5 Extra Tarike Blog se Paise Kamane ke without Adsense

Blog kya hai or blogging kaise karte hai ye to ab bhut log jaan chuke hai or jinko nahi pata abhi tak unko bhi jaldi pata chal jayega.. Blog starting me log apne sok ke liye banate the par dhire dhire ye career banane ka jariya ban gaya or log isme ache paise bhi kama rahe hai.

Blog banane ke main 2 karan ho sakte hai ek to aapko sok hai likhne ka or jo aapko jankari ya jo bhi talent hai aapme wo online puri duniya se share karne ka or dusra karan ho sakta hai ki aap paise kamana chahte hai.

Advertisements

Agar aap sirf shok ke liye blog chalate hai to bhi mujhe umeed hai aapko paise to bure nahi lagte hoge.. or apne ye jaane ki bhi kosis jarur ki hogi ki ham blog se paise kaise kama sakte hai.

Aap ye to jante hi hoge ki ham blog me ads laga kar paise kama sakte hai or bhut si website or services hai jo hame ads provide karti hai jese Google Adsense, Bidvertiser, Adfly etc…

Par kya aapko pata hai aap ads laga kar apne blog se jo income karte hai usse kai guna jada income aap kar sakte hai kuch tarike hai unki madad se to agar aap wo jaana chahte hai to post ko read karte rahiye. or agar aapko ye jankari pasand aaye ya aapka koi sujhav ho to comment karna na bhule.. to chaliye start karte hai.

5 Extra Tarike Blog se Paise Kamane ke without Adsense - Blogging

Page Contents

Blog se Paise Kamane ke 5 Extra Tarike

1. Affiliate Marketing

Ye Sabse Best or top tarika hai agar aapko online paise kamana hai to, isme simple aapko saman ko sell karan hai jiska aapko commission milega.

Agar aap Affiliate Marketing ke ware me nahi jante to thoda me bata deta hu jisse aapko idea ho jayega ki isme hota kya hai or aap ko karna kya hai.

Baki puri jankari aapko yaha mil jayegi, Affiliate Marketing kya hai or kaise usse paise kamate hai.

Jese aapka blog hai jisme aap mobile or computer ke bare me jankari dete hai or unke features ke ware me batate ho.. to iska matlab hai aapki site par wo visitor aa rahe hai jo unke bare me janna chahta hai, iska matlab ho sakta hai wo usko kharidna chahte ho. to aap kya kar sakte hai uski affiliate link bhi apni post me add kar sakte hai jisse hoga ye agar koi us link par click karke usko kharidega to aapko usko commission milega jo 3% se lekar 20% tak ho sakta hai .. ye har category me alag alag hota hai.

Matlab aapko karna kya hai, jis product ko sell kara kar aapko commission lena hai uske ware me phele puri jankari dedo fir last ke usko kharidne ki link dedo (aapki affiliate link)

Aap Flipkart Affiliate, Amazon Affiliate, snapdeal ke affiliate program join karke apni affiliate link bana sakte hai.

Ye Bhi Pade: Amazon Affiliate se Jyada paise kaise kamaye

2. Direct Advertisement

Ye Tarika bhi acha hai, q ki isme aapko iss baat ki tension nahi rahegi ki CPC kitna hai ya CTR kitna mil raha hai par Agar aap koi Ads Network use karte hai to rheta hai jaise Google Adsense.. Q ki unhi ke aadhar par hamari income hoti hai.

Direct Advertisement me aap Direct kisi se paise leke unke ads laga skte hai..

Aapko kitne paise lena hai or kitne time tak unka ads lagana hai wo aap apne hisab se set kar sakte hai. Agar aapki Site ki traffic achi hai to aap jada bhi charge kar sakte hai. :)

Also Read: Website ki Traffic Badhane ki 5 Badiya Tarike

3. Create and Sell eBooks

Ye jo taika hai isme bhi aap badiya income kar sakte hai, isme aapko karna ye hai ki aapko book likhna hai..

Aap Tension naa le ki yaar book likhna padega.. me aapko ek tip deta hu ki aap kesi book likh sakte hai..

Aapka blog jis topic par hai sidhi si baat hai aapko uske ware me achi khasi jankari to hogi hi or aap uspar post bhi dalte hoge.. to aap ye kar sakte hai ki aapke blog ke topic me agar koi aesa topic hai jisko log jaana chahte hai to aap uski starting se leke last jat puri jankari ki PDF book bana kar usko online sell kar sakte hai.

Jese Example ke liye agar aapka maan lo internet ke topic par blog hai to aap Affiliate Marketing, SEO, Blogging, Motivational etc iss type ke topics par book likh sakte hai.

4. Khud ki Service de sakte hai

Khud ki service se mera matlab hai ki aapke pass jo bhi talent hai usko logo ko sell kar sakte hai apni service ke rup me.

aap jis bhi field me ache hai aap uspar kaam kare or jin logo ko usme aapki help chaiye ya jinko usme kaam karana hai unka kaam aap karke unse paise kama sakte hai.

Ye kuch example

ye mene internet se sambandhit example bataye.. par aap ka jisme interest hai aap dekhe usme aese kya kya kaam hai jo aap kar sakte hai.

Aap apni service ko deke paise kamana chahte hai to aap Fiverr ka use kare, jisme aapko payment ke len den me paresani nahi hogi.

Must Read: 

5. Paid Reviews

Ye jo tarika hai ye bhi acha hai par yaha thodi requirement hai wo ye ki aapki jo blog ya site hai uski popularity thodi achi honi chahiye jab hi koi aapko Review karne ke paise dega.

Jese Example aapki site hai jisme aap new mobiles ke ware me jankari dete hai or unka review karte hai or aapki site par achi traffic bhi aati hai to aese me kya hoga jo mobile companies hai wo aapse contact karke kahegi ki aap unke mobile ke ware me apni site par dale jiske badle me wo aapko paise degi.

To Friends .. ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi or aap inko apne blog me bhi jarur implement karege or apni income badhayege :)

Agar aapka koi bhi sawal ya doubt hai to aap comment karke jarur puche..

Ye bhi Read kare:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

101 thoughts on “5 Extra Tarike Blog se Paise Kamane ke without Adsense”

  1. Hello Rohit Sir,
    Bahut Bariya post hai humare jaise new blogger ke liye,Sir mai apna blog google blogger pe create kya hai or 3 post bhi dali hai, kya mai google adsense ya dusre koi advertisement company mai aapne blog ko monetize karne ke liye apply kar sakhtu hoo.

    Reply
  2. aise hindi me website banane ke liye hindi letters hona zaroori hai ya english letters use karke hindi me likskate hai kya ?? jaisa tumne banaya hai ?? please batado broo

    Reply
  3. HEy rohith kya ham hindi me blog ke liye hindi letters hona jaroori hai ya english letters use karke hindi blog karskate hai ? jaisa apne kiya ? ise adsense approve karega kya ??

    Reply
  4. Hi merabhi ek blog hai 650 views hai money earn karne ke liye koi easy way bataiye monthly 5000 income abhi kafi hoga. Please tell me.

    Reply
  5. good afternoon Rohit mewada ji, aapne thode din se apne blog me whatsapp share button add kiya hai Kya me jaan Sakta hu ye Kaise kiya aapne…HTML code jaan Sakta hu please detail me batana

    Reply
  6. Hii sir, mene blogger pr blog bnaya, or aapka post padh ke aapke bataye hue niyam ko follow karke mene google add url se connect bhi kr diya , pr ab bhi me agr google par mera blog pr search nhi ho rha he,jb meri site search krta hu to esa page open hota h,This site can’t be reached
    server DNS address page not be found, esa aa rha he , sir help me please

    Reply
  7. Rohit bhai bahut badiya affiliate wala pata tha but baki ke tarike nhi pata tha shandaar
    Rohit bhai ek question tha ki jo apne post comment wale button ke niche jo notify me wale jo option lagaye h wo kaise blog me laga sakte hai

    Reply
  8. Hey Rohit,
    Such a nice work.
    Ap hindi me jo blog article likhte ho is se On-Page SEO per farq nhi parhta?
    Kya Hindi me article likhne se search engine ranking waise he rehti hai jaise English articles pr hoti hai?

    Reply
  9. Bahut hi badhiya Jankari di hai isse bahut sare bloggers ko achhe se samajh me aa jayega ki blog ya website se paise kaise earn Kar sakte hai. Thanks and keep it up.

    Reply
  10. Hi Bro,
    Bhai Maine Grab Point Site par account bana liya hai Lekin grab point account gmail se verify nahi ho raha hai Plz help me ………,,
    Thank You ,,,,,,,.

    Reply
  11. sir mai aapse ye puchna chahta hu ki kya mai ek succesful aur famous blog apne hi mobile se bana kr paise kama sakta hu use adsence se jodkr ?
    Ya phir aacha famous blog banakr paise kamane ke liye lappy ya pc hi hona chahiye ?????

    Reply
  12. Rohit ji mai ye puchna chahta hu ki ha ham blog to mobile se bana sakte hai pr mai serious hu to kya mobile se hi mai hardwrk karke ek aacha sa blog bana kr use adsence se jod kr paisa kama sakta hu ? Ya phir aacha famous blog banakr paise kamane se liye lappy ya pc ki jarurt padti hi hai ?????

    Reply
  13. Rohit bro merit AdSense earning se juda ek sawal hai mera AdSense account approved ho gaya hai…aur Maine 20 dino me surf 4 dolar hi earn kar paaya hun ….agar me 30 ya 60 dino me bhitar 100 dolar earn nahi kar paaya to kya meri AdSense account block ho jayega ? Iski koi limited time hoti hai kya ?

    Reply
  14. Great post Mr Rohit Mewada,

    Mera ek sawal hai,Ek child wordpress thime jisme schema code lage huve hai or dusri paid theme jisme pehle se schema code lage huve hote hai.to kiya child free thime ke mukable paid thime behtar hoti hai,SEO ke liye jaruri hai?

    Thanks

    Reply
  15. sir maine January me YouTube ke liye AdSense apply kiya tha lekin ab jis I’d se maine apply kiya tha o mai bhool gaya hu ab mai new AdSense account kholu to koi problems to nahi ayegi

    Reply
  16. Namaste Rohit ji.aaj main aapse ek bahut hi sidha sa sawal puchh raha hoon. Rohit ji mujhe kuchh logo ne bataya hai ki hume low keyword use karne chahiye. Sir hum keyword ka ka use chaar jagah karte hai.

    1- Title me
    2- Permalink me
    3- Discretion me
    4- Post ke first and last paragraph me

    Sir ye bataye ki in chaar jagah par kitne low keyword use karna chahiye.

    1- 1 – 100 Google search result tak ke keyword
    2- 100 – 1000 Google search result tak ke keyword
    3- 1000 – 50000 Google search result tak ke keyword
    4- 50000 – 100000 Google search result tak ke keyword
    5- 100000 – 10000000 Google search result tak ke keyword
    Sir hume in chaar jagaho par kitni search result ka keyword use karna chahiye. No. 1 ya 2 ya 3 ya 4 ya 5. Sir is baat par dhyan de main ek hindi blogger hoon aur hindi bhasha me post likhta hoon. Ab Bataye

    1- Title me
    2- Permalink me
    3- Discretion me
    4- Post ke first and last paragraph me

    Reply
    • sabse phele to ye jo aapko kisi ne bhi bataya hai ki 4 jagha keyword use karna chaiye wo galat hai.. haa use karna hai par char jagha ya kitni jagha wo thodi fix hai..

      jese maan lo agar aap post likh rahe ho Adsense ke upar to aapko ye har jagha use karna hoga.,.. par aap post me jaruri thodi sirf firat or last pera me use karo.. or konse work ko use kaqre jo aapne limits batai hai wo bhi galat hai./..

      limit se ye matlab hai agar aapki site new hai.. jiski backlink or athurity kam hai to agar aap kam search karne wali post dalege to aapki site par koi visitor nahi aayege,…. unnmid hai aap samaj gaye hoge.. iske liye aap SEO ke topic ki or post padhe jo mene blog par dali hai..

      Reply
  17. nice post, but sir ek sawal tha ki aapne iss post ke liye image stocksite se download ki hai par aapne usse edit bhi kiya hai, kya yeh copyright nahi hota hai.

    Reply
  18. rohit bhai bahut hi achchi jaankari aapne di hai jo bahut hi use full hai

    mujhe ek chij ke baare aur jaankari chahiye ki agar mai blogspot par blog banaya hu aur mai post dal raha hu aur jab mere paas adhik traffik ho jaati hai aur mai apna khud ka domain register karta hu to kya mere jo pahle ke post hain wah samapt ho jayenge ya rahenga ?
    mujhe us time koi pareshani to nahin hogi na jab mai apne liye khud ka domain register karunga to ?
    please reply kar ke jaroor batana

    Reply
  19. hello rohit sir mai ek blogger hu sir meri site par roj 500/1000 visoter daily ate hai but organic search se traffic kam ata hai kuch yesa btaiye ki mere site par organic traffic jyada aye. please help me sir meri website hai
    http://hindimehint.com/

    Reply
  20. hello Rohit bhut dino se intzaar me tha mujhe apke android apps jaisa apps banwana hai mujhe bilkul sahi ans. bataiye ki mai apke jais aandroid apps banwa lu mujhe 1 month hi hue mere daily ke visitor 400-7000 hai mujhe apps ki jarurat pad rahi hai par mujhe apke jaisa apps hi chahiye

    Reply
  21. Aapka artical pd kr bhut aacha lga…सच में कई लोग आपके जैसे super senior blogger के बताने पर ही हम लोगो को विसवास होता है। कि ऐसा भी कर सकते है। इनकम के लिए ।

    Reply