Friends, me aapko ek bhut hi interest website ke ware me aaj batane wala hu, or agar aapki koi Website/Blog hai to aapko ye jankari bhut pasand aane wali hai. Aap iss Website ki madad se ji aaapki website ke visitor hai, aap unki recording kar sakte hai or dekh sakte hai wo aapki site par kya karte hai, kitni der site ko use karte hai, or kaha kaha click karte hai.
Chaliye website ke ware me jane or usko kaise use kare wo sab jaanne se phele thoda ye jaan lete hai, ki ham iss website ka kaise fayda utha sakte hai apni website ko or jada improve karne me.
- Aapke Visitor ke browser me site sahi se load ho rahi hai ke nahi, wo aap dekh sakte hai.
- Jo Visitor hai wo kaise aapki site ko use karta hai wo aap dekh sakte ho. uske baad agar aapko lage ki usko koi paresani aa rahi hai use karne me to aap design ko improve kar sakte hai.
- Visitor aapki site par kaha kaha click kar raha hai wo dekh sakte ho, or isse aapko idea ho jayega ki wo kya jada jaanna chate hai.
- jo Visitor hai, unke mouse ka moment dekh sakte hai.. isse aapko ye bhi idea ho jayega ki wo aapke article ko kitna read karte hai.. jisse aap apne article ko or improve kar sakege.
- Aapki website par kaha jada click hote hai wo aap heatmap ki madad se dekh sakte hai. uska fayda ye hai ki jaha jada click hote hai waha aap ads ya aesi link add kar sakte hai jisse aapko jada fayda ho..
To mene aapko itne fayde bata diye hai ki aap usko ek ware try karke to jarur dekhege, or muje ummid hai aapko ye jankari pasand bhi aayegi, or isse aapko apni site ko improve karne me bhi help milegi.
Agar aapki site achi se open nahi ho rahi aapke visitor ke device me to aapko apni site ki speed improve karne ki jarurat hai. Loading Speed kaise badaye site ki uski jankari mene share ki hai.
Website ke Visitor ki Recording kaise kare
Visitor aapki site par kya karte hai, uski video recording karne ke liye aapko sabse phele ek website par jana hoga, or fir usme account bana kar ek code hai jo aapko apni site me add karna hai.
Step 1: Website par jaye fir apna account banaye.
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”http://hindimehelp.com/smartlook”]Smartlook Website[/button]
Step 2: Ab jo Page aayega. usme apni Email ID or password daal kar account bana le, ya Direct facebook se bhi login kar sakte hai.
Step 3: ab aapka account to ban chuka hai, par aapko ek code apni site me add karna hoga.
- Aapko ye code <Head> tag ke andar dalna hai apne template me.. agar aapko iski sahi jankari nahi hai to me aapko suggest karuga aap HTML/Jawascript widget me add kare.
- Code site me add karne ke baad Done par click kare.
Step 4: Ab aap thoda wait kare, aapki site par jab visitor aayege or aapki site ko use karege to unki recording hogi or wo aapke deshboard me aa jayegi.
Aap Upar image me dekh sakte hai, jo bhi visitor ko track kiya jata hai uski kya kya detail hoti hai.
- User ne kon kon se page open kiye.
- Kis Country se tha.
- Date or time
- number of Page jo open kiye.
- Kis Device, Browser ka use kiya.
- Visitor kaha se aaya, Google, Facebook, Direct..
Ye sab detail aap dekh sakte hai… or agar aapko dekhna hai ki jo visitor hai wo site par kitni der ruka or usne site par kya kiya to aap Play ki button par click kare.
Step 5: Ab aapke samne jo page open hoga, usme video hoga. jisko aap play karke dekh sakte hai ki jo visitor tha usne aapki site ko kaise use kiya or kya kya kiya.
Isse aapki site me agar kahi koi kami hogi to aap uska aasani se pata laga kar tikh kar sakte hai.
Iss Website ka ek or feature hai HeatMap, jisme ham jitne bhi visitor hai wo kaha click karte hai wo dekh sakte hai. uske liye aapko Heatmap me apni site ko add karna hoga..
Add karne ke baad thoda wait kare, Q ki visitor aayege or aapki site par click karege usko track karne ke baad hi wo uski information teyar hoti hai.
To Dosto, Specially Bloggers .. muje ummid hai aapko ye jankari jarur pasand aai hogi or aapko isse help bhi milegi agar aap apni site ko apne kisi visitor ki najar se dekhna chate ho to..
Agar aap Isko baad me use nahi bhi karna chaho to simple aapne jo code apni site me add kiya hai usko remove kar dijiye.
Aapko ye jankari kesi lagi comment karke batana naa bhule. or blogging se sambandit agar koi sabal hai to aap puch sakte hai.
Also Read: वेबसाइट की ट्रैफिक बढ़ाये 50+ तरीको से
I was really looking for this solution
Bahut badhiya
ye lagbhag sabhi ko chihey solution
Bahut hi useful information hai
Bhai thanks for this post. Well defined.
Nice post mere bhai bahut achha post likhte hai God Se Duaa Hai Ki Or Age Aap Badhe
Good
best post
Good Information sir, your ideas are always good.
Good Information Rohit ji
bhut achi jankari hai . share karne ke liye dhanywad .
lekin mera aapse ek sawal hai yadi ham iska code apni site dalte hai to isse koi problem to nhi hogi site me , koi miss use to nhi hoga hamari site ka ?
rply please..
bahut badhiya jaankari sir.. will this effect our loading speed?/
सर क्या ये सब गूगल अनाल्य्टिक में नहीं हो सकता ?
Nahi bro
kya yahi sab Google analytics me nahi ho sakta sir
Aise tool ki jaroorat mujhe kitne dino se thi….
Thanks bhai….
welcome
Amazing information bro
Me bhi jarur try karunga
bhai sabse jayeda traffic Facebook se aata hai ya Twitter se. …
to depend karta hai.. aapke jada user kya use karte hai. wese india me Facebook jada popular hai
bhai sabse jayeda traffic Facebook se aata hai ya Twitter se..
Bhai.. information aapki bahut achhi hai…But ye puri tarah secure hai na?? And isse blog loading par asar padega??
haa loading par aasar padega.. me aapko suggest karuga.. aap kuch time use karke dekhe.. than remove karde.. pure time add karke rakhne ki jarurat nahi hai.
sir maine apna phone samsung s7562 root kiya tha fir maine galti se system file delete kar diya jisse mera phone puri tarah on nahi ho raha hai agar aapke paas iska kooi solution hai to plz batao bai mai aapko dusri baar comment kar raha hoo
rry brother muje iski jada jankari nahi hai.
bhai maine apna samsung android phone root kiya tha fir maine galti se system file delete kar diya jisse mera phone on ho raha lekin puri tarah nahi ho raha hai ab mai kya karu jaldi reply karna bhai mai wait kar raha hoo
sorry for late reply.. buddy iski jada jankari muje nahi hai.. aap service center dikhaye.. q ki root karne me kabhi kabhi mobile me problems aa jati hai.
Wow Good Post
Rohit Bhai hum blogger par hai to kya hum us code ko copy karke layout me jakar new Java script me save kar du to kaam kar sakta hai.Ya phir ye tricks only WordPress ke liye hai.
aap blogger me bhi kar sakte hai..
rohit bhai kamaal ki information share ki hai aapne
Rohit sir aapne bahut achhi post likhi hai me aapse ak help chahta hu Meri wabsite google me rank nhi ho rhi best chij kya hogi jise karne se rank ho jaye please btaye help kijiye sir.
aap ye read kare.
Google Search Results Me Top Par Kaise Laye Blog Post Ko
बहुत अच्छी जानकारी आपने शेयर किया हे लेकिन क्या इससे हमारी ब्लोग का लोडिंग समय बंढ जाएगा
nahi, loading time nahibadta.. par user ka thoda data jada lagta hai.. mera suggestion hai isko use karke code ko site se hata diya jaye..
Rohit bro kafi acchi information hai ..Kidhar se Late ho itna accha accha Trick.
Grate post
Good
बहुत ही उम्दा लेख …. शानदार प्रस्तुति …. ऐसे ही लिखते रहे और मार्गदर्शन करते रहें। :)
Thanks for sharing this!! :) :)
kaafi Intresting Article hai…
nice post sir.. kya aap bata sakte hai ki invalid click activity se kaise bacha ja sakta hai wordpress blog par
Ads ka sahi placement karke.. baki agar koi jaan bhuj kar kar raha hai.. to aap unki IP address block kar sakte hai blog me.
1.sir kya hum bank passbook ke through apna adsense pin verification karwa sakte hai….?
2.kya hum apne youtube channel me bina 10,000 hue adsense ke liye apply kar sakte hai.
3.agar hamare 10,000 se jada views ho jaate hai tab hame kya youtube ko alag se request karni padegi,ya sirf monetize option ko enable krna hoga.
Nice Post :) Good Job !! Keep posting :)
Happy Blogging :) !!!!!…..
Kamal ki jankari. Visitors ke najariye se apne blog ko dekhne ka ek alag hi experience mil raha hai. :)
Itni jabardast information share karne ke liye Thanks :)
Most Welcome Brother :)
wow…… jo aapne btaya kaafi mazedaar lg rha hai, apne visitor ko proper dekhna ki veh kya dekhte hai????????????….
lekin kya aisa krna secure rhega….? is site ke use se koi dikkat to nahi???
nahi, koi dikkat nahi hai.. par mene isme ek chij notice ki… ye un readers ko hi record karta hai jinka internet connection acha rheta hai.. sayad ye unka data use karta hai recorde karne me.. to me aapko suggest karuga.. jab aap analyse kare.. sirf jab uske code ko site me add karke rakhe. or uske baad remove karte..
Sir maine iss tarika ko follow karke apne site me laga liya. Mujhe ak aur jankari chahiye kya ham iss trick ko blogger me bhi use kar sakte hai
haa bilkul aap blogger me bhi use kar sakte ho.. Aap internet ki kisi bhi site par use kar sakte ho.. jisme aap iska jo code hai wo add kar pao..
very good information
your work its really good
Thanks Jagdeep.. To dekhiye kya karte hai aapke visitor aapki site par ;)
Bahut Hi Interesting Janakri Share Ki Hai Apne Rohit Ji :)
Es Post ko Read Krne Ke Baad Mai Kaafi Excited Hu Mere Blog Ki Performance Cheak Krne Ke Liye!
And Rohit Ji Kya Esse Kisi Dusre Ke Blog Ki Bhi Performance Cheak Kar Sakte Hai Kya ?
And Sir Mane Apki Email Pe Guest Post Send Ki Hai Ap Cheak Kariye
nahi ham dusre ki site ka check nahi kar sakte.. hame wo code add karna padega jiska check karna hai..
Me Guest post check karke aapko email par reply karuga.. thanks