Blogger Me Domain Ko Kaise add kare | .Blogspot.com -> .com

Dosto me aapko ek baar fir se yaad diladu ki blogger ek aesa platfom hai jiski madad se ham free me website bana sakte hai. Agar aapko nahi pata kaise banaye to aap yahadekh sakte hai kaise free website banti hai Blogger par usko agar ham kisi ko bataye to bo aasani se samaj jayega ki ye to free ki hai, or ek professional look nahi aata.

Ham aaj ussi topic par baat karege, or wo hai website ka address. jese ki aap jaante hi hai blogger par jo hamari website/blog hai uska address kuch is prakar hota hai. hindimehelp.blogspot.com jisko ham domain add karke hindimehelp.com me badal sakte hai.

Advertisements

www.HindiMeHelp.blogspot.com or isko dekh kar koi bhi kha dega ki ye to free hai or isme kya badi baat hai. Par agar ham kisi ko bataye ki hamari website hai www.HindiMeHelp.com to 99% log jarur impress hoge or aapse jaanne ki kosis karege ki aapne kaise banai. or unka najariya aapke liye badal jayega.

Domain Lene se Phele Ye Jaankari Jarur Pade, Kaise Badiya Domain Select kare.

blogger me se blogspot hata kar website me convert karo

Is post me ham janege ki ham kaise apni blog ke address se blogspot ko hata kar website me badal sakte hai.

Page Contents

Kya Kya Chaiye blogspot ko hatane ke liye

ye kuch chije hai jo aapke pass honi chaiye

  1. Blogger par free Blog. agar nahi hai to aap 5 minute me free blog bana sakte hai.
  2. Domain Name

To blog ko website me badane se phele aapko ek acha sa Domain register karna hoga.

Domain ko kaise register kare uski puri jaankari mene apni pichli post me di hai. aap matra ₹99 rupee me domain ko register kar sakte ho.

Domain register karne se phele ek badiya domain name jarur select kare, Ek Best Domain Name kaise select kare uske tips yaha hai.

mene domain godaddy se register kiya hai aap chahe to kisi dusri site se bhi domain ko register kar sakte ho. ye kuch badiya website domain register karne ke liye

5 Badiya Domain Registration ki Website aap yaha dekh sakte hai.

Domain ko Kharidne ke baad kya karna hai.

Domain ko Blogger me setup kaise kare

Dosto mene godaddy se domain kharida hai, to me usse kaise connet kare bo bataoga. aapne bhale kisi dusri site se domain liya ho same process karna hai bas website thode alag tarike se khulegi. To chaliye jaante hai ki ham kaise apne free blog ko website me badale.

Ab aap muje step by step follow kijiye

Step 1

Blogger.com me login karke apne blog ki setting me jaye jisko aap domain se connect karna chate hai.

blogger ki setting me ja kar third party domain par click kare

  • Stttings >>Basic me jaye
  • Ab jo Set up a third-party URL for your blog ki link hai us par click kare.
Step 2

ab or option aa jayege

third party domain par click karke apna domain dale www ke sath

  • box me aapka domain daalna hai jo aap blog se jodna chate ho. www ke sath hi daalna hai nahi to kaam nahi karega.

Ab ye do code hai unko aapko apne domain ke CNAME me jodna hai. uske liya aap is page ko aesa hi khula rhane de or new tab me domain ki site me login kare.

Note: aesa jaruri nahi ki aapka blog jis naam se ho aap ussi naam ka domain jode. jese me aapko is post me dikha raha hu mera blog hai www.hindimehelp.blogspot.com or me usko www.RohitMewada.com se jode raha hu.

Step 3

Godaddy me Login kare (aapne Domain jaha se liya hai usme jaye)

godaddy me login karne ke baad domain manage par jaye

  1. Apne Naam par Click kare
  2. Manage My Domains par click kare

Ab aapke Domains ki list aa jayegi.

Step 4

Domain ki DNS setting me jaye

DNS par click kare

 

Step 5

Domain me DNS set kare blogger ke liye

 

  1. Ab aap Records new ADD karna hai
  2. Blog ke jo code hai unko add karne ke liye ADD par click kare.
Step 6

google cname add kare domain dns me

 

  1. Sabse phele CNAME (Alias) select kare
  2. HOST me www dale
  3. POINTS TO me aapko ghs.google.com daalna hai
  4. TTL 1 hour hi rhene de
  5. Save ki button par click kare.

ab bapas Add kare.

google code add kare domain dns me

 

  1. CNAME (Alias) select kare
  2. HOST me ab aapko bo dusre code ka chota hissa daalna hai jo aapke blog me aa raha hai.
  3. POINTS TO me uske saamne wala hissa daalna hai. aap uper ki image ko dekh kar or achi se samaj lijiye.
  4. TTL me 1 Hour select kare
  5. last me Save ki button par click kare.
Step 7

 

ab conform karne ke liye ki aapke code sahi se add huee ki nahi. thoda sroll down kare. CNAME (Alias) ke naam se ek option dikhega. usme aap check karle ki dono code sahi se jud gaye hai. jo www hai uske saamne ghs.google.com hona chaiye or dusre code me jo aapke blog me dikh raha hai bo.

ek baar achi se check karle dono code achi se dal gaye ho

Step 8

Ab bapas apne blogger ki setting pe aa jaiiye.

Cname godaddy par set karne ke baad blogger me domain ko save karde

ab save ki button par click karde.

ab kuch is trha dikhega aapke blogger ki setting me

blogger me domain add karne ke baad aesa dikhega

To ab pura kaam ho chuka hai. ye setting karte hi site new domain me khulne lagti hai par kabhi kabhi time bhi lag sakta hai. DNS Setting ko update hone me 24 ghante tak lag sakte hai, thoda intjaar kare. agar iske baad bhi nahi khule iska matlab aapne kahi koi galti ki hai. aap fir se puri process ko achi se ckeck kare.

⚠Dosto ab aapka domain to set ho gaya par ek baat or hai jo aapko set karna hota hai. agar aap apni site ko bina www ke kholege to error aayegi. matlab agar aap www.website.com kholo ge to website khul jayegi par agar aap website.com khologe to error aayegi. Bina www ke website ko kaise set kare uski jankari yaha hai.

To ab aap jan chule hai Blogger me domain kaise add karte hai, Aapko ye jaankari kaise lagi or agar aapko kahi par koi dikkat aati hai to comment karke muje jarur bataye.

Blogger ki Puri jankari yaha milegi

Ye kuch or post hai mere blog ki jo aapko padni chaiye

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

396 thoughts on “Blogger Me Domain Ko Kaise add kare | .Blogspot.com -> .com”

  1. Sir maine apne blogspot blog me custom domain add karne ke liye A records aur CName dono record banali . Apne blog me redirect aur https ko bhi enable kar liya .update successfully bhi show ho raha h. Par mere blog se blogspot remove nahi ho raha h .
    Mere indexed post ko open karne par you are about to be redirected ka message show ho raha h .
    Ab mujhevkya karna chahiye . Pl suggest .

    Reply
  2. Sir , maine DNS me 4 A Records aur CNAME add karke bloger me custom domain ko save bhi kiya . Redirect aur https option ko on bhi kar liya . Par ab mere indexed post show nahi ho rahe h . Mujhe ab kya karna chahiye .

    Reply
    • thoda time wait kare.. kyu ki new domain ke karan jitne bhi post ke link hai wo ab new hai.. to google ki najar me wo new website hai jisko starting me index hone me time lagta hai. aap apne blogspot ki sabhi post ko main domain ki link par bhi redirect kare.. jisse blogspot par aa raha traffic bhi uspar redirect ho jayega.

      Reply