Blogger SiteMap Kaise Submit kare Google Search Console me

Sitemap kya hai or Sitemap ki madad se post aasani se Google me index ho jati hai ye to aap jante hi hoge, to agar aapka blog Blogger par hai or aap Blogger sitemap search console me add karna chate hai to aap bilkul sahi post par hai.

Agar Aapko Blogger ko puri jankari chaiye to yaha mil jayegi.

Advertisements

Is Post me ham jaannege kaise apna blog ki Post ki jaankari Google tak phucha sakte hai. ye koi muskil kaam nahi hai simple aapko apne Blog ka sitemap Google Search Console me submit karna padega.

Sabse pehle aapko apna Blog Google Search Console me add karna hoga, agar nahi kiya to phele ye post pade.

Google Search Console Important Setting bhi jarur kare, jisme se ek XML sitemap submit karna bhi hai jo ham abhi karne wale hai.

SiteMap ka kya fayda hai

SiteMap xml format me search engine ke liye hota hai, jisme blog ki sabhi post ki detail hoti hai ki konsi post kab publish hui, jisse Search Engine (jese Google) ko aasani se pata chal jata hai ki blog par kitni post hai, to aasani se sabhi post index ho jati hai search me jiske baad wo search me dikhti hai.

Blogger XML SiteMap Kaise Submit Kare Google Search Console me

Blogger me default sitemap bana hota hai, par usko search console me add karna hamara kaam hai, Blogger SiteMap Search Console me kaise add karna hai wo aap niche di hui steps me dekh sakte hai.

Step 1: Google Search Console me Sign kare

Step 2: Ab Aap apne Blog ke Title ke upar click kare.

Step 3: Sitemaps par click kare

Step 4: Ab jo Page khulega usme Add/Test Sitemap ki button par click kare.

Step 5: Add/Test Sitemap par click karne ke baad kuch option aayege.

Jo aapke blog ka Link hoga uske aaye box me sitemap ki link add karni hai.

atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500

fir Submit Sitemap ki button par click kare.

Ab aapke blog ka sitemap Submit ho chuka hai :)

Note: ye jo sitemap hai wo 500 post ke liye hai agar aapke blog me 500 se jada post hai to aapko or site map add karne hoge. kaise chaliye dekhte hai.

jo phela sitemap hai aap usme dekh sakte hai 1-500 tak ki post hamne add ki hai.

atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500

501-1000 post hai aapke blog me to ye sitemap bhi add kare

atom.xml?redirect=false&start-index=501&max-results=500

1001-1500 post hai to ye site map bhi add kare

atom.xml?redirect=false&start-index=1001&max-results=500

issi trha aapke blog par agar post ki sankhya badti hai to aap 500 ke set me apna sitemaps add karte jaye.

At Last:

Ye jo Sitemap jo ham Google Search Console me add karte hai wo XML sitemap hota hai jo Google ko Batata hai ki hamare blog par kitni post hai or hamne kab unko published ki hai.

XML sitemap search engine ke liye hai par agar aap apne blog ke visitor ko apne blog ki post dikhana chate ho to uske liye HTML site map apne blog me add kar sakte hai, jisme hamare blog ki puri post ki list ek sath category ke anusaar dikhti hai.

Aap Hindi Me Help All Post HTML SiteMap yaha dekh sakte hai.

Friends ab aap jaan chuke ho kaise xml sitemap google search console me add karte hai, Blogger ki Puri jaankari ke liye yaha jaye.

Koi Sabaal ya Sujhab Comment karke jarur bataye. :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

195 thoughts on “Blogger SiteMap Kaise Submit kare Google Search Console me”

  1. mere website pr 1000 urls hai to mne 500 tool ke jriye sitemap.xml add kr diya h lekin ab jo baki ke 500 h uska set kese bnega mne bnaya to starting wale 500 url ka hi set bn rha h please sir muje btaiye kese bnega baki ke 500 urls ka

    Reply
    • Agar aapka blogger par blog hai to kaise 1000 post add karna hai uska code mene post me share kiya hai. or agar wordpress par hai to aap kisi sitemap plugin ka use kare.. jese aap rankmath ka use kar sakte hai sitemap banane ke liye.

      Reply
  2. main ek new blogger hu mujai ye article bhut achaa laga h or insme bhut achaa knowledge bhi jo ki mujai nhii pataa tha

    Reply
  3. Sir., maine yoest plugin se sitemap generate krke submit kiya but, ab mere blog me almost 1100 article ho gaye hai jisme .

    Isiliye yoest plugin me automatic 2 sitemap show ho rhe hai 1st sitemap me 1001 article hai aur 2nd me 100, maine kuch din phle dono sitemap ko search console me submit kiya tha. But ab google search mere new article ko crowl nhi kr rha hai.

    Iske liye kya krna hoga please suggest me.

    Reply
    • jab ham hosting lete hai.. uss time select karna hota hai ki uska server kaha hai.. jese agar aapki site India me open hogi to agar uska server India me hi hoga to site ko load hone me kam time lagega.

      Reply
  4. Sir help me

    Sir Google ne khud hi mere site ko pyarmeindia.com

    I mean main domain ko add kr lia hai new search console me.

    Aur jo purana hai woh www me hai. Woh bhi add hai. I mean

    Ab ap bataye sir kaun sa rakhu aur kaun sa remove kru?. Please isse search rankings low ho rahi hai.

    Reply
  5. Good information
    Sir me apni wordpress blog ke sitemap ko submit kar raha hu. To vahan ek error aa raha hai. Jiske karan blog ke sitemap pending bata raha hai. Submit nhi ho raha hai.

    Reply
    • submit karete hai to kuch time tak to pending hi rheta hai.. waki aapne jo sitemap ki link submit ki hai wo chek kare hai ke nahi.. WordPress ka sitemap uoast plugin se generate hota hai… ye post me mene blogger ke site map ke ware me bataya hai..

      Reply
  6. Rohit Sir, maine apka dia hua sitemap ‘atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500’ google webmaster me submit kiya hai lekin error araha hai description me blo raha ki “Your Sitemap appears to be an HTML page. Please use a supported sitemap format instead.” To avi sir kya kare.

    Reply