Dosto aaj is post me Ham janege ki Photoshop Video Tutorials in Hindi ke sath kaise sikhe. Jiske liye is post me top 5 YouTube channel apko bataye jayenge taki un Channel se ap free me Photoshp ko sikh sake.
Page Contents
PhotoShop Kaha kaam aata hai?
Iska use sabse jyada business line me hota hai, jaise wedding pics designing, Graphic designing, Web designing, Infographic Designing etc.
Kai log ise entertainment ke liye bhi use me lete hai.
Well maine bhi starting me PhotoShop ka use entertainment me pic edit karne ke liye hi kiya tha. Lekin aaj me fotoshop ka use graphic designing ke liye use karta hu.
Entertairment ke liye:
- Agar aap apni image design karna chahte hai Facebook ya WhatsApp ki profile picture ke liye tab Photoshop best hai.
- Apni picnics, holidays ki album ke pic ko edit kar sakte hai.
- Funny pics bana sakte hai.
Business ke liye:
- Agar aap ek blogger hai to apke content ki har pic isme hi design ki ja sakti hai.
- Agar aap ek graphic designer banna chahte hai tab Fotoshop apke liye kafi helpful rah sakta hai.
- Agar ap ek blogger hai, aur apka ek blog hai jis ke liye aap ek infographic design karna chahte hai tab bhi aap Photoshop ka use kar sakte hai.
- Logo designing, banner aur advertisement designing me iska use kar sakte hai etc.
Learn Photoshop in Hindi | Kaise Sikhe PhotoShop
halanki Photoshop ko sikhne ke liye kai book bhi hai aur kai website bhi hai jo text se sikhte hai lekin Photoshop ko sikhne ka sabse behtareen tarika hai ise video tutorials se sikhe.
Aur isiliye maine is post me 5 ese YouTube channel bataye hai jo bahut hi achhe dhand se Hindi Video tutorials se free me Fotoshop sikhate hai wo bhi beginner (Photoshop ke new user) ke liye.
Photoshop Tutorial in hindi Youtube Channels List
to ye maine 5 YouTube ke channel bataye hai mujhe ummid hai in Channels se aap Photoshop ko achhe se sikh sakte hai,
Lekin phir bhi iske alawa bhi kai chije ya topic Google par search karke bhi sikhi jaa sakti hai.
In Tutorials ka sahi dhang se use karke kaise sikhe?
Mera yah hamehsa manna hota hai ki koi bhi chij ko achhe dhand se sikhna hai to wo hai practise, yani practical karke sikhe na ki kewal theoretical knowledge me hi rahe.
To uske liye agar aap in channels par koi bhi video dekh rhe hai tab Photoshop ko open hi rakhe aur sath me aap bhi dekhe ki yah kis tarah se hota hai.
Is tarah se nahi kare ki ek bar puri video dekh li aur fir Photoshop open karke use karne ki kosis kar rhe hai. Kyonki is tarah se bhula ja sakta hai ki video me kya btaya tha aur apko kya karna hai.
My Advice: meri advice yahi hogi ki ek bar puri video ko dekh le, then Fotoshop ko open kare, fir se us video ko play kare aur is bar har thodi bar video ko pause kare Fotoshop par jakar us option ko, us tool ko, us tarike ko samjhe.
Waise hamne yeah socha hai ki ab HindiMeHelp par Photoshop se related bhi post ki jaye apka kya khayal hai?
Agar aap chahte hai ki HMH ab PhotoShop ko bhi sikhaya jaye to abhi comments ke madhyam se bataye.
photoshop tutorial से photoshop सीखने की ये post बहुत usefull है| इसे post करने के लिए आप का धन्यवाद |
Sir मेरी site देखकर कुछ suggest करें please.
This website is of general knowledge, is a very good website for students preparing for exams and for the purpose of education.
achhi detail hai Photoshop ki aap iss tarah ki post likhte rahiye.
Nice information sir
Rohit ji kaise crack kare parental control ka password aur bina kisi password ke asani se koi bhi software asani se install kr saku Windows 7 ultimate me.
photo mix krna batey
Hello Rohit bhai mein aap tho sab ke ke madath karte ho yar so please mere b kardo na, mein bhot month se work dhund raha hu bhai magar kuch kaam nahi milra hai mujhe interest hai data entry work par jo offline, online us par mujhe interest hai kaam tho milre hai bhai magar sab fee puch re hai mein ne ise phale b ek site pe fee diya hai magar wo peek nikla so please yar aap se request hai ke koi acha kaam hai tho bolo yar please. Thank you
Data entry wali sab hi fake hoti hai.. Faltu inke chakkar me naa pade.. Aap Internet se paise kamana chate hai to blog banao ya youtube se bhi kama sakte hai.. Jiski jankari aapko site par mil jayegi
Photoshop sikhne ka koi aapplication hai to batao
please rohit sir ek baar aap se baat karna chata hu coment ke jariye please help me
aap facebook group join karo.. usme post karo apna sabal.
sir aap se contact nahi karpahaha hu m kitne din se kosis karhaha hu
Hindi Me Help ka Facebook Group join karo.. bha message karo.
Rohit ji aap meri site dekhe or btaye ki post ke bich me Adsence ads kese lgaye abhi meri site par Adsence ads lge hua he.
Rohit g…apne boht hi achhi post ki h…but apse request hai ki aap video editing k baare me bi hme aisi hi ek post kre…thank u so much sir…
Sir bahut achhi jankari share ki hai apne . Me ye tutorial kafi Dino se search kar raha tha or apne video tutorials deker khush kar diya .
Aap or bhi PhotoShop ya easy image editor se related post jaroor Kare . Thanks.
Thanks Ravindra ji
Hi Rohit Ji App Mera Site Dekhe Or Kuch Suggestion De Or E Bataye Ki Category Kaise Add Kare
aap category ke liye labels use kare..
Aapko Read More bhi add karna chaiye taki aapki puri post home page par naa dikhe.
Rohit ji Mere Blog Ka Traffic Nahi Badh Raha He.
Webmaster me to aapne add kiya hi hoga.. Social site par bhi jada se jada like share karbane ki kosis kare.. isse bhi site or uski post ko rank me madad milti hai.
thanks rohit ji !
youtube se photoshop tutorial dekhaker photoshop aasani se sikha ja sakta hai. custom image template ka use karke photoshop se koi bhi manchaha image aasani se bana sakte hai.
Comment karne ke liye Thanks
Please apna Real Name use kare or comment me link add kar kare.. reve kardi jayegi ya fir aapka comment hi delet kar diya jayega.. Thanks
आपका लिखने का तरीका बहुत अच्छा है मैने छात्रो के लिये एक blog बनाया है मै चाहता हुँ आप इसे देखे
acha blog banaya hai.. aapko apne blog me kuch widget bhi add karna chaiye.. or read more bhi add kare taki puri post home page par naa dikhe.
Hello Rohit bhai mein aap tho sab ke ke madath karte ho yar so please mere b kardo na, mein bhot month se work dhund raha hu bhai magar kuch kaam nahi milra hai mujhe interest hai data entry work par jo offline, online us par mujhe interest hai kaam tho milre hai bhai magar sab fee puch re hai mein ne ise phale b ek site pe fee diya hai magar wo peek nikla so please yar aap se request hai ke koi acha kaam hai tho bolo yar please. Thank you
आप blog बहुत अच्छा है मेरी साइट
देख सकते है और मुझे क्या करना चाहीए
Achhi detail hai rohit bhai..continue rkho Photoshop ko
Ji Bilkul… Satish ji. :)
Yes HindiMeHelp me
Photoshop ki jankari di jani chahiye.
Thansk Rahul Ji
Rohit sir kya aap graphic design ka bhi work karte ho aapne uper likha hai
Thoda Bhut.. /:
hello sir
mujhe samajh nahi aa raha hai ki mai konsa template lu maine jitne bhi template upload kiya usme kuch na kuch kami ho hoti lekin mujhe computer mobile friendly template chahiye kya aap meri help kar sakte hai aap mujhe koi computer mobile friendly de sakte hai mujhe aapke jaise hi template chahiye jo computer mobile friendly ho woh bhi blogger mai maine jitne bhi computer mobile friendly template upload kiye usme kuch kami hai jab template ko live previeve dekhta hu toh thik hota hai but upload karne par mobile mai read more email subscribe search this site hai option mobile mai nahi hote hai kya aap mujhe koi achchha sa template bata sakte hai jo computer mobile friendly ho aur woh template aapke jaisa hi ho please help me
Search, email subscribe ye sab alag se add karna hoga hai.. Layout me.. Mene jitne bhi template share kiye hai wo mobile friendly hi hai.
Bahut hi badiya jankari share ki jai rohit ji hamesa ki trha..