DMCA Protected kya hai | DMCA Badge se online content copy hone se bachaye

Internet par Lakho-Croro website hai, unme se naa jane kitni website ka content log copy karke apni website par daal dete hai.. Agar aapki website hai or aap chate hai ki koi aapka content copy kare to aap usko remove kara paye.. to ye aap kar sakte ho DMCA ki madad se.

Mene apni ek post me share kiya tha Dusri Website se Copy karne ke kya fayde or nuksan hai.. agar aapne wo read nahi ki to jarur kare..

Advertisements

Aaj ki post me ham janege DMCA kya hai or kaise DMCA Badge site me add karke uske Content or Image ko chori hone se bacha sakte hai.

DMCA Protected kya hai | DMCA Badge se online content copy hone se bachaye - Blogging

Page Contents

What is DMCA | DMCA kya hai

DMCA Full Form Digital Millennium Copyright Act hota hai jo ki US Copyright Law hai.

Digital Millennium Copyright Act digital product jese ki Audio, Video, Image or text ko copy hone se protect karne ke liye hai.

DMCA ki madad se ham apne content ko protect kar sakte hai, jisse koi bhi hamara content copy kare ya hamari Image use kare bina permission ke to ham simple tarike se DMCA complaint karke copied content ko takedown (remove) kara sakte hai.

Agar aapka blog or website hai to ye tension bhi aapko jarur hogi ki kaise logo ko mera content copy karne se roke, to aap DMCA ka badge apni website me laga sakte hai.. jiske baad koi bhi agar aapka content copy karta hai to aapko uski jankari mil jayegi.. or aap usko remove bhi kara sakte hai.

DMCA ki madad se ham Image me Watermark bhi laga sakte hai, taki koi copy kare to uspar hamari website ka naam or logo rahe.

DMCA meaning agar simple sabdo me samje to iska matlab hai ham apne content ko DMCA me submit karke unko bata rahe hai ki ye hamara content hai.. fir wo unke database me save ho jata hai, uske baad agar koi bhi hamara content copy karta hai to uski jankari hame mil jati hai, or Simple tarike se ham DMCA file karke content ko remove kara sakte hai.

DMCA Protected Certificate

Agar ham apni website me DMCA Badge lagate hai to uske baad hamare uss page ke liye ek Certificate milta hai.. Jisme Page se related jankari hoti hai ki wo kab submit hua hai or uss page ki kya jankari hai.

DMCA Certificate Domo

DMCA certificate example HMH

Aap Certificate me dekh sakte hai, jis bhi page ke liye DMCA Certificate rehta hai, uske Page ka Title, uska URL, Protraction kab se active hai or kitne din hue jesi sab jankari rehti hai.

To agar aap bhi Original content apne site par dalte hai to usko protact karne ke liye DMCA Badge apni site me jarur add kare.

DMCA Protected kaise kare

DMCA se apne content ko protect karne ke liye aapko DMCA ki website par jakar account banana hoga, fir uske baad DMCA Badge ko apne site me lagana hai..

DMCA website open karne ke baad, aapko 2 option mileage.. Free plan or Pro plan.. agar aap Pro Plan lete hai to aapko bhut data security milegi or koi agar aapka content copy karege to us par turant action liya jayega.

*Agar aap DMCA Pro Plan le to ejkxb87 coupon use kare.. jisse aapko 41% discount mil jayega.

DMCA par account kaise banaye

Free account banane ke liye Go Free button par click kare, uske baad Sign up form fill karke account open kare.

DMCA Free account banaye
  1. First Name
  2. Last Name
  3. Website ka Naam dale
  4. EMail-ID dale
  5. Submit button par click kare.

Ab aapko EMail par DMCA se confirmation ke liye mail aayega, usme di hui Link par click karke account ko verify jarur kare.

DMCA Badge kaise add kare site me

Account banne ke baad DMCA Badge add karna hai site me uske liye aap Badge Code ko copy karke apni website me add kare.

DMCA Badge page par aane ke baad aapko bahut se design dikhaye DMCA Badge ke, jo bhi aapki site ke liye sahi ho wo select kare, uske baad side me diye code ko copy kare.

DMCA protection badge code copy karke site me add kare

Code ko copy karne ke baad aapko apni website ke footer me add karna hai..

Blogger par agar aapka Blog hai to aap HTML Widget me code ko add karke footer me laga sakte hai..

WordPress Blog ke liye DMCA plugin bhi hai, aap chahe to uska use kar sakte hai.. ya fir direct code ko copy karke apki blog ki jo theme hai uske Footer me code add kar sakte hai.

DMCA Badge add karne ke baad aap ki site me kuch iss tarah dikhai dega..

DMCA Badge blog me kaise add kare Hindi MeHelp

Jo DMCA Protected Badge hai uspar click karne par jo uss page ka DMCA Certificate hai wo open hota hai..

Note: Agar aapne Free DMCA Protection liya hai to Certificate me 30 din tak DMCA Protection Pending dikhayega.

At Last: 

DMCA kya hai or DMCA Protected Badge kaise website me add kare wo aap jaan chuke hai.

Agar aapka abhi bhi koi question ho DMCA se related to aap comment karke jarur puche, mujhe aap ki help karne me khushi hogi..

*aap DMCA Badge use nahi karte to uska karan kya hai ya aap use karte hai to kab se wo bhi comment me share kare.. taki baki user ko bhi kuch naya janne ko mile.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

76 thoughts on “DMCA Protected kya hai | DMCA Badge se online content copy hone se bachaye”