Link Building apne blog ko search engine me higher ranking par lane ke sabse prabhavi tarikon me se ek hai. Pehle jis site ke backlinks sankhya me jyada hote the veh site search results me top par hoti thi.
lekin pichle kuch varshon me link building me bahut saare changes aaye hai aur link building ko sabse jyada effect kiya hai google ke algorithm Penguin ne, joki un sites ko target karta hai joki bad link building strategies ka prayog karti hai aur un sites ko penalize karke apne database se bahar kar deta hai. Jisse ye sites search results me nahi aati aur isse in sites ko bahut saare traffic ka loss hota hai.
Google apne algorithms me lagatar updates karta rehta hai, isliye hamen apni sites ko Google algorithms se penalize hone se bachane ke liye Bad link building strategies se dur rehna chahiye. Aisi strategies Black Hat SEO ke antargat aati hai joki aapke blog ke liye kaafi hanikarak sabit hoti hai.
Agar aapka blog ek baar google dwara penalize ho jata hai to use recover karna bahut mushkil hota hai. Isliye apni site ko penalty se bachane ke liye aapko nimnlikhit bad link building strategies ko Bilkul nahi apnana hai
Page Contents
Bad Link Building Strategies Kis Trha ki hoti hai
Paid Backlinks kharidna
Aisi bahut saari sites internet par uplabdh hai jahan par bahut kam daamon me aap apne blog ke liye hazaaron High Page Rank Backlinks kharid sakte hai, aur bahut saare Bloggers ye mankar inse backlinks kharid lete hai ki isse unka blog search engine me higher rank prapt karenge aur iska kisi ko pta bhi nahi chalega ki unhone paid backlinks kharide hai, lekin Google bahut hi smart hai veh aisi sites ko turant identify kar leta hai aur unhen penalize kar deta hai.
aap paid backlinks kharidne ki galti mat karna Agar aapko Blogging lambe time tak karna hai to, nahi to aap blogging me issi ki baja se fail ho jayege..
Link Spamming:
Link Spamming veh kehlata hai jab aap dusre blogs, forums aadi par jaakr kewal apne blog ke liye link prapt karne hetu koi content daalte hai. Google Web Spam ke head Matt Cutts btate hai ki agar aapke blog ke jyadatar backlinks comments se aate hai to google samajh jata hai ki yeh aap link spamming kar rahe hai aur veh aapke blog ko penalize kar sakta hai.
Isliye jab bhi kisi blog par commenting Karen to valuable comment add karne ki koshish Karen. Aur har ek blog par apne blog ka link add karne se bachen.
Badiya Comment kaise karte hai, or comment karte time kya khayal rakhna chahiye uski jankari aapko yaha mil jayegi.
Low Quality Directory Sites:
Internet par bahut badi sankhya me web directories uplabdh hai jahan par aap apna blog submit kar sakte hai. Lekin inmen se bahut jyada low quality directories hoti hai Jinmen agar blog ko submit karenge to aapke blog ko low quality backlinks prapt honge joki aapke blog ke liye nuksandayak sabit hote hai.
Isliye bahut soch samajhkar apne blog ke liye niche ke hisaab se high quality web directories me hi blog ko submit Karen.
Link Exchanging Karna:
Bahut saare bloggers dusre bloggers ke sath apni site ke link exchange karte hai. Ye method kuch had tak to sahi hai lekin agar iska upyog jyada matra me kiya jaata hai to ye aapke blog ko nuksaan pahuncha sakta hai. Lekin agar aap apne niche ke quality blogs ke sath link exchanging karte hai isse aapko koi nuksan nahi hoga.
Jo Blog ache hai or jinki rank bhi achi hai un blog se to aapko faida hi hai par agar koi aisa blog hai jispar content bhi acha nahi hai or rank bhi jyada nahi hai.. ya fir jis blog par hamare blog ki link hai us par kuch gala chije hai to uska hamare blog par galat aasar pad sakta hai.
Apne blog ki link ache blog par add karne ka sabse acha or secure tarika hai Guest Post karna. Agar aap HMH par Guest post karna chahte hai to kar sakte hai.
Do follow Backlinks:
Ab aap ye soch rahe honge ki Do-follow backlinks to kisi bhi blog ke liye acche hote hai. Ha, main bhi manta hu ki do-follow backlinks kisi bhi blog ke search engine ranking improve karne me kaafi madad karte hai.
Lekin agar aapke blog ke sabhi backlinks do-follow hai to phir thodi sambhalne ki jarurat hai kyonki agar aap apne blog ko search engine me safe rakhna chahte hai to aapke blog ke backlinks do-follow ke sath no-follow bhi hone chahiye.
High Quality do-follow backlink kaise banate hai uske kuch tips aapko yaha mil jayenge.
Social Profile Links:
Agar aapne social sites par apne kaafi accounts bnaye hue hai aur ve sabhi accounts aapke ek hi blog par link kar rahe hai to ve links unnatural backlinks me aa jate hai. Google ne bhi declare kiya hai ki aise links kewal indexing ke liye use kiye jaate hai aur inka search engine ranking se jyada relation nahi hota hai.
Social Sites jese Facebook, Twitter, Pinterest jesi jitni bhi top sites hai unpar to apni site ki profile jarur banaye or link bhi kare.. Youtube par apni channel bana kar usme apni link add kare.
Wrong Sites Link:
aesi jitni bhi site jinpar jo constant hai wo sahi nahi hai agar un sites par hamari site ki link add hai to un sites ka galat aasar hamari site par pad sakta hai or hamari site ki rank bhi kam ho sakti hai unki baja se.. Wrong Sites se khane ka matlab hai aesi sites jinpar Hacking, Creaking ji jankari di jati ho ya fir Pron sites ho.. isstrha ki site hamari achi khasi sites ka acha khasa nuksan kar sakti hai.
Conclusion:
Ismen koi dorai nahi hai ki search engine me acchi rank prapt karne ke liye backlinks bhi kafi jaruri hota hai, aur agar aap hamesha white hat seo ka use karke apne blog ke liye backlinks bnayenge to ye aapke blog ke liye kaafi beneficial rahega.
Agar aap upar di gayi Bad link building strategies ko avoid karenge to aap Google penalty se hamesha safe rahenge. Jaise ki maine pehle bhi bataya ki google lagatar apne algorithms me change karta rehta hai, isliye aapko ek successful blogger/internet marketer banne ke liye in changes ke bare me jankari rakhni chahiye.
HindiMeHelp par hum SEO se related aisi mehtavpuran posts karte rahenge isliye hmari sabhi posts ki jaankari ke liye hmara email subscription jarur le. Is post ke bare me apni rai comments ke jariye jarur de.
good info about backlinks very helpful
very very information sir keep sharing post sir
Nice Post Keep it up Bro
Hello, I’m very happy to see this blog, and I appreciate you sharing this useful content.
Bahut badiya sir
nice post
Hello sir backlink create karne ka sabse badhiya tarika kya hai
High Quality Backlink Banane ke tarike
Nmskaar sir,
sir mera sandeep h ji
Sir aapka falsfa bahut achha hai ji
sir meri ek problem hai ji
mere blog pe na ek background image laggi huyi hai
sir mujhe use htana hai ji
To kaise htaaaun plzz,,,help me
Wow nice information share ki hain bro spending see bachne ke liye
Thanku For sharing with us
bot kuch sikhaa maine aapke blog se maine .aapke blog pe regular seekhne ana padega abh toh. thanks..
Thanks Vivenita ji
sir aapne bahut hi achhi post kiye hain aksar newibe bloger apni jayda backlink banane ke liye bahut saare web sumbison me sumbit karte hain. yaha tak ki me v iska sikar ho gaya hu. hamne v jayda backlink ke liye bahut saare web sumbison me sumbit kiya jiske karan hamare blog par jayda adult aur porn site se view aate hain isko kese roke me pareshan hu.
sir aapne bahut hi achhi post kiye hain aksar newibe bloger apni jayda backlink banane ke liye bahut saare web sumbison me sumbit karte hain. yaha tak ki me v iska sikar ho gaya hu. hamare blog par jayda adult aur porn site se view aate hain isko kese roke me pareshan hu.
aap sabse phele to google analytics me dekhe ki kaha se traffic aa rahi hai.. or aap unko google se report kar sakte hai..
sir main aapka tah dil se aapka dhanyavad karta hun aapki ye post bahut helpful and useful hai thanks sir
Bro hum apni blogger template ka color change karna chate hai kya kar sakte hai ya ni
Aur bro ap ye post kab likhoge blog me WordPress ka comment box kaise lagaye bhut din ho gye aur is post ka intzar hi kar rha hu
Bro mere blogger ke tamplate mein kuvhh galti bo gyi hai.. editing mein….
Dikh arha hai…
“Security Warning : Editing tamplate that mixes HTTP and HTTPS so its affect Security or User Experience’ kya kru
.??? Bdi problem mein hu help me please….??
nice bhai….. sir muje free templet chiye to acha templet kha milega
In websites de dfownload kar sakte ho
Hello sir mera adsense full aporve nhi hai plz help me sir kya templates se adsense se per koi fark padhta hai. Kya templates khsridane se mera accunt aporbe Ho jayega. Plz sir check karke batao meri website kaisi hai. Isme kya kami hai.
templ;ate kharidne se koi fark nahi padta.. main hai hamare blog ka design acha hona chaiye.. simple or clean
rohit bhai !!! Mere blog par suddenly pata nahi kya hua…. pahle meri post google pe aa jati thi i mean jab mei Google par meri post ka title search karta to likha hua aata 2-1 minutes ago or top pe aati thi…. lekin ab mei title search karta hu to post kahi bhi nahi aati…
. Please aap ek baar blog open karo or cheak karo please
aap fatch as google kare.. kabhi kabhi index hone me time lagta hai