Backlink kya hai | What is Backlinks in Hindi

Hi friends, Is post me main aapko backlinks kya hai or kaise kaam karte hai uske bare me puri jankari dene ki koshish karunga.

Aap SEO se to vaqif honge hi, agar aap apne blog ko search results me first page par lana chahte hai to aapko apne blog ka SEO karna bahut hi jaruri hai.

Advertisements

SEO mukhya do prakar se kiya jata hai –

  1. On page SEO
  2. Off page SEO

On page SEO me ve sabhi chijen aati hai joki aap apni blog post likhte waqt apply karte hai, On page SEO acchi prakar se karne ke liye aapko ek SEO optimized article/post likhni hoti hai.

Read: Post ka Title SEO Friendly Likhne tarike

Read: Post SEO Friendly Likhne ke 5 tips

Off page SEO me ve sabhi chijen aati hai joki aap apne blog ke bahr apply karte hai. Inmen sabse important hote hai- Link Building aur Social Media presence. Social Media presence me aapko apne blog ko social media par promote karna hota hai aur Link Building me aapko apne blog ke liye Backlinks bnane hote hai. Jitne jyada aapki site/blog ke backlinks honge aapki site search results me utni hi higher rank prapt karti hai.

Read: Facebook se apne Blog par traffic badaye

Ab jyada der n karte hue main aapko backlinks ke bare me batata hoon. To fir aao jante hai ki backlinks kya hote hai aur ye aapke blog/Website ke liye kyon important hai

Backlink kya hai | What is Backlinks in Hindi - SEO

Backlink kya hai ?

Backlink kya hai or inke kya importants hai

Backlink kya hai wo simple sabdo me samjhe to, Backlinks wo link hote hai jo ek website se kisi dusri website par jate hai. Jaise ki maan lete hai agar main aapki site ka link apni kisi post ya apne blog par add karta hoon to isse aapki site ko ek backlink prapt hota hai.

Backlinks ka kya fayda hota hai SEO me?

Backlinks aapke blog ke liye bahut jyada faydemand hota hai. Aapki site ke jitne jyada backlinks hote hai Google aapki site ko search results me utni hi jyada value deta hai. Lekin Google aapke blog ko value tabhi deta hai jab aapke blog ke backlinks quality (achhi) sites se honge.

Backlinks ke aur bhi bahut saare fayde hote hai jaise ki Search Engine aapki site ko jaldi index karne lagta hai, aapki site ko referral traffic milta hai, aapki site ki authority increase hoti hai.

Quality Backlink kya hota hai?

Quality Backlinks ve hote hai jo aapko quality sites se prapt hote hai. Jaise ki HindimeHelp ek quality site hai aur agar aapko Hindimehelp se backlink prapt hota hai to Google aapki site ko jyada value deta hai aur aapke blog ko search results me higher ranking pradan karta hai.

Quality backlinks bnane ke liye aapko relevancy ka bhi bahut dhyan rakhna padta hai matlab ki agar aapka blog technology se related hai to aapko other technology related blogs se hi backlinks prapt karne honge, iske bjaye agar aap kisi food blog se backlinks prapt karte hai to Google aise backlinks ko jyada value nahi deta.

Quality Backlink Kaise Banaye uski Jankari yaha di hui hai,

High Quality jitni achi hai site ke liye utni hi buri Bad Backlink hoti hai, or Bad Backlink kya hoti hai unki jankari yaha hai.

Backlinks kitne Prakar ke hote hai?

Backlinks do prakar ke hote hai-

  1. Dofollow Backlink
  2. Nofollow Backlink
no follow or Do Follow kya hoti hai backlink me

DoFollow Backlink :

Do-Follow backlinks link juice pass karne me madad karte hai, yani ki aise links aapke blog ki ranking ko badhane me kafi madadgaar hote hai. Dofollow links ka example:

“<a href=”http://www.google.com/”>Google</a>”

ya fir

“<a href=”http://www.google.com/” rel=”do-follow”>Google</a>”

By default sabhi links Do-Follow hote hai, lekin agar aap chahte hai ki aap jo link dusri sites ko de rahe hai usse link juice pass n ho to aap link me No-Follow attribute add kar sakte hai.

NoFollow Backlink :

Ye ve backlinks hote hai joki link pass karne ko allow nahi karte, inki search engine me value do-follow links ke mukable kam hoti hai. Search Engine Ranking me No-Follow Links ka role nahi hota hai. No-Follow backlink  ka example:

“<a href=”http://www.google.com/” rel=”no-follow”>Google</a>”

To agar kabhi aapki site par aesi site ki link add karne ka moka pade jis par kuch galat chij hai to aap usko No-Follow kar sakte hai.

How to create Backlinks in Hindi | Apni Site ke Backlink kaise Banaye?

Ab aap backlinks ki importance ko samajh gaye honge, isliye ab aapke man me ye question jarur aaya hoga ki backlinks bnane ki shuruaat kaise karen. apni site ke backlinks bnane ke liye aap in simple tarikon ka prayog kar sakte hai:

20+ Quality Backlink banane ke tarike Hindi me, jinki adad se hum apni website ko rank kar sakte hai.

#1 Quality Content likhe:

agar aap apne blog ke liye jyada se jyada backlinks bnana chahte hai to iske liye aapko apne blog par quality content likhna hoga. Post bilkul simple bhasha me, to the point aur vistaar se honi chahiye. yani ki aapko aise articles likhne honge jise aapke readers asani se samajh saken aur vah article unki mdd kar sake.

High quality content likhne se other bloggers aapke article ke link ko apne readers ki help karne ke liye post me add kar sakte hai. Jese ye ek badiya article hai.

#2 Other Blogs par commenting shuru karen:

Backlinks bnane ka ye free aur easiest method hai, aapko bas ye karna hai ki apne niche ke other blogs par regularly commenting shuru karen. Jin blogs par commentluv enabled hota hai un par commenting karne se aapke blog ko do-follow backlink prapt hota hai joki aapke blog ke liye bahut jyada faydemand hota hai. Lekin jin blogs par commenting karne se aapko No-follow backlink prapt hota hai ve bhi aapke blog ke liye helpful hote hai. Halanki No-follow search results me jyada matter nahi karte lekin na hone se kuch hona bhi sahi hota hai.

Commenting karte waqt ye dhyan rakhe ki aap spam comments n add karen isse aapka comment approve nahi hoga hamesha comments me value add karne ki koshish karen. yani ki aise comments ko avoid karen- “Great post!” “Awesome post! keep it up” aadi. aise comments spam comments hote hai, inhen avoid karen. Post ko pade fir us par apni rai de.. aese comment ache hote hai or usse aapko bhi kuch na kuch naya sikhne ko milega.

Badiya comment kaise kare uski jankari aapko yaha mil jayegi.. wo sab dhyan rakhe comment karte time.

#3 Guest Blogging shuru karen:

Quality Backlinks bdhane me Guest Blogging bahut jyada prbhavi hoti hai. ismen aapko apne niche(topic) ke kuch popular blogs par apni guest post submit karni hai aur sath hi apne blog ka ek link add karna hai. lekin yaad rakhne ki Guest Blogging ke liye apne niche ke popular blogs ko hi chune aur ek badhiya high quality content vaali guest post likhkar submit karen.

Agar aapka Blog Internet se Related Topic par hai to Aap HMH par bhi Guest Post kar sakte hai.

#4 Apne Blog ko web directories me submit karen:

apne blog ko web directories me submit karna backlinks bnane ka ek badhiya method hai, iske liye apne blog ko vibhinn web directories me submit karen, lekin yaad rahe ki aap apne blog ko quality web directories me hi submit karen.

Backlinks bnate samay in baaton ka dhyan rakhen:

Backlinks aapki site ke liye kafi helpful ho sakte hai lekin agar aap galat tarikon ka pryog karke backlinks banayenge to ye aapki site ke liye bahut jyada nuksaandayak ho sakte hai. Isliye apni site ke liye backlinks bante samay nimnlikhit baaton ka dhyan avshy rakhen:

  • Apni site ke liye kewal quality sites se hi backlinks prapt karne ki koshish karen.
  • Kabhi bhi fiverr aadi sites se paid backlinks n khariden.
  • Low quality sites jaise ki porn sites ya spammy sites se backlink prapt karne ko avoid karen.
  • Backlinks ki quantity se jyada quality matter karti hai.
  • apne niche se alag blogs se backlinks prapt karne ko avoid karen.
  • ek sath bahut saare backlinks n bnaye isse google ko shak ho sakta hai aur vo aapki site ko penalize kar sakta hai.

Conclusion:

Mere hisaab se ab aap backlinks ke baare me acchi tarah se jaan gaye honge, ki Backlink Kya hai or Kaise Backlink bante hai or kya fayde hai Backlink ke.

fir bhi agar aapka Backlinks se sambandhit koi bhi question hai to aap comment ke dwara puch sakte hai.

aisi hi aur bhi nayi posts ke updates paane ke liye hamara free email subscription len aur Facebook, Twitter, par hamen follow karen.

Post padhne ke liye aapka dhanyawad :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

244 thoughts on “Backlink kya hai | What is Backlinks in Hindi”

  1. आपने जो आपके आर्टिकल में बैकलिंक के बारे में बताया हुआ है बहुत ही सरल और अच्छे तरीके से समझाया है यह बहुत काम आने वाली चीज है इसमें अपने डू फॉलो और जो फॉलो दोनों लिंक के बारे में बहुत अच्छे से बताया है

    Reply
  2. After reading your post, I came to know that it will take a lot of hard work to make backlinks for the website. I really liked your post, I learned a lot. Thank you

    Reply
  3. Bhai apka ak ak post aur ak ak word qimati hai. Aap ne bohot asaan alfaz me samjaya hai. Mere Jaise SEO learners k lea apka ak ak post bohot ehm hai. Aap hamari Agay b help kartay rahengay. Apka shukuriya

    Reply
  4. Bhai meri website hai mne us par “Guest Post” allow kiya hai to log mujhai post send karte hai. aur log kehte hai keh Do-Follow backlink du agar mein unhai dugi to kya meri site ki ranking gir jaegi mujhai reply zarur de plzzz me bht pareshan h … do-follow link dene se meri site par kya effect hoga..

    Reply
  5. सर, आपके जितने भी पोस्ट होते है ज्ञानवर्धक होते है और आपके हर पोस्ट से कुछ न कुछ सिखने को मिलता है | इसके लिए आपका धन्यवाद !

    Reply
  6. यह जानकारी देने के लिए thanks लेकिन आपसे मेरा एक सवाल था की directory submission kya hai? और क्या हमें यह करनी है या नहीं !

    Reply
  7. आप जो भी पोस्ट लिखते हैं वह काफी ज़्यादा ज्ञानवर्धक होती है।

    Reply
  8. apki post me ek bat mujhe personaly kafi achhi lagi wo hai , simple tarike se puri jankari. bato ko bina khiche aapne backlinks ki jankari k sath sath , baclink k types, likhne ka tarika bhi aapne bta diya.
    meri bhi ek website hain news ki Bihari Wikki se. mujhe mere blog se related websites nhi mil rhe hain jaha main comment karu, ya phir backlinks create karu.

    Reply
  9. Hi, mera nam lalit hai or mene apke bahut sare blog pade hai jo kafi achche hai or mere lie kafi helpful bhi rahe hai. mene apni website me kai sari problem ko solve kia hai apke blog padkar.
    thanx

    Reply
  10. For my site i have increased my site seo 25x times means a lot for me thanks rohit bhai KIU. Par bhai mughe do follow back link lagate nhi yad kese lagau pls help bhai Wese Me Free Internet tricks dalta hu meri website pr. Reply Karna Pls Bhai

    Reply