Agar aap laptop lene ka soch rahe ho or aapko Best Laptop chaiye sahi kimat me, to wo aap kaise le sakte ho uski jankari aapko is post me milne wali hai.
Abhi me aapko Kuch Basic Points bataoga jo aapko Laptop lete time dhiyan rakhna hai or apni jarurat ke hisab se jo aapke liye sabse best laptop ho wo lena hai.
Page Contents
Best Laptop Kaise Select kare
Agar aap laptop lena chahte hai, to sabse pehle to aap apni jarurat dekhe, ki aapko kis kaam ke liye Laptop chaiye.. Aap Student hai, ya Office work karna hai, Blogging karni hai ya Youtube chalana hai..
Jo bhi aapki jarurat hai, uss hisab se kis chij ki jada jarurat padegi, uss hisab se aapko apne liye laptop select karna hai.
Laptop Lene ke liye In Points ko Check kare
Service Center
Agar aap Laptop le rahe hai, to sabse pehle aap ye dekhe ki jis company ka laptop aap lene wale hai, uska service center kaha hai..
Laptop sabhi company ke badiya rehte hai, par kab kisme problem aa jaye wo nahi bata sakte.. to agar service center hamari city me ho to aasani se usko tikh kara sakte hai.
Laptop lene se pehle Service jarur check kare, wo kaise dete hai.. jese agar kisi city me nahi rheta hai service center to wo waha Home Service dete hai ke nahi.
Processor
Laptop ka Processor konsa hai isse uski speed par fark padta hai, jitna latest Processor hoga utna hi wo fast hoga.. Agar aapko Blogging karna hai to i3-i5 Processor tikh hai..
RAM
RAM ka kaam hota hai, jo bhi software chal raha hai.. usko manage karna.. to aese me jitni jada RAM hogi utna hi bada software aaram se handle aasani se ho payega.. Abhi ki date me 4-8GB RAM sahi hai..
Also Read: Computer ki RAM kaise Badhaye
HDD
Ye Laptop ki main memory yani Hard Disk kitni hai, jisme hamari jitni bhi file hai wo save hoti hai.. 30k ki range me 512GB or 1TB tak HDD mil jati hai.. to agar aapko jada files save karke rakhna hai to 1TB memory bhut hai. Isse jada Memory chaiye to external Hard Disk le sakte hai.
Graphics Card
Integrated Graphics to sabhi laptop me rehta hai, par agar aap koi Heavy Software ya Game challenge to uske liye Extra Graphics ki jarurat padti hai..
Screen Size
Laptop aapko kis size me lena hai ye to aap par depend karta hai.. mainly 2 size me aate hai.. 13 or 15 inch.. baki screen hogi to uska thoda price badh jata hai.
Operating System
Laptop me konsa operating system hai, usse bhi Price me bhut fark padega.. me aapko recommend karunga aap Windows 10 ke sath le..
Agar Aap Windows 10 nahi lete to 2-3k rupee kam ho sakte hai price me.. wese agar koi laptop aapki rang me aesa mil raha ho jisme RAM, HDD or baki chije achi ho par Windows nahi aa rahi to aap bahar market se bhi windows 10 300-400₹ m dalwa sakte hai.
Battery
Battery Life bhi bhut important hai, jitni jada hogi utni achi.. wese agar 2.5-3 hours ki battery life mil rahi hai to thik hai 30k INR ke laptop me..
Design
Laptop ka design kesa hai, kitna slim hai, kitna bajan hai, screen kitni rorate hoti hai ya Touch Screen hai ke nahi.. in sab se bhi Laptop ka Price kam jada ho sakta hai…
Mere hisab se 30,000 rupee me in chijo par jada focus naa karte hue agar dusri chijo par dhiyan diya jaye to acha laptop mil sakta hai.. wese bhi agar work ke liye laptop le rahe hai to ye sab dikhawa karne ki koi jarurat nahi hai.
***
Mene upar ye jo point bataye hai agar aap in sabko check karege, to aap badi aasani se apne liye sahi laptop sahi price me select kar payege..
Agar aapko Blogging karna hai to Service Center, Processor, RAM, HDD jada main hai..
10 Best Laptop Under ₹30,000
Mene aapka kaam thoda or aasan karne ke liye ki Under 30k konse laptop best rahege.. uski ek research ki lagbhag 300+ Laptop me jo 30 hajar ke andar mil rahe ho 2018 me.. or unme se 10 Best Laptop Under 30000 select kiye hai.. aap inme se jo aapki jarurat ke hisab se acha ho wo le sakte hai.
#1: Lenovo Ideapad 110 80TJ00BNIH
Model Number | 80TJ00BNIH |
RAM | 8 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | DOS |
Processor | A8-7410 |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | 2 GB |
Weight | 2.2 kg |
Price | ₹ 28,190 |
#2: Asus X541UA-XO561T
Model Number | X541UA-XO561T |
RAM | 4 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | Windows 10 |
Processor | Core i3 |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | intel integrated graphics |
Weight | 2 kg |
Price | ₹ 26,290.00 |
#3: Aspire 3 A315-51-356P
Model Number | UN.GNPSI.001 |
RAM | 4 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | Windows 10 |
Processor | Core i3 |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | Intel HD 520 |
Weight | 2.2 kg |
Price | ₹ 25,990.00 |
#4: Lenovo Ideapad 110 80TJ00BNIH
Model Number | 80TJ00BNIH |
RAM | 8 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | DOS |
Processor | AMD |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | AMD R16M-M1-30 |
Weight | 2.2 kg |
Price | ₹ 28,190.00 |
#5: Dell Inspiron 15 3567
Model Number | A561222SIN9 |
RAM | 4 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | Windows 10 |
Processor | Core i3 |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | Intel Integrated HD |
Weight | 2.1 kg |
Price | ₹ 27,890.00 |
#6: HP 15-BS542TU 2017
Model Number | HP 15-BS542TU |
RAM | 4 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | DOS |
Processor (CPU) Model | Core i3 |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | Intel HD Graphics 520 with DirectX 12 |
Weight | 2.1 kg |
Price | ₹ 25,970.00 |
#7: Asus Vivobook X541UA-DM1358D
Model Number | X541UA-DM1358D |
RAM | 4 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | DOS |
Processor | Core i3 |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | intel integrated graphics |
Weight | 2 kg |
Price | ₹ 28,775.00 |
#8: HP 15-be016TU
Model Number | 15-be016TU |
RAM | 4 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | DOS |
Processor | Core i3 |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | Intel HD 520 |
Weight | 2.19 kg |
Price | ₹ 27,990.00 |
#9: Lenovo IdeaPad 100
Model Number | IdeaPad 100 |
RAM | 4 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 500 GB |
Operating System | DOS |
Processor | Pentium |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | Intel Integrated Graphics |
Weight | 2 kg |
Price | ₹ 25,080.00 |
#10: Dell Inspiron 3565
Model Number | DELL 3565 |
RAM | 4 GB |
Hard Disk Size (HDD) | 1 TB |
Operating System | Windows |
Processor | Dual Core |
Display Size | 15.6 inches |
Graphics | AMD Integrated graphics |
Weight | 3 KG |
Price | ₹ 23,189.00 |
At Last:
To Dosto ab muje ummid hai aap jaan chuke hoge ki Best Laptop ko kaise select apne liye or Under ₹30,000 10 Best Laptop konse hai.
Agar aapka abhi bhi koi doubt hai Laptop se related to aap comment karke jarur puche.. or aapka sabse pasandida Laptop konsa hai wo bhi bataye.
Also Read:
Bahut mast likha bhai. Thanks. Hopefully aap best laptops under 50,000: 2021 edition pe likho ge.
Acchi information di hai aapne shukriya sir
Kya mai abhi laptop order kar sakta hu lockdown me
bahut hi madadgar lekh hai jisko bhi laptop lena hai uske liye
बहुत ही अच्छा बताया आपने ।
sir second hand laptop kitme tak le sakte hai or vo bhi blogging k liye ..
aap ye dekhe usme koi hardware damage naa ho or slow naa ho or battery tikh ho. baki blogging me to browsing hi karni hai to jada bade laptop ki jarurat nahi.
v nice blog bhot hi jyada help milegi isse sabko tym bhi bachega thanks sir
Ye sare laptop k images apne kaha se download kiya hai ?
sir ji mai Dell inspiron 7577 gaming laptop liya hun blogging ke liye
Great
bahut badhiya jaankari di aapne
mere hisab se asus ka laptop lena chahiye
aapka bahut bahut dhanyawad is jaankari ko share karne ke liye
professional video editing ke liye laptop best h ya desktop ??
Desktop jada sahi rahega.. q ki jitne ka laptop aayega utne me aap jada configuration ka computer le payege.
Bhai aapne specificatio ka jo box banaya hai would kaise banaya hai
wo aap HTML se bana sakte hai.. agar aapko HTML nahi aata to simple aap Axel me tabel bana kar usko copy karke post me paste kar dijiye.
Hello sir mujhe online recharge. Ke bare me jan na hi aisa koi app hi jo 0% charge leta ho koi bhi recharge me aur money transfer me other bank me
Online Mobile Recharge Kaise Kare
Thanks for Help
Very Nice Guide Sir
We Always Love You And Hindi me Help
Thanks Bhai..
Aur Haan Bro Ye bhi batana ki Agar Size 15+inch liya jaye aur i3 Processor aur 8GB RAM to kitne tak mil jayega?
Bhai.
Apne jitne laptop bataye usme agar i3 hai to RAM kam Hai.
Aur Agar RAM 8GB ka hai to Processor achha nhi hai.
Agar Processor i3 or i5 lena ho aur 8GB RAM to minimum kitne tak milega???
thanks for help
thanks for
bhai aapne jo affiliate link apne website par add kiye hain. in link ko clock kaise kiya hai is chij ke baare puri jaankari chahiye. plz comment men reply kar ke jarur batana.
Nice
http://www.hindiresult.com
Chek this website
Kya problem hai
You r really awesm guy i waana become like you😊😊😊
i have Purchased Dell laptop thanks sir.
Bro , mere laptop ka processor Intel Pentium hai Toh Kya Ye Thik Hai . Mai apne Laptop ko Per day 5 se 6 hours tak use karta hun .
haa tikh hai.. wass aap isme jada heavy software nahi chala payege… baki to sab kaam aasani se hoge.
your post is amazing i am very motivated reading your post thank you hindi me help
your post is amazing i am very motivated read your post thank you hindi me help
Awesome Post Rohit Sir… mera aapse ek sawal hai. aapne is post me sidtalk ka video add kiya hai to kya post me youtube video embed karne se post ki size pe fark padta hai? wo post load hone me thoda zyada time leta hai bina video wale post ke mukable?
Plz sir meri help kry ma aik aisa software bnana chahta ho ma us ma koi b nbr add kro to wo software us ki location bta de plz plz plz help me only location software bnwa dy plz
Best Post
Very nice post thanks
v nice blog bhot hi jyada help milegi isse sabko tym bhi bachega thanks sir
Awesome Collection Rohit sir… Thanks for sharing
thank you, sir, very nice article it’s helpful for me once again thank you, sir
Sir Aap Konsa Font Use Karte Ho? HindiMeHelp.com Pr
Nice article sir.kya 4gb ram sufficient hai acche editing ke liye
Haa bilkul..
Bahut Hi Behtareen Jankari Share Kiye Ho.
rohit sir online laptop khareedna safe hai ya nahi. kahi local quality ka to nahi aa jayega.
Thanks Sir for sharing Useful Information.
I also Need a Good Laptop.
Buying Next Month 😊
बहुत अच्छी जानकारी दी आपने जो काम की है
सर आप कौन सा लैपटॉप use करते है
THANKS SIR BECAUSE MAI BHI LAPTOP LENE KE LIYE PLAN KAR RHA THA THANKS FOR GUID US DEPPLY THANK YOU SO MUCH
Hope isse aapko help milegi.. 🙂
THANKS SIR BECAUSE MAI BHI LAPTOP LENE KA PLAN BNA RHA THA THANK YOU SO MUCH FOR GUID
Greate.. Ummid hai yew Guide se help milegi..
Laptop buying ke baare me aapne bhut acche se batata hai. thanks for sharing!
Welcome 😊
I think HP is the best option…
I have already an HP laptop is about to one year and that’s performing very smooth and fast…