Agar site par organic traffic acha aa raha ho, or achanak kisi change ke karan traffic bhut kam ho jaye, ye koi nahi chata.. or aesa bhut logo ke sath hota hai.
Jab bhi Search engine algorithm me koi update karte hai to traffic me badlab aata hi hai, agar traffic bad rahi hai to wo to achi baat hai par agar kam ho jaye to aapko kya karna hai wahi me is post me aapko batane wala hu.
Abhi kuch time se Google me real-time algorithm updates chal rahi hai, jo kisi bhi site owner ke liye achi news nahi hai.. Isme Google alag alag test karta hai jiske karan achi site ki rank bhi achanak down ho jati hai. fir wapas tikh bhi ho jati hai par aapki traffic me aapko uthar chdav to dekhne ko to milega hi.
Kaise pata kare agar traffic kam ho rahi hai to uska karan kya hai, uske me steps aapko bata raha hu, aap in sabhi steps ko follow kare or agar kahi kuch gadwad mile to usko turant tikh karne ki kosis kare, taki aapki site ki rank fir se sahi ho sake, or aapki post google me top par aa sake.
Page Contents
Step 1: Site Status Check kare
Webse phele aapko apni website me check karna hai kahi kisi code ki baja se koi error to nahi hai, ya kahi kuch aesi setting galti se ho gai ho jiske karan aapki rank down hui hai.
Aapko On Page SEO ko bhi check karna hai, jis page par jada traffic loss hua hai uske aapne bad link to add nahi ki hai.
HTTP Status Code check kare
aapko apni website ka HTTP stutas check karna hai, isme aapko ye pata chal jayega ki aapki website agar koi open karna cha raha hai to open ho rahi hai ya nahi. Status code 200 aane ka matlab hai aapki site badiya se load ho rahi hai.
Isko check karne ke liye aap HTTP Status Code Checker ka use kare. simple aapko isme apni website or page ka URL dalkar check karna hai.
bots crawl kar pa rahe ke nahi site ko ?
Search engine Bots site ko crawl karte hai uske baad hi site ko search me dikhagaya jata hai, aese me ye bhi ho sakta hai galti se robots.txt se aapne bots ko block kar diya ho or search engine aapki site ko crawl hi nahi kar pa rahe ho.
Robot.txt me to koi gadwad nahi hai wo aap Google ke Free Robots Testing Tool me dekh sakte hai.
Step 2: Check Google Algorithm Updates
Traffic achanak loss hone ka ye bhi ek karan ho sakta hai google me koi bada algorithm update kiya ho, uski jankari ke liye online kuch popular blog hai waha dekh sakte hai.
Sabse best tarika kisi bhi update ko pata katne ka twitter hai, q ki yaha aapko sabhi top seo mil jayege.
Ab Twitter par kisi bhi Update ko dekhne ke liye aap simple search kar sakte hai, “google algorithm update” jese aap screenshot me dekh sakte hai.
Step 3: Google Search Console Check kare
Google Search console me aapne apni site ko to add kiya hi hoga, agar nahi kiya hai to abhi add kare wo bhut jaruri hai.
Jab bhi koi update aata hai or uski baja se site par koi bhi dikkat hoti hai to waha hame error message mil jata hai, or ham unke bataye tarike ko follow karke usko sahi kar sakte hai.
Aap Search console me check kare kahi koi error to nahi aa rahi hai aapki site ko crawl karne me, or ye bhi check kare aapki site ki kitni post index hai.
Google Search Console important settings karna bhi jaruri hai, agar aapne abhi tak nahi ki to wo bhi jarur kare.
Step 4: Google Analytics me Check kare
website ki traffic kam hone ka karan aap google analytics se bhi laga sakte hai, aap site ka google analytics open karke uska traffic graph dekhe, isse aapko bhut si jankari mil jayegi.
Jese example: google ka ek update aaya tha jisme mobile friendly site ko top par dikhate hai, to aese me agar aap google analytics me dekhte to aapki computer ki traffic to same rheti par agar aapki site mobile friendly nai hoti to aapki mobile ki traffic kam hoti.
Iss trha ki bhut si chijo ko dekh kar bhi aap google analytics se pata laga sakte hai, akhir traffic kam hone ka karan kya hai.
Agar aapne Google analytics add nahi kiya hai to abhi kare, Google Analytics kaise add kare site me uski jankari yaha di hui hai.
Step 5: Check Site Speed
Website ki speed ek ranking factor hai google me, or agar aapki site ki speed slow hai to ye bhi ek main karan ho sakta hai aapki traffic ka achanak kam hone ka.
Website ki speed kaise improve kare uski tips mene share ki hai, unko follow kare uske sath agar kuch bhi aesi chije ho jiske karan aapki site ki speed kam ho rahi hai to unko bhi tikh kare.
website ki speed check karne ke liye Google’s PageSpeed Insights ka use kar sakte hai, isme kaha kya gadwad hai wo bhi pata chal jati hai.
Step 6: Check Mobile
Google ne ye saaf kar diya hai, ki Mobile ke liye phele Mobile friendly site hi dikhai jayegi or unko ko jada value di jayegi, to hamare liye ye bhut jaruri hai ki site mobile me achi trha se open ho.
blog Mobile me achi trha se open ho uske liye aap ek badi Mobile Friendly Template use kare.
website Mobile Friendly hai ya nahi wo aap Google ke Mobile-Friendly Test tool ki madad se pata kar sakte hai.
Step 7: Backlink Check kare
Backlink wo link hoti hai jo kisi dusri site par hamari kisi page ki link add ki gai ho. Badiya High Quality Backlink se search engine me site ki value or trust badta hai.
Par iska ulta bhi hai, matlab agar backlink Low Quality site se mile, ya kisi spam site se to isse hamari site ko nuksan bhi ho sakta hai.
Backlink kya hai or isse kya hota hai uski jankari aapko mere purane article me mil jayegi, iske baad bhi agar aapko koi doubt ho to aap comment karke puch sakte hai.
Conclusion
Ab aap kuch had tak to samaj hi gaye hoge, aapki site ki traffic achanak kam hone ka kya karan hai. Aap in steps ko follow karke jo bhi problem hai unko solve kar sakte hai.
Yaha aap ek baat dhiyan rakhe aap kuch bhi change karege site me uska aasar aapko turant dekhne ko nahi milega search engine me ki aapne aaj kuch update kiya or kal se aapki site par jada traffic aane lage…
iske sath sath Google Rank ke Top 10 Ranking Factor bhi aapko pata hona chaiye jo 2017 me bhut important hai website ki badiya ranking ke liye.
Hope aapko ye jankari kaam aayegi, or agar aapki traffic achanak down hui hai to usko sahi karne me bhi help milegi.
Inke aalawa bhi agar koi karan ho sakta hai achanak traffic down hone ka to aap comment me jarur share kare.
Nice post bhut achi jankari di h Aapne
This is really great you wrote a great article. Actually, I need your help my website is not doing well. i am new in this journey can you guide me, please? I request you. My name is Afree btw :)
Mera Traffic Search console achanak uper se niche ho gaya hai aisa kyu. pahle to wah sahi thi ab aisa kyu. kya aap mer website check kr ke batayege aisa kyu ho rahaa plese reply to me. i am very depress
sir ji mere site par visit kariye our bataiye ki mai kyon rank nahi kar pa rahi hoon .
Thank you so much sir aap ki wajah se mujhe meri website me chhipi hui kami mil gayi.
meri website mobile friendly nahi iss problem ko kaise fix karu tips dijiye
Rohir sir meri site pr bhi kuchh dino se traffic bahot km ho gya hai ye recover kaise hoga
sir mere Google Console account me aisi post ke url par 404 not found bata raha hai jo post mene kabh bhi apne blog par publish kiya hi nahi.me is parkar ki url ko remove bhi kar deta hu lekin fir kisi dusre post ke url par 404 not fount dikhai deta hai.meri problem yah hai ki jo post kabhi bhi mene mere blog par publish kiya hi nahi uska 404 error kyu dikha raha hai.sir kya aap meri help kar sakta hai.me is problem ko kaise thik karu
koi search karte hai to wo bhi ror aat hai agar aapne usko index disable nahi kiya hai to..
Bdhiya post bhai …
meri traffick bahut kam ho rahi hai… 1000 se 230 me agai
Sir, Jab Mene Mobile Friendly test kiya to Usme Sahi Hai Par Usme Ye Kyu Aa Raha hai,
“Couldn’t load 19 page resources”
Isko Fix Kaise Kare Sir
Jisme kuch Link url Hai Graph facebook ke
Or pagead2 google ke
Or is sabhi url ke saamne esa likha hua hai,…
“Googlebot blocked by robots.txt”
Please sir Help Inko Kaise Fix Karu.
hello brother maine ek website pe bahot work kiya tha uska ranking bhi accha aane lag gya tha but jab se us site me ssl security lgaya gya uske bad uska ranking alexa pe se gayab ho gya iske liye mujhe ab kya krna prega fir se ranking wapas lane ke liye
BHUT BADIYA POST BHAI EK BAAR MERI SITE CHEK KAR KE BAATA DO YAR KI KOI PROBLAM TO NHI HAI SITE ME THANKU
aapki website to badiya hai, par aapne jo name use kiya hai aajtak.. wo copyright hai… usko change karne me hi faida hai.
Hi sir नमस्कार मै आप से ये जानना चाहता हु की क्या seo के result different different browser पर result different दिखाई देता है , sir मैंने बहुत से वेबसाइट का seo किया और check भी किया मेरे जो कीवर्ड्स होते है , different – different ब्राउज़र पर उनका पोजीशन भिन्न भिन्न दिखाई देता है .ऐसा क्यों होता sir मै जानना चाहता हु sir जिसकी वजह से मै बहुत बडे समस्या में फस गया हु sir कृप्या आप मेरा सहायता कीजये sir . ………..
Haa, browser me agar aap login hai to agar hi dikhayege.
Q ki post jo user hai uske hisab se rank ki jati hai.. Uske sath or bhi bhut se bate hai..
Hi नमस्कार sir मै ये जानना चाहता हु की मेरा एक website है जिसका मैंने adword कराया google पर website के रैंक और पोजीशन में कोई खास सुधार नही हुआ है .तो क्या मै उसका backlink लिंक बनाऊ या फिर उसके लिए और किसी प्रक्रिया का use करू मै , तो sir मुझे उसके seo के लिए क्या करना चाहिए जो हमने seo के सभी technique को use किया है .
Usse koi aasar nahi padta rank me..
SEO kare usse result milega..
Hi rohit,
Aapne jo title k niche fb group ka photo lagaya h uska link nhi kaat kr rha h i think wo galat link h
Thanks Brother.. ab update kar diya mene..
mujhe ye same problem face karna pad raha hai thanku jankaari share karne ke liye ….
Hi नमस्कार sir मेरा एक प्रश्न है मै ये जानना चाहता हु की Black hat SEO क्या होता है और कैसे करते है ,क्या black hat seo के द्वारा अपनी website को google के first page पे कितने दिनों में लाया जा सकता है.sir black hat seo करना चाहिए की नही क्या black hat seo के द्वारा हम किसी website को google के search engine में टॉप पे ला सकते है ?
Hi नमस्कार sir मेरा एक प्रश्न है की किसी website को कैसे हम गूगल के first page पर index करे और मुझे कुछ क्वालिटी backlink से related website के नाम जानना है ,कहा पर हम अपने website के यूआरएल को फ्री में submit करे की एक अच्छा backlink मिल सके.
Bhut badiya hai Rohit Bhai.
jab google console me site submit kartr hai toh indexing hone me kitna time lagta hai
and ek problem hai ki meri site ki double image index hui hai.
submit karne se ya naa karne se jada fark nahi padta.. new site ko index hone me thoda time lagta hai 1-2 hafte tak lag sakte hai..
Bohot bariya post he sir. Me bohot Kuch galat Kar Raha Tha. Site speed check nahi ki aur http error bhi Hai. Thanks for the post.
Nice
All in one share
Bahut hi helful jankari share ki me pichale kai dino se iss par research kar raha tha thanks rohit bro
welcome bro
बहुत ही बढ़िया जानकारी शेयर की है आपने, पहले मैं ट्रैफिक कम होने की वजह नहीं पता चलती थी> लेकिन ये पोस्ट पढ़ने के बाद मुझे आसानी से पता चल जाता है कि क्या प्रोब्लोम है| इतनी useful इनफार्मेशन शेयर करने के लिए धन्यवाद…
Welcome Avinash ji
sorry sir for second comment but sir aap ne comment message remove kya hai jiss ke waja se pata nahi chalta comment publish hwa ya nahi(slow connection wale user ko problem hosakte hai)…!!!
very helpful post bro thanks aisa buhat baar hota hai..
template change karne per ya problem zyada hoti hai thanks for help…!!!
haa template change karne ke baad important setting, jese deta teg, discription sahi se add nah karne par bhi aasar padta hai.
Nice article.
Bahut hi kam ki jankari
Rohit bhai kya koi free hosting site bhi rank kr skti hai
Rank to kar sakte hai, par free hosting aapki site ko sahi se manage hi nahi kar payegi.. free hosting only trial ke liye achi hai..
Hmm rohit sir mere sath bhi hota h kbhi kbhi traffic achank down ho jati hai ….Thank you ab aapke btaye points ko m use jarur karuga
Bilkul :)
Sir.. Mai apne website me adnow company ka native ads use karta tha.. Maine jab $300 earn kar liya to usne mera website blocked kar diya bina reason bataye.. Ab mai kya karu?? Jab is bare me complaint kiya to kuch nhi reply nahi aya… To sir is website ka complaint kaha Kare.. ..kaise refunds PAYE… Government me kahi complaint kar sakte he??
you Are too good bro, i always read your article.
Thanks Bro
Hlw rohit sir, mera aapse question h..google kis aadhar pr site ko rank krta hai aur eske factory kya hai?
google ke 200+ factor hai jo kisi ko nahi pata hai.. aap yaha dekhe 10 important factor ke ware me bataya hai
Bhai AMP Ki wajah se bhi Traffic Down hota hai. Maine ise bahut bar Test Kiya hai, aur maine Notice kiya hai ki AMP me Page Index bhi bahut Slow hota hai.
ai uske liye jaruri hai AMP me koi error naa ho.. error raheti hai to problem ki baat hai.
Hello sir;
मेरा Gk Related Hindi Blog (www.cggkquiz.in) है,.. जिससे मैं Google Adsense के Through Earn करता हु ….लेकिन इस July Month के 21 तारीख को मेरा Payment Generate हुआ है ,, जो Recent Email Payment Detail आने के बाद 21 तारीख को Finalized Payment Description में “-205.68 (negative)” दिखा रहा है ….!!
मैंने आपके Adsense Payment वाले Article/Post में पड़ा था की ….. ये Negative Payment “INVALID Click” के कारण से होता है …….मेरा Adsense account 02 साल से Active है …… मैंने कभी Invalid activity नहीं किया Or ना ही Ads click किया है ….!
Que: इसका कोई कारण बताये सर …….क्या ये कोई Google का Bug Problem है……या ….Other Problem… या ऐसा इस July month सभी Publishers के साथ हुआ है ..?? मुझे ये Payment मिलेगा की नहीं ??
क्या इस Payment सम्बन्धी Google Adsense Team को कोई Email या Contact कर सकता हु …..!!
bahut he acchi jankari di hain aapne rohit bhaii. Shukriya
Site traffic se judi bahut achchhi jankari isake liye dhanya bad Bro jo apke site hmh pe amazon ke adds dikhate hai wo addsense se hote hai ya amazon affiliet marketing se hote hai pls batane ki kripa kare.
Adsense ke ads hai brother wo.. baki ham banner ads bhi laga sakte hai amazon ke..
Thank you Rohit in important points ko mention karne ke liye. Hume Google Search Console me regularly crawl aur index status ko check karte rehna chhaiye. Sath hi sath hume google ke latest algorith updates pe bhi ek nazar rakhni chahiye. Thanks a lot again!
Most Welcome Vipin Bhai..
hello sir ji
apne bht achi trh se smjhaya hai
thanks sir for sharing..
Bhut badiya jankari hai bhai.
thanks
Rohit bhai mera status code bhi 200 aa raha he matlab meri site barabar load ho rahi he. or ek saval rohit bhai kya hame site ke sabhi version add karna jaruri he jese [www,non-www, http or https] A sub dalna jaruri he.
aapki site sahi load ho rahi hai..
maine naya wordpress blog banaya hai us par pahle se hi them lag hua tha to mai usi par kam kar raha tha analytics me pageview dikha raha tha lekin jaise hi maine theme change kiya pageview ka graf dhadam se niche aa gira aur zero par chal rha hai kya karan hai
Very Nice…thanks sir
Very Nice…thanks sir
bhai kisi ne mera adsense account hack karke apni mail par transfer kar liya hain. ab mujhe kya karna chahiye
plz reply jarur karen
kabhi kabhi settings ki wajah se bhi hoti hai traffic down mere sath ek bar hua setting me galti se click kar diya tha uske bad search engine se trafic jane laga idhar,udhar kya kya nahi kiya lekin bad me pata chala “khoda pahad nikli chuhiya “
hahaha, jada tar yahi hota hai..
it’s a great article for for blogger…
Thanks For Sharing
Welcome Bro :)
Bhai….Bohot din se site sala raha hoon…or seo bhi kor raha hoon fir vi rank nehi bad raha hai..traffic bhi atsha he..fir vi…kio…please check korke bataye.
aap trending topics par post dale.. or site ke liye backlinks banaye..