.
Sir ham ministrations kar diye hain par Adsense SE jodane par next button dabane ke bad yes proceed my sing ka option nahin de raha kewal yes de raha hai.or your account ke bad process nahi ho PA raha hai join? Yaha 2sara step nahi. Ho raha hai or nahi your information wala?
Hi rohit sir
Mera ye sawal hai ki agar AdSense par hamare 100$ take ho jate hai to paiyse kaise mangva sakte hai
wo automatic hamare bank account me aa jati hai mahine ki 21 tarikh ko
sir help me adsense open karne par ye sow karta hai
(Your AdSense Application has been submitted and is being reviewed. You will receive an email regarding the status of your application within about a week.)kya karo
abhi aapka account approve nahi huaa hai.. pending me hai.. thoda wait kare.
sir maine new adsense account banaya hai par adsense account open karne par ye sow karta hai
(Account Not Active
An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we’ll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you’ll be able to log in to your account and get started.) kya karo sir help me
sir maine new adsense account banaya hai magar adsense open karne par ye sow karta hai
(Account Not Active
An AdSense account does not exist for this login, as your application is currently in review. Within a week of your application date, we’ll review your application and follow-up with you via email. Once you are approved to join AdSense, you’ll be able to log in to your account and get started.) help me sir mai kya karu
Shukriyaa dost
friends kya koi website hain jisse pata chl jaaye ki hamara blog adsense add approval karwane ke liye 100% ready ho chuka hain…?
hello maine 1 year pahle aise hi video monetize karke adsense se chhedchad kar di thi tab mujhe adsense ke baare me jyada nahi pata tha, ab jab maine blog banaya hain toh adsense add ke liye apply kaise karu…..??
rohi bhai mene apni khudki vide aplod kardi 4 video lekin mujhe
yesamajh nahi arha h ki ..green $nishan bhi..
agya or kafi lice bhi agaye.. h,,or view bhi
or paimint mujhe milegi to usse m kaise .adsense lunga
Mera dolar ka nishan green nahi ho raha hai or nahi right ka nishan aarha hai pls help me
aapne video agar copy karke upload kiya hai to nahi hoga..
Sir mai ek music website banana chahata hun eske liye legali roop se song aur video mai kaha se laau video aur audio ke lene ke liye onwer se kisi parkar ki permission leni padti hai ya phir kahi se bhi download kar ke apne website mai uplaod kar sakte hain.
Thanks
free h
bhi last ka from sumit by applikation nehi ho pa rehi plese bhi help me
kya error aa rahi hai wo bataiye… ho sakta hai submit ho gai ho.. network problem ki bada se page open nahi ho raha ho
Sir mera wordpress pe log..google adsense ki ads b lagaaye hui hai..kiya me apne apne youtube account per be same google account ki ads laga skta hu kia?
haa bilkul use kar sakte ho.. or agar aap dusra account use karogi to jarur problem ho sakti hai.. same account hi use kare..
Hello Rohit bro..
Can you help me
meri problem ye hai ki mere
YouTube ki video par ads aate hai par
Jo doller $ ka ye $ Sine hai ye green ki wajaye
Blue hai monitize enable karne par bhi..
Please help me..
Beacuse you are very help full person..
Hiii me adsense account bana hahu to Google account sign in karte hai or continue vala pej khulta hai or continue par klik kare to kuchh ho nahi raha to kya karu
how will i be paid ka option nahi aata view monetization karne ke baad
24 hours baad aayega.. agar aapki channel new hai to
how will i be paid ka option nahi nata view monetization karne ke baad
Bhai maine apne apne blog par adsense jodne ke liye appy kiya tha but disaproved ho gaya
sayad content kam hai,
kya content badhane ke baad aproval ho jayega
plz help me bro
bhai mera account hosted hai pl help karo jaldi reply do
youtuibe ke liye hosted account hi banta hai
Bhai mere pass computer nahi ha kya ma YouTube me kam kar sakta hu or mere dost ne mera YouTube account banaya ha par pata nahi ha k vo absence account se connect ha ya nahi
Or mere account ka name ha Nakul otwal
bataiye sir
rohit
letter kaha par aayega aur kitne din me aayega
account banate same jo address diya hai uspar aayega.. aapki 10$ income hone ke baad aapke address par send hoga.. uske 15 din me apke address par aa jayega.
mene lengguege select kiya or uske bad continue kiya to nhi hua to kese kare rohit ji
aap fir tri kare.. kabhi kabhi network ki baja se bhi nahi hota hai.
Sir me YouTube video ke jesi video banakar YouTube par upload kar sakta hun
haa bilkul kar sakte hai.. wass kahi se copy mat karna.
Sir mera naam Shubham hai kya me dusri YouTube video ke jesi video bana kar YouTube par upload kar sakta hun
kar sakte ho par copy mat karna..
sir mai apna video you tube par uplode karne ke bad monitize enable karne ke bad jab adsence se jodne ke liye gmail password dalne ke bad countin karte hai to aage ka proses nahi ho raha hai kya kare.
Sir ye youtube pr se pese kmane ke liye blog jaruri h kyaa or har video ko alag alag monetize krna pdega or adsen ka cod ek hi dlega ya alag alag mngawkr har vedio ko adsen ce jodna hoga and sir aapki fb id kyaa h
Mery pas monetization ka option green nhi ha
Bro mery pas monetization ka pr option nhi khul rha ha
Sir ap mujhe bta skte jo paisa mai you tube se kmate h use mai kayse use krunga usko kaise nikalunga paisa ko pane ke liye account number ki jrurat hoti h kya
Rohit ji mujhe ye btaye ki har vedio ko alag alag monetize krna pdega .iske alawa kyaa ye blog ya web saite bnana jaruri h. Plz
video ko alag hi karna padta hai.. or website ki koi jarurat nahi hai..