Youtube Kya hai ye to sab ko pata hai or Youtube se paise bhi kamaye ja sakte hai ye bhi me pehle bata chuka hu.. Bhut se Youtube par channel hai jo acha paisa bhi kama rahe hai.
Youtube par hum apni channel ka sari detail to dekh sakte hai jaise kitne views, kitni earning, kitne subscriber bagera bagera.. Par kya aap jante hai hum kisi dusre ki channel ka analytics data bhi dekh sakte hai or pata kar sakte hai ki unki kitni income hoti hai us channel se.
Kisi bhi Channel ki Information pata karne ke liye hame ek website hai jiski jarurat padegi. To chaliye dekhte hai kaise kya karna hai kisi bhi Youtube Channel ki Puri Information nikalne ke liye.
Kisi Bhi YouTube Channel ki Income or Analytics Pata kare
Kisi bhi Channel ka Analytics Data dekhne ke liye in Steps ko Follow kare
Step 1: Sabse Pehle Socialblade.com website ko open kare.
Step 2: Ab Website open hone ke baad aapko uspar ek search Box deihega.. usme aap kis channel ka data dekhna chahte hai wo search kare.
Step 3: Ab aapne jo channel search ki hai uski detail aapke saamne aa jayegi..
Jese aap dekh sakte hai mene setindia Channel ko search kiya tha to uski detail kuch is prakar hamare samne aai..
Kya Kya Jaankari Pata Chal sakti hai Youtube Channel ki SocialBlade ki madad se
- Kitne Video Upload hai Channel par.
- Kitne Subscribers hai Channel ke.
- Total kitne VIews hai sabhi Video ke.
- Channel kis Country ki hai.
- Channel ka Type kya hai.
- Channel kis Date ko banai gai thi.
- 30 Din me kitne Views huee.
- 30 Din me kitne Subscribers bade.
- 30 Din me kitni Income hui.
- Monthly Kitni Income hoti hai.
- Yearly kitni Income hoti hai.
- Daily kitne Views, Subscriber or Income hui hai.
- Views or Subscribers ka Graph bhi dekh sakte hai.
- Do Channel ko Compare bhi kar sakte hai.
- Channel ki Rank, Video ki Rank or Social Blade rank bhi dekh sakte hai.
- Channel kis network par hai.
Note: ispar jo Channel ki earning dikhai jati hai wo estimated hoti hai.. Matlab wo ek andaja hai views ko dekhne ke baad.. Ho sakta hai usse jada ya usse kam earning ho.
To Friends Ab aap Jaan chuke hai ki Youtube par kisi bhi channel ka analytics data pata kar sakte hai.
Agar aapka isse sambandhit koi sawal hai to aap comment karke puch sakte hai. or ye jankari kesi lagi wo bhi jarur bataye.
Aap bhi agar HMH Guest post karna chahte hai to yaha click kare..
Dusri Guest Post padne ke liye yaha click kare.
Ye Bhi Pade:
Thank u for sharing this most importnat article with us….
Very nyc information rohit bhai…!
Great Tips
Youtub pe sirf caupyutar par hi chennal banasakte he mobil pe nahi bana sakte agar mobilpe bana sakte he to muje isaki sari jankari dijiye
Mobile par bhi same process hai.. Aap chrome browser me YouTube open karke desktop view on kare.. Fir same step follow kare..
Aap mujhe ye bata sakte hai k. Kitne view k baad pese milta h.
ye koi limit nahi hai.. par jitne jada utne ache ..
when youtube beg account no. and how he know my account no.
account no. kaise aur kab maga jayega
Aapka adsense account me jab address verify ho jayega.. Uske baad aapko adsense account me apni bank account ko add karna hai..
you tube me jo kamayi hogi vo kaise account me aayegi account no. kaise dena hoga .aur kb maga jayega ya name se ho jayega please details me bataye bahut pareshan h janne ke liye
Adsense ke jariye aapke account me aayegi.. Or adsense me aapko apna bank account add karna hai..
Sir
Mene Apne Youtube Pr 22 videos Dal Chuka Hu Khud Ke
Adsense Se Bhi Jur Chuka Hu
lekin Aj Partner Verify Kiya H
kya Muje Un Videos Ki income Nhi Hogi
Verify Krne Se Phle Dale The
Or Muje Ye Bhi Jan Na H
meri Income Kb Start Hogi
Phele ki aapki income nahi hogi.. Or income aapke video par views aayege usse hogi..
sir mene YouTube PR channel to bna liya hai but me ya mere friends mera channel search krte hai to vo nhi milta kya mera channel YouTube PR add nhi hai..plz help me
YouTube video editing ke liye join SA software sahi rahega free air paid dono me batayia
Me Camtasia use karta hu.. Best software mere hisab se
YouTube ke liye koin video editing software thik rahega
camtasia
YouTube video editing ke liye koin SA software thik rahega
YouTube channel ke photo koin si website SE Lena thik rahega Jo free ho
haa koi problem nahi hai.
Sair plz btaye mere youtub se jo income hueye h use bank me kese dalu full btaye sair ji
sir mai apne blog post me guest post ki link kaise dalu.
process btaye pls.
sair hm apne income ko bank me kese transfer kre
Sir Maine abhi 1.46minute ki video YouTube par upload ki aur usse monitize karke AdSense se bhi jod diya lekin mere video par sir ek bhi viewers nahi hai mere AdSense me dollar ka nishan bhi hai lekin viewers ek bhi nahi hai sir pls help me
aare to views to jab aayege jab aap koi aesa video dalo jisko log dekhe.. jisko logo ki jarurat ho..
Goldenveda.com meri website hai…abhi traffic 300 350 daily hai…traffic badhane and website me koi kabhi ho to sudharne ke liye tips de kuchh…rohit ji….?
aap seo friendly post daly site par.. thise dhire badegi traffic
Rohit ji aapne bahut achhi jankari shre ki hai…Ab sab confusion dur ho gya ki kaise kya karna hai. Pahle bahut sara confusion tha. Thank you for this post.
Thanks aapke comment ke liye
Bhai ap na Jo top header mai close likha hai aur nacha us k lebel diye hai plz btao ga k kasa plz
ye wordpress me widget hai.. blogger me bhi hai
Rohit bhai bahot badi problem ho gayi hai problem ye hai ke
* maine godady se domin buy kiya or blog mai add bhi kar diya ajj 5 din ho gaye par meri site open nahi hoti hai blog kaurl open karta hu to godady ki site open hoti hai or mai dusri baar domin add karne ke liye blog mai setting:- besic :- MY BLOG ADDRESS Mai jata hu to ab to waha code bhi nahi ata hai maine pahle domin add kiya tha tub save kar diya tha http://panarainfo.blogspot.com
Or ye domin liya hai http://www.panarainfo.com. ho sake to dekh lena sir mai 5 din se confusion mai hu
agar aapne godaddy me wo code add nahi kiye the.. to aap blog me se bhi domain ko hata dijiye.. 24-48 hours me wo code fir se aane lagega jab aap add karege.. fir double se add karlena..
hello Rohit bhai
aapka post kaphi helpfull hai mai aapke post ke madhyam se he puri blog ko he bnaya hai mera blog ek bar dekh kr bataye ki mere blog me kaha kami hai mere blog me google adsense approv nhi ho raha hai plz help me…………https://thelectureschool.blogspot.in/
aap apne blog ka design change kare.. or uska formate acha kare ki dekhne me thoda acha lage..
Mai apna paypal account me jab card link kar raha hu to card accept nahi kr rha hai mera card visa ka hai account sbi ka hai help me sir….
Mene HDFC or Union Bank ka add kiya hai.. SBI ka support karta hai ki nahi uski sahi jankari nahi hai..
Rohit Ji maine blogger par new blog banayi hai..but uspar abhi koi bhi post dali nahi hai..wo isliye pehale to mai achi templates search kar raha hu blog ke liye or mujhe 2 3 aapki post padhne se hi tempaltes mili hi free wali… usme se filhal Dzine , Kontify or velocitymag hi use ki hai ..but use save karne par jo menu bar us template ki hai usme me edit nahi kar pa raha hu… edit html me ja kar Cnt+f dabane ke baad agar us menu baar ka koi option search karta hu to wo show nahi karta or me isi wajah se edit bhi nahi kar pa raha hu….aisa Kyo?? plz clearify detail me..
Thank You
aap template editor me phele click kare fir ctrl+f dabaye.. or uske baad search kare.. fir sirf template me hi search hoga..
Thanks for valuable information shearing…..
Mairai mn mai kuch sawal uath rhai hai aasha karta hu aap jrur mujhe guide kraige….
1) kya Godaddy sai जिस ईमेल id से डोमेन purchase करते है उशी ईमेल id से ब्लॉग बना होना चाहिये। अच्छा अगर अलग अलग email id हो दोनो के लिये तो डोमिन add करने मे परेसानी तो नही होगा न??????
और Godaddy तो हमे लिमिटेड time kai liyea daiga na…phir jb dusri baar jb reregistrations kartai hai ushi websites kai liye tb kya jish. Emai id sai pahali baar ushai kharida tha ushi sai phir kharidna pdaiga?
2)PayPal और पैनकार्ड और Google AdSense kai liye konsa email id daina hai… और बैंक account के लिए कोन सा ईमेल id देना है प्लीज़ बताये
3) rohit जी आप अपनी वेबसाइट के लिए email id की किश ढंग से सिक्यूरिटी के लिये सेट किये है । direct /indirect jaisa aap chahia btayai??
सायद ये क्वेश्चन बैसिक हो पर मेरे लिये बहुत ज़रूरी है…
Waiting for your favourable responce…..
email id alag alag ho sakti hai koi problem nahi hai
inme bhi aap alag alag use karna chahe to kar sakte hai no problem
email ko hack hone se kaise bachaye uski post me jald likhne wala hu
Hello Sir. APki hindi me help ki andriod app mere phone py crash hojati hai. Jese hi open karun tou bnd hojati hai or error ajata hai Hindi me help has been stop. please app kch hal btaye.
aapke phone me memory kam hogi wo ek karan ho sakta hai. Uninstall karke double se install kare.. Thanks
sir mere blog se power by blogger n niche k credit ht nhi rhe h mene sb try kr liya h
apki blogger ki sb post pd li h
power by blogger me jump to widget me na attribution 1aatah na css code se ho rha h
plz help
aap direct template me search karke usko delete kar dijiye..
This is really nice articl. sir ji,mera Youtube me karib 1lakh 20 hajar pageviev hai but income only 38 doller plzz help how to increase my income??
Aapke views kaha se aate hai or kis topicv par aapke video hai wo bhi nirbhar karta hai income par.. views kitne time me aaye wo bhi.. agar itne views jaldi aate to aapki incpome jada hoti..
Very nyc information rohit bhai…!
Social blade pr top YouTuber ke baare me bhi pta chlta hai
Bilkul Satish ji .. haa me ye point add karna bhul gaya :) Thanks
Bhaiaya maine Adsense ka ads 1 month pahle lagaya hai, avi tak adsense ke team ke taraf se koi message nahi aaye, Aur uske bad mujhe jummedin bhaiya be feedback message karne ke liye bole, maine wo bhi kiaya, koi reply nahi aaya phir maine 2 din bad phir feedback diya no response avi tak wait me hu, ab aage kya karu, 1 month se mai , jummedin se contact me tha but, jummedin bhaiya bole ab mai aapki koi help nahi kar skata aapki site bhi bahut achhi hai, contant bhi uske bad bhi nahi ho Rahi hai, sorry mai Kuchh nahi kar skata, isse Mujhe laga mai blogging chhod du but , maine socha aapko bhi mai ek bar bata deta hu, aap bahut anubhawi ho,
Aap mujhe sahi raay de, mai blogging ke duniya me duniya ko Kuchh Dena Chahta hu
ummid hai aapko inse jarur help milegi.. Thanks