Blogger Blog ko WordPress me Sift kare Puri Tarah se [with SEO]

Blogger Google ka Free or aasan Platform hai blogging ke liye or ispar blogging start karna bhut aasn hai kisi bhi new vyakti ke liye. Par agar aapne apna blog blogger par banaya hai to aapko kuch chije hai jo blogger me nahi milti ya aasani se nahi hoti or wordpress me wo aasani se kar sakte hai. To agar aapne Blogging ko lambe time tak karne ka soch liya hai to aap apne Blogger Blog ko WordPress par transfer kar sakte hai puri Tarah se or extra future ka luft utha sakte hai.

Blogger Q hai sabse Acha Platform wo bhi jarur padhe, usme mene 13 Points blogger platform ke ware me bataya hai ki q wo sabse acha hai, or me har ek new blogger ko suggest karta hu ki wo blogger.com par hi apna blog banaye or jab usko blogging ka acha knowledge ho jaye to wordpress par sift kare. or aaj ham iss article me wo hi jaanne wale hai ki kaise Blogger Blog ko WordPress Par sift (Transfer) karte hai puri tarah se.

Advertisements

Ye Post Sirf un logo ke liye hai jinka Blog WordPress par hai or unhone WordPress par apna blog banaya hai, or ab Blogger Blog ko Pura Transfer karna chate hai WordPress Blog Par.

Agar Aap WordPress par Blog kaise Banaye wo jaanna chate hai to link par click kareke jaan sakte hai.

Blogger ko WordPress me Transfer karne me ham jitni bhi post hai Blogger Blog me wo or jitne bhi comment hai wo wordpress par transfer karege. Or Blogspot Blog hai usko 301 redirect karege apne new WordPress Blog par taki agar koi blogspot blog ko open kare to automatic wo new wordpress blog par ussi post par aa jaye. isse or bhi bhut se faide hai jese jo hamare blog ki rank hai wo kam nahi hogi or jitni bhi backlink hai wo wordpress blog par transfer ho jayegi. Iske sath sath ham blogger blog ki feed ko bhi redirect karege apne new wordpress blog ki feed par taki jinhone blogger par feed se subscribe kiya hai unko aage bhi hamare wordpress blog ki post ki jankari milti rahe. To Chaliye Start karte hai.. :)

Blogger Blog ko WordPress me Sift kare Puri Tarah se [with SEO]

Page Contents

Blogger ko WordPress par Puri Tarah transfer karne ki Process

Agar aapne WordPress Blog install karke setup kar liya hai badiya hosting kharid kar or aapka purana blogger blog hai jisko aap wordpress par transfer karna chate hai to uske 3 main process hai, jinko karne par aapka blogger blog puri Tarah se wordpress blog transfer ho jayega or aapki Traffic par bhi koi aasar nahi padega.

  1. Import Blogger Post and Comment to WordPress
  2. 301 Redirect Blogger blog to WordPress
  3. Redirect Blogger Post Feed to WordPress Blog Feed

1: Blogger ki Post or Comment ko WordPress me Transfer kare

Aapka jo Blogger Blog hai uski jitni bhi post or comments hai unko WordPress par transfer karna bhut aasan hai chaliye dekh lete hai.

Step 1: Sabse Phele aap Blogger.com me login karke blog ke dashboard me jaye

blogger me post or comment ka backup download kare

  1. Settings me jaye
  2. Other par click kare
  3. Back up Content par click kare

Step 2: ab ek popup khulega, Save to your computer par click karke Post or Comment ka jo backup hai usko download kar lijiye.

blog ke backup ko download kare computer me

Step 3: Ab WordPress blog ke dashboard me aa jaye.

wordpress me blogger ki post or comment ko import karne ke liye blogger import plugin install kare

WordPress me Tools >> Import >> Blogger par ja kar Install Now par click kare.

Step 4: Ab Run Importer par click kare.

Run kare BLogger importer ko

Step 5: ab new Page khulega usme jo Blogger ki Backup file download ki thi wo upload karna hai.

blogger ke backup file ko upload kare wordpress me

  1. Computer me se Blogger ki Backup file ko select kare
  2. Upload file and import par click kare

jese hi click karege jo backup file hai wo upload hogi, isme time lag sakta hai agar aapki jada post or comment hai to..

Step 6: Back up file upload hone ke baad author name ke liye pucha jayega.

Authore name select kare post ke liye fir bubmit kare wordpress me

  1. Jo WordPress par phele se author hai unme se select kare ya fir aap new bhi create kar sakte hai.
  2. Author set karne ke baad Submit par click kare.

Step 7: Ab aapki Blogger ki post or comment WordPress blog me aa chuke hai, aap wordpress blog ko open karke dekh sakte hai.

ab blogger ki post wordpress me import ho chuki hai

Note: agar aapne new user create kiya hai in post ke liye to aap uska password jarur update karde users me ja kar.

2: Blogger Blog ko 301 Redirect kare Wordpress Blog Par

Ye jo step hai wo bhi bhut jaruri hai Blog ke SEO ki najar se bhi or Blog ki ranking ki najar se bhi. Blogger ko WordPress par redirect karne se jo blogger blog ki rank hai, jitni bhi backlinks hai wo sab transfer ho jayegi wordpress blog par. or agar koi Blogspot blog ki kisi post ko open bhi karega to wahi post wordpress par open hogi.

To chaliye dekh lete hai kaise 301 redirect kare blogger blog ko wordpress blog par.

Step 1: Sabse phele aap Blogger Dashboard me jaye fir Template ke section me jaye or sabse niche aapko ek option milega “Revert to classic templates” uspar click karke jo template hai wo change kare. (ye Old Blogger Template hai)

blogger template ko classic templates me transfer kare

Step 2: Ab aapke samne Blogger Post ka Code editor aa jayega. Jo Template ka HTML Code hai usko Delete karke uski jagha ye Code Dale

<html>
 <head>
  <title><$BlogPageTitle$></title>
  <script>
    <MainOrArchivePage>
      window.location.href="http://hindimehelp.com/"
    </MainOrArchivePage>
    <Blogger><ItemPage>
      window.location.href="http://hindimehelp.com/?blogger=<$BlogItemPermalinkURL$>"
    </ItemPage></Blogger>
  </script>
   <MainPage>
    <link rel="canonical" href="http://hindimehelp.com/" />
   </MainPage>
   <Blogger>
    <ItemPage>
     <link rel="canonical" href="http://hindimehelp.com/?blogger=<$BlogItemPermalinkURL$>" />
    </ItemPage>
   </Blogger>
 </head>
 <body>
  <MainOrArchivePage>
    <h1><a href="http://hindimehelp.com/"><$BlogTitle$></a></h1>
  </MainOrArchivePage>
  <Blogger>
   <ItemPage>
    <h1><a href="http://hindimehelp.com/?blogger=<$BlogItemPermalinkURL$>"><$BlogItemTitle$></a></h1>
    <$BlogItemBody$>
   </ItemPage>
  </Blogger>
 </body>
</html>

ye jo code hai usko apne blogger Blog ke template me dale, yaha ek baat ka dhiyan rakhe jo code hai usme hindimehelp.com ki jagha aap apne wordpress blog ka domain replace karde jitni bhi jagha hai.

template ka jo code hai usko replace kare new code se jo diya hua hai

Code ko Template me dalne ke baad Save Template par click karke template save karde.

Step 3: Ab WordPress Blog ke dashboard me aa jaye.

wordpress ki function.php ki file me code k add kare

WordPress ke dashboard me aane ke baad Apperance >> Editor par jaye. Ab aapko Function.php file ko edit karna hai, right side me dekhe function.php aapko mil jayega.. ye aapke template ke hisab se alag ho sakti hai.

Function.php file ko open karke usme Code ko sabse upar dale fir Update File par click kare.

function blogger_query_vars_filter( $vars ) {
  $vars[] = "blogger";
  return $vars;
}
 
add_filter('query_vars', 'blogger_query_vars_filter');
 
function blogger_template_redirect() {
  global $wp_query;
  $blogger = $wp_query->query_vars['blogger'];
  if ( isset ( $blogger ) ) {
    wp_redirect( get_wordpress_url ( $blogger ) , 301 );
    exit;
  }
}
 
add_action( 'template_redirect', 'blogger_template_redirect' );
 
function get_wordpress_url($blogger) {
  if ( preg_match('@^(?:https?://)?([^/]+)(.*)@i', $blogger, $url_parts) ) {
    $query = new WP_Query ( 
      array ( "meta_key" => "blogger_permalink", "meta_value" => $url_parts[2] ) );
    if ($query->have_posts()) { 
      $query->the_post();
      $url = get_permalink(); 
    } 
    wp_reset_postdata(); 
  } 
  return $url ? $url : home_url();
}

Ab aapka jo Blogger Blog hai wo 301 redirect ho chuka hai wordpress blog par. ab agar koi aapke blogger blog ki koi post bhi agar open karega to wo redirect hokar wordpress blog ki ussi post par aa jayega.

301 redirect karne ka sabse bada faide SEO ka hai, iski madad se jitni bhi links or Rank factor hai wo bhi wordpress blog par transfer ho gayege.

Ab aap kisi bhi apne blogger blog ki post ko open karke dekhe wo redirect ho jayegi wordpress blog par :)

3: Blogger Feed ko Redirect kare WordPress Blog feed se

Aapka jo blogger blog hai uspar jitne logo ne bhi RSS Feed se subscribe kiya hoga unko aage bhi Post ki jankari milti rahe email par uske liye aap blogger feed ko redirect karna hoga wordpress blog feed Par. Chaliye dekh lete hai kaise hogi:

Blogger dashboard me ja kar setting me jaye

blogger ki feed ko redirect kare wordpress feed se

Blogger ki setting >> Other me jaye fir Post Feed Redirect URL me apne WordPress ki Feed Dale.

WordPress Feed URL is Tarah ka hoga : http://hindimehelp.com/feed 

Aap apni site ka URL ke aaye feed laga de. or ye link dalne ke baad Save Setting par click karde.

Ummid hai dosto aapko ye jankari pasand aai hogi or aapke apne blogger blog ko wordpress me lane me koi dikkat nahi aai hogi, agar aapka koi sabal ya sujab hai to aap comment ke jarur bataye or ye jankari aapko kesi lagi wo batana na bhule.

Ye Bhi Padhe:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

94 thoughts on “Blogger Blog ko WordPress me Sift kare Puri Tarah se [with SEO]”

  1. Sir maine apne blog ko wordpress me transfer kar liya hai lekin maine uska permalink wordpress ke hisab se change kar diya hai

    Kya ab mai blogger to wordpress 301 redirection karta hu is post ke hisab se to sahi se redirect ho payega
    Help sir

    Reply
  2. सर पोस्ट मे हर चीज़ आसान तरीके से बताई गई है। मगर मेरे कुछ सवाल है।

    1- जो ब्लॉगर पोस्ट का permalink वो वर्डप्रेस से अलग है। माइग्रेट के दौरान अगर हम ब्लॉगर की से मैंच (month / year/ post name) permalink use नही करेंगे तो क्या ब्लॉगर से वर्डप्रेस पोस्ट रीडायरेक्ट हो पायेगा?

    2-अगर हम कुछ नही करते तो माइग्रेट करने वाली पोस्ट का डिफॉल्ट parmalink कैसा होगा?

    3- सर हम नही चाहते permalink में month/ date हो। अगर हम post title का pramalink use करेंगे तो माइग्रेट की गई सारी पोस्ट का seo बिगड़ तो नही जाएगा..ओर मेरी सारी मेहनत खराब तो नही हो जाएगी..?

    मेरे ब्लॉगर में 300 पोस्ट है और 10k/ व्यू।

    Reply
  3. Hello Rohitbhai Aap bahut achchhe chhe samjaate ho. Mujhe bahut achchhi tarah se samaj me aa gaya. par ek sawal mere man me hai. sabhi blogger blog ki post ki sabhi url link to wordpress par redirect hogi. par ham vo blogger blog future me delete kar denge tab bhi blogger blog ki sabhi url link wordpress par redirect honge kya?.. please… blogger blog ko delete kar dene ke baad????…. Please Sir Meri confusion dur kare.

    Reply
  4. Blogger par content ka backup lekar usse wordpress par shift karne ke bad aapne jo do steps bataye hai unko bhi follow karne ke bad kya fir jo blogger par blog hai use delete kar dena chahiye kya sir please bataye

    Reply
  5. Sir aapke har steps ko follow kiye,but jab apne old post par Google ke through aate hain tou redirect hamesha homepage par hi hota hai…plz help

    Reply
  6. Rohit bhai, maine Digital Ocean se hosting lekar WP install kiya hai aur ismein Genesis Framework Theme install kiya hai. Lekin jab main Child Theme banane ra raha tha to iske liye mujhe jitna bhi post Google par mila unmein se bahut mein plugin ke dwara Child thme install karne ke bare mein bataya gaya to bahut mein Cpanel ke dwara. Plugin se site slow ho jayega isliye main Cpanel se hi karna chahta hoon. Lekin DigitalOcean mein cpanel ka mujhe kahin koi option hi nahin mil raha hai. Please is bare mein aap meri help kariye.

    Reply