Comment – jiska Hindi me matalab hai Tippanee hota hai.. Jab koi kuch kehta hai ya kuch batata hai to ham uspar comment karte hai.. Ye aam Jindgi me to hota hi hai par Online Bhi hum aise hi karte hai.. Aapke Facebook, Twitter jesi site par to bhut comment kiye hoge..
Agar aap Blogging krte hai to Comment ko ek dusri najar se bhi dekha jane lagta hai, wo ye ki usse hamare blog ko Promotion hota hai.. Par Bhut log Is Promotion ko galat tarike se samaj lete hai or Spam Commenting siru kar dete hai jisse Faide ki jagha Niksan or Time ki barbadi hoti hai.
Sirf Apne Blog par badiya Post Dalna hi kafi nahi, hame apni pehchan banane ke liye Dusre Blog par Comment karna bhi bhut jaruri hai.. Sirf Comment nahi Ache Comment :)
Bhut Log Comment sirf Backlink ke liye karte hai, agar aap bhi unme se hai to aap in points ko jarur follow kare.. nahi to aapke comment spam khelayege.. or jis maqsad se aapne comment kiya hai uska sahi result aapko nahi milega.
Har Chij ke kuch Rules hote hai agar ham unko Follow karke kaam kare to Thoda time jarur lagta hai par usse jo hae faida milta hai wo bhi acha hi hota hai.. or kisi chij ka nuksan nahi hota..
Comment karte samay bhi Kuch bate hai jinko agar dhyan me rakh kar comment kare kisi bhi Blog par to uska Fayda hame jarur milta hai
Comment Karte Samye Rakhe In Bato ka Diyan
- Sabse Pehle Post ko Pade achi se.
- Purane Comment Pade.
- Agar kisi Comment ka Jabab aapko pata hai to reply bhi kare.
- Comment Post ke sambandh me hi kare.
- Spam Comment naa kare.
- Chote Comment karne ka bhi koi faida nahi hai.
- Galat shabdo ka bilkul istemal na kare.
- Ek hi Comment bar bar na kare.
Page Contents
Badiya Comment karne Par Rakhe in Bato ko Dhyan me
Comment karte samay sabse pehle to hamara pura focus ussi par hona chahiye.. baki aap Aage Pad kar jaan lijiye..
#1 Post ko Puri Padne ke baad Comment kare
Agar aap kisi Post par Comment kar rahe hai to Sabse Pehle post ko pade, Q ki usse aapko post me kya hai ye pata chal jayega or Fir aap apne Vichar comment me share kar sakte ho..
- Jese aapko ye post kesi lagi.
- Post me Kya Acha Laga.
- Post me kya acha nahi laga.
- Post me kya galat hai.
- agar koi jankari di gai hai post me to usse sambandhit sawal puchne me bhi help milegi post padne ke baad.
#2 Purane Comment ko Pade apna Comment karne ke pehle
Ye Process bhi jaruri hai, Q ki agar aap jo comment kar rahe ho jo pehle se hai to aapke comment ko value nahi di jayegi.. Purane comment ko padne ke baad aapko acha Idea bhi mil jayega ki aesa comment kare jo dusre comment karne walo ko bhi impress kare.
#3 Galat Shabdo ka bilkul Istemal Na Kare
Ye batane ki jarurat nahi hai ki Q galat shabdo ka istemal na kare comment ya kahi bhi.. Galat chij galat hi hoti hai or wo kisi ko pasand nahi aati hai..
#4 Dusre Comment ka Reply kare
Jis Topic par Post hai agar aapko uska knowledge hai aapko or agar koi usse sambandhit sawal comment me karta hai to aap uska reply karke uski help kar sakte ho.. isse aapki ek badiya Image ban jayegi ki aapko bhi iska acha knowlage hai.
Comment ke Link add karne ka naa soche isse aap spam ki category me aa jayege.
#5 Spam Comment Naa Kare
Spam ka matlab Farji.. Farji comment bhi karte hai bhut log or sochte hai isse blog ki traffic bad jayegi par hota uska bilkul ulta hai.. Jo Blog ka owner hai wo hi delete kar dega or agar nahi karta hai to uske blog ko uska nuksan bhugatna padega..
Spam Comment is tarah ke hote hai –
- Kisi Referral link ko share karna
- Kisi Galat site ki link ko share karna
- Ek hi Comment bar bar har post par karna
Inke alawa bhi farji comment ho sakte hai jo dekhte hi samaj aa jate hai..
#6 Chote Comment Nahi Nahi kare
Comment kar rahe hai to jo comment hai uski ek alag hi value honi chaiye aesa nahi, ki comment kar rahe hai to chota mota kuch bhi likh kar comment kar diya.. usse bhi koi faida nahi..
Kuch udaharan comments ke
- Thank you
- Nice Post
- Help Me
- Great Article
- Me aapki har post padta hu…
Agar koi Is Tarah ke comment karte hai to ho sakta hai wo jisne post dali hai usko impress karde par usse jada or koi faida nahi hai.
#7 Comment Post ke Sambandhit kare
Bhut log ye galti karte hai.. Agar koi sawal hai kisi post se sambandhit to usse post me kare usse ye faida hoga ki aapko uska jawab sahi tarike se milega or agar jo sawal aapka hai wo or kisi ka bhi hoga to usko bhi jabab mil jayega..
Dusri post me kisi dusri post se sambandhit comment karne me sabko confusion hota hai or samaj nahi aata hai is comment ka matlab kya hai..
#8 Comment me Link add nahi kare
bahut log Comment karte hi is liye hai ki unki link share kar sake.. par aisa karne se fayde se jyada nuksan hai.. Aapne Notice kiya ho sayad ki jo ache or popular blog hai to apne comment me link allow nhi karte or aese comment ko turant delete kar dete hai..
Link Share karne se ek nuksan ye bhi hai ki isse pata chal jata hai ki aapke blog par visitor kam hai matlab aapke blog me quality nahi hai.. to q koi aapki link par click karke aapke blog par jaye..
Link Share kar sakte hai par sirf jab jab uski bahut jarurat ho or jaruri nahi wo aapke blog ki hi link ho.. Jo aap comment kar rahe hai or agar aap usse sambandhit kuch dikhana chate hai to link ka use kar sakte hai..
Me Link add karke apne Comment ki value badaoga uska Example: Jese Maanlo kisi post me Google SERP ke bare me bataya gaya hai.. or muje usme kuch kami lage.. Google ka koi New Update aaya to me Comment me bataunga ki aap ki jankari sahi hai par ye thodi purani hai.. Google ke new update me kuch change kiye hai.. fir me Google ka jo official Blog hai uski link de duga jaha muje new jankari ka pata chala.. isse mere comment ko value di jayegi or jo bhi us comment ko padege wo bhi sochege ki isko acha knowlage hai.. or mere naam ke sath apni website blog me website ki link di hogi to us par click karke meri website par bhi aayege..
#9 Ek Hi Comment Bar Bar Nahi kare
Ek hi comment bar bar karne se bhi koi faida nahi hai, isse sirf ye sabit hoga ki ye sirf spam comment hai or iske pas or kuch likhne ko nahi hai..
To Dosto Ye Kuch Tips thi ek badiya comment karne ke liye, Ummid hai aapko isse jarur kuch sikhne ko mila hoga.. or me Intjar karu aap ki Badiya Comments ka Is Post par ki aapko ye post kesi lagi or agar aapke pass bhi koi or point hai jo Comment karte samay dhyan me rakhna chahiye to wo bhi jarur bataye.. :)
Comment karne se phele Hindi Me Help ki Comment Policy bhi jarur read kare.
So beautiful and lovely ❤️
Sir Facebook par comments me pani link bene se hmari site ka traffic kai badega
Sir kya aap ek bar meri site check karke bta skte hai ki traffic kaise aayega
Bahut hi badiya jankari sir
Hello, sir
sir me 3-month se post dal RHA hu pr Abhi tk koi traffic Nhi Aaya hai
Kuch help kro sir
Aap mujhe ye bataye ki blogging karne ke liye blogger sahi hai ya wordpress
Hello bhai mera post google ke top 50 result me bahaut sare page me aa rah hai kya aap bata shakte hai check karke ki muje apni post me kya improvement karna hoga ushko first page per lane ke liye please bataiyega bhai
रोहित आपने यहाँ कुछ ऐसा बताया है जो मेरे बहुत काम का है, एक गलती में बार बार कर रही थी और शायद इसी वजह से मेरे ब्लॉग का ट्राफिक 80% कम हो गया है. लेकिन अब में इस बात का ध्यान रखूंगी. शुक्रिया
1) Kabhi kabhi Top bloggers comment sei back link dena bandh kar dete hai??
2) comment karne k time website mei keya dale post link yea website name??
Plz help
agar aapko kisi post ke liye backlink chaiye to aap post ka link daal sakte hai.
Rohit Ji Maine Aik Website Banai Hai Abhi Jald Hi Banai Hai New Bloggers Ke Blog ke liye us par abhi main bahut sa work karunga jis se futur men blogger+youtuber ke bahut kam aayenge Unke blog par traffic lane ke liye main India se bahar Gulf Cuntry men Rahta hun Aur Main Apni Site ko jyada Gulf se rank karata hun jis se fayeda ye hoga ki bloggers ke blog ki cpc wagera achchi milegi aur earning achchi hogi main us site ki link is comment ke sath men de raha hun agar aapko lage ki theek hai to mere comment ko publish kar dijiyega
Hi
Good article. useful and helpful.
Thank you
Dear Rohit,
You have explained very nicely how to grow traffic by commenting on various blogs. I didn’t know that. Thanks to you.
You wrote an awesome post about commenting on a website. Thank you for sharing such useful information but I have a question that how will I get a back link from website through comment if I wouldn’t put link on comment
Bhai simple jo Website ka Box hota hai usme apni URL dale.. jada tar wo nofollow hoti hai par unki bhi kuch value to milti hi hai..
n̫i̫c̫e̫
Sir aap comment karne bare me achhi jankari diye hai.. aapke har post achhe hote hai..aaj mai apna guest post aapko email kiya hu. mujhe ummid ki aap mere post ko jarur publish karenge.
thanks sir
Thanks Ranjeet,
me aapki post check karke aapko email par reply karuga.
very good article for every bloggers
Hello rohit ji aap hame ye bataye ki aap har heading se pahle # kyo lagate hai
Tag karne ke leye.
rohit ji blog ki traffic badhane me comments ka kitna bada role hai iss post ke madhyam se aapne kaafi acchi tarike se explain kiya hai, aur me bhi inn baato ka dhyan rakhunga. thanks
Great, I think ki aap ne yeh ek bhut hi achha tareeka dhoonda hai sabki maddt krne ka, yeh bakeyi taref ke kabil hai.
nice post bro plese 1k bar meri ye site dekh k apni raye dena bhai aap k 2 babd mere liye kamyaab honge plse
Achha content likha hua h, very helpful…Thanks
Sir Meri Blog Ki Post Comment Settings Me Comment Moderation Ki Option Nahi Aa Rahi Hai Agar Koi Meri Blog Par Comment Karta Häi To Woh Blog Mein Show Nahi Hota Pls Help Me
Hello sir meri blog per comment moderation ki options nahi aa rahi hai aur agar koi comment krta hai to uska notfication email ke jariye mill jata hi par blog par comment show nahi hota post comment settings me comment moderätion ki option bhi show nahi ho rahi hai main kya karu pls btaye.
बहुत ही अच्छी जानकारी आपने दी है, उनके लिए एक knowledgeable topic है और सुधरने का मोका भी जो ऐसा करते है। आपके blog के contents सच में लाजवाब है।
acha thanks
agar koi aapke blog se content ko apni blog par paste kare to kya karna sahi hoga??
Simple Google se DMCA report kar sakte hai..
Dear Rohit Ji, aapne bahut achchhe se guide kiya hai comments ke baare me. Vastav me ek achchha blogger hone ke liye ek achchha reader hona bhi jaruri hai. Agar hm dusro ki posts ko value dete hai to isse hamari bhi value badhti hai.
Isi tarah aap likhte rahiye.
Ji Bilkul Anil ji… OR aapke Comment se lag raha hai ki mere post karne ki mhanat west nahi huii :).. Thanks
काफी अच्छी जानकरी दी रोहित जी…. जितने अच्छे कमेंट उतना अच्छा प्रभाव … अच्छे कमेन्ट करने से हमारे ब्लॉग/वेबसाइट में काफी ट्राफिक भी आ सकता हैं….. and इतनी बेहतरीन जानकरी के लिए आपको धन्यवाद
Thanks Niraj ji aapne Vichar share karne ke liye..
Apne Bahut Achhe se article likha, Mai aapke hunar ka smmaan krta hu…..🤗🤗
Sorry Rohit ji mujhe pata nahi tha…
Aapko jab time mile aap kr dena aisa koi jaruri nahi hai…
Kis Baat ke liye SOrry.. par haa abhi thoda busy chal raha hu..
Sir aap comment karne bare me achhi jankari diye hai.. aapke har post achhe hote hai..aaj mai apna guest post aapko email kiya hu. mujhe ummid ki aap mere post ko jarur publish karenge.
Thanks Vinod ji.. me aapki post ko time milte hi check karke aapko reply karuga agar uske kisi bhi chij ki agar koi jarurat hogi to..
Nice post bro apki har post me kuch na kuch naya milta hi he janne ko
Thanks himanshu ji.. ummid hai aage bhi jarur milta rahega.. :)
Nice post bro
aapne kya post ko achi se nahi pada ;)
मैं बहुत ब्लॉगस पर कमेंटस करता रहता हुँ। इससे पोस्ट में बताए गए नुख्से काम के हैं।
Ji Post ko share karne ka maksab bhi ye hi tha ki aapki kuch help ho jaye.
rohit bhai mere adsence ka form bhara tah 2 mahine pehle or approved hone ka mail bhi aa gaya tha lekin letter abhi tak nhi aaya aisa kyo?
agar aapka Address kahi Gav ka ya fir koi aesi jagha ka hai to thoda time lagta hai ya fir kisi karan se nahi bhi aa pata hai.. ham 3 bar apply kar sakte hai.. uske baad address ka Gov. ID Proof Upload karke bhi verify kar sakte hai address ko.
Sir me apne blogger ko khud design karu bina kisi tampled ko uplode kare header footer comment box etc. Is site se o yefficial site he codes sikhane ke lye plz check
http://www.w3schools.com/w3css/default.asp
To koi copyright to nhi hoga or bad me AdSense Account bina kisi dikkat ban jayega
aap agar usko Blogger me use karna chate ho to aap pura nahi kar sakte q ki BLogger me XML template use hote hai.. or rahi baat copywrite ki to uski koi dikkat nahi hai.
Rohit Ji maine apko 4 din pahle hi ek guest post bheja tha, par apne abhi tak publish nahi kiya…
Please jaldi publish karne ki kosish kare…
Vinay ji Sorry.. par Dadi ji ki tabiyat kharab hone ki baja se muj hospital me rhana pad raha hai.. Time Milte hi me publish karta hu.. Thanks