Blogging aaj ke time me ek Popular Trend hai Online Paise kamane ka, jiski madad se hum Acha khasa Paise kama sakte hai..
Agar aap ek Blogger hai to aap usse paise kamane ke liye bahut si chije try karte hi hoge jese – Ads, Affiliate Marketing, Sponsor etc.. Par kya aapko pata hai sirf yahi tarike nahi hai, inke alawa bhi bahut tarike hai Blog se Paise kamane ke.
Mene Blogging Field me dekha hai, Blogger Paise kamane me fail ho jate hai, kyu ki unko pata hi nahi hota ki wo Blogging me kitne tariko se paise kama sakte hai.
To aaj me aapse iss post me Blogging me Paise kamane ke 100 se jada tarike share karuga, sabhi tariko ko janne ke baad ab ye aapke upar hai aap kin kin tariko se paise kamana chahte hai.
Page Contents
Blogging se Paise kamane ke Tarike 2025
Blogging se Paise kaise kamaye agar aapke mind me bhi ye sawaal aata hai to aaj ke baad nahi aayega, kyu ki me aapko Blog se Paise kamane ke itne option batane wala hu, jinko janne ke baad aapke mind se ye sawal ki me Blog se paise kaise kamaye hamesha ke liye gayab ho jayega.
Me jitne bhi tarike aapse share kar raha hu, jaruri nahi sabhi tarike aapke liye work kare, par aapko wo sab janne ke baad ye to clear ho hi jayega ki aapko konse konse tariko par kaam karna hai Paise kamane ke liye.
1. Contextual Advertising
Blogging me Paise kamane ka agar sabse aasan or best tarika mana jata hai to wo Ads se, jisme simple hame apni website par ads lagane hote hai, uske baad jitne jada visitor hamari website par aate hai utni jada earning hamari hoti hai.
Ad Network me sabse best Adsense hai, jo Earning or Ads quality me sabse best hai.. aap Adsense Approve kara kar use kar sakte hai.. ya fir Adsense Alternative bhi use kar sakte hai apne blog par.
Adsense se 1000 Visitor par Kitni earning hoti hai wo aap yaha dekh sakte hai.
2. Affiliate Marketing
Agar aapko Blogging se jada paise kamana hai wo bhi kam traffic hai, to aapko Affiliate Marketing bhi karna hoga..
Affiliate Marketing kya hai or Kaise isse paise kamaye uski detail me jankari HMH par publish hai, aap usko jarur read kare..
Affiliate Marketing se Paise kamane ke liye aapko wass Best Affiliate Program ko join karke unke product ko apne blog me Promote karna hai, jiske baad jo bhi aapki link se click karke product ko kharidege uska aapko commission milega.
Agar aap Blogger hai to aap ShareAShare par bhi apna account jarur banaye jo ek Best Affiliate Marketplace hai.
Also Read: Top 10 Best Affiliate Networks For Bloggers
3. Publish Sponsor Post
Agar aapka Blog kisi specific niche par hai, or uss field me aapka blog thoda purana ho chuka hai.. to aapke paas bahut se Sponsor Post ke liye Offer bhi aayege, jisme aap Post ko apne blog par Publish karne ke paise le sakte hai.
Sponsor Post Publish karne se pehle aap iss baat ka bhi dhyan rakhe ki wo aapke Blog topic se related ho or usme kuch bhi aisa na ho jisse aap ke user ko problem ho. Kabhi kabhi aapke pass aese Sponsor post bhi aayenge jo illegal ho, to aapko dhyan rakhna hai aise post aapko kabhi publish nahi karna hai agar aap apne blog ko long term ke liye dekhte ho to..
4. Sell links in Post
Jab bhi aapko koi detail or badiya post likhenge or agar wo Google me rank karega.. to uss post se related agar koi company ya product hai jinko aapki uss post se fayda ho sakta hai wo aapko Paise dene ke liye bhi ready hoge unki link add karne ke liye.
Jese agar aapko koi Top 10 software ke ware me post likhi hai, to koi software company apna product ki link bhi aapki post me add karana cahegi, jiska aap charge kar sakte hai.
5. Sell Backlink
Backlink kya hai or isse kaise Ranking me fayda milta hai wo to aap jante hi hoge..
Kisi bhi website ko rank karane ke liye Quality Backlink banana padta hai, to aese me agar koi Backlink bana rahe hai apni website ke liye or unko aapki website se backlink cahiye to wo aapse contact karege.. jiske baad aap unko do-follow backlink dene ke paise le sakte hai.
*Kisi bhi aesi website ko backlink dena, jo Google ki najar me achi nahi hai uske karan aap ki website ki ranking par bhi aasar pad sakte hai.. isliye iss baat ka dhyan rakhe ki aapko kisko link kar rahe hai.
6. Publish Paid List
Jab bhi koi Achi website koi list Post publish karti hai, jisme me Product, Service, Tools, Software, website etc ki list share karte hai.. to uss list me shamil hone ke liye bahut log paise dene ke liye bhi teyar rehte hai.
Jese maan lo aap Top 10 Software Website ki link bana rahe hai, to agar koi New Software company hai wo usme apne aap ko add karne ke liye aapko paise dene ke liye ready ho jayegi.
Dhiyan rakhe, iss tarah List Post se aap paise jab kama payege jab aapka blog ek ache level par hoga.. kyon ki koi bhi aapko paise sirf jab dege jab unko lagega ki unko bhi fayda hoga.
7. “Resources” Page banaye
Aapka Blog kisi bhi topic par ho, uss field me bahut se aese tools hoge jinko aap use karte hoge ya jo kaam ke ho sakte hai.
to aap apne blog me ek “Resources page“, “Tool I Use” “My Tools” bana sakte hai, jisme aap sabhi tools ko ek hi jagha share kar sakte hai.. or sabhi ki affiliate link aap waha de sakte hai..
Jese aap HMH Tools ki link dekh sakte hai, jisme mene unn sabhi tools ko share kiya hai jo me use karta hu HMH ke liye.. to ab agar koi janna chahta hai ki me konse konse tools use karta hu to wo waha se dekh sakte hai, or direct waha se kharid sakte hai.
8. Youtube Channel banaye
Agar aapka Blog hai to aap ussi topic par Youtube channel bhi banaye, jisse aap Youtube se Paise to kamayege hi, sath sath usse aapko Blog ko bhi support milega.
Kitne Youtube se Paise kamane ke tarike hai wo aap yaha dekh sakte hai, or agar aapko Youtube me interest hai to aap HMH Youtube category bhi jarur check kare, jisme humne youtube se related bahut hi useful information share ki hai.
9. Ads Dikhaye Short URL karke
Ye tarika Pehle trend par tha, jisme kisi bhi URL ko short karke share kardo, uske baad koi bhi uss URL ko open karte to 5 second ke liye pehle ads dikhte fir main url open hota.
Agar aapki Download website hai, ya koi aesi link hai jisko user visit karna chahte hi hai to aap waha iss service ka use kar sakte hai..
Short URL se Paise kamane ke liye sabse best or popular Adfly hai. kaise ye kaam karta hai or kaise isko use kare uski puri detail me jankari payment proof ke sath mene share ki hai.
Aapko pata hai kya, Internet par jo meri sabse pehli earning thi wo Short URL se hi hui thi, uske baad hi muje bharosa hua ki Online bhi paise kamaye ja sakte hai.
10. Advertise in your Podcasts
Podcast kya hai or kaise banate hai wo humne pehle hi share kiya hua hai.. jisme hum apni information ko Audio form me share karte hai.
Aap Agar Podcast chalate hai to aap uske liye Sponsor bhi search kar sakte hai, jisme wass aapko Podcast ke starting me unke ware me thoda bolna rehta hai. Aap iske liye Advertisecast ka use kar sakte hai.
Aap HMH Podcast ko bhi jarur sune, agar aapko Internet or Blogging ki jankari lena hai to.
11. Sell ebook
Aap apne Blog Topic se related eBook bhi bana sakte hai, jisko aap baad me sell kar sakte hai.
Jese aap apne Blog par sari information share to karte hai, par fir bhi logo ko chahiye rehta hai ki unko sabhi jankari systematic or ek hi jagah mile to wo aap ebook me kar sakte hai.
eBook ko banane me sirf aapki ek war mehnat lagegi, jiske baad aap uski kitni bhi copy sell kar sakte hai.. ye Blog se extra income karne ka ek badiya tarika hai.
ebook online sell karke payment lene ke liye aap Instamojo ka use kar sakte hai.. Instamojo kya hai uski jankari yaha hai.
12. Sell Advertising Space
Aap apni website par Kuch Space Ads ke liye bhi sell kar sakte hai, jisme agar koi cahe to aapko paise dekar wo waha direct apne ads dikha sake.
Aap Advertising Space ke liye waha blank Space add kar sakte hai, or waha mention kar sakte hai “Advertise here” ya fir iske liye aap “BuySellAds” ka bhi use kar sakte hai.
13. Monetized Widgets use kare
Aap apne blog me aese widget bhi use kar sakte hai, jispar agar user click karke kuch kharide to uska aapko commission mile.
Jese aap Amazon Associates hai to aap waha se Widget bana kar apni website par add kar sakte hai, uske baad jo bhi user aapki website par aayegi unko unke interest ke product waha show hoge, jispar wo click karke usko amazon se kharid payege, jiska aapko commission milega.
Also Read: Amazon Affiliate se jyada paise kaise kamaye.
14. Guest Post Likhne ka Charge kar sakte hai
Agar aap kisi Blog par Guest Post kar rahe hai to aap uske liye unse charge bhi kar sakte hai.
par aapko yaha iss baat ka dhyan rakhna hoga, koi bhi agar aapko pay kar rahe hai to wo sirf jab karege jab unko usse jada fayda milne ki ummid ho.
Jese agar aapka likhne ka tarika bahut badiya hai or aapki Uss field me achi image bani hui hai to website owner aapko paise dene ke liye ready ho sakta hai.
15. Quora se Paise kamaye
Quora kya hai or Quora se Paise kaise kamaye uski detail me jankari aapko HMH par hi mil jayegi.
Quora ek Question Answer website hai, jispar aap apne Sawal Jawab karke paise kama sakte hai.. wese to Quora se paise kamane ke liye aapko Blog ki jarurat nahi hai, par agar aapka Blog hai to aap Quora se Quality Traffic apne Blog par la sakte hai.
16. Blog par Guest Posts Publish karne ka Charge kare
Agar aapke Blog ki Authority achi hai or aapka Blog popular hai to aap Apne Blog par Guest Post Publish karne ke Paise le sakte hai.
Guest Post karne ke kya fayde hai wo har Blogger janta hai, to aese me agar wo field me new hai ya jo Popular Blog hai unki audience tak pahuchna chahta hai to Guest Post sabse best tarika hai.
Jese agar HMH ki baat kare, to hum bhi Guest Post Allow karte hai, jo wese to Free hai par agar koi company ya Product se related Guest Post karte hai to hum unke liye charge karte hai.
Agar aap HMH par Guest Post karna chahte hai to aap yaha submit kar sakte hai.
17. Podcast Guest ke liye Charge kare
Agar aapki Podcast hai to aap waha Kisi ko invite karne ke liye ya unko apni Podcast me add karne ke liye charge bhi kar sakte hai.
Jese bahut si company hai to apna promotion ke liye Podcast me aana chahte hai.. aap Podcast par interview ke liye bhi charge kar sakte hai.
18. Pop-up advertising
Aap apni website par Popup Ads bhi laga sakte hai, jispar user ka click hone ke chance jada rehte hai.
Wese Popup ads laga jada sahi to nahi hai, par aap Popup Ads ko iss tarah laga sakte hai ki jaise hi user website se jane lage unko wo ad show ho.. or yaha ek baat ka dhyan rakhe aapko koi bhi script wale popup ads use nahi karna hai warna wo ban ho sakte hai.
19. Offer Sidebar links
Aap apni website ke sidebar me Link add karne ke paise le sakte hai.. jisme aapko simple link add karni hoti hai.
koi bhi Popular ya reputed website hote hai us par log apna link add karne ke liye paise dene me bilkul nahi hichkichate.
Aap jo bhi link add kare uska time fix rakhe ki itne paise me link ko itne din ya time ke liye add karke rakha jayega..
20. Buy and Sell Domains
Domain kya hai ye to aap jante hi hoge, Ek badiya Domain ko Buy karna har koi chahta hai, to agar aapke pass koi badiya domani hai jo aapne pehle se register karke rakha hua hai to aap usko jada paise me sell karke ache khase paise kama sakte hai.
Badiya Domain Kaise select kare, uske baare me detail post humne share kiya hua hai jisme important point share kiye hai aap usko jarur read kare, koi bhi domain ko register karne se pehle.
Domain ko Sell kaise kare or kaise usko auction me add kare uski detail me jankari aapko yaha mil jayegi.
Aap Old Expire Domain ko kharid kar bhi ache khase paise kama sakte hai.
21. Content Writing se Paise kamaye
Agar aap ko Likhna pasand hai or aap badhiya se likh sakte hai to aap kisi Blog ya website keliye article likh kar bhi paise kama sakte hai.
Online Article likh kar paise kaise kamaye uski jankari yaha hai.. or agar aapko Content Writer banna hai or Content Writing karni hai to uski detail jankari bhi aapko HMH par mil jayegi.
22. Website Tester bane
Aapko Website design or Programing ka knowlage hai to aap dusro ki website ko improve karne me bhi help kar sakte hai.
Website Design me log kya kya mistake karte hai aap unki simple list bana lijiye, fir jab bhi kisi ki website check kare to unn points ko check kar lijiye or agar kahi kuch kami ho to unko bata dijiye.
Aap Website Testing ke liye UserFeel website ka bhi use kar sakte hai, jisme simple hame website par visit karke apna feedback dena hota hai.
23. Proofreading Kare
Koi bhi Jab Post likhte hai to usme galtiya to rehti hi hai, to aese me bahut si website hoti hai jinke pass Proofreading karne ka time nahi hota to wo kisi or se proofreading karane ke paise dene ke liye bhi ready rehte hai.
Proofreading kya hai or ye Kyu jaruri hai uske baare me hum pehle hi jaan chuke hai, or agar Google me apni post ko rank karna hai or user par apna ache impresion jamana hai to Post ko Publish karne se pehle uski Proofreading karna hi cahiye.
Proofreading karne ke liye Grammarly ka jarur use kare, Grammarly kya hai or kaise use kare uski detail yaha hai.
24. Advertise Through Images
Jis tarah apne highways ke side me bade bade hoarding dekhe hoge advertisement ke, tikh ussi trha aap apni website par bhi Image ads laga sakte hai.
Iss trha ka ad koi bhi aapko sirf jab dege jab aapki website par bahut jada traffic aata ho. Kyon ki iss tarah ke ad ka sirf ek maqsad hota hai ki user ke mind me apni brand ki image banana sake.
koi bhi online shopping karta hai to wo chahta hai ki kaise wo apne paise bachaye, uske liye log Online coupons search karte hi hai.. to aap aise Offer wale coupons ko share kar sakte hai or waha apni affiliate link ke through paise kama sakte hai.
Online Shopping karke paise kama sakte hai, agar aapko nahi pata kaise to aap yaha jarur dekhe.
26. Advertise through emails
Agar aapka Blog hai or aapki achi email list hai to aap apne email par bhi Paid Promotion karke paise kama sakte hai.
Website me Email Subscribe Box kaise add kare, or uski madad se apni Email List kaise grow kare uski detail me jankari aapko HMH par mil jayegi.
27. Run Sponsored Giveaways
Giveaways kisko pasand nahi hote, sabhi chahte hai kuch unko free me mil jaye.. or iss ka use karke Brands Free Giveaways karti hai jisse unke ware me jada logo ko pata chale..
Agar aapke blog ki audience hai to aap dusri company ke liye bhi Giveaways kar sakte hai or unse charge kar sakte hai.
28. Website user ko Instagram par connect kare
Aap apni website me Social Follow Widget add karke jo user hai unko apne social account par connect karne ke liye keh sakte hai..
Iss trha agar aapke Instagram par ache khase follower ho gaye to aap website ke sath sath Instagram se Paise kama sakte hai.
29. Paid Promotions on Facebook
Aapke jo website ka Fan Page hai agar us par achi imgangment hai to aap kisi or ke liye FB Paid Promotion bhi kar sakte hai, jiska aap unse charge kar sakte hai.
Facebook se paise kaise kamaye uski detail me jankari aapko yaha milegi.
30. Paid Closed Facebook Group banaye
Aapke paas koi talent hai ya kuch aisa hai jisko aap logo ko sikha sakte hai to aap facebook par apna Private Group bana kar bhi paise kama sakte hai.
Aapko simple apna Private Group banana hai, or uske ware me apni site par batana hai.. jiske baad agar koi usko join karna chahte hai to unko uski fees deni hogi aap aesa set kar sakte hai.
Dhiyan rakhe ki koi bhi agar aapko paise sirf jab dege jab unko uske badle me utni value mile.. aesa nahi koi fokat ke group ko join karne ke liye aapko paise dege.
31. Paid Newsletter banaye
Newsletter kya hai ye to aap jante ho hoge, or aap apne user ko apni new Post ki jankari Newsletter ke through dete bhi hoge..
Aap iske alawa apna Paid Newsletter bhi start kar sakte hai, jisko agar koi join karna chahta hai to unko uski fees deni hogi, jisme aap kuch aesi post ya useful information time to time share kare jisse user ko fayda ho.
32. Promote Brands
Agar aapke Blog ki Quality achi hai to Brand khud wa khud aapke blog ki taraf khichi chali aayegi, apne promotion ke liye.
Aap achi Brands se Long term ya Short jesa bhi contract karke uss brand ko promote karke bhi paise kama sakte hai.
33. Dropshipping karke Paise kamaye
Dropshipping karke paise kamane ka tarika bhi ek popular tarika hai, jisme hame sirf orders lane ki jarurat hoti hai, or ham acha khasa paise kama sakte hai.
Dropshipping me AliExpress, Bangood jesi website jada use hoti hai, kyu ki waha bahut se product bahut kam price me mil jate hai, jisko ham apni website bana kar jada paise me sell kar sakte hai..
DropShipping kya hai or Kaise ye Kaam karti hai or kis tarah se hum isme paise kama sakte hai uski detail jankari agar aapko chahiye to aap comment karke muje bataye, me aapke liye ek Detail Step by Step post publish jarur karuga.
34. Referral karke Paise kamaye
Bahut si website ya Mobile Apps apne Promotion karne ke liye referral Program chalate hai, jisme agar koi hamari link se App ya website par account banata hai to uska hame commission milta hai..
Aap aese Product or service ko apne Blog me share karke jada se jada logo ko refer kar sakte hai or acha khasa paisa kama sakte hai.
Ye Kuch Ache Referral Program jo abhi chal rahe hai.
mene mCent jo ki ek Mobile Recharge app tha sirf refer karke 85k+ rupee kamaye the sirf ek post publish karke.. abhi wo band ho chuka hai. par aap isse andaja laga sakte hai ki kitna potential hai iss trha refer n earn me bhi.
35. Event Blogging
Jab bhi koi bada event aata hai to uss time bahut log usse related search karte hai ye to aap jante hi hoge.. to ussi ko aap target karke apna blog bana sakte jisme event ke time aapke blog par bahut traffic aayega or aap kam time me hi ache khase paise kama sakte hai.
Event blogging karne ke liye aapko inn kuch bato ka dhyan rakhna hoga:
- Event ke 2-3 mahine pehle se Blog start karna hoga.
- High Quality Backlink banani hogi rank karne ke liye.
- Keyword research karke sabhi Keywords par Post Publish karni hogi.
- Jis bhi event ko target kar rahe hai us par kitna compitution hai wo bhi jarur check karle, warna aesa na ho aapka blog rank hi naa kar paye.
Event Blog kuch iss tarah ke Keyword target karne hote hai: Happy New Year 2025, Happy Holi Shayari, Happy Diwali Image, Valentine Day Message, 15 August Status, 26 January etc.
36. Event Script Blog banaye
Iss tha ka Blog ya website aapne kabhi na kabhi jarur dekha hoga, jisme koi ne aapko link message kiya hoga or aapne jab usko open kiya to waha par astisbaji ke sath aapko wish kiya hoga..
Iss tarha ki website banana bahut hi aasan hai, simple ek script ki madad se hum wo website bana sakte hai.. or iss tarah ki website viral bahut aasani se ho jati hai.. kyu ki sab apne naam ke sath link bana kar sabko share karte hai.
Script Blog kaise banaye uski jankari aapko yaha milegi.. or aap yaha dekh sakte hai New Year Script Blog kaise bana kar paise kama sakte hai.
Event Script website with Name Code aapko yaha mil jayega.
37. Sponsored Tweets
Jitne bhi Social Influencer hote hai, wo apne account par kuch bhi post karne ka acha khasa paisa charge karta hai. to agar aapka Blog ki achi reputation hai or badiya follower hai to aap bhi Sponsor Tweet ke through paise kama sakte hai.
Sponsor Tweet wise to direct bhi aapko mil sakti hai, ya aap SponsoredTweets website ka bhi use kar sakte hai.
38. Social Media Moderator bane
Agar aapko Social Media ka acha knowledge hai to aap jo Popular Account or Page hai unko manage karne ka kaam bhi kar sakte hai.
Jesse jo Hero-Heroine ya Neta log hote hai unke paas itna time nahi hota ki wo pura time apne social account ko manage kar sake.. to unko jarurat padti hai Social Media Moderator ki.
39. Paid Business Directory Banaye
koi bhi user agar kuch janna chahta hai to wo Internet par hi search karta hai.. aese me jitne bhi offline business hai uski jankari online milna utna aasan nahi hota..
Aap aise business ki Information ki ek website bana sakte hai, jisme agar aap kisi business ki detail add kare to aap unse uska charge kar sakte hai.
Aap Business Directory banane ke liye Plugin ka bhi use kar sakte hai.
40. Paid Webinar
Aap Webinar bhi host kar sake hai, jisme aap kisi Topic par Live video ki help se jankari share kar sakte hai.
Agar aap kisi Topic me expert hai or aapko achi jankari hai to aap apni wo jankari user se share karne ke paise charge kar sakte hai. uske baad simple aap kisi fix time par apni webinar ko host kar sakte hai.
Webinar aap Facebook, Youtube ya kisi or Platform par bhi host kar sakte hai.
41. Promote SEO Tools
Agar aapka blog hai to aap usko rank karane ke liye SEO Tools ka use to karte hi hoge. Aese me jo Paid Tools hai aap unki affiliate link lekar apne blog me share kar sakte hai, jisse agar koi or uss tool ko use kare to usse aapki earning ho.
Paid SEO Tools ko Free me kaise use kare uski Trick aapko yaha milegi.
42. Full Site Audit
Agar aapko website ka knowledge hai to aap Website Full Audit ki service bhi de sakte hai, jisme website ki har ek choti choti error ko dekh kar thik kiya jata hai.
ye kuch Point hai jo hame website Audit me karna hota hai:
- Website ka Design acha ho.
- Mobile me website ache se open hoti ho.
- Menu or navigation sahi ho.
- Website ki loading speed fast ho.
- Broken Links website me naa ho.
- user navigation acha ho.
- Important Plugin Install ho.
Agar aapko ye sab karna hai or agar aapko nahi bhi aata hai to sirf ek mahine me aap khud se sikh sakte hai.. or fir apni service aap de sakte hai.. kyon ki aise bahut log hai jinko inn sabka knowledge nahi hai.
43. SEO Service
Agar aap apni website ko Google me rank kara pate hai, matlab aapko SEO ki sahi jankari hai.. to aap dusri website ka SEO karke unko Google me rank karane me help kar sakte hai or uske liye aap acha khasa paisa charge kar sakte hai.
Agar aapki website Google me rank nahi hoti uske karan pata karna hai, fir aapko apni Blogging galti ko sudharna hai, uske liye ye sab sikhna hai.
- SEO kya hai?
- On Page SEO kya hai.
- Off Page SEO kaise karte hai.
- Backlink kya hai or kaise kaam karti hai.
- Quality Backlink kaise banate hai.
44. Small Business Website Banaye
Aaj ke time me aese bahut se chote chote business hai jo abhi Offline hi hai, or unki koi website nahi hai to aap aise business ko target karke unke liye website bana kar Offline Business ko Online karne me help kar sakte hai or uske liye aap apne hisab se charge kar sakte hai.
Iske liye aap Google ka Digital Marketing ke Free course bhi kar sakte hai, jisme aapko certificate bhi milega.
Small website banana bahut aasan hai, aap WordPress Install karke usme simple template upload karke detail update kar dijiye.. website teyar.
45. Start Consultancy Service
Aap apni Consultancy service start kar sakte hai, jisme aap logo ko apna time dege or wo aap se jo bhi puchna ya janna chahiye aap unko batayenge jiska aap charge karenge.
Jis trha hum Doctor ke pass jate hai to unki consulting fees hoti hai, tikh ussi trha hum apni service de sakte hai jisme hum expert ho chuke hai.
Isme aap Hourly apna charge rakh sakte hai, agar aapko acha khasa experience hai to aap iss ek tarike se hi lakho rupee kama sakte hai.
46. Create Portfolio Website for Other
Aaj ke iss Internet yog me Website ka hona bahut hi important hai ab bhale koi business ho ya fir kisi ko Job karni ho.
Pehle ka jamana gaya jisme sab apna Portfolio ek file me banate the, or jab bhi kahi Job Interview ke liye jate to pehle wo file unko de dete..
Simple one Page ki Portfolio website bana sakte hai, jisme jo bhi Qualification hai, kya interest hai, Kya sapne hai ya kya achievement or experience hai wo sab share kar sakte hai.
ab agar kahi Job ke liye gaye or unko apne Portfolio ke liye File ki jagha webiste ka link diya to automatic hi ek acha first impression ban jayega, jisse Job milne ke chance double ho jayege.
47. Manage other Websites
Website ko banana to aasan hai par usko manage karke rakhna thoda time consuming hai.. to aese me agar kisi ka koi business hai to wo apne main kaam ko chor kar website ko manage nahi kar sakte.. to ye kaam aap unke liye bahut hi kam price me kar sakte hai.
48. Khud ka App banaye
Agar aapko thoda bahut bhi coding ka knowledge hai to aap khud ka Mobile App bhi bana sakte hai.
Aap apni website ka Mobile App bhi bana sakte hai, jisse aap ki earning ke option bad jayenge.
49. Sell Physical Products
Jis tarah eBook sell karte hai, aap apne Physical Product bhi sell kar sakte hai. Jese aapne jo Book likhi hai aap chahe ho usko print kara kar bhi sell kar sakte hai.
Kya Product sell karna hai ye depend karta hai ki aapki catogery kya hai, par ye bhi ek acha option hai Blogging se paise kamane ka..
50. Make Money with Press Trips
Agar aapka travel Blog hai ya jisme aap Events, Hotel, Restaurant or jagha ke ware me share karte hai to aap Press Trips se bhi paise kama sakte hai.
Press Trip ke ware me wese bahut logo ko pata nahi hota hai, jisme jo Blogger hai uska Travel or rehne ka kharcha company uthati hai or uske badle me wass apna experience blog par share karna hota hai.
Iske liye Hotel, Travel company bagera acha khasa paise dene ke liye bhi ready rehte hai agar aapka blog thoda bhi reputated hai.
51. Paid Product Placements in Video
Aapka Blog hai to aap ussi ki youtube channel bhi bana sakte hai or aap Youtube se Paise kaise kamate hai ye to aap jante ho hoge..
Aap Apne Video me Sponsor Product ko promote karke bhi paise kama sakte hai.
52. Promote Offline Event
koi bhi Offline event ho raha ho, ab wo aap kara rahe ho ya koi or.. aap usko apne Blog par share karke online promote kar sakte hai or usse paise kama sakte hai.
53. Host Blogging Event
Aap Blogging karte hai to kabhi na kabhi Blogging Event, Meetup me jarur gaye hoge, aap bhi aise Event apne area me host kar sakte hai.. jisse aapki dusre Bloggers se mulakat to hogi hi sath me aap kuch paise bhi kama payege.
54. Promote Hosting
Website banane ke liye Badiya Hosting kitni jaruri hai wo to aapko pata hoga, to aese me agar koi New user apni website banana chahte hai to aap unko achi hosting par refer kar sakte hai or uske badle me commission bhi kama sakte hai jiska koi extra charge user par nahi lagta hai.
Jese me kuch badiya Hosting apne Dosto ko refer karta hu, jinko mene khud use kiya hai.
55. Theme Promote kare
Aapne agar apni website ko ache se design kiya hua hai to bahut log aapse puchte hi hoge, ki aapne konsi theme use ki hai ya kaise isko design kiya..
To aap unki help karne ke liye apni Affiliate link de sakte hai, jisse unka koi extra charge to nahi lagega.. or agar wo bhi uss theme ko kharidte hai to aapko uska extra commission bhi mil jayega.
Hindi Me Help par pehle Newspaper theme thi jo ki Sabse popular theme hai, or abhi Generatepress theme hai, jo ki bahut fast load hoti hai.. agar aapko lena hai to aap link par click karke kharid sakte hai.
56. Sell Your Customized Blog Theme
Agar aapko Coding jese HTML, PHP, CSS or Javascript aata hai to aap khud bhi apne se Blog Theme bana kar usko sell kar sakte hai.
Aap theme ko direct apne blog par bhi sell kar sakte hai, ya aap Theme ke marketPlace jese Themeforest par bhi sell karke ache khase paise kama sakte hai.
57. Sell Stock Photography
Agar aap ache Photo Click kar sakte hai to aap unko sell karke bhi paise kama sakte hai.
Online Photo kaise sell kare uski jankari aapko aasani se Internet par mil jayegi.. Aap Getty Images jesi website par apni Image ko aasani se sell kar sakte hai.
58. Design Graphics Kare
Agar aap One Men Army (Blogger) hai to aapne apne Blog ke sabhi kaam kiya hoga, to aese me aapne Apni website ka Logo, post Thumbnail, Infographic bhi banaye hi hoge..
Aap apne issi talent ki madad se aasani se kuch extra paise kama sakte hai, dusre ke liye Graphic Designing karke.
See: PhotoShop Free Full Tutorial Video in Hindi
59. Course Banaye
Aap apni Field me Expert hai or aap Logo ko sikha sakte hai to aap uske liye Video record karke apna Course bana sakte hai, or uss course ko sell karke aap Long term tak paise kama sakte hai.
Aap apne Course bana kar udemy par bhi sell kar sakte hai.
60. Contribute to Canva
Agar aap ache graphic design kar sakte hai to aap Canva par bhi apna design submit karke paise kama sakte hai.
Simple aap apna Canva Contributor Account bana kar apna design submit kar sakte hai. fir jab bhi koi aapka design use karenge aapko uska paisa milega.
61. Ask for donations and Support via Patreon
Agar aapke kuch loyal follower hai ya aap jo kaam karte hai usme log aapko support karte hai to aap apna patreon account bana sakte hai, jisme log aapko Paise se help kar sakte hai.
Jitne bhi Social Worker hote hai, ya koi unic kaam karte hai wo sabhi support ke liye Patreon par apna account banate hi hai.
Ya fir aap Direct Paypal Donate Button bhi apne Blog me add kar sakte hai.
62. WordPress Installation service
Wese to WordPress Install karke apna Blog bana utha hi aasan hai jitna Facebook par account banana, par fir bhi agar kisi ko thoda bhi technical knowledge nahi hai to wo nahi kar sakte.. to ye kaam aap paise lekar kar sakte hai.
Simple aap Samne wale se Hosting or Domain ka access lekar uske WordPress Install karenge, fir WordPress Install karne ke baad ki important setting karke jitni jaruri Plugin or Theme Install karke unko de dege.
Agar Aapko WordPress Installation Karana hai to aap HindiMeHelp 100% Free WordPress Installation service ka fayda utha sakte hai, jisme aapko $200+ ka fayda hoga.
63. Build and sell your own WordPress plugin
Agar aapko Coding ki jankari hai to aap WordPress plugin bhi bana sakte hai, or agar kuch ache feature aapki plugin deti hai to aap uska paid version bhi rakh sakte hai.
64. Sell Physical Book
Aapne Apni koi EBook likhi hai to aap usko Print kara kar uski hard Copy bhi sell kar sakte hai.
Online Book Sell karne ke liye aap apni khud ki website me payment option add kar sakte hai, ya aap Amazon or Flipkart par bhi Seller account bana kar Books sell kar sakte hai.
65. Migrate Website Service with SEO
Blog ko ek Platform se ya ek Hosting se Dusri Hosting par lejana thoda Technical ho jata hai, or agar kisi ko uski sahi jankari nahi hai to unki website Down bhi ho sakti hai ya aesa bhi ho sakta hai achanak Google Me Rank Down ho jaye.
Jese Blogger to WordPress Blog ko sift karne par hame usko puri tarah se redirect karna hota hai, warna purani Backlink or Post par 404 error aata hai.
66. Website Flipping karke Paise kamaye
Agar aapko Website ko sahi se analyse karna aata hai or aap website ki sahi Value pata kar sakte hai, to aap Dusro se unki website ko kharid kar usko jada rupee me sell karke bhi paise kama sakte hai.
Yaha aapko lekin website or baki chijo ka sahi knowledge hona chahiye warna aap kisi galat deal me bhi fass sakte hai.
Website Buy or Sell karne ke liye aap iske marketplace Flippa Website ka use kar sakte hai.
67. Khud ki Website Sell kare
Agar aapne koi aesi Website banai hai jisko aap continue manage nahi kar sakte, ya aap ab kisi or site par apna focus karna chahte hai to aap apni website ko sell karke bhi paise kama sakte hai.
Website ko sell karne ke liye aap Flippa or Empire Flippers jesi website ka use kar sakte hai.
68. Dusro ke liye Blog banaye
Purane Time me jinko likhne ka shok hota tha wo Dairy me likhte the, par ab trend change ho chuka hai, ab Log Blog par likhte hai.
Agar koi aisa hai jinko likhne ka to sok hai par Blog kaise banaye nahi pata to aap unke ye kaam paise lekar kar sakte hai.
69. Create Members Area in Blog
Aap Apne Blog me Forum or Support section bana sakte hai, jisko agar koi join karna chahe to uski fees pay karni pade.
Jese aapne dekha hoga, jab bhi ham koi Theme ya Plugin kharidte hai to hame unke Premium Support Forum ka access milta hai, jaha agar hame koi pareshani aati hai to hum post karke puch sakte hai.. iss tarah aap apne blog me bhi bana sakte hai.
Agar aapka koi Office hai jaha se aap Blogging karte hai or agar waha or bhi logo ko kaam karne ke liye space hai to aap apne uss space ko dusre Blogger se share kar sakte hai.
Jese badi badi city me to aesa hota hi hai, ki agar hame work space chahiye to bahut si company hai jo ye provide karti hai..
Blogging Ghar se karne se jada Office se karna hai, kyu ki waha hame Working mahol milta hai to hum apna kaam thik se kar pate hai.. isliye me aapko suggest karunga aap Blogging Office se kare.
or apne Office ka jo kharcha hai wo kam karne ke liye aap Apna Office space dusre Blogger se share kar sakte hai.
71. Start Blogging Class/Tuition
Agar aapko Blogging ka 2-3 saal ka experience hai to jo Log Blogging sikhna chahte hai unko blogging ki tution or class dekar sikha sakte hai.. aesa karke aap apni extra income kar sakte hai.
Agar aapke Area me Blogging or Internet ke ware me jada log nahi jante to ye ek acha moka hai logo ko Blogging ke ware me sikhane ka or usse extra income karne ka.
72. Private Pro Service
Jada tar hum apne Blog par sabhi chije free me share karte hai, jisse logo ki help ho sake.. par fir bhi kuch log aise hote hai jinko hamare Blog read karke nahi direct hamse help chahiye hoti hai.
Aap apni Private Pro Service start kar sakte hai, jisme aap Expert hai.. or jo bhi aapki Pro Service ko join karte hai aap unko direct support or Tools provide karke help kar sakte hai.
73. Sell Merchandise
Aap apne Brand or Slogan ke Merchandise sell karke bhi paise kama sakte hai, jisme aap T-shirt, Mug, Pillow, Sticker bana sakte hai.
Agar Aapki Brand Value achi hai, to log aapki Brand ka logo wale Item pehna pasand karenge.. ussi ke sath aap Agar Quality par dhyan diya to aap iss tarah se bhi ache khase paise kama sakte hai.
Merchandise Store banane ke liye bahut se platform aa gaye hai, jese Zazzle and CafePress jinka aap use kar sakte hai.
74. Blogging Paid Task
Blogging me sirf Post likhna hi ek kaam nahi hota, bahut se kaam hote hai jo hame karne hote hai.. to aese me agar koi technical kaam hai ya kuch aisa hai jo karna aasan nahi hai to aap usko paise lekar kar sakte hai.
Jese:
- Website ki Error ko thik karna.
- Website ki security badana.
- Website ki Speed Improve karna, jiske liye aap WP Rocket ka use kar sakte hai.
- Custom Code or design karna..
- etc
75. Monetize RSS feed with ads
Aap apne RSS feed ko bhi monetize kar sakte hai, haa ye possible hai.
Aap apne RSS feed me Banner ad laga sakte hai, jiske baad jinhone bhi aapki feed subscribe ki hogi unko wo ad bhi dikhega.
Jab bhi koi festival aata hai, ya koi Special occasion hoti hai, sabhi apni sell badane ke liye offer nikalte hai.
Aapka Blog jis bhi category par hai, usse related jo bhi offers aaye wo aap apne blog par share kare, jisse aapke user ko to fayda hoga hi, sath me aap bhi acha khasa paisa kama lege.
77. WooCommerce se Paise kamaye
WordPress me hum WooCommerce plugin ki madad se apni khud ki online store bana sakte hai or saman ko bech sakte hai.. to aap apni website ka ek section ya puri website ki ispar bana kar paise kama sakte hai.
aap chahe to Apni Affiliate site bhi isse bana sakte hai, jisme sabhi product aap main site jese amazon, flipkart se fetch kar sakte hai.
78. EMail Marketing
Aapne EMail subscriber ko specific time par EMails schedule karke unko apne Paid Product or service sell kar sakte hai.
EMail Marketing kya hai ye to aap jante ho hoge, iske liye hum kisi bhi ache email marketing tool ka use kar sakte hai. jese aweber or ConvertKit
79. Speaking Services
Blogging or Internet se related aaye din Events to hote rehte hi hai, to agar aap ache se Public Speaking kar sakte hai or kisi topic par logo ko jankari de sakte hai to aap event me apna lecture dene ke liye Charge bhi kar sakte hai.
80. Create a “buy and sell” section
bahut se aese product ya service hoti hai jisko log lena ya bechna chahte hai to agar aapka jo blog se usse related aese kuch chije hai to aap apne blog me Buy n Sell page bhi bana sakte hai.. jisse log waha se direct kharid sake ya sell kar sake.
81. Sponsored Survey
bahut se business or companys hai jo user ka feedback chahte ki, taki wo apne product ko uske according improve kar sake.
Aapka Blog agar aese kisi topic par hai jisse jo user hai wo kisi business ke liye ache ho to aap unke liye Paid survey chala sakte hai apni website par.
82. Technical SEO kare
SEO Basics sabhi ko pata hote hai to wo apni website par jo bhi basic chije hai SEO ki wo to kar lete hai.. par kuch Technical chije bhi SEO me aati hai jo hamare ranking ko effect karti hai.
Aap agar Technical SEO kar sakte hai to aap iski service bhi start kar sakte hai, jisme aapko website ki wo sab error ko thik karna hota hai jiske karan website ki ranking par asar padta hai.
Konsi Link ko Do Follow kare, konsi ko no follow, ya kis link ko Sponsor tag add kare, iske aalawa konse page ko index karwaye konse ko nahi. Duplicate Page ko search se kaise remove kare.. jese bahut se technical terms hai jo aap sahi kar sakte hai.
83. Publish Gated Content
Agar aapka blog ek established blog hai, jispar pehle se Quality content uplabd hai, or aapke blog par userbase bhi acha hai to aap Paid content bhi publish kar sakte hai.
Jese hum kuch bhi Publish karte hai, usko koi bhi free me access kar sakte hai, par aap agar koi Important Content hai to usko locked bhi kar sakte hai, jisko access karne ke liye user ko pay karna pade.
Aap WordPress par Membership & Content Restriction plugin ka use karke badi aasani se aisa kar sakte hai.
84. Create Exit Pop-up
Jab bhi koi visitor hamari website par aata hai or jo bhi usko chahiye ya jo uska kaam ho jata hai uske baad jese hi wo hamari website ko close karne jaye, aap Exit Pop-up ki help se apni earning bada sakte hai.
Aap koi Free ya Discount Offer de sakte hai, ya aap EMail Subscribe Box de sakte hai.. jisse aap uss user ko capture kar sake, or unse bhi paise kama sake.
85. Sell Products or Services with Chatbots
Agar aapka busy schedule rehte hai, or aapke paas itna time nahi rehta ki jitne bhi question aapke user aap se puche aap unka jaldi se jawab de paye to aap apni website me chatbot ko add kar sakte hai.
Aap Chatbot me set kar sakte hai ki user kya puche to usko kis trha ka reply mile.. aese karke aap apne user ko or jada ache se samaj payenge or apne Product or service ko sell kar payenge.
Market me bahut se chatbots hai jese Landbot.io jisko aap website me add kar sakte hai.
86. Promote Your Offline Services
Agar aapka koi Offline business hai, to aap usko Blog ki madad se online Promote kar sakte hai, issi ke sath aap Local SEO ki madad se apne website ko apne area me badi aasani se rank karke apne business ko bada sakte hai.
Simple jo bhi aapki Service hai aap unse related article apne blog par publish kar sakte hai, or Online Traffic ko apne customer me badal sakte hai.
87. Resell Service and Product
Internet par aese bahut se Product or service hai, jo bhale hamare nahi hai, par ham unko saste me kharid kar mehge me sell karke paise kama sakte hai.
Iss tarah ke Product or Program se user or jo unke owner hai dono ko fayda mila hai.
jese aap Resell Hosting kharid kar chote chote plan bana kar hosting sell kar sakte hai.
88. Send Sponsored Emails
Agar aapki email List achi hai or active subscriber hai email par aap Sponsor EMail se bhi paise kama sakte hai.
Agar aapne abhi tak apni email list banana start nahi ki hai to abhi kar dijiye.. kyu ki yahi sabse best tarika hai apne user tak direct pahuchne ka.
89. Target Trending Topic
Ye Blogging me paise kamane ka aisa tarika hai, jisme sirf aapko apni field me kya trend chal raha hai sirf usi par nazar rakhna hai. or uske liye bhi jada mehnat karne ki jarurat nahi, aap Google Trends par ye aasani se dekh sakte hai ki jada kya search kar rahe hai.
Wass aapko karna ye hai, jitne bhi trending topic hai jo log janna chahte hai wo aapko apne blog par jald se jald dalna hai, jis tarah se log usko janna chahte hai waise. agar aapki Blog rank hogaya to itna traffic aayega, jitna aap soch bhi nahi sakte.
90. Blog ko Business ki Trha le
Aapka jo Blog hai agar aap usko lekar series hai or aap Full Time Blogging karna chahte hai to aap apne Blog ko sirf blog nahi ek business ki trha dekhe..
Agar aapka Blog acha hai or agar usme potential hai ki wo or upar ja sakta hai, to aapko badi aasani se blog ke liye investor bhi mil jayenge.
91. Sponsor Form
Aap apni website me Sponsor Form add kar sakte hai, jisne user agar koi data submit kare to wo direct unke pass jaye jisne wo Form add kiya hai, jiske badle me aap unse charge kar sakte hai.
Normally aise sponsor Form ke liye sirf un blog par offer kiya jata hai jisper acha khasa traffic aa raha ho.
92. Cross-Promotion
Agar Blog Stablish hai to Aap Dusre Blog ya company se Cross Promotion bhi kar sakte hai, jisme aap unko promote karege uske badle me wo aapko Promote karenge.
Iss tarah aap Cross Promotion karke Apne Blog or Business ko Grow karke Paise kama sakte hai.
93. Tools ko Offer me le
Ye Point thoda aapko ajib lag sakta hai, kyu ki yaha me aapko direct paise kamane ka nahi, paise kharch karne ka keh raha hu.. Kyu ki ye to aapko pata hi hoga, koi bhi business ho hame usse paise kamane ke liye usme investment to karna padta hi hai.. tikh issi trha aap apni Blogging me bhi investment kare.
Blogging me aapko yaha yaha Investment karna chahiye:
- Badiya Hosting: Ek achi website ki starting uski hosting se hoti hai, agar achi hosting hogi to website ache se load hogi or fast chalegi. (jaise me abhi WPX Hosting use karta hu.)
- Badiya Theme: Website ka design acha hona bhi jaruri hai, uske liye aesi theme jo badiya design or light wait ho.. jese abhi HMH par GeneratePress Premium Theme hai.
- SEO Tools: Website ko rank karne ke liye or Keyword research karne ke liye SEO Tools me bhi paise lagana jaruri hai.
- Useful Plugins: Useful Plugins jese WP Rocket, Imagify etc me bhi paise invest karna galat nahi hai, agar ek badiya website chahiye to.
- Paid Course and Content: Agar aapko or jada paise kamana hai to uske liye aapko apna knowledge to badana hi padega, uske liye aap free me to sikhte hi hai, par agar kahi ek hi jagah pura knowledge paid bhi mil raha hai to aapko invest kar dena chahiye, kyu ki jitna paisa aap lagayenge usse jyada Paisa aap uski madad se kama payege.
94. Link Ads lagaye
Blog me hum jab koi Post likhte hai, to usme aese Keywords to aate hi hai jo kisi company ya brand se relevant hote hai, to aese me agar unn words par automatic link add ho jaye or agar koi uspar click kare to hamari earning ho to kaisa rahega..
Aap Infolink ki madad se apne Blog me Link ads laga sakte hai.
InfoLink kya hai or Kaise Links Ad Blog me lagate hai uski puri jankari aapko HMH par hi mil jayegi.
95. GiveAWay kare
Aap apne Blog or website ki growth karne ke liye or apni website ko jada se jada logo tak pahuchane ke liye Giveaway bhi kar sakte hai.
Giveaway me aap kuch aese task rakh sate hai jisme user ko kuch purches karna pade, ab wo aapka product ho sakta hai ya aapki affiliate link se koi dusra product jiske baad aap unko kuch free stuffs provide kare.
Giveaway karne ke liye Internet par bahut se tools or website hai jese gleam.io jinki help se aap apna giveaway host kar sakte hai.
96. Hire People for Autopilot Work
Aapko agar Blogging ka experience ho gaya hai or aapko pata hai Blogging me success hona hai to kya karna hota hai, jese regular Post Publish karna..
To aap New Logo ko hire bhi kar sakte hai, jisme wo aapke liye aapka diya kaam kare or aap uske badle me unko pay kare.
Iss tarah aap apni team bana sakte hai, or fir aapko sirf apni team ko manage karna hai, aapka blog ka sara kaam automatic hoga, bhale aap kisi din bilkul kam na kar paye, fir bhi aapke blog par post publish hogi.
97. Apne Blog ki Brand Build kare
Agar aapko apne Blog se jada paise kamana hai to aapko apne Blog ki Brand par bhi kaam karna hoga, ki Log aapke Blog ko Naam se jane.. uske liye aapko apne Blog ki Quality, Design or reputation par kaam karna hoga.
Agar aapke Blog ki brand ban gai to uske baad Organic traffic ke sath Direct Traffic bhi aapke Blog par aayega, or jo bhi aapke Product or service ko sell karne ke chances hai wo double ho jayege.
Jese HindiMeHelp.com bhi ek Brand hai.
98. Blog ka Referral Program start kare
Aap apne Blog par referral Program bhi start kar sakte hai, jese aapka koi product hai jo 100 rupee ka hai, to agar koi aapke uss product ko promote karke sell karata hai to aap usko 50% yani 50 rupee dege.. isse automatic hi aapka Product jada promote hoga or jada jada sell aapki ho payegi.
apni website me referral Program add karne ke liye aapko wass kisi referral Program ko apne blog me implement karna hoga.. agar aapko iski detail me jankari chahiye to aap comment karke jarur bataye.
99. Unlimited Plan Kharid kar resell kare
Blogging me paise kamane ke liye aap iss tarike ko bhi try kar sakte hai, jisme aap aese Product or service ko purchase kar sakte hai jinka LifeTime unlimited plan ho or fir aap ek war payment karke apne plan ko saste me or logo ko sell kar sakte hai.
Iss tarah ke plan hame Plugin, theme or hosting me bhi mil jate hai, jisme sirf ek war payment karne ki jarurat hai or hum usko kitne bhi jagha use kar sakte hai.
100. Use Blog As A Portfolio
Aap apne Blog ko apna Showcase ki trha bhi use kar sakte hai Portfolio page bana kar, jisme aap apne Experience or Knowledge ke ware me share kar sakte hai.
Iss tarah aap apne Blog through bata sakte hai, ki aap kis field me expert hai or kis tarah aap logo ki help kar sakte hai.
101. Connect with Other Bloggers
Aap apni Field ke jo dusre Blogger se unse acha connection banaye to automatic hi aapke paas paise kamane ke or bhi option khul jayenge..
Jitne bhi log hote hai, sabka kuch na kuch talent hota hi hai.. to aese me agar aap dusre blogger se connect hokar rahege or unki help karege to automatic hi dusre log bhi aap ki help karna chahenge.
Agar aap Hindi Blogger hai to aap HMH FB Group jarur join kare jisme 24k+ members hai, yaha aapko sabhi Blogger mil jayenge jo ek dusre ki help karna pasand karte hai or sab milkar aage badne me ek dusre ka sath dete hai.
102. Web Stories se Paise kamaye
Google web stories bana kar bhi paise kama sakte hai. web stories bilkul Reels, ya Youtube shorts ki tarah hoti hai.. par usko ham apni website par post karte hai.
Agar ham apni website me Web Stories dalte hai, to jo Google ka Descover opention hai usme hamari stories dikhti hai.. jaha se ham millions me traffic laa kar ache khase paise kama sakte hai.
Blogging se Paise Kaise Kamaye [Questions]
Blogging se Paise kamane ke liye kya jada Traffic hona jaruri hai?
Nahi, Jaruri nahi aapke Blog par jada traffic ho aap jab hi jada paise kama paye, aap Affiliate Marketing ki madad se tarketed 100 visitor par bhi hazaron rupee kama sakte hai.
Blog se Paise kamane ke liye ads ke sath Affiliate kar sakte hai?
Haa bilkul kar sakte hai, isme koi issue nahi.. Par me aapko suggest karuga agar aap affiliate marketing kar rahe hai to uss page par Ads naa lagaye warna aapke affiliate earning kam ho sakti hai agar user ne aapki link ki jagha ads par click karke product ko kharida to.
Blogging me paise kamane ki limit kya hai?
Koi Limit nahi hai, aap jitna jada smart work karege aap utne jada paise kama sakte hai.. Kuch aese Blogger bhi hai jo monthly lakho me kama rahe hai.
At Last:
Ummid hai aapko ab clear ho gaya hoga, hum Blogging se kin kin tariko se paise kama sakte hai.. Iss Post ko likhne ka maqsad sirf ye tha ki aapko ye samjaya jaye ki Blogging se paise kamane ki sima nahi hai, aap jese cahe paise kama sakte hai.
Aaye din me ye dekhta ya sunta hu, ki koi Blogger kehta hai ki wo apne Blog se paise nahi kama pa rahe, par iss article ko read karne ke baad ye sawal ab kisi blogger ke mind me nahi aayega ki wo apne blog se paise kis trha kama sakte hai.
wese mene jo list share ki hai, jisme sabhi tariko par kaam karna to possible nahi hai, par aap konse konse tariko par kaam karke paise kama sakte hai wo ab aap decide kar sakte hai.
Aapko Blog se paise kamane ka sabse acha tarika konsa lagta hai comment me humse jarur share kare, or agar koi aisa tarika reh gaya ho post me jinse hum paise kama sakte hai to wo bhi humse jarur share kare. sath sath ye batana bhi na bhule ki aapko hamare duara di ye jankari kesi lagi.
Agar aapke koi Blogger Friend hai jo apne Blog se paise nahi kama pa rahe hai, ya unko samaj nahi aa raha ki wo kis trha apne blog se paise kama sakte hai to aap unse ye Article jarur share kare.
Compettion bohot he blogging mein
Good information, I like it.
Amazing website thanks for sharing us
💯 Valuable Information
Your post is very beneficial for us related to earning money: please share more post more like this.
bohot acha content hai, share karny ky liye shukriya logo ko bohot faida hoga
nice post of how to earn on blogs
Very nice
Blogging is very competitive in these days.
nice post
nice post, very helped