ye to aapko pata hi hoga Google me agar website ko rank karna hai to fast loading website hona chaiye.. Kyu ki Google ka kehna hai wo ussi site ko upar dikhate hai jiski performance achi hoti hai taki user ko pareshani na ho. Aap Google Ranking Signals yaha dekh sakte hai.
Agar SEO ke nazariye se dikha jaye to Website ki speed direct effect karti hai ranking par.. isliye hame website ki speed badane ke liye har wo chij karni cahiye jo ham kar sakte hai.
Website ki speed kaise badaye uske ware me pehle bhi HMH par share kiya hua hai, or abhi aapko 17 or tips share kar raha hu jisse website ki speed or badh sakti hai.
Page Contents
Website ki speed kyu badaye?
koi bhi website ho usko jab user open karte hai, to wo chahte hai fast load ho..
Google Research ke according agar website ek second se jada time lagati hai load hone me to 7% users ka nuksan hota hai.. or agar website loading time 3% second se jada hai to 53% user website ko close karke chale jate hai.. jisse website ka bhari nuksan hota hai.
Agar aapki website hai to simple si baat hai aap uspar jada se jada user lana chahenge.. or uske liye aap uspar acha badiya content bhi publish karte hoge.
Google ne Officially bhi keh diya hai ki wo Website Speed ko ek Ranking Signal Mante hai, or ye ranking signal June 2021 se apply ho chuka hai isliye aap apni website ki speed ko ignore nahi kar sakte.
Website ki Speed kaise Check kare
Website ki speed ko check karne ke wese to bahut se tools hai par real user ke liye aapki website kesi open ho rahi hai ya kitna time content ko load hone me lag raha hai agar aapko wo pata karna hai to aap Monsterinsights plugin ka use kar sakte hai.
Monsterinsights plugin ki madad se ham website me Google analytics ko add kar sakte hai or wordpress website ki performance ko track kar sakte hai, jisse hame detail me pata lag jata hai ki website kitne time me load ho rahi hai or agar jata time lag raha hai to uska kya karan hai.
WordPress Website Speed track karne ke liye simple aapko pehle Monsterinsights plugin install karna hai uske baad.. Insights >> Reports >> Site Speed par jana hai, waha aapko Mobile or Computer ki alag alag report mil jayegi.
Report to ham dekh hi sakte hai, iske sath agar kahi kuch improvement karne ki jarurat hai site speed ko badane ke liye to uski detail guide bhi mil jati hai.
Website ki Speed ko ham man 4 point me baat sakte hai, or uske according set kar sakte hai ki pehle kya load ho or konsa badme load ho.. ya konsi script/code hai jo load hi naa ho.
- Server Response Time – ye wo time hai jab website load hone se pehle server response karta hai, iska direct connection hosting se hota hai.
- First Content Paint – Website jab load hona start hoti hai to sabse pehla content kab load hota hai jo user ko dikhta hai usko first content paint kehte hai.
- Time to Interactive – Website load hone ke baad user kab website par kuch action kar paye.. jese form fill karna ya kuch click karna..
- Total Blocking Time – ye wo time hai jab tak user website me kuch nahi kar sakte.. blocking time ke baad hi kuch action kar pate hai.
ye sabhi detail hame monsterinsights me mil jati hai.. jinko ham badi aasni se tikh karke website ki speed ko bada sakte hai.
Chaliye ab jaan lete hai kya kya tarike hai jinse ham apni website ki speed ko bada sakte hai or Google me Rank kar sakte hai.
WordPress Website ki Speed ko Badaye
WordPress website ki speed ko kaise badaye uske ware me pehle bhi HMH par jankari share ki thi, wo bhi aap jarur read kare.. uske sath aapko ye tips bhi follow karna hai jo iss article me share kar rahe hai.
1. Sahi WordPress Hosting Select kare
WordPress website kitni fast load ho rahi hai uska sabse main reason web hosting hi hoti hai.. agar hamari site jaha Hosted hai unka response time hi fast nahi hai to kaise website fast load ho sakti hai.
Agar aapko WordPress website ki speed ko focus me rakhna hai to jo achi WordPress Hosting hai sirf unka use kare.. jese Bluehost, Cloudways, Hostgator or WPX (HindiMeHelp abhi WPX par hi hosted hai.)
Badiya Hosting kaise select kare, uski detail guide aapko yaha milegi.
2. Caching Plugin use kare Response Time accha karne ke liye
Website ki Loading me Caching plugin ka bahut bada hath hota hai, jisse jab bhi user website ko open karte hai to jo files change nahi hoti wo autoload ho jati hai unke browser me jisse website ka response time bahut accha ho jata hai.
Free Plugin me WP3 or WP Super Cache hai .. par agar aap website ki speed ko super fast karna chahte hai or uske liye investment bhi karne ko teyar hai to bina soche WPRocket Plugin install kar lijiye.
WP Rocket Plugin kya hai or kaise isko use kare, uski detail me jankari aapko HMH par hi mil jayegi.
3. Image Optimize kare Compression Tools ki madad se
Blog Post me Image use karna jaruri hai, or ye bhi kaha jata hai ki ek image 1000 sabd ke equal hoti hai.. to image to use karna bhi cahiye..
Par agar ham jo image post me use kar rahe hai usko sahi optimize nahi karege to jo site ki loading time hai wo bahut jada badh jata hai.
Image Optimize karne ke liye aap sabse pehle to jo Image ki dimension hai wo apni blog design ke according kare. uske baad image ka size compress kare.
Online Image Size kaise compress karte hai uski jankari aapko yaha mil jayegi.. iske sath sath wordpress me Plugins bhi hai jinki madad se image ko compress kiya ja sakta hai.
*Bhale aap imagee ko compress karne ke liye plugin ka use karte hai, par upload karne se pehle usko compress jarur kare jisse aapki hosting ka jada space use na ho.
4. CDN ka use kare
Agar aapko website ko fast load karna hai to uske liye jaruri hai, ki jese hi user broser me aapki website ko open karne ke liye request kare to jaldi se website load ho.. uske liye jaruri hai ki aapki website jaha host hai wo location user ke pass ho.
Jese jab bhi ham hosting lete hai to uska server kaho hota hai, or puri duniya me kahi se bhi user usko open karte hai to aese me data ko transfer hone me time lagta hai, ussi ka solution hai CDN
CDN ka matlab hota hai Content Delivery Network, jisme agar ham apni website ko CDM ko use karte hai to CDM ki madad se puri duniya me hamari website ki file bat jati hai jisse user puri duniya me kahi se bhi website open kare, uske sabse pass ke server se data browser me load ho jata hai.
WordPress ke liye Best CDN konsa hai uski jankari aapko HMH par hi mil jayegi.. ussi ke sath me aapko suggest karuga agar aap apni website ko improve karna chahte hai to chota sa investment karne me aapko koi paresani nahi hai to aap bina soche abhi apni website me CDN jarur add kare.
5. WordPress site ko hamesa Update rakhe
ye to aap jante hi hoge, kisi bhi chij me agar koi update aata hai to wo uska improvement version hi hota hai, matlab pehle se bhi behtar.. to aese me jab bhi WordPress ka Update aaye aap usko jarur update kare..
Website ko up-to-date rakhne me uski speed me to fayda milega hi, sath hi sath WordPress Security bhi badh jayegi usko update rakhne me.
WordPress site ko update karne ke liye aapko Dashboard me jana hai waha aapko mil jayega ki aapki website konse WordPress version par hai..
agar aap wordpress ko manually update nah karna chahte to auto update bhi on kar sakte hai, jisse jab bhi koi naya update aayega automatic update ho jayega..
Auto update aap Plugin me bhi on kar sakte hai. wass iss baat ka dhyan rakhe, agar koi plugin trusted nahi hai to uska auto update on naa kare.
6. Fast Loading Theme use kare
WordPress site ko accha design karne ke liye badiya theme to aap use karte hi hoge.. par ye baat bhi aapko pata hona chahiye ki agar bahut jada design element aap use karege to website ko load hone me bhi time lagega..
WEbsite ko minimal design rakhe jo fast load ho or user ko bhi website ko access karne me pareshani na ho.
Jese Genesis Theme ek fast loading theme hai jo HMH par bhi install hai. Studio Press bhi ek fast loading theme hai.
7. Website me Custom Fonts kam use kare
Website par jo bhi content hai, simple hi baat hai aap cahege ki wo dekhne me or read karne me accha lage or aasan ho. par iss baat ka bhi dhyan rakhna agar aap bahut jada custom fonts use karege to un sabhi ki file load hogi pehle jisse website ka loading time bahut badh jata hai.. isliye ye suggest kiya jata hai ki 1-2 font type hi use karna chahiye.
agar aap koi Google font ko use kar rahe hai to uski file har war load ho usse acha aap uss font ko website par hi host kare.. jisse server request kam hogi to website fast load hogi.
8. Deactivate Plugin jo aap use nahi kar rahe
WordPress ki funcanility badane ke liye ham bahut si plugin ka use karte hai, aese me bahut si plugin aisi bhi install kar lete hai jinka jada use nah hota..
Jitni jada plugins aap use karega utna hi jada server par load padega.. to uska solution ye hai aap WordPress dashboard me jaye or plugins me jakar dekhe konsi konsi plugin hai jinki aapko jarurat hai or baki sabko ko deactivate karde.
agar koi Plugin aese hai jinki aage aapko kabhi jarurat padni bhi nahi hai to usko aap delete bhi kar sakte hai.. jisse jo extra file server par plugin se bani hai wo delete ho jayegi.
9. Use Fast WordPress Plugin
WordPress me agar aap koi bhi Plugin use karte hai to usme iss baat ka bhi dhiyan rakhe kahi uss plugin ki baja se website ka loading time jada to nahi badh raha..
Agar koi aesi plugin hai jo bahut time se update nahi hui hai to ho sakta hai wo Update WordPress version me tikh se kaam na kare.. isliye jab bhi koi plugin wordpress me install kare.. usse related jo dusri plugin hai unse bhi compare kare. uske baad hi fesla le ki aapko konsi plugin install karna hai.
Jab bhi aap koi Plugin Install kare to apni website ka Loading time install karne se pehle or Install karne ke baad bhi check kare, jisse aapko clear idea mil jayega ki uss plugin se loading time me kitna fark pada hai.
10. Render-Blocking Javascript or CSS ko sahi kare
Jab bhi website open hoti hai to usme bahut sari scripts or files load hoti hai, aese me kuch script aesi hoti hai jinki starting me hi jarurat nahi hoti.. matlab jese sabse main hai ki website ka content load ho, uske baad image fir ads ya baki chije load ho..
Jisse user ke jo bhi kaam ki cheez hai wo starting me hi load ho jaye to user ko paresani na ho.
WordPress me aesi plugins bhi uplabd hai jinki madad se ham set kar sakte hai ki konsi script pehle load ho or konsi baadme..
Agar aapko ye sab aasani se or jaldi fix karna hai to aap WP Rocket plugin ka use kar sakte hai.
11. WordPress Database ko Optimize kare
jjo agla tarika hai website ki speed badhane ka wo hai Website ke database ko optimize kare..
jese jese website purani hoti jati hai, ham usme bahut si theme or plugin install karte hai or remove karte hai.. aese me kuch aesi files database me reh jati hai jinki hame ab koi jarurat nahi to unko delete karna hamare liye jaruri ho jata hai taki database par jada load naa pade.
WordPress me Database ko manage karne ke liye bhi bahut si plugins uplabdh hai, aap kisi bhi plugin ka use krke database ko optimize kar sakte hai.
Example aap WP-Sweep plugin ka use kar sakte hai.
12. Direct Video or Audio files ko WordPress me upload na kare
Ek badiya Article likhne ke liye jaruri hai ham usme jitne bhi media content hai unko add kare, jisse user ko ache se jankari mil sake.
Jese ek badiya Post me Grapgics image ke sath usme Video or Audio bhi add karna cahiye.. par yaha iss baat ka dhiyan rakhna bhi jarur hai ki ham direct WordPress me Video ya Audio file ko upload na kare..
Video ko Host karne ke liye ham kisi bhi third Party website ka use kar sakte hai, jese Youtube uska sabse best tarika hai.. ham Youtube par Video upload karke video ko post me embed kar sakte hai.
13. Long Article ko Multiple Page me devide kare
Jab bhi ham post likhte hai, hamara sabse main maksad hota hai ki jo bhi jankari hai usko detail me likha jaye.. jisse User bhi hamari post ko pasand karta hai or user bhi kyu ki unko bhi sabhi jankari ek hi jagah detail me mil jati hai.
Wese bahut logo ko doubt hai ki long post jada achi rehti hai ya Short, to iske ware me pehle hi HMH par post share ki hui hai agar aapko bhi ye doubt hai to aap read kar sakte hai.
Jada Long Post likhna wese to hamare liye accha hi hai, par bahut jada long hone ke kara jada image or content load hota hai jisse website ka loding time badh jata hai.
Aap jo bhi post hai agar wo bahut jada long ho rahi hai to aap post ke multiple page me bat sakte hai, jiska option wordpress me aasani se mil jata hai.
WordPress Post ko Multiple Page me batne ke liye simple aapko Page Break Block add karna hoga Post me.
Agar aap WordPress Classic Editor use karte hai to aap <!–nextpage–> tag use kar sakte hai.
14. Comment section ko Divide kare multi page me
Agar aapka Blog HMH ki trha popular hai to bahut se comment bhi aake blog par aate hoge, jo ki achi baat hai kisi bhi blog ke liye.. par agar bahut jada comment hote hai to load hone me time lagta hai page ko.
Agar bahut jada comment hai to aapko WordPress setting me jakar set kar sakte hai ki kitne comment aapko post par dikhana hai.. jese normally 50 comments sab set karke rakhte hai.
15. Full Post ko dikhane ke jagha uska kuch hissa Home page par dikhaye
Jo bih ham post karte hai, default me wo puri post hi home page par dikhti hai.. par usse hota ye hai ek hi sath bahut sari post load hoti hai jisse loding time bahut badh jata hai.
WordPress me hame iska bhi option milta hai ki hame puri post dikhani hai ya starting ka kuch part.
Simple aap WordPress setting me jakar Reading par jaye. or fir For each post in a feed, include ko Summary select kare.
16. Backup Plugin ko Low Traffic par Run kare
WordPress website ho ya Internet ki dusri koi bhi website.. uska Backup lekar rakhna bahut jaruri hai.. kyu ki agar kuch bhi galat website me hota hai to backup ki madad se ham usko aasani se tikh kar sakte hai.
WordPress me Backup lene ke liye bahut si backup plugin hai jinko simple ham install karke apne according daily ya hafte me backup le sakte hai.
Jab bhi aap Website Backup ka time set kare, ye jarur dhiyan rakhe ki aap wo time select kare jab website par sabse low traffic aata ho. jisse server par jada load nahi padega.
WordPress Website ka Backup kaise lete hai uski detail me jankari aapko yaha mil jayegi.
17. Lazy Load ka use kare
koi bhi website ho, user usko sirf jab pasand karte hai jab wo fast load ho.. aese me bahut war aisa hota hai ki user ke jo kaam ki chij hai wo load nahi hoti or jo kaam ki nahi hai wo pehle load hoti hai jisse user ko bahut paresani hoti hai.
Iss Problem ka solution hai Lazy Load, jisko set karne ke baad jese jese user website ko scroll karta hai utna content load hote jata hai.. jiska fayda ye hai jo website ka niche ka content hai wo pehle load nahi hota or upar ka content pehle load hota hai.
Aap Lazy load ke liye Plugin bhi install kat sakte hai, jisme aap Image or page ke baki element ko set kar sakte hai.
Aap Lazyload by Rocket plugin ki madad se kuch clicks me isko set kar sakte hai.
Abhi ke liye itne hi Tips kafi hai, ummid hai aapko inse bahut kuch naya sikhne ko mila hoga.. or aap apni wordpress website ki speed ko track karne se lekar usko improve karne tak sab kuch kar payege.
agar aapka koi bhi question hai to aap comment karke puch sakte hai, aapko ye jankari kesi lagi wo batana naa bhule.
bahut helpful hai yea sabhi
wordpress is best hosting platform
bahut acchi jankari mile goole ke bare me aapki yh post padkr thanks
Bhai Hindi blog me Hinglish me likhna sahi hota hai ya hindi me ?
aapke sawal ka jabab aapko yaha milega..
Hindi ya Hinglish kisme Blog banaye?
Bro aapke Hinglish waale post par kitne tak ki CPC mil jaati hogi…??
0.1$ ke aaspass
bohat bhardiya bhai mere website bohat slow load ho rhi thi iski waja sy bohat sary users chord jety thy or bounce rate bht uper hogya tha ranking me frq pardh rha tha bhat bhat acha article ha
thanks
Bahut Bdiya si ji
nices blog
Bahut post hai Site ki speed ko increase karne ke liye.
Sir mera aapse ek sawal hai, sir mene ek guest post ready ki hai 4000 words ki sir isko mene bahut dino ki mehnat se banya hai, sir mene isko apne blog ke liye ready kiya tha magar sir ab me wo blog delete kar Raha hu to sir Kya aap wo post accept kar lenge
Thanks Rohit sir 😊
Aap Detail hame email kare..
Sir, Maine 4-5 sal se apka fan hu… Or bahut kuch sikhta Hai… Sir Mera blog educational niche par Hai 5 years purana… Daily traffic 5 thousand… Lekin income a average 2 doller…. CPC bahut low milta Hai… Sir please ap Mera blog ko review kar ke bolenge kaise Mai achhe earning kar paunga…
Aap Aese topics ko target kare, jo high value wale ho. slow slow jab unn keywords par traffic aayega to aapki income jarur badegi.
Kya Aapki Website Par Koi Asi Post Hai Jo Ki Blogger Website Ka Speed badhane ke Liye Jankari
sabhi point nahi par kuch point apply hote hai.. aap yaha read kare
Apke Blog k logo ka size kitna hai?
440×96
resolution/
Best information sir ji thank you so much.
can you tell me wp rocket plugin vs wp litecache plugin from which is best?
wp rocket best hai.