Backlink kya hai | What is Backlinks in Hindi

Hi friends, Is post me main aapko backlinks kya hai or kaise kaam karte hai uske bare me puri jankari dene ki koshish karunga.

Aap SEO se to vaqif honge hi, agar aap apne blog ko search results me first page par lana chahte hai to aapko apne blog ka SEO karna bahut hi jaruri hai.

Advertisements

SEO mukhya do prakar se kiya jata hai –

  1. On page SEO
  2. Off page SEO

On page SEO me ve sabhi chijen aati hai joki aap apni blog post likhte waqt apply karte hai, On page SEO acchi prakar se karne ke liye aapko ek SEO optimized article/post likhni hoti hai.

Read: Post ka Title SEO Friendly Likhne tarike

Read: Post SEO Friendly Likhne ke 5 tips

Off page SEO me ve sabhi chijen aati hai joki aap apne blog ke bahr apply karte hai. Inmen sabse important hote hai- Link Building aur Social Media presence. Social Media presence me aapko apne blog ko social media par promote karna hota hai aur Link Building me aapko apne blog ke liye Backlinks bnane hote hai. Jitne jyada aapki site/blog ke backlinks honge aapki site search results me utni hi higher rank prapt karti hai.

Read: Facebook se apne Blog par traffic badaye

Ab jyada der n karte hue main aapko backlinks ke bare me batata hoon. To fir aao jante hai ki backlinks kya hote hai aur ye aapke blog/Website ke liye kyon important hai

Backlink kya hai | What is Backlinks in Hindi - SEO

Page Contents

Backlink kya hai ?

Backlink kya hai or inke kya importants hai

Backlink kya hai wo simple sabdo me samjhe to, Backlinks wo link hote hai jo ek website se kisi dusri website par jate hai. Jaise ki maan lete hai agar main aapki site ka link apni kisi post ya apne blog par add karta hoon to isse aapki site ko ek backlink prapt hota hai.

Backlinks ka kya fayda hota hai SEO me?

Backlinks aapke blog ke liye bahut jyada faydemand hota hai. Aapki site ke jitne jyada backlinks hote hai Google aapki site ko search results me utni hi jyada value deta hai. Lekin Google aapke blog ko value tabhi deta hai jab aapke blog ke backlinks quality (achhi) sites se honge.

Backlinks ke aur bhi bahut saare fayde hote hai jaise ki Search Engine aapki site ko jaldi index karne lagta hai, aapki site ko referral traffic milta hai, aapki site ki authority increase hoti hai.

Quality Backlink kya hota hai?

Quality Backlinks ve hote hai jo aapko quality sites se prapt hote hai. Jaise ki HindimeHelp ek quality site hai aur agar aapko Hindimehelp se backlink prapt hota hai to Google aapki site ko jyada value deta hai aur aapke blog ko search results me higher ranking pradan karta hai.

Quality backlinks bnane ke liye aapko relevancy ka bhi bahut dhyan rakhna padta hai matlab ki agar aapka blog technology se related hai to aapko other technology related blogs se hi backlinks prapt karne honge, iske bjaye agar aap kisi food blog se backlinks prapt karte hai to Google aise backlinks ko jyada value nahi deta.

Quality Backlink Kaise Banaye uski Jankari yaha di hui hai,

High Quality jitni achi hai site ke liye utni hi buri Bad Backlink hoti hai, or Bad Backlink kya hoti hai unki jankari yaha hai.

Backlinks kitne Prakar ke hote hai?

Backlinks do prakar ke hote hai-

  1. Dofollow Backlink
  2. Nofollow Backlink
no follow or Do Follow kya hoti hai backlink me

DoFollow Backlink :

Do-Follow backlinks link juice pass karne me madad karte hai, yani ki aise links aapke blog ki ranking ko badhane me kafi madadgaar hote hai. Dofollow links ka example:

“<a href=”http://www.google.com/”>Google</a>”

ya fir

“<a href=”http://www.google.com/” rel=”do-follow”>Google</a>”

By default sabhi links Do-Follow hote hai, lekin agar aap chahte hai ki aap jo link dusri sites ko de rahe hai usse link juice pass n ho to aap link me No-Follow attribute add kar sakte hai.

NoFollow Backlink :

Ye ve backlinks hote hai joki link pass karne ko allow nahi karte, inki search engine me value do-follow links ke mukable kam hoti hai. Search Engine Ranking me No-Follow Links ka role nahi hota hai. No-Follow backlink  ka example:

“<a href=”http://www.google.com/” rel=”no-follow”>Google</a>”

To agar kabhi aapki site par aesi site ki link add karne ka moka pade jis par kuch galat chij hai to aap usko No-Follow kar sakte hai.

How to create Backlinks in Hindi | Apni Site ke Backlink kaise Banaye?

Ab aap backlinks ki importance ko samajh gaye honge, isliye ab aapke man me ye question jarur aaya hoga ki backlinks bnane ki shuruaat kaise karen. apni site ke backlinks bnane ke liye aap in simple tarikon ka prayog kar sakte hai:

20+ Quality Backlink banane ke tarike Hindi me, jinki adad se hum apni website ko rank kar sakte hai.

#1 Quality Content likhe:

agar aap apne blog ke liye jyada se jyada backlinks bnana chahte hai to iske liye aapko apne blog par quality content likhna hoga. Post bilkul simple bhasha me, to the point aur vistaar se honi chahiye. yani ki aapko aise articles likhne honge jise aapke readers asani se samajh saken aur vah article unki mdd kar sake.

High quality content likhne se other bloggers aapke article ke link ko apne readers ki help karne ke liye post me add kar sakte hai. Jese ye ek badiya article hai.

#2 Other Blogs par commenting shuru karen:

Backlinks bnane ka ye free aur easiest method hai, aapko bas ye karna hai ki apne niche ke other blogs par regularly commenting shuru karen. Jin blogs par commentluv enabled hota hai un par commenting karne se aapke blog ko do-follow backlink prapt hota hai joki aapke blog ke liye bahut jyada faydemand hota hai. Lekin jin blogs par commenting karne se aapko No-follow backlink prapt hota hai ve bhi aapke blog ke liye helpful hote hai. Halanki No-follow search results me jyada matter nahi karte lekin na hone se kuch hona bhi sahi hota hai.

Commenting karte waqt ye dhyan rakhe ki aap spam comments n add karen isse aapka comment approve nahi hoga hamesha comments me value add karne ki koshish karen. yani ki aise comments ko avoid karen- “Great post!” “Awesome post! keep it up” aadi. aise comments spam comments hote hai, inhen avoid karen. Post ko pade fir us par apni rai de.. aese comment ache hote hai or usse aapko bhi kuch na kuch naya sikhne ko milega.

Badiya comment kaise kare uski jankari aapko yaha mil jayegi.. wo sab dhyan rakhe comment karte time.

#3 Guest Blogging shuru karen:

Quality Backlinks bdhane me Guest Blogging bahut jyada prbhavi hoti hai. ismen aapko apne niche(topic) ke kuch popular blogs par apni guest post submit karni hai aur sath hi apne blog ka ek link add karna hai. lekin yaad rakhne ki Guest Blogging ke liye apne niche ke popular blogs ko hi chune aur ek badhiya high quality content vaali guest post likhkar submit karen.

Agar aapka Blog Internet se Related Topic par hai to Aap HMH par bhi Guest Post kar sakte hai.

#4 Apne Blog ko web directories me submit karen:

apne blog ko web directories me submit karna backlinks bnane ka ek badhiya method hai, iske liye apne blog ko vibhinn web directories me submit karen, lekin yaad rahe ki aap apne blog ko quality web directories me hi submit karen.

Backlinks bnate samay in baaton ka dhyan rakhen:

Backlinks aapki site ke liye kafi helpful ho sakte hai lekin agar aap galat tarikon ka pryog karke backlinks banayenge to ye aapki site ke liye bahut jyada nuksaandayak ho sakte hai. Isliye apni site ke liye backlinks bante samay nimnlikhit baaton ka dhyan avshy rakhen:

  • Apni site ke liye kewal quality sites se hi backlinks prapt karne ki koshish karen.
  • Kabhi bhi fiverr aadi sites se paid backlinks n khariden.
  • Low quality sites jaise ki porn sites ya spammy sites se backlink prapt karne ko avoid karen.
  • Backlinks ki quantity se jyada quality matter karti hai.
  • apne niche se alag blogs se backlinks prapt karne ko avoid karen.
  • ek sath bahut saare backlinks n bnaye isse google ko shak ho sakta hai aur vo aapki site ko penalize kar sakta hai.

Conclusion:

Mere hisaab se ab aap backlinks ke baare me acchi tarah se jaan gaye honge, ki Backlink Kya hai or Kaise Backlink bante hai or kya fayde hai Backlink ke.

fir bhi agar aapka Backlinks se sambandhit koi bhi question hai to aap comment ke dwara puch sakte hai.

aisi hi aur bhi nayi posts ke updates paane ke liye hamara free email subscription len aur Facebook, Twitter, par hamen follow karen.

Post padhne ke liye aapka dhanyawad :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

241 thoughts on “Backlink kya hai | What is Backlinks in Hindi”

  1. Apke post se kafi kuch samajh aaya. Lekin ye nahi samjh paaya hu ki apne site ka link kaise dena hai comments me jisse spam bhi na ho

    Reply
  2. Agar mein mere har YouTube video mein mai apne blog ki article link du toh mujhe iska koi nuksan to nahi hoga blog SEO ke liye? Jabki Mera blog Abhi Tak search me nahi aata h .

    Reply
  3. आपकी Website बहुत अच्छी है। में ने आपकी Website को bookmark करके रखा है। आपके article भी काफी Useful है। Thanks for sharing very useful knowledge

    Reply
  4. Amazing Tips, Thank You For Searching This Backlinks Seo Post Really This Is Awesome Tips Sir Thanks for Guide Me Backlinks Seo

    Reply
  5. Very nice post… but mera ek sawal hai Backlinks genreter use karne se adsense par kuch fark to nahi padta na? Isse adsense disapproved to nahi ho jayega?

    Reply
  6. bahut hi achhi jankari di hai aapne is post me aap bahut hi achhi post likhte ho aur bahut hi achhe samjhate ho thanks

    Reply
  7. रोहित भाई , बेकलिंक बनाने के बाद भी कीवर्ड एक जगह रुक नहीं रहा ..

    क्या करना ठीक रहेगा ?

    Reply
  8. Thank you for publishing a very informative post. Every post of yours is very awesome, we feel satisfied by reading it. Please keep writing such post further.

    Reply
    • backlink do follow hai ya nofollow wo dekhne ke liye aapko page ka source code dekhna hoga.. iske liye Browser extension bhi hai. jisme nofollow link highlight ho jati hai..

      backlink check karke ke liye bhut se free tools bhi hai.. aap google par hi search kare.. par agar aapne recent me koi link banai hai to ho sakta hai wo waha shaow naa kare, q ki link index hone me thoda time lagta hai.

      Reply
  9. Ohh Really Bhai Its Too much usefull
    For my site i have increased my site seo 25x times means a lot for me thanks rohit bhai KIU. Par bhai mughe do follow back link lagate nhi yad kese lagau pls help bhai Wese Me Free Internet tricks dalta hu meri website pr. Reply Karna Pls Bhai

    Reply
  10. Ohh Really Bhai Its Too much usefull
    For my site i have increased my site seo 25x times means a lot for me thanks rohit bhai KIU.

    Reply
  11. Bhai main bhi apna blog start karna chah raha hu abhi bilkul starting krni h kuch bhi nahi kiya aapki site se kafi post padhi hai lekin ab end me bhi confuse hu kaise kaha se start karu or meri site google me rank kr payegi bhi.

    Reply
  12. भाई मेरी बेवसाइट का Cpanel डिलीट होने हो गया था मेरे पास बैकअप न होने के कारण उस पर पुनः शुरूआत से काम करना पड़ा, ब्लाग पर करीब 10-12 हजार विजिटर प्रतिदिन थे लेकिन अब पूरा ट्रेफिक चला गया है क्या करना चाहिए ट्रेफिक को पुनः बढ़ाने के लिए. प्लीज सुझाव हो सके तो मेरी जीमेल आईडी- Arpitsadhanapal@gmail.com पर जरूर दें.

    Reply
  13. Hello sir this is awesome post about backlinks. apke sare blogging information ko mein notes karta hua , its very good.

    Reply
  14. Sir ak tarf aap khte hai ki back link banane ke liye apne niche ke blog PR comments maarna suru kre dusri trhf aap back link banante smaye kin baato ka diyaan rkhna hai line mai aap khte hai ki apne niche wale blog se back link prapt krne ki kosis na kre aisa q kaha aap ne?

    Reply
  15. Hi Sir, Nice post : ) Sir Mere ek sawal hai .. apne jaise bola fiverr , freelancing sites , sites se backlinks na karein kya woh sites hume spamy backlinks deti hai???? kyunki maine 2 baar waha gig buy kiya hun isliye aisa puch raha hun?

    Reply
  16. भाई मेरा बलॉग है। में इस साइट पर भारत के पर्यटन स्थलो के भ्रमण से संबंधित जानकारी शेयर करता हू। अच्छी पोस्ट लिखने के बाद भी मेरी साइट का ट्रेफिक नही बढ रहा है क्या आप इसे चेक करके बता सकते है

    Reply
  17. hello sir, mere blog ek post ko 5 domain ne 1000 se jada spam backlink de chuke he ! me google search console check Kiya or usko nikale ke liye disavow tool ko use kiya lekin 1 month ke baad bi backlink remove nehi hua hee… abb me kya karu

    domain link

    domain:shag-conservate.com
    domain:flirt-phipps.com
    domain:shag-balbuena.com
    domain:date-tousings.com
    plz reply my email

    Reply