Domain Kaise Le | Domain Register Kaise kare Website Ke Liye

Dosto mene phele aapko bataya tha ki ham kaise apna free blog bana sakte hai. Par agar aapko apne blog ko website me convert karna hai to aapko sabse phele ek acha sa domain register karna padta hai.

Domain ko kaise register karte hai uski puri jaankari step by step hindi me

Domain Name Register karne ke liye hame kisi domain selling website se domain ko lena padega. Online aapko Bhut se domain selling website mil jayegi. unme se ek jiska naam sayad aapne suna hoga GoDaddy. me aapko bataoga kaise ham godaddy se domain ko kharid sakte hai. Aap kisi bhi site se domain register karo lagbhag same hi process rahegi.

Advertisements

aap yaha Top 5 Domain Register site dekh sakte hai.

Domain Kharidne ke phele ye jarur pade, Kaise Badiya Domain Name select kare apni site ke liye. jo aasani se search me aaye, or har trha se badiya bhi ho.

Domain Name kaise kharide Godaddy se

Domains ko kharidne ke liye aap meri Steps ko follow karo

Step 1

GoDaddy ki Site par jao.

Godaddy Domain Offer

godaddy me login karo ya fir new account banao

  1. Agar aapk aapka phele se account hai to apna user name or password daal kar Sign in karo
  2. Agar GoDaddy par account nahi hai to Create My Account ki button par click karke account banao.
Step 2

GoDaddy par account banane ke liye is form ko bharo. Agar phele se account hai to is step ko rhene do.

sign up ka form bharo godaddy par account banane ke liye

  1. Apna email address dalo
  2. Account ke liye ek username dalo. kamsekam 5-30 sabdo ka hona chaiye. iski madad se aap dubara godaddy ke account me login kar payege.
  3. Password set karo apne godaddy account ke liye. Password kam se kam 9 sabdo ka hona chaiye or usme Capital latter or number bhi hona chaiye. password ke suru me or akhri me space nahi hona chaiye.
  4. char number ki pin set karna hai. koi bhi 4 number dalo isko yaadbhi rakhna hai.

In sabhi details ko yaad rakhna hai ya fir kahi par likh kar rakh lo.

Ab aapka GoDaddy par account to ban chuka hai.

Step 3

Ab GoDaddy me Login hone ke baad aapko website ke liye naam search karna hai. uske liye aapko godaddy ki site par aasani se search box dikh jayega.

Domain search karo registration ke liye

Aapko jo Naam register karna ho usko search karo. Agar kisi ne phele se domain ko kharid rakha hai to aap usko nahi kharid sakte.

Domain ki jo kimat hai bo alag alag ho sakti hai. Abhi ek offer chal raha hai isliye 99 rs me ek saal ke liye mil raha hai. nahi to iski kimat lagbhag 600rs hoti hai.

₹99 me Domain Kaise Register kare uski Tip yaha share ki hai.

Step 4

Jab aapko aapke pasand ka naam mil jaye

domain milne ke baad add to card ki button par click karo

Badiya Naam milne ke baad aap uska price jarur dekhle or ek baar spelling sahi se check karle.

uske baad Continue To Cart ki Button par click kare.

Step 5

sabse niche contune to card ki button par click kare

Ab aapke saamne ek new window khulegi usme aapse or bhi bhut kuch lene ke liye kaha jayega. Hosting, Email bagera. aap inko rhene de or last me Continue to Cart ki button par click kare.

Step 6

domain ko kharidne ke liye check out karo

Ab jo naya page khula hai usme aap ka domainname or uski jaankari hogi.

  1. Sabse phele aap kitne saal ke liye register karna chate ho bo select karo. uske hisaab se paise lagege.
  2. ab total kinta price huaa bo dekhle
  3. Last me Proceed to Checkout>  kibutton par click kare.
Step 7

apni puri detail bhare fir payment method select karke contunie ki button par click kare

  1. Apni puri jaankari bhare
  2. Aap payment kis method se karege bo select kare. Netbanking ya Debit Card jo bhi ho.
  3. Continue > ki button par click kare
Step 8

sari deatil ko ek baar fir se check karke place your order ki button kar click kare

  1. Apni Detail ek baar check karle jo aapne apne baare me di hai.
  2. Aapke liye huee domain ko ek baar achi se dekhle
  3. Total kitne paise pay karna hai bo dekhle
  4. Jo sabd diya huee hai unko type karo
  5. I agree to the following par ✔tik kare.
  6. Place your Order > ki button par click kare.
Step 9

payment method select karke payment kare

  1. apni contact detail bharni hai
  2. Payment method select karke, uski detail bharni hai
  3. Make Payment ki button par click kare
Step 10

Ab aap ek dusri website par phuch jayege jis ki aapne payment method select kiya hai.

payment ko karne ke baad aap firse godaddy ki site par aa jayege

ye aap mera screen shot dekh sakte ho. mene PNB ke debit card se payment kar raha hu.

Payment karne ke baad aap bapas Godaddy ki site par aa jayege.

Ab aapka Website ka Naam Register ho chuka hai.

Apne Domain ko dekhne ke liye

apne domain do dekhne ke liye domain manager me jaye

  1. Upar  Menu me Domains par click kare
  2. fir Manage My Domains par click kare

Ab aapke saamne aapke pure website ki list aa jayegi jo aapne kharide hai.

aapne jitne bhi domain kharide hoge bo sab aapke samne aa jayege

To friends ab aapne sikh liya hai kaise ham domain ko kharid sakte hai.

Ab Domain to Register kar liya chaliye ab jaante hai kaise ham apne Domain ko Blogger se add kare

Badiya Hosting kaha se or kaise kharide uski jankari yaha hai.

Aapko ye jaankari kesi lagi comment karke batana na bhule. or agar aapka koi sabaal❓ho to usko bhi comment karke aap mujse puch sakte ho.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

280 thoughts on “Domain Kaise Le | Domain Register Kaise kare Website Ke Liye”

  1. bhai yah batao ki maine html css bootstarap mtlb ki website design kijo language hoti hai usse website banai hai yah batao usko google me kese add karu or registered kese karu kya mujhe ab bhi domian lena hoga

    Reply
    • Sabse phele to aap apna real name use kare.. Aage se aapka koi comment approve nahi kiya jayega..

      Or kya error show ho rahi hai.. Thoda time lagta hai server ko update hone me.. Kuch time me Sahi Ho jayegi..

      Reply
  2. Rohit Bhai pleas meri ek help kijiye maine 1 month pahle godady se domain buy kiya hai.new domain ke sath blog open bhi ho raha hai . google search console me blogspot wala domain submit kiya hua hai . jab mai new domain name se blog ko search console se submit karta hu to ek green screen show hoti hai n screen par ” the domain webraksha.com no longer parked by godaddy.com ” ye massage ata hai.

    Reply
  3. Sir mera naam sushma h me apse puchna chati hu ki muje oline business karna hai iske liye muje webside banni hai mera business saress ka to iske liye kesi webside banu kuch idea digiye

    Reply
  4. Sir mera naam sushma hai muje apse puchna h ki muje oline business karna h or suke liye webside bani h business mera sarres ka haiuske liye kis traha se webside banani chaiye

    Reply
  5. 1 Hello sir mene ek blog banaya he aur mughe uske liye ek domain chahiye par mere pass netbanking nahi he to kya aap mughe ek domain buy kar ke de sakte he

    2. Aur aap kitne paise longe

    3. please sir ek domain buy kar ke de do kyo ki mere pass netbanking nahi he

    Reply
  6. sir mne new blog banya but mne jo blog ka addresss daala h vo url bar m nhi aa rha he. mne soch samjhjkar hi daala h na kishi ka copy kiya he pz sir btayiye

    Reply
  7. Hlo sir ,
    mera ek question hai , maine ek domain godaddy se registerd kiya h or sir ek saal k liye registered kiya h muje apna time period badana h vo kaise badega or sir esme post bhi hai vo delete to hogi ya nii hogi time period badane k baad

    Reply
  8. Sir mai apne name se dj website banana chahtu hu
    Mujhe website ke bare me sare information dijiye
    Mere site ka name rahna chahiye www. DjSachin .iN

    Reply
  9. hi… mere ek ques hai… mein nhi janti blog kya hota h or ku jruri hota hai… muje apke ye post padh k kaffi acha lga ki apne hme btaya hum khud se blog or domain registered kr skte h… but mein apko clear btau to muje sirf itna pta h muje apna b/s opn krna h jisme muje website banvani hogi kya website banvane k liy domain register hoga? or website mein keise banva skti hu? mein thoda sa confused bi ho ri hu blog domain or website mein??

    agr ap merri baato ko smj paa rhe h to muje jrur help kriye

    thnku

    Reply
  10. hello rohit bhai mai ajay sharma – Meri problem ye hai ki mai apne blog ke liye godaddy se domain name le chuka hu or usko webmaster tool me bhi submit kar chuka or meri site new domain se bhi open ho rahi hai. par jo maine godaddy se liya tha usme ye kuchh problems aa rhe hai. jo mai batane ja raha hu.

    meri site ka domain name google search me blogspot.com se show raha hai. jabki http://www.smartmeindia.com se ana chahiye.
    jab mai apne new domain se site map bana kar webmaster toole submit kiya hu to wo pending bata raha hai.
    or jab mai webmaster tool ke dashboard me jata hu to crawl errors or search analytics dono me no data available bata raha hai.or dns server to aahi nahi raha hai.

    so rohit bhai iske liye mai kya karu. mujhe ummid hai ki aap mere problem ko achhi tarah se samjhenge or iss problem ko apni problem samajh kar uska koi hal jarur nikalenge. Thanks..

    Reply
  11. hello rohit bhai mai ajay sharma – Meri problem ye hai ki mai apne blog ke liye godaddy se domain name le chuka hu or usko webmaster tool me bhi submit kar chuka or meri site new domain se bhi open ho rahi hai. par jo maine godaddy se liya tha usme ye kuchh problems aa rhe hai. jo mai batane ja raha hu.

    meri site ka domain name google search me blogspot.com se show raha hai. jabki http://www.smartmeindia.com se ana chahiye.
    jab mai apne new domain se site map bana kar webmaster toole submit kiya hu to wo pending bata raha hai.
    or jab mai webmaster tool ke dashboard me jata hu to crawl errors or search analytics dono me no data available bata raha hai.or dns server to aahi nahi raha hai.

    so rohit bhai iske liye mai kya karu. mujhe ummid hai ki aap mere problem ko achhi tarah se samjhenge or iss problem ko apni problem samajh kar uska koi hal jarur nikalenge. Thanks..

    Reply