New Blogger Ke Liye 5 Jaruri Jankari Blogging Tips

Hello dosto, Agar aap naye blogger hai ya blogging suru karne ja rahe hai to ye post aapko jarur padhna chahiye . blogging me successful hone ke liye niche bataye gaye 5 baton ko dhyan me rakhna bahut jaruri hai. naye blogger jankari ke kami ke karan suru me kuchh mistakes karte hai. ye jankari aapko unn mistakes se bachane me help karega.

New Blogger Ke Liye 5 Jaruri Jankari Blogging Tips - Blogging

Page Contents

Naye blogger ke liye 5 jaruri jankari

#1 Custom Domain ka Istemaal

jyadatar naye blogger free subdomain (blogspot.com, wordpress.com etc) ka use karte hai. ek serious aur professional tarike se blogging karne ke liye custom domain bahut jaruri hai.

Advertisements

Aapke custom domain ka age jitna jyada hoga bwo utna hi search engine aur alexa ranking ke liye achha hoga. jab aap custom domain ka use karte hai to aap uske liye apna backlink banana shuru kar dete hai. backlink page ranking aur search engine ke liye bahut jaruri hota hai.

Ye Post bhi Pade:

#2 Blog Design and Custom Template

Jab koi visitor aapke blog par aata hai to sabse pehale weh blog ke design ko dekhata hai. agar aap apne blog visitors par accha asar chhod na chahte hai to sabse pehle ek acha sa SEO friendly custom template ko apne blog par set kare. custom template se blog ko ek professional look milta hai.

#3 Dusare blog ke content ko copy mat kijiye

Apna jo Competitor hai usse Sikhe, par kabhi usko Copy naa kare. Agar Copy Kiya to samjho mare.

Jack Ma

Kuchh naye blogger dusare blog ke content ko copy karke sidha apne blog par publish kar dete hai. shayd isliye kyoki unko blogging aur copyright ke bare me achhe se jankari nhi hota. aur kuchh log jinko copyright content ke bare me jankari hota hai we dusare blog ke content me thoda sa change karke apne blog par publish kar dete hai.

Isase we apne blog ke SEO ko kharab karte hai. Agar aap aisa kuchh kar rahe hai to samajh lijiye ki aap google se achhi traffic kabhi nahi paa sakte hai. kyoki google ab bahut hi advance ho gaya hai weh inn sabhi duplicate posts ko aasani pehchan leta hai. aap hamesha original post ko hi publish kare.

Agar aap Original Content Publish karege to Google to aapki post ko rank karega hi, uske sath jo user aapke blog par aayega wo bhi aap ki Post ko pasand karenge, jo unko sirf aapke blog par milegi.

Ye Jarur Pade: Post Copy karne ke Fayde or Nuksaan

#4 Apne Interest ko pata kijiye

Jisme Interest hai Agar wo kare to Paise Piche Bhagte hai.

Rohit Mewada

aap kabhi bhi aise chij par blogging mat kijiye jisme aapka interest hi naa ho. aap sabse pehle apne interest ko pata kijiye kyon ki lambe samay tak blogging karne ke liye usme interest hona jaruri hai.

Apna Interest kaise pata kare uski jankari yaha hai, aap uski madad se sabse pehle to apna interest pata kare.. ham kis kis topic par blog bana sakte hai uski list aapko yaha mil jayegi.

#5 Dhairya ( Patience) rakhe

Sabra ka Fal Mitha hota hai ye to suna hi hoga aapne..

jab blogging suru karte hai tabhi se paisa kamane ke bare me mat sochna shuru kijiye. sabse pehle apne blog par quality post likhane aur traffic ko badhane par focus kijiye.

blogging me successful hone ke liye aapke patience ka hona bahut jaruri hai kyoki isame samay lagta hai. bahut se naye blogger patience me kami ke karn kuchh samay bad blogging chhod dete hai. Lekin lage rahenge to dheere dheere aapko safalta jarur milega.

Imp tips: lage rahiye. aap jarur successful honge.

At Last:

Ant me agar aapko me kuch tip dena cahu, to me sirf aapse yahi kahunga, starting me aap paise par ya jada traffic par focus naa kare, sabse pehle sikhne par focus kare… jese jese aapko sabhi chijo ka knowledge hote jayega automatic aapki traffic bhi badegi or income bhi.

Also Read: 70+ Blogging mistakes Jo Blogger ko Nahi karni Chaiye

Share on:

mera naam Vinod Kumar Singh hai. Aur mai WebKaise ka founder hu. Mai apne blog par blogging, online earning aur internet ki jankari hindi me share karta hu.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

108 thoughts on “New Blogger Ke Liye 5 Jaruri Jankari Blogging Tips”

  1. रोहित सर थैंक्स इस पोस्ट के लिए। मै एक shayari वेबसाइट बनाना चाहता हूँ? लेकिन क्या मै उस वेबसाइट में केवल image ही डालूँगा तो क्या वो वेबसाइट गूगल में रैंक करेगी या नही?

    Reply
  2. Aap kaun sa templete use karte hai mujhe chahiye kaise download kare detail me batao

    Mera alexa bahut hi high hAi kyu check karke bataye

    Reply
  3. hlo mai blog mobail se use
    krna chahta hu kyokii mere
    pass leptop nhi h
    Or Maine blog bna liya h
    but andoride me agar thik SE
    chlane ka tarika hoto PLZ
    reply

    Reply
  4. hlo mera nam Altaf h Maine ek blog bna liya h or use v Krr rha hu but
    mai blog leptop se bna Liga tha
    or ab mere pass leptop nhi h
    to kya Mai andoride phone SE
    blogger use krr sakta hu
    or Maine krke try v kiya but sare Option nhi aarha jaise comment

    to agar andoride me ache se use krne
    ka tarika hoto plz
    mere email h = Altaf.raja237@Gmail.com
    ya fir mera Call or whtsapp no h = 8738949730

    plz Help me kuch jarur reply krna

    Reply
  5. आप के पोस्ट वाकई में बहुत ही ज्ञान वर्धक होते हैं , मुझे ब्लॉग्गिंग में कुछ भी नहीं आता , पर आप सब की मदद से मैंने बहुत कुछ सीखा . अभी भी मै केवल १०% ही जान पाया हूँ , मेरे पास कंटेंट तो हैं पर मै टेक्निकली बहुत कमजोर हूँ , उम्मीद है आप सब इसी तरह सिखाते रहेंगे . आप को बहुत बहुत धन्यवाद

    Reply