Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi

YouTube kya hai or Youtube se paise kaise kamaye Video Upload karke, ya Youtube se online paise kamane ke liye kya karna padta hai, agar aese bhut se sabal aapke dimag me aa rahe hai to aap bilkul sahi jagah hai, me aapko bataunga kaise aap youtube se paise kama sakte hai.

Online paisa kamana koi jada muskil kaam nahi hai or koi bhi online paise kama sakte hai chahe bo koi bacha ho, buda ho, collage student ho, house wife ho ya fir kahi par naukri karta ho.

Advertisements

Aaj me aap ko batane ja raha hu ki aap sirf video banakar kaise paise kama sakte hai youtube se. Sirf aap ko karna ye hai ki video banaiye or youtube par upload kar dijiye.

Page Contents

Youtube Kya Hai ?

YouTube ek website hai jis par duniya bhar ke log apne video dalte hai or video dekhte bhi hai. or is ki madad se bhut se log bhut achi income bhi kar rahe hai. Aap Mene ek article likha hai jisme mene bataya hai YouTube ki Basic Jankari ke ware me jo aapko pata hona chaiye.

Youtube Se Paise Kaise Kamaye Hindi

Youtube par aapko sabse pehle to apne Google Account se login karna hai uske baad aap apne naam ki channel bana sakte hai ya fir dusre naam ki channel bhi bana sakte hai. Ek email se aap multiple channel bana sakte hai uski jankari mene di hui hai.

Aapko Youtube pae sabse phele apni ek channel banana hai fir apne apne banaye hue video upload karna hai, yaha dhiyan rakhe aapko paise video upload karne par nahi milege.. Aapko youtube se paise jab milege job log aapke video ko dekhege, jitni jada aapko video ko dekha jayega utni hi jada income hogi.

Aap Video ko acha se acha banane ki kosis kare jisko log dekhna pasand kare.

Youtube se Paise kamane ke tarike bahut hai, wass jarurat hai to aapke paise kamane ki lagan ki.

YouTube Par Upload video kare ?

Aapko Apne Youtube channel me Video upload karna hai.. agar aapko paresani aa rahi hai to aap mere post read kare jinme mene bataya hai kaise youtube par video upload karte hai.
Computer se YouTube par Video Upload kaise kare ?
Mobile se Youtube par Video Upload kaise kare ?

YouTube Video ko Monetize kare ?

Youtube ek option deta hai apne video ko monetize karne ka matlab youtube video par ads dikhane ka jisse hamari income hoti hai. Monetize chalu kaise kare or kaise apne adsense account ko YouTube se jode uski puri jankari mene step by step di hai.

YouTube se Kamai kaise hoti hai ?

Jab bhi koi viewers app ke video ko dekhega tab us par adsense ke ad show honge aur jab koi is ad ko open karega tab apki income hogi or is tarha app apne Video se paisa kama sakte ha. agar koi ads par click nahi karta hai tab bhi aap ki 1000 bar video dekhne par kam se kam 1$ income hogi.
Also Read: 1000 Views par kitni Income hoti hai Youtube Video se 

YouTube se Paise kaise milte hai ?

Payment kab aur kaise mile ga ye question apke mind m foran hi a gaya hoga. Ap ko apke video ka paisa adsense ke account k through mile ga aur adsense k account m jab aap ki income 100$ Dollar tak ho jayegi tab adsense apko payment karega.
Adsense payment ki process alag alag countries ke hisab se alag alag ha. India me EFT (Electronic Fund Transfer) k through payment karte hai. EFT se money direct aap k batye bank account me transfer ho jayegi.

Youtube se paise kab milte hai ?

Adsense mahine ki 21 tarikh ko payment sent karta hai agar $100 ho gaye hai to.. or agar $100 nahi ho pate to agle mahine me add hoke aate hai..

Youtube Shorts se Paise Kaise kamaye?

Youtube Shorts yani 1 minute se chote video bana kar bhi aap paise kama sakte hai, Shorts kaise kamate hai uski jankari aapko yaha milegi.

muje pata hai aapke dimag me bhi or sabal aa rahe hoge jiska jabab aap chahte hai to sochiye mat bas comment kar dijiye. me aap ke sawal ka jawab jarur duga or mujhe khusi hogi aapki madad karne me.
aapko internet se related koi bhi jaankari jankari pata karni ho kisi bhi topic pe to be jhijak puchye.

or haa meri youtube channel ke video dekna na bhule
www.youtube.com/HindiMeHelp

Youtube se Sambandhit kuch or Important Jankari

aese or bhi bhut se sabaalo ke jaab me aap ko aage duga. jisse aap youtube par 100% ek achi income kar paoge. Agar aap Post ki jaankari chate ho to hamare Facebook Page ko like karo or HMH Fb Group ko Join karna naa bhule jaha aap ki puri help ki milegi youtube se paise kamane me.

Tip: Aap apne video ke view badane ke liye usko facebook twitter par share kare or apna free blog bana kar uspar video ko dale.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

1,011 thoughts on “Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2025 in Hindi”

  1. sir maine ek youtube channel banaya tha aur 3 din lg gaye uske liye logo aur channel art banane me….. finaly maine logo aur channel art laga diya….phr maine youtube me apna channel search kiya but search result me show ni kr rha h mera channel. aisa ku? please suggest me.

    Reply
  2. Bhai per hamari video pr 1000 viewers ho gye to unhe kaise pta chalega k is bande ko paise dene h or first time payment kaise milega

    Plz reply me …..

    Reply
  3. Sir mere pas smartphone hai aur usme google adsense bhi open ho jata hai to Kya main smartphone se youtube par I’d aur channel banakar Kama sakta hu.

    Reply
  4. Hi Rohit me YouTube me apna chanel banana chahta hu par me Kya video banau jisseki bahutsare viewers ho please help me

    Reply
  5. sir mere pc me net chalta to he lekin kuch kuch web sites openig nahi hoti hai or me you tube or baki sab kholta hu jaise ki me aapko batata hu muje inter net ki speed fast karni hai is liye me vali website openig karta hu or sabche first link choose karta hu to web pade is note avileble help help

    Reply
  6. Sir main ek news channel banana chahta hu, Jo news TV par aati hai usko mein apne andaz se apni voice se bol kar us video ki jagah image dalkr agar upload karu to copyright to nahi hoga

    Reply
  7. brother please Comment ment
    kitne mahine mai kitni views ke kitne paise milte hai
    sir mere AK video ko views 266 ho gaya hai
    kitne mahine me kitne views ke milte hai
    please bhai co mt please
    Mobile no 8860789594

    Reply
  8. Sir mera name pawan devgan hai.. msine lagbhag 7 month pehle apna youtube chrnal bnaeya hai.. verify bhi ho chuka hai.. adsence se bhi jurda hai .. ab add ksise lagegi video pe.. and add lagne k baad paise kaise aayenge ..kyuki mera banck account no to unke pass hai hi nahi..

    Reply
  9. mere youtube channel par views badh hi nahi rahe hai jabki maine apne channel par 15-16 vidio upload kiya hai merachannel ka name GOOGLE GYAN IN HINDI hai please mere channel ka name apni post me dale aur ho sake to koi name bata de jo apni website par blog likhne ka mauka deta ho please help me bhai

    Reply
  10. bhai sabse pahle to mera namaskar aapko.bhai maine youtube par ek channel banaya hua hai jiska name haiGOOGLE GYAN IN HINDI agar aap meri ek help kar de to mai aapka zindgi bhar abhari rahunga aap mere channel ke bare me thodi bahot charcha apne blog par kar de aur mere channel ke bare me thoda sa logo ko bata de.to shayad mere channel par traffic aana shuru ho jaye please aap meri help kar dijiye meaine channel par vidio to 15-16 dali hai aap jakar chek kar sakte hai but thoda sa bhi traffic nahi aaya.aapki helpmera jivan bana sakti hai please help me bhai

    Reply
  11. Upar appne kaha hai ki 1000 views par 1$ bina ads click ke hi hota hai. To kya ye sach mein hota hai? AUr jab bina ads click ke itna hai ti ads click ke kitna hoga? Please tell me…

    Reply
  12. sir mera ye question hai ka ma agar apnay blog par apni bani hoi youtube videos embed karo or sath ma article likhon to adsense approve ho jay ga or agar ma urdu ma isi tara ka blog banao or isi tara ka content kuch likhon jasi ap ki site par hai to kya adsense apporve ho jay plz help me

    Reply
  13. hello sir mere you tube channel per per days 7000-8000 viewer aate hai per dollar 0 sent banta hai and video per add bhi show hota hai kya kru jisse income ho

    Reply