Blogspot Blog ki HTTPS Chalu karke Security badaye

Hello Bloggers, Agar aapka Blog Google ke free platform par hai to aapke liye ek khus khabri hai, Blogger.com ne abhi HTTPS ki setting di hai Blogspot blog ke liye jinki madad se ham apne blog ko secure kar sakte hai.

Blogspot Blog ki HTTPS Chalu karke Security badaye
Image Source: threatpost

HTTP ki jagha HTTPS use karne ka kya faida hai

Simple sabdo me kahu to isse site ki security me ek or layer ban jati hai or apni site or jada secure ho jati hai apne blog ke visitor ke liye. ye kuch faide hai HTTPS use karne ke

Advertisements
  • Isse hame check karne me madad milti hai ki hamare visitor ke pass sahi website khul rahi hai, nahi to kya hota hai ki hamari website ki kuch virus aane ki baja se dusri website par redirect ho jata hai.
  • Agar koi hamari site ko hack karke uska data badalne ki kosis karta hai blogger par apne visitor ko dikhane ke liye to hame pata chal jata hai.
  • HTTPS ki madad se dusre logo ko khatin padta hai hamare blog ke visitor ko track karne me or uski information nikalne me.

Or jankar ke liye Google par pade. Simple sabdo me sirf ye khana chahuga, Agar aapka Blog Blogspot domain se hai to isko jarur activate kare.. isko koi bhi nuksan nahi hai, faida jarur hai :)

Agar aap HTTP hi use karte hai to koi Hacker agar aapki site ko hack karke uska data badal sakta hai, or jo hamare blog par visitor aayege uski jankari bhi chura sakta hai.. jese maanlo agar wo email se subscribe karne ke liye form bhara to hamari site se subscribe karne kija wo kisi dusri site se subscribe ko jayega..

Also Read: Blogspot Blog ki security Badaye or Hacker se bachaye

HTTPS kaise On Kare Blogspot Blog me

YE bhut hi Simple Process hai, bas hame HTTPS ke option ko on karna hai blogger ki setting me.. Chaliye dekhte hai kaise.

Step 1: Blogger.com me Login kare.

Step 2: Apne Blog ke dashboard me Jaye fir uski Setting me jaye.

Step 3: Settings >> Basic >> HTTPS settings par jaye. Fir HTTPS Avilability ko Yes select kare.

Blogger ki setting me ja kar HTTPS ko on kare security badane ke liye

HTTPS avilability ko Yes karne ke baad aapka blog ka jo address kesa khulega

https security ke baad kaise khulta hai blog

Kabhi bhi aap chaho to isko band kar sakte to setting me ja kar.

Note: ye ji HTTPS ka future hai wo sirf free blogspot address ke liye hai, agar aapne apne blog me custom domain add kiya hai to aap yaha se isko on nahi kar sakte.

Ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi or agar isse sambandit koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.

Blogger ki or jankari ke liye www.HMH.pe/Blogger par jaye

Ye Post bhi pade:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

144 thoughts on “Blogspot Blog ki HTTPS Chalu karke Security badaye”

  1. Bihar Pin Code List

    From here you can search the list of pin codes of all the districts of Bihar state in Bihar Pin Code List. And one can search through list of pin codes of all cities, villages and towns of Bihar from here.

    Reply
    • aap blogspot me use kar sakte hai post me bataye gaye tarike se.. or site me add karne ke liye aapko letsencript se kar sakte hai.. par me aapko suggest karuga aap abhi naa kare.. isse aapki site ki traffic par bura aasar padega.

      Reply
  2. Hi sir me gujarat se hu or mera pura blog gujarati language me he or mene aage comment me padha ki AdSense sirf hindi or english language me approow hota he kya ye sach he agar aesa he to muje kya karna chahiye …….

    Reply
  3. Hello Rohit bhai main chitika account banana hai Meri site co 3 Mahina ho gaye hai Google AdSense ya chitika adsense Mujhe ad kab Denge

    Reply
    • agar aap apne blog par badhiya posts daalte hai to aapko adsense account ke liye approval jarur milega aur yadi adsense account approve n ho to aap chitika par account bnakar uske ads apne blog par lga sakte hai

      Reply
  4. Sir,
    https suru karne ka koi additional charges hota hai kya. Aur https lene par site sabhi browser me opne hoga ya secure browser me bas open hoga? Thanks waise apki post se bahut kuch sikhane ko mila hai..

    Reply
  5. sir
    hike par maine ak a/c open kiya fir setting kay dabai woha par option hide chat aaya maine cileak kiya ab wo no add list par nhi mil rhaa kiya karna padega jo ki wo numbar fir se list par update ho sake

    ph. list main numbar hai par hike par so nhi ho rhaa plz. btaye kiya karu

    Reply
  6. Sir ,
    Maine WordPress pe apni blog banae hai jisme 15post ki ab mai domain kharidna chahta hu lekin WordPress par nhi kisi aur website se to kya domain lene ke bad mujhe for se post karne hinge?

    Ya mere sare post add ho jayenge?

    Apne apna blog bahut hi badhiya banaya hai (•.°)

    Reply
  7. rohit bhai muje ek best screen video recorder software chahiye
    waise to market mai kai sare software hai but koi ek achha sa software batao jinse mai easily use kar saku thanks

    Reply